Sunday 19 November 2017

The States (Articles 188-189) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 188-189)



Hissa VI
Part VI



Riyaasaat
The States



Baab III.—Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis
Chapter III.—The State Legislature


Kaarwaahi ka tarze amal 
Conduct of Business


188. Araakeen ka halaf lena ya aehad karna.—
Oath or affirmation by members.—

Kisi bhi Riyaasat ki Riyaasati Majlis ya ooske Riyaasati Shura ke har rukn ko apna maqaam haasil karne se qabl, Naazim e Riyaasat ke, ya kisi aese shakhs ke saamne jise Naazim e Riyaasat ne is muttaliq mukarrar kiya ho, ek halaf leni hogi ya aehad karna hoga, oos tehriir ke mutaabiq jo is maqsad ke liye Tisri Fehrist me darj hae; 
Every member of the Legislative Assembly or the Legislative Council of a State shall, before taking his seat, make and subscribe before the Governor, or some person appointed in that behalf by him, an oath or affirmation according to the form set out for the purpose in the Third Schedule.

189. Aewaan me raae shumaari, khaali maqaamaat ke baawajuud Aewaan ki kaarwaahi aur Aewaan ki laazimi haaziri.—
Voting in Houses, power of Houses to act notwithstanding vacancies and quorum.—

189(1). Is Aain me maujuud kisi digar gunjaaish ke siwa, Kisi bhi Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke kisi bhi Aewaan ki kisi bhi nashist ke tamaam sawaalaat ke nataaij ka ta’ayyun haazir aur raae dene ko tayyaar araakeen ki raae ki aksariyat se hoga, lekin, raae shumaari me Mukallim ya Amiir, ya wo shakhs jo inki haesiyat se maujuud ho, apni raae nahi de sakte. Amiir ya Mukallim, ya wo shakhs jo inki haesiyat se maujuud ho, pehli martaba me apni raae nahi denge, lekin aesi haalat me jab raae shumaari ke nataaij baraabar ho jaaye tab, oonko ek faesla kun raae dene ka haq hoga aur oonhe ise istemaal karna hoga. 
Save as otherwise provided in this Constitution, all questions at any sitting of a House of the Legislature of a State shall be determined by a majority of votes of the members present and voting, other than the Speaker or Chairman, or person acting as such. The Speaker or Chairman, or person acting as such, shall not vote in the first instance, but shall have and exercise a casting vote in the case of an equality of votes.

189(2). Rukniyat me koi bhi khaali maqaam hone ke baawajuud Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke kisi bhi Aewaan ko kaarwaahi jaari rakhne ka ikhteyaar hoga, aur Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ki kisi bhi kaarwaahi ke baad agar ye pata chalta hae ke koi shakhs jise kaarwaahi me maujuud hone ka ya raae dene ka ya digar kisi amal ka koi haq nahi tha aur tab bhi oos shakhs ne kaarwaahi me hissa liya tha, tou iske baawajuud bhi Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ki wo kaarwaahi durust maani jaayegi.
A House of the Legislature of a State shall have power to act notwithstanding any vacancy in the membership thereof, and any proceedings in the Legislature of a State shall be valid notwithstanding that it is discovered subsequently that some person who was not entitled so to do sat or voted or otherwise took part in the proceedings.

189(3). Jab tak ke Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis qaanuun ke zariye koi aur usul nahi bana deti tab tak, Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke kisi bhi Aewaan me nashist munaqqid kiye jaane ki laazimi haaziri das araakeen ya oos Aewaan ke tamaam araakeen ke adad ki ek-dahaayi, in dono ma’amlaat me jo bhi zyada ho, wo hogi.
Until the Legislature of the State by law otherwise provides, the quorum to constitute a meeting of a House of the Legislature of a State shall be ten members or one-tenth of the total number of members of the House, whichever is greater.

189(4). Agar kisi Riyaasat ki Riyaasati Majlis ya ooske Riyaasati Shura ki kisi nashist ke dauraan kisi waqt laazimi haaziri nahi reh jaati tab, ye Mukallim ya Amiir, ya aese shakhs jo oonki haesiyat se maujuud ho, inpar farz hoga ke wo Aewaan ko multawi kar de ya nashist ko oos waqt tak mo’atal kar de jab tak ke laazimi haaziri nahi ban jaati.
If at any time during a meeting of the Legislative Assembly or the Legislative Council of a State there is no quorum, it shall be the duty of the Speaker or Chairman, or person acting as such, either to adjourn the House or to suspend the meeting until there is a quorum.



Monday 13 November 2017

The States (Articles 178-187) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 178-187)



Hissa VI
Part VI



Riyaasaat
The States



Baab III.—Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis
Chapter III.—The State Legislature 



Riyasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke Afsaraan
Officers of the State Legislature


178. Riyaasati Majlis ke Mukallim aur Naaeb Mukallim.—
The Speaker and Deputy Speaker of the Legislative Assembly.—

Har Riyaasati Majlis, jitni jald ho sake, apne araakeen me se do araakeen ko chune jinme se ek ko Riyaasati Majlis ka Mukallim aur dusre ko Naaeb Mukallim chune, aur jab kabhi Mukallim ya Naaeb Mukallim ka ohda khaali ho, Riyaasati Majlis apne arakeen me se kisi digar rukn ko Aewaan ka Mukallim ya Naaeb Mukallim chune, jaesa bhi ma’amla ho.
Every Legislative Assembly of a State shall, as soon as may be, choose two members of the Assembly to be respectively Speaker and Deputy Speaker thereof and, so often as the office of Speaker or Deputy Speaker becomes vacant, the Assembly shall choose another member to be Speaker or Deputy Speaker, as the case may be.

