Thursday 24 August 2017

Fundamental Rights (Articles 19-22) in India (Urdu)

Buniyaadi Haquq e Hind (Mazaameen 19-22)



Hissa III
Part III



Buniyaadi Haquq
Fundamental Rights



Haqq e Aazaadi
Right to Freedom



19. Aazaadi e bayaan waghaera ke mutalliq ba'az haquq ka tahaffuz
Protection of certain rights regarding freedom of speech, etc

19(1). Har shehri ko haq hoga-
All citizens shall have the right—

19(1a) bayaan aur izhaar ki azaadi ka;
to freedom of speech and expression;

19(1b). pur aman aur aslahou ke baghaer ijmaa karne ka;
to assemble peaceably and without arms;

19(1c). tanziim ya ittehaad ya ta’auni jamaat ko qaayam karne ka; 
to form associations or unions or co-operative societies;

19(1d). Sarzamiin e Hind me kahi bhi azaadana taur par aane jaane ka;
to move freely throughout the territory of India;

19(1e). Sarzamiin e Hind ke kisi bhi ilaaqe me rihaayish ka aur muqiim hone ka; aur
to reside and settle in any part of the territory of India; and

19(1f). tark shuda
omitted

19(1g). Kisi bhi peshe ka amal, ya koi bhi kaam-kaaj, tijaarat ya karobaar karne ka.

to practise any profession, or to carry on any occupation, trade or business.

19(2). Nukut (1) ke Zere Nukut (a) ