Thursday 24 August 2017

Fundamental Rights (Articles 14-18) in India (Urdu)

Buniyaadi Haquq e Hind (Mazaameen 14-18)



Hissa III 
Part III 



Buniyaadi Haquq
Fundamental Rights



Haq e Masaawaat
Right to Equality



14. Nazr e Qaanun me masaawat-
Equality before law

Sarzamiin e Hind me Sarkaar kisi bhi shaks ko nazr e qaanun me masaawaat se mehruum nahi rakh sakti ya qawaaniin ke tahffuz me masaawaat ko mehruum nahi rakh sakti. 
The State shall not deny to any person equality before the law or the equal protection of the laws within the territory of India.

15. Deen, nasl, zaat, jins ya maqaame paedaaish ki bina par tafrik par paabandi-
Prohibition of discrimination on grounds of religion, race, caste, sex or place of birth

15(1). Mehez deen, nasl, zaat, jins, maqaame paedaaish ya inme se kisi bhi binaa par Sarkaar kisi shehri ke saath imtiyaazi saluuq nahi bartegi. 
The State shall not discriminate against any citizen on grounds only of religion, race, caste, sex, place of birth or any of them.

15(2). Mehez deen, nasl, zaat, jins, maqaame paedaaish ya inme se kisi bhi binaa par, kisi bhi shehri par, inke mutalliq koi mohtaaji, zimmedaari, paabandi ya shart aaed nahi ki jaa sakegi- 
No citizen shall, on grounds only of religion, race, caste, sex, place of birth or any of them, be subject to any disability, liability, restriction or condition with regard to— 

15(2a). Dukaano, awaami restoraan (bhatiyaar khaanou), hotlou (saraae) aur awaami tafriihi maqaamaat me daakhle se; ya 
access to shops, public restaurants, hotels and places of public entertainment; or

15(2b). kuuwou, hauz, ghusl ke ghaat, sadhke aur awaami saer-gah jinhe mukammal taur par ya hisse-daari me Sarkaari khazaane se chalaaya jaata ho ya jinhe aam awaam ke liye waqf kiya gaya ho, unko ist'emaal karne se.
the use of wells, tanks, bathing ghats, roads and places of public resort maintained wholly or partly out of State funds or dedicated to the use of the general public.

15(3). Is mazmoon ka koi bhi pehlu Sarkaar ko aurtou aur bachchou ke liye koi bhi makhsus intezaam karne se nahi rok sakta.
Nothing in this article shall prevent the State from making any special provision for women and children.

15(4). Is mazmoon ka koi bhi pehlu ya mazmoon 29 ka nuquut (2) Sarkaar ko shehrio ke ma’ashri aur ta’alimi taur par pasmaandah tabke ya zere fehrist zaat aur zere fehrist qabilou ki taraqqi ke liye makhsus intezaam karne se nahi rok sakta. 
Nothing in this article or in clause (2) of article 29 shall prevent the State from making any special provision for the advancement of any socially and educationally backward classes of citizens or for the Scheduled Castes and the Scheduled Tribes.

15(5). Is mazmoon ka koi bhi pehlu ya mazmoon 19 ke nukut (1) ka zere-nuqut (g), Sarkaar ko, aqliyati ta’alimi idaare jinka zikr mazmoon 30 ke nuqut (1) me kiya gaya hai, unke alawa jo ta’alimi idaare hae niji ta’alimi idaaro ke samet, chaahe Sarkaar se imdaad shuda ho ya naa ho, unme, shehrio ke ma’ashri aur ta’alimi taur par pasmaandah tabke ya zere fehrist zaat ya zere fehrist qabilou ke daakhle ke mutalliq, qanunan, kesa bhi makhsus intezaam karne se nahi rok sakta. 
Nothing in this article or in sub-clause (g) of clause (1) of article 19 shall prevent the State from making any special provision, by law, for the advancement of any socially and educationally backward classes of citizens or for the Scheduled Castes or the Scheduled Tribes in so far as such special provisions relate to their admission to educational institutions including private educational institutions, whether aided or unaided by the State, other than the minority educational institutions referred to in clause (1) of article 30.


16. Sarkaari mulaazemat ke ma'amlaat ke mawaaqe me masaawaat-
Equality of opportunity in matters of public employment

16(1). Tamaam shehrio ke liye Sarkaari mulaazimat ya kisi bhi Sarkari ohde par muqarrar kiye jaane ke mawaaqe me masaawaat hogi. 
There shall be equality of opportunity for all citizens in matters relating to employment or appointment to any office under the State. 

16(2). Koi bhi Shehri, mehez deen, nasl, zaat, jins, waldiyat, maqaame paidaasih, rihaayish ya inme se kisi bhi bina par, kisi bhi Sarkaari mulaazimat ya Sarkaari ohde ke mutalliq, naa qaabil nahi hoga, naahi uske saath is mutaalliq imtiyaazi saluuq hoga. 
No citizen shall, on grounds only of religion, race, caste, sex, descent, place of birth, residence or any of them, be ineligible for, or discriminated against in respect of, any employment or office under the State.

16(3). Is mazmoon ka koi bhi pehlu Qaumi Majlis ko kisi bhi darje ya darjaat ki mulaazimat ya ohde par kisi ko muqarrar kar diye jaane se qabl oon mulaazimat ya ohde ke mutalliq kisi bhi qaanuun-saazi se nahi rok sakta. [Ohde se muraad wo ohda jis par mukarrar kiye jaane ke liye oos Riyaasat ya Markaz ke Ilaaqe me rihaayish ki koi shart hogi jiski Sarkaar ke tehat wo ohda aata ho ya ooske kisi muqaami ya digar mehkame ke tehat wo ohda ho aata ho.]
Nothing in this article shall prevent Parliament from making any law prescribing, in regard to a class or classes of employment or appointment to an office1[under the Government of, or any local or other authority within, a State or Union territory, any requirement as to residence within that State or Union territory] prior to such employment or appointment.

16(4). Is mazmoon ka koi bhi pehlu, Sarkar ko, kisi ohde ya muqaarrar kiye jaane ke mutalliq, pasmaandah tabke ke shehrio, Sarkaari naukrio me jinki numaaindagi Sarkaar ki raay me kaafi nahi ho, unke liye, kisi bhi tahaffuz ki qaanun-saazi se nahi rok sakta. 
Nothing in this article shall prevent the State from making any provision for the reservation of appointments or posts in favour of any backward class of citizens which, in the opinion of the State, is not adequately represented in the services under the State.

16(4A). Is mazmoon ka koi bhi pehlu, Sarkaar ko Sarkaari naukrio (ke tarraqqi ke maamlaat jinme natijatan kisi bhi darje ya darjaat ki sarparasti shaamil ho) ke ohdo me, zere fehrist zaat aur zere fehrist qabile, Sarkaari naukrio me jinki numaaindagi Sarkar ki raay me kaafi nahi ho, unke liye, kisi bhi tahaffuz ki qaanun-saazi se nahi rok sakta. 
Nothing in this article shall prevent the State from making any provision for reservation 3[in matters of promotion, with consequential seniority, to any class] or classes of posts in the services under the State in favour of the Scheduled Castes and the Scheduled Tribes which, in the opinion of the State, are not adequately represented in the services under the State.

16(4B). Is mazmoon ka koi bhi pehlu, Sarkaar ko, kisi saal ki tahaffuz ki hui naukrio ki khaali jagaah, jinke tahaffuz ka intezaam nuquut (4) ya (4A) ke mutaabiq ho, unhe aglee saal ya agle saalo me, madde nazar lene se nahi rok sakta aur aesi naukrio ki jama ko un naukrio ki jama me shaamil nahi kiya jayega jo us saal ki bharti ki jama ho, jinhe us saal ke kul khaali maqaam ke pachaas fisad tahaffuz ke liye mutayyin kiya ja raha ho. 
Nothing in this article shall prevent the State from considering any unfilled vacancies of a year which are reserved for being filled up in that year in accordance with any provision for reservation made under clause (4) or clause (4A) as a separate class of vacancies to be filled up in any succeeding year or years and such class of vacancies shall not be considered together with the vacancies of the year in which they are being filled up for determining the ceiling of fifty percent reservation on total number of vacancies of that year.

16(5). Is mazmoon ka koi bhi pehlu kisi deeni ya kisi firke ke idaare ya unki intezzaamiyah ke kisi rukn ke ma’amlaat se mutaliq kisi ohde ke maujuda ohdedaar ke kisi khaas deen ka ahl ya kisi khaas firke se ta’alluq rakhna, is mutalliq kisi maujuda qanuun par koi asar nahi kar sakta. 
Nothing in this article shall affect the operation of any law which provides that the incumbent of an office in connection with the affairs of any religious or denominational institution or any member of the governing body thereof shall be a person professing a particular religion or belonging to a particular denomination.

17. Chhut Achhut par paabandi-
Abolition of Untouchability

“Chhut-Achhut” ki tardiid ki gayi hae aur ispar kisi bhi tariqe se amal karne par paabandi hae. “Chhut-Achhut” ki bina par kisi qism ki manaadi ko lagu karna jurm hoga jiski sazaa qanuun ke mutaabiq hogi.
“Untouchability” is abolished and its practice in any form is forbidden. The enforcement of any disability arising out of “Untouchability” shall be an offence punishable in accordance with law.

18. Alqaab ka khaatma-
Abolition of titles

18(1). Hukumat, fauji ya ta’alimi imtiyaaz ke alaawa, kisi alqaab se nawaaz nahi sakti. 
No title, not being a military or academic distinction, shall be conferred by the State. 

18(2). Hind ka koi bhi shehri kisi bhi digar Mulk ka koi bhi laqab qubul nahi karega. 
No citizen of India shall accept any title from any foreign State.

18(3). Koi bhi shaks, jo ke Hind ka shehri nahi hae, jab tak ke wo Sarkaar ke tehat kisi munaafe-daar ya amaanat-daari ke ohde par faaez ho, Sadar e Jamhuriya ki razaa liye baghaer kisi bhi digar Mulk ka koi bhi laqab qubul nahi karega. 
No person who is not a citizen of India shall, while he holds any office of profit or trust under the State, accept without the consent of the President any title from any foreign State.

18(4). Koi bhi shaks jo Sarkaar ke tehat kisi munaafe-daar ya amaanat-daari ke ohde par faaiz ho, Sadar e Jamhuriya ki razaa liye baghaer, kisi bhi digar Mulk ka koi bhi tohfa, tankhwaah, ya kisi qism ka koi bhi ohda qubul nahi karega. 
No person holding any office of profit or trust under the State shall, without the consent of the President, accept any present, emolument, or office of any kind from or under any foreign State.











2 comments:

  1. Where can I buy Bharat Ka Ain Book in Urdu

    ReplyDelete
  2. very nice but ye urdu me hi huta tu aur thik rehta liken very nice

    ReplyDelete