179. Mukallim aur Naaeb Mukallim ki oonke ohdo se ghaer haaziri, istefa aur baskhaastgi.—
Vacation and resignation of, and removal from, the offices of Speaker and Deputy Speaker.—

Wo rukn jo kisi Riyaasati Majlis ke mukallim ya Naaeb Mukallim ke ohde par faaez ho—
A member holding office as Speaker or Deputy Speaker of an Assembly—

179(a). agar wo Riyaasati Majlis ke rukn nahi rehte tou wo apna ye ohda bhi khaali karenge;
shall vacate his office if he ceases to be a member of the Assembly;

179(b). wo kisi bhi waqt, agar wo Mukallim hae tou Naaeb Mukallim ko aur agar wo Naaeb Mukallim hae to Mukallim ko, apne dastakhat ke tehat di gayi apni tehriir ke zariye, apne ohde se istefa de sakte hae; aur
may at any time by writing under his hand addressed, if such member is the Speaker, to the Deputy Speaker, and if such member is the Deputy Speaker, to the Speaker, resign his office; and

179(c). tou Riyaasati Majlis oonko apne haazir araakeen ki aksariyat ke zariye qaraardaad manzur karke oonko oos ohde se hata sakti hae:
may be removed from his office by a resolution of the Assembly passed by a majority of all the then members of the Assembly:

Shart ye hae ke nukut (c) ke maqsad ke liye aesi koi bhi qaraardaad tab tak pesh nahi ki jaa sakti jab tak ke ooske qabl ek ittela jisme qaraardaad pesh karne ka iraada waazae kiya gaya ho aur oos ittela ko kam az kam chaudaah din ki muddat ki shart ke saath bheja nahi jaata.
Provided that no resolution for the purpose of clause (c) shall be moved unless at least fourteen days' notice has been given of the intention to move the resolution:

Mazid Shart ye bhi hae ke, jab bhi maujuda Riyaasati Majlis ka ikhtetaam ho jaata hae tou, Mukallim iktetaam ke baad ki Riyaasati Majlis ki pehli nashist ke fauran pehle tak apne ohde par qaayam rahenge.
Provided further that, whenever the Assembly is dissolved, the Speaker shall not vacate his office until immediately before the first meeting of the Assembly after the dissolution.

180. Naaeb Mukallim ya digar shakhs ko Mukallim ke ohde ke faraaez anjaam dene ka, ya Mukallim ki haesiyat se maujud hone ka ikhteyaar.—
Power of the Deputy Speaker or other person to perform the duties of the office of, or to act as, Speaker.—

180(1). Jab Mukallim ka ohda khaali ho gaya ho tab onke ohde ke faraaez Naaeb Mukallim ada karenge, ya, Naaeb Mukallim ka ohda bhi khaali ho tou, tab Riyaasati Majlis ka aesa rukn oon faraaez ko ada karega jise Naazim e Riyaasat is maqsad ke liye mukarrar karenge.
While the office of Speaker is vacant, the duties of the office shall be performed by the Deputy Speaker or, if the office of Deputy Speaker is also vacant, by such member of the Assembly as the Governor may appoint for the purpose.

180(2). Riyaasati Majlis ki kisi nashist me Mukallim ki ghaer haaziri me Naaeb Mukallim, Mukallim ki haesiyat se maujuud rahenge, ya, Naaeb Mukallim ki bhi ghaer haaziri ho tou, Riyaasati Majlis ke tariqe ke qawaaid ke mutaabiq ta’ayyun kiya gaya koi shakhs Mukallim ki haesiyat se maujuud rahega, ya, agar aesa koi shakhs bhi maujuud na ho tou, aesa koi aur digar shakhs jiska ta’ayyun Riyaasati Majlis karde, Mukallim ki haesiyat se maujuud rahega.
During the absence of the Speaker from any sitting of the Assembly the Deputy Speaker or, if he is also absent, such person as may be determined by the rules of procedure of the Assembly, or, if no such person is present, such other person as may be determined by the Assembly, shall act as Speaker.

181. Mukallim ya Naaeb Mukallim oos waqt sadaarat nahi kar sakte jab oonko ohde se barkhaast karne ke liye qaraardaad madde nazar ho.—
The Speaker or the Deputy Speaker not to preside while a resolution for his removal from office is under consideration.—

181(1). Jab Mukallim ko oonke ohde se barkhaast karne ke liye qaraardaad madde nazar ho, tab Mukallim majuud hone ke baawajuud bhi Riyaasati Majlis ki kisi bhi nashist me sadaarat nahi kar sakte, aur Jab Naaeb Mukallim ko oonke ohde se barkhaast karne ke liye qaraardaad madde nazar ho, tab Naaeb Mukallim maujud hone ke baawajuud bhi Riyaasati Majlis ki kisi bhi nashist me sadaarat nahi kar sakte, aur mazmoon 180 ke nukut (2) ke usul aesi har nashist par waesehi laagu honge jaese ye usul tab laagu hote hae jab Mukallim ya Naaeb Mukallim, jaesa bhi ma’amla hou, ghaer haazir hote hae.
At any sitting of the Legislative Assembly, while any resolution for the removal of the Speaker from his office is under consideration, the Speaker, or while any resolution for the removal of the Deputy Speaker from his office is under consideration, the Deputy Speaker, shall not, though he is present, preside, and the provisions of clause (2) of article 180 shall apply in relation to every such sitting as they apply in relation to a sitting from which the Speaker or, as the case may be, the Deputy Speaker, is absent.

181(2). Jab Riyaasati Majlis me Mukallim ko oonke ohde se barkhaast karne ke liye qaraardaad madde nazar ho, tab bhi Mukallim ko Riyaasati Majlis me bolne ka haq hoga, aur iske alaawa Riyaasati Majlis ki karwaahi me bhi hissa lene ka haq hoga, aur, mazmoon 189 ke kisi bhi pehlu ke baawajuud, oonko aesi qaraardaad ya kaarwaahi ke dauraan kisi bhi digar ma’amle par sirf pehli martaba hi raae dene ka haq hoga, lekin, raae shumaari ke natije me baraabari aa jaane ki haalat me onko apni raae dene ka haq nahi hoga.
The Speaker shall have the right to speak in, and otherwise to take part in the proceedings of, the Legislative Assembly while any resolution for his removal from office is under consideration in the Assembly and shall, notwithstanding anything in article 189, be entitled to vote only in the first instance on such resolution or on any other matter during such proceedings but not in the case of an equality of votes.

182. Riyaasati Shura ke Amiir aur Naaeb Amiir.—
The Chairman and Deputy Chairman of the Legislative Council.—

Jis kisi Riyaasat me Riyaasati Shura ho tou waha Riyaasati Shura, jitni jald ho sake, apne araakeen me se kisi do araakeen ko Riyaasati Shura ke oonke mutalliqa Amiir aur Naaeb Amiir chune, aur jab kabhi Amiir ya Naaeb Amiir ka ohda khaali ho tou, Shura apne araakeen me se kisi digar rukn ko Shura ke Amiir ya Naaeb Amiir chune, jaesa bhi ma’amla hou.
The Legislative Council of every State having such Council shall, as soon as may be, choose two members of the Council to be respectively Chairman and Deputy Chairman thereof and, so often as the office of Chairman or Deputy Chairman becomes vacant, the Council shall choose another member to be Chairman or Deputy Chairman, as the case may be.

183. Amiir ya Naaeb Amiir ka ohda khaali hona, oonka istefa dena, ya unki barkhaastgi.—
Vacation and resignation of, and removal from, the offices of Chairman and Deputy Chairman.—

Wo rukn jo Riyaasati Shura ke Amiir ya Naaeb Amiir ke ohde par faaez ho—
A member holding office as Chairman or Deputy Chairman of a Legislative Council—

183(a). aur agar wo Shura ke rukn nahi rehte tou wo apna ye ohda bhi khaali karenge;
shall vacate his office if he ceases to be a member of the Council;

183(b). wo kisi bhi waqt, agar wo Amiir hae tou Naaeb Amiir ko aur agar wo Naaeb Amiir hae to Amiir ko, apne dastakhat ke tehat di gayi apni tehriir ke zariye, apne ohde se istefa de sakte hae; aurmay at any time by writing under his hand addressed, if such member is the Chairman, to the Deputy Chairman, and if such member is the Deputy Chairman, to the Chairman, resign his office; and

183(c). tou Shura oonko apne haazir araakeen ki aksariyat ke zariye qaraardaad manzur karke oonko oos ohde se hata sakta hae:
may be removed from his office by a resolution of the Council passed by a majority of all the then members of the Council:

Shart ye hae ke nukut (c) ke maqsad ke liye aesi koi bhi qaraardaad tab tak pesh nahi ki jaa sakti jab tak ke ooske qabl ek ittela jisme qaraardaad pesh karne ka iraada waazae kiya gaya ho aur oos ittela ko kam az kam chaudaah din ki muddat ki shart ke saath bheja nahi jaata.
Provided that no resolution for the purpose of clause (c) shall be moved unless at least fourteen days' notice has been given of the intention to move the resolution.

184. Naaeb Amiir ya digar shakhs ko Amiir ke ohde ke faraaez anjaam dene ka, ya Amiir ki haesiyat se maujud hone ka ikhteyaar.—
Power of the Deputy Chairman or other person to perform the duties of the office of, or to act as, Chairman.—

184(1). Jab Amiir ka ohda khaali ho gaya hou, tab onke ohde ke faraaez Naaeb Amiir ada karenge, ya, Naaeb Amiir ka ohda bhi khaali ho tou, tab Riyaasati Shura ka aesa rukn oon faraaez ko ada karega jise Naazim e Riyaasat is maqsad ke liye mukarrar karenge.
While the office of Chairman is vacant, the duties of the office shall be performed by the Deputy Chairman or, if the office of Deputy Chairman is also vacant, by such member of the Council as the Governor may appoint for the purpose.

184(2). Riyaasati Shura ki kisi nashist me Amiir ki ghaer haaziri me Naaeb Amiir, Amiir ki haesiyat se maujuud rahenge, ya, Naaeb Amiir ki bhi ghaer haaziri ho tou, Shura ke tariqe ke qawaaid ke mutaabiq ta’ayyun kiya gaya koi shakhs Amiir ki haesiyat se maujuud rahega, ya, agar aesa koi shakhs bhi maujuud na ho tou, aesa koi aur digar shakhs jiska ta’ayyun Shura karde, Amiir ki haesiyat se maujuud rahega.
During the absence of the Chairman from any sitting of the Council the Deputy Chairman or, if he is also absent, such person as may be determined by the rules of procedure of the Council, or, if no such person is present, such other person as may be determined by the Council, shall act as Chairman.

185. Amiir ya Naaeb Amiir oos waqt sadaarat nahi kar sakte jab oonko ohde se barkhaast karne ke liye qaraardaad madde nazar ho.—
The Chairman or the Deputy Chairman not to preside while a resolution for his removal from office is under consideration.—

185(1). Jab Amiir ko oonke ohde se barkhaast karne ke liye qaraardaad madde nazar ho, tab Amiir majuud hone ke baawajuud bhi Riyaasati Shura ki kisi bhi nashist me sadaarat nahi kar sakte, aur Jab Naaeb Amiir ko oonke ohde se barkhaast karne ke liye qaraardaad madde nazar ho, tab Naaeb Amiir majuud hone ke baawajuud bhi Riyaasati Shura ki kisi bhi nashist me sadaarat nahi kar sakte, aur mazmoon 184 ke nukut (2) ke usul aesi har nashist par waesehi laagu honge jaese ye usul tab laagu hote hae jab Amiir ya Naaeb Amiir, jaesa bhi ma’amla hou, ghaer haazir hote hae.
At any sitting of the Legislative Council, while any resolution for the removal of the Chairman from his office is under consideration, the Chairman, or while any resolution for the removal of the Deputy Chairman from his office is under consideration, the Deputy Chairman, shall not, though he is present, preside, and the provisions of clause (2) of article 184 shall apply in relation to every such sitting as they apply in relation to a sitting from which the Chairman or, as the case may be, the Deputy Chairman is absent.

185(2). Jab Shura me Amiir ko oonke ohde se barkhaast karne ke liye qaraardaad madde nazar ho, tab bhi Amiir ko Riyaasati Shura me bolne ka haq hoga, aur iske alaawa Riyaasati Shura ki karwaahi me bhi hissa lene ka haq hoga, lekin, mazmoon 189 ke kisi bhi pehlu ke baawajuud, oonko aesi qaraardaad ya kaarwaahi ke dauraan kisi bhi digar ma’amle par raae dene ka kat’an koi bhi haq nahi hoga.
The Chairman shall have the right to speak in, and otherwise to take part in the proceedings of, the Legislative Council while any resolution for his removal from office is under consideration in the Council and shall, notwithstanding anything in article 189, be entitled to vote only in the first instance on such resolution or on any other matter during such proceedings but not in the case of an equality of votes.

186. Mukallim, Naaeb Mukallim, Amiir aur Naaeb Amiir, ki ujrat aur tankhwaah.—
Salaries and allowances of the Speaker and Deputy Speaker and the Chairman and Deputy Chairman.—

Riyaasati Majlis ke Mukallim aur Naaeb Mukallim ko aur Riyaasati Shura ke Amiir aur Naaeb Amiir ko, aesi ujrat aur tankhwaah ada ki jaayegi jisi oonke ohdo ke lihaaz se Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ne qaanuun ke zariye mutayyin kiya hoga, par jab tak is mutalliq koi usul nahi banaaya jaata, aesi ujrat aur tankhwaah wo hongi jo Dusri Fehrist me darj hae.
There shall be paid to the Speaker and the Deputy Speaker of the Legislative Assembly, and to the Chairman and the Deputy Chairman of the Legislative Council, such salaries and allowances as may be respectively fixed by the Legislature of the State by law and, until provision in that behalf is so made, such salaries and allowances as are specified in the Second Schedule.

187. Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ka Mehkama e Mo’tamadeen.—
Secretariat of State Legislature.—

187(1). Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ka Aewaan ya ooska har ek Aewaan ka apna alaahida amla e mo’tamadeen hoga:
The House or each House of the Legislature of a State shall have a separate secretarial staff:

Shart ye hae ke is nukut ke kisi bhi pehlu ke ye ma’ane nahi hae ke aese ohdo ka qayaam nahi kiya jaa sakta jo oos Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis jaha Riyaasati Shura hou tou oos ke dono Aewaan ke mutalliq kuck mushtaraqa ohde hou.
Provided that nothing in this clause shall, in the case of the Legislature of a State having a Legislative Council, be construed as preventing the creation of posts common to both Houses of such Legislature.

187(2). Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis qaanuun ke zariye, ooske Aewaan ya ooske dono Aewaan ke amla e mo’tamadeen me, kisi ohde par mukarrar kiye gaye shakhs ki mulaazimat ki sharaaet, aur oos amle me bharti ki nizaamat kar sakti hae.
The Legislature of a State may by law regulate the recruitment, and the conditions of service of persons appointed, to the secretarial staff of the House or Houses of the Legislature of the State.

187(3). Jab tak ke Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis nukut (2) ke tehat usul nahi bana deti, Naazim e Riyaasat, Riyaasati Majlis ke Mukallim ya Riyaasati Shura ke Amiir ke saath, jaesa bhi ma’amla ho, oonke saath mashwara karke, Riyaasati Majlis ya Riyaasati Shura ke amla e mo’tamadeen, me bharti ki nizaamat aur ooske kisi ohde par mukarrar kiye gaye shakhs ki mulaazimat ki sharaaet, in dono ma’amlaat ke mutalliq qawaaid bana sakte hae, aur aese kisi banaaye gaye qaaede ka laagu hona, zere zikr nukut ke zariye banaaye gaye qaanuun ke usul ke tehat, hoga.
Until provision is made by the Legislature of the State under clause (2), the Governor may, after consultation with the Speaker of the Legislative Assembly or the Chairman of the Legislative Council, as the case may be, make rules regulating the recruitment, and the conditions of service of persons appointed, to the secretarial staff of the Assembly or the Council, and any rules so made shall have effect subject to the provisions of any law made under the said clause.

Monday 6 November 2017

The States (Articles 168-177) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 168-177)



Hissa VI
Part VI 



Riyaasaat
The States



Baab III.—Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis
Chapter III.—The State Legislature 


Aam Mauzu
General


168. Riyaasaat me Riyaasaati Qaanuun-saaz Majaalis ke qayaam.—
Constitution of Legislatures in States.—

168(1). Har ek Riyaasat ke liye ek ek Riyaasati Qaanuun-saaz Majlis hogi jo Naazim e Riyaasat aur darje zeel par mushtamil hogi—
For every State there shall be a Legislature which shall consist of the Governor, and—

168(1a). Aandhra Pradesh, Bihaar, 1[Madhya Pradesh], Maharaashtra, Karnaataka, 2[Tamil Naadu] aur Uttar Pradesh in Riyaasaat me do Aewaan par;
in the States of Andhra Pradesh, Bihar, 1[Madhya Pradesh], Maharashtra, Karnataka, 2[Tamil Nadu] and Uttar Pradesh, two Houses;

Ittela e zer 1. 1956 ke Aaini Qaaede (Saatwi Tarmeem) ke juz 8(2) ke tehet alfaaz “Madhya Pradesh” ki is zere-nukut me shumuliyat ki taarikh mukarrar nahi ki gayi hae.
Footnote 1. No date has been appointed under s. 8(2) of the Constitution (Seventh Amendment) Act, 1956, for the insertion of the words “Madhya Pradesh” in this sub-clause.

Ittela e zer 2. 2010 ke Qaaede 16, juz 3 ke tehet shaamil kiya gaya hae (Taarikh mukarrar nahi ki gayi hae).
Footnote 2. Ins. by Act 16 of 2010, s. 3 (Date yet to be notified).

168(1b). digar Riyaasaat me ek Aewaan par.
in other States, one House.

168(2). Jin Riyaasat me Riyaasaati Qaanuun-saaz Majlis ke do Aewaan hae, waha ek Aewaan Riyaasati Shura aur dusra Riyaasati Majlis ke naam se jaane jaayenge, aur jin Riyaasat me mehez ek Aewaan hae, wo Riyaasati Majlis ke naam se jaana jaayega.
Where there are two Houses of the Legislature of a State, one shall be known as the Legislative Council and the other as the Legislative Assembly, and where there is only one House, it shall be known as the Legislative Assembly.

169. Riyaasaat me Riyaasaati Shura ka qayaam kiya jaana ya oonhe khatm kiya jaana.—
Abolition or creation of Legislative Councils in States.—

169(1). Mazmoon 168 ke kisi bhi pehlu ke baawajood, Qaumi Majlis qaanuun ke zariye jis Riyaasat me Riyaasati Shura ho oose khatm karne ka intezaam kar sakti hae ya jis Riyaasat me Riyaasati Shura na ho waha oose qaayam karne ka intezaam kar sakti hae, agar oos Riyaasat ki Riyaasati Majlis ooski rukniyat ki kul ta’adaad ki aksariyat ke saath is mutalliq ek qaraardaad manzuur kare aur Riyaasati Majlis ooske haazir aur raae dene ko tayyaar araakeen ki kam az kam do-tihaayi aksariyat ke saath oose manzuur kare de tou.
Notwithstanding anything in article 168, Parliament may by law provide for the abolition of the Legislative Council of a State having such a Council or for the creation of such a Council in a State having no such Council, if the Legislative Assembly of the State passes a resolution to that effect by a majority of the total membership of the Assembly and by a majority of not less than two-thirds of the members of the Assembly present and voting.

169(2). Koi bhi qaanun jiska zikr nukut (1) me kiya gaya hae usme aese usul shaamil honge jo is Aain ki tarmiin ke mutalliq honge taake zarurat ke mutaabiq qaanuun ke usul ko laagu kara sake aur aese usul bhi shaamil ho sakte hae jo zaaid, fauri aur nataaiji usul par mubani ho jaesa bhi Qaumi Majlis ko munaasib lage.
Any law referred to in clause (1) shall contain such provisions for the amendment of this Constitution as may be necessary to give effect to the provisions of the law and may also contain such supplemental, incidental and consequential provisions as Parliament may deem necessary.

169(3). Koi bhi qaanuun jiska iske pehle zikr kiya gaya hae oose mazmoon 368 ki garaz se tarmiim e Aain nahi maana jaa sakta.
No such law as aforesaid shall be deemed to be an amendment of this Constitution for the purposes of article 368.

170. Riyaasaati Majaalis ki banaawat.—
Composition of the Legislative Assemblies.—

170(1). Mazmoon 333 ke usul ke mutaabiq, Riyaasati Majlis ke araakeen ki ta’adaad me paanch sau se zaaid araakeen aur saathh se kam araakeen shaamil nahi honge, araakeen wo honge jinhe Riyaasat ke intekhaabi halqou se bila-waasta intekhaab ke zariye chuna gaya ho.
Subject to the provisions of article 333, the Legislative Assembly of each State shall consist of not more than five hundred, and not less than sixty, members chosen by direct election from territorial constituencies in the State.

170(2). Nukut (1) ke maqaasaid ke tehat, har ek Riyasat ko is tariqe se intekhaabi halqou me taqsiim kiya jaaye ga ke har ek intekhaabi halqe ki aabaadi aur oos halqe ke ata karda maqaamaat ke adad ka jo tanaassub hoga, wo tanaassub tamaam Riyaasat me, amali aetebaar se, yaksa hoga.
For the purposes of clause (1), each State shall be divided into territorial constituencies in such manner that the ratio between the population of each constituency and the number of seats allotted to it shall, so far as practicable, be the same throughout the State.

Wazaahat.— Is nukut ke tehat, “aabaadi” se muraad oos darj shuda abaadi ke honge jo pichhli aakhri mardam shumaari ke dauraan haasil kiye gaaye the jiske munaasib aakde shaae kar diye gaye hae:
Explanation.—In this clause, the expression “population” means the population as ascertained at the last preceding census of which the relevant figures have been published:

Shart ye hae ke is Wazaahat ke hawaale me jab tak ke saal 2026 ke baad jo pehli mardam shumaari hogi uske munaasib aakde shaaye nahi kar diye jaate , tab tak pichhli aakhri mardam shumaari jiske mutalliq munaasib aakde shaae kiye jaa chuke hou se muraad 2001 ki mardam shumaari maani jaayegi.
Provided that the reference in this Explanation to the last preceding census of which the relevant figures have been published shall, until the relevant figures for the first census taken after the year 2026 have been published, be construed as a reference to the 2001 census.

170(3). Har mardam shumaari ke mukammal ho jaane ke baad, har ek Riyaasat ki Riyaasati Majlis ke maqaamaat ka ta’ayyun aur har ek Riyaasat ke intekhaabi halquo ki taqseem, in dono ki kisi tarteeb e nau kisi aese mehkame aur aese tariiqe se karaayi jaayegi jinhe Qaumi Majlis qaanuun ke zariye ta’e karegi:
Upon the completion of each census, the total number of seats in the Legislative Assembly of each State and the division of each State into territorial constituencies shall be readjusted by such authority and in such manner as Parliament may by law determine:

Shart ye hae ke Riyaasati Majlis me numaaindagi par aesi tarteeb e nau tab tak koi asar nahi daalegi jab tak ke maujuda Majlis ka ikhtetaam nahi ho jaata:
Provided that such readjustment shall not affect representation in the Legislative Assembly until the dissolution of the then existing Assembly:

Mazid Shart ye hae ke aesi tarteeb e nau oos taarikh se laagu hogi, jise Sadar e Jamhuriya ne oonke hukm ke zariye waazae kiya hua ho aur jab tak aesi tarteebe nau laagu nahi ho jaati, Riyaasati Majlis ke mutalliq kisi intekhaab ko aesi tarteeb e nau se qabl jo intekhaabi halqe maujuud the oonke mutalliq karaaye jaa sakte hae:
Provided further that such readjustment shall take effect from such date as the President may, by order, specify and until such readjustment takes effect, any election to the Legislative Assembly may be held on the basis of the territorial constituencies existing before such readjustment:

Shart ye bhi hae ke jab tak saal 2026 ke baad jo pehli mardam shumaari ki jaayegi aur jab tak ooske munaasib aakde shaae nahi kar diye jaate, tab tak darje zeel tarteeb ki tarteeb e nau ki zarurat nahi hogi—
Provided also that until the relevant figures for the first census taken after the year 2026 have been published, it shall not be necessary to readjust—

170(3-i). 1971 ki mardam shumaari ki bina par har ek Riyaasat ki Riyaasati Majlis me maqaamaat ke ta’ayyun ki jo tarteeb ki gayi thi; aur
the total number of seats in the Legislative Assembly of each State as readjusted on the basis of the 1971 census; and

170(3-ii). is nukut ke tehat, 2001 ki mardam shumaari ki bina par har ek Riyaasat ki intekhaabi halqou me jo taqsiim ki jaayegi.
the division of such State into territorial constituencies as may be readjusted on the basis of the 2001 census, under this clause.

171. Riyaasaati Shura ki banaawat.—
Composition of the Legislative Councils.—

171(1). Kisi Riyaasat me jaha Riyaasati Shura ho waha Riyaasati Shura ke araakeen ki kul ta’adaad waha ki Riyaasati Majlis ke araakeen ki kul ta’adaad ki ek-tihaayi se zaaid nahi ho sakti:
The total number of members in the Legislative Council of a State having such a Council shall not exceed one third of the total number of members in the Legislative Assembly of that State:

Shart ye hae ke Riyaasati Shura ke araakeen ki kul ta’adaad kisi bhi surat e haal me chaalis se kam nahi ho sakti.
Provided that the total number of members in the Legislative Council of a State shall in no case be less than forty.

171(2). Jab tak ke Qaumi Majlis qaanuun ke zariye isse hat kar koi digar usul qaayam nahi karti tab tak, kisi Riyaasat ke Riyaasati Shura ki banaawat ke usul nukut (3) me waazae honge.
Until Parliament by law otherwise provides, the composition of the Legislative Council of a State shall be as provided in clause (3).

171(3). Kisi Riyaasat ke Riyaasati Shura ke araakeen ki kul ta’adaad me se—
Of the total number of members of the Legislative Council of a State—

171(3a). ek-tihaayi, ke jitna nazdiik ho sake, ootnou ko wo intekhaabi ijma muntakhib karega jisme Riyaasat ki baldiyaat, ooske zila mehkame aur aese digar ilaaqaayi mehkame jaese ke Qaumi Majlis ne qaanuun ke zariye waazae kiye honge in ke araakeen shaamil honge;
as nearly as may be, one-third shall be elected by electorates consisting of members of municipalities, district boards and such other local authorities in the State as Parliament may by law specify;

171(3b). ek-baarwe, ke jitna nazdiik ho sake, ootnou ko wo intekhaabi ijma muntakhib karega jisme aese afraad shaamil honge jo Riyaasat ke rihaayishi hou aur kam az kam tiin saalou se sarzamiin e Hind ki kisi bhi Jaamia se faazil hou, ya kam az kam tiin saalou se aesi ta’alim rakhte hou jise Qaumi Majlis ke banaaye gaye kisi qaanuun ke zariye ya ooske tehat aesi kisi Jaamia ke faazil hone ke baraabar mutayyin kiya gaya ho;
as nearly as may be, one-twelfth shall be elected by electorates consisting of persons residing in the State who have been for at least three years graduates of any university in the territory of India or have been for at least three years in possession of qualifications prescribed by or under any law made by Parliament as equivalent to that of a graduate of any such university;

171(3c). ek-baarwe, ke jitna nazdiik ho sake, ootnou ko wo intekhaabi ijma muntakhib karega jisme aese afraad shaamil honge jo kam az kam tiin saalou se Riyaasat ke ta’alimi idaarou me, jo dusre mayaar ke madrase ke (iskooli) darjaat se kam na hou, oonme padh’ha rahe hou, jaesa ke mumkina taur par Qaumi Majlis ke banaaye gaye kisi qaanuun ke zariye ya ooske tehat mutayyin kiya gaya ho;
as nearly as may be, one-twelfth shall be elected by electorates consisting of persons who have been for at least three years engaged in teaching in such educational institutions within the State, not lower in standard than that of a secondary school, as may be prescribed by or under any law made by Parliament;

171(3d). ek-tihaayi, ke jitna nazdiik ho sake, ootnou ko Riyaasati Majlis ke araakeen muntakhib karenge, jinho muntakhib kiya jaayega wo Riyaasati Majlis ke araakeen nahi ho sakte;
as nearly as may be, one-third shall be elected by the members of the Legislative Assembly of the State from amongst persons who are not members of the Assembly;

171(3e). Baqia ko Naazim e Riyaasat nukut (5) ke usul ke mutaabiq mukarrar karenge.
the remainder shall be nominated by the Governor in accordance with the provisions of clause (5).

171(4). Zere-Nukut (a), (b) aur (c) ke tehet jin araakeen ko chuna jaana hoga oonhe aese intekhaabi halqaou se chuna jaayega jinhe mumkina taur par Qaumi Majlis ke banaaye gaye kisi qaanuun ke zariye ya ooske tehet mutayyin kiya gaya hoga, aur zikr kiye nukut ke zikr kiye gaye tamaam zere-nukut ke tehet aur zere-nukut (d) ke tehet intekhaab tanaassubi numaaindagi ke nizaam ke mutaabiq waahid muntaqli raae ke zariye karaaye jaayenge.
The members to be elected under sub-clauses (a), (b) and (c) of clause (3) shall be chosen in such territorial constituencies as may be prescribed by or under any law made by Parliament, and the elections under the said sub-clauses and under sub-clause (d) of the said clause shall be held in accordance with the system of proportional representation by means of the single transferable vote.

171(5). Nukut (3) ke zere-nukut (e) ke tehat, Naazim e Riyaasat ke zariye jin araakeen ko muqarrar kiya jaana hae wo aese ashkhaas honge jo in sho’baat maslan:— Adab, science, fan, ta’auni tehriik aur ma’ashri khidmat me makhsus ilm ya amali tajurba rakhte hae.
The members to be nominated by the Governor under sub-clause (e) of clause (3) shall consist of persons having special knowledge or practical experience in respect of such matters as the following, namely:— Literature, science, art, co-operative movement and social service.

172. Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ki muddat.—
Duration of State Legislatures.—

172(1). Har ek Riyaasat ki Riyaasati Majlis ka, agar muddat poori hone ke pehle hi ikhtetaam nahi kar diya gaya ho tou, ooski pehli nashist ki taarikh se lekar agle paanch saal ki muddat tak barkaraar rahegi lekin oosse zyaada nahi, aur paanch saal ki muddat poori hone ka matlab hoga maujuda Riyaasati Majlis ka ikhtetaam:
Every Legislative Assembly of every State, unless sooner dissolved, shall continue for five years from the date appointed for its first meeting and no longer and the expiration of the said period of five years shall operate as a dissolution of the Assembly:

Shart ye hae ke, agar Naagahaani Haalaat ka Aelaan naafiz hae tou, Qaumi Majlis ke zariye ek waqt me Aewaan e Awaam ki ek saal muddat badhaayi jaa sakti hae, par kisi bhi ma’amle me Naagahaani Haalaat ka Aelaan ki nafaazat ke hata liye jaane ke baad, Aewaan e Awaam ki muddat chhe maah se zyaada nahi reh sakti.
Provided that the said period may, while a Proclamation of Emergency is in operation, be extended by Parliament by law for a period not exceeding one year at a time and not extending in any case beyond a period of six months after the Proclamation has ceased to operate.

172(2). Kisi bhi Riyaasat ke Riyaasati Shura ka ikhtetaam nahi ho sakta, lekin, is mutalliq Qaumi Majlis ke banaaye gaye qaanuun ke usul ke mutaabiq, jis had tak mumkim ho sake iske ek-tihaayi araakeen ko oonke do saal ki muddat mukammil ho jaane par maazul kar diya jaaye.
The Legislative Council of a State shall not be subject to dissolution, but as nearly as possible one-third of the members thereof shall retire as soon as may be on the expiration of every second year in accordance with the provisions made in that behalf by Parliament by law.

173. Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ki rukniyat ki aehliyat.—
Qualification for membership of the State Legislature.—

Koi shakhs kisi Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke kisi maqaam ko bharne ke liye aehl tab hi ho sakta jab wo—
A person shall not be qualified to be chosen to fill a seat in the Legislature of a State unless he—

173(a). Hind ka shehri hou, aur jab oosne Intekhaabi Wafaz ki bina par ikhteyaar diye gaye kisi shakhs ke saamne halaf li ho ya aehad kiya ho, oos tehriir ke mutaabiq jo is maqsad ke liye Tisri Fehrist me darj hae;
is a citizen of India, and makes and subscribes before some person authorised in that behalf by the Election Commission an oath or affirmation according to the form set out for the purpose in the Third Schedule;

173(b). Riyaasati Majlis me maqaam ke ma’amle pachchiis saal ki umar se kam na hou, aur Riyaasati Shura me maqaam ke ma’amle me paitiis saal ki umar se kam na hou; aur
is, in the case of a seat in the Legislative Assembly, not less than twenty-five years of age and, in the case of a seat in the Legislative Council, not less than thirty years of age; and

173(c). aesi digar aehliyaat rakhta hou jaesa ke is mutalliq Qaumi Majlis ne waazae kiya ho ya Qaumi Majlis ke banaaye gaye kisi qaanuun me wazaae hou.
possesses such other qualifications as may be prescribed in that behalf by or under any law made by Parliament.

174. Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke ijlaas, oonka multawi kiya jaana aur oonka ikhtetaam kiya jaana.—
Sessions of the State Legislature, prorogation and dissolution.—

174(1). Naazim e Riyaasat waqt ba waqt, jaesa oonhe munaasib lage waese waqt aur maqaam par, Riyaasati Majlis ko ya Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke dono Aewaan ko nashist ke liye talab kar sakte hae, lekin pichle ijlaas ki akhri nashist aur agle ijlaas ki pehli nashist ki mukarrar ki gayi taarikh ke darmeyaan chhe maah se zyaada ka waqfa nahi hona chahiye.
The Governor shall from time to time summon the House or each House of the Legislature of the State to meet at such time and place as he thinks fit, but six months shall not intervene between its last sitting in one session and the date appointed for its first sitting in the next session.

174(2). Naazim e Riyaasat waqt ba waqt—
The Governor may from time to time—

174(2a). Dono Aewaan ya ek Aewaan ke ijlaas ko Multawi kar sakte hae;
prorogue the House or either House;

174(2b). Riyaasati Majlis ka ikhtetaam kar sakte hae.
dissolve the Legislative Assembly.

175. Naazim e Riyaasat ek ya ka dono Aewaan ko khitaab karne ka aur oonke paighaamaat bhejne ka haq.—
Right of Governor to address and send messages to the House or Houses.—

175(1). Naazim e Riyaasat Riyaasati Majlis ko, aur aese ma’amle me jab Riyaasat me Riyaasati Shura bhi ho tou, oos Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke kisi bhi Aewaan ya ek-saath Majmua Aewaan ko khitaab kar sakte hae, aur oos maqsad ke tehat araakeen ki haaziri zaruri hogi.
The Governor may address the Legislative Assembly or, in the case of a State having a Legislative Council, either House of the Legislature of the State, or both Houses assembled together, and may for that purpose require the attendance of members.

175(2). Naazim e Riyaasat Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke ek ya dono Aewaan ko paighaamaat bhej sakte hae, chaahe koi tajwiiz ke mutalliq paighaam ho jo Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis me muntazir rakhi hui hou ya koi digar ma’amle ke mutalliq paighaam ho, aur jis Aewaan me aesa koi paighaam bheja gaya hae, tou jis ma’amle ke mutalliq wo paighaam ho, wo Aewaan oospar munaasib jaldi ke tehat ghaur o fikr karega.
The Governor may send messages to the House or Houses of the Legislature of the State, whether with respect to a Bill then pending in the Legislature or otherwise, and a House to which any message is so sent shall with all convenient despatch consider any matter required by the message to be taken into consideration.

176. Naazim e Riyaasat ka makhsuus khitaab.—
Special address by the Governor.—

176(1). Har aam intekhaab ke baad Riyaasati Majlis ke pehle Ijlaas ki shuruwaat me Naazim e Riyaasat Riyaasati Majlis se khitaab karenge aur har saal ke pehle ijlaas ki shuruwaat me Naazim e Riyaasat Riyaasati Majlis aur jis Riyaasat me Riyaasati Shura bhi ho tou oos ke ek-saath Majmua Aewaan se khitaab karenge aur Riyaasat ki Qaanun-saaz Majlis ko oske talab kiye jaane ki wajuhaat ki ittela denge.
At the commencement of the first session after each general election to the Legislative Assembly and at the commencement of the first session of each year, the Governor shall address the Legislative Assembly or, in the case of a State having a Legislative Council, both Houses assembled together and inform the Legislature of the causes of its summons.

176(2). Aewaan ya dono hi Aewaan ke tariqe ki nizaamat karte qaaide ke zariye usul banaaye jaane honge taake jin ma’amlaat ka zikr aese khitaab me uthaaya gaya ho, oonpar Aewaan ya kisi bhi Aewaan me behas karaaye jaane ke liye waqt ke ta’ayyunho sake.
Provision shall be made by the rules regulating the procedure of the House or either House for the allotment of time for discussion of the matters referred to in such address.

177. Dono Aewaan ke mutalliq Wazara aur Riyaasati Wakil ke haquq.—
Rights of Ministers and Advocate-General as respects the Houses.—

Har ek Wazir ko aur Riyaasat ke Riyaasati Wakil ko kisi bhi Riyaasati Majlis me ya, jis Riyaasat me Riyaasati Shura bhi hou tou, donohi Aewaan me, Majmua Aewaan ki kisi bhi nashist me, aur Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke kisi Wafaz me jisme onhe ek rukn ki haesiyat se naam-zad kiya gaya ho, inme bolne ka haq hoga, aur iske alawaa inki kaarwaahi me hissa lene ka haq hoga, lekin is mazmoon ki bina par raae dene ka haq nahi hoga.
Every Minister and the Advocate-General for a State shall have the right to speak in, and otherwise to take part in the proceedings of, the Legislative Assembly of the State or, in the case of a State having a Legislative Council, both Houses, and to speak in, and otherwise to take part in the proceedings of, any committee of the Legislature of which he may be named a member, but shall not, by virtue of this article, be entitled to vote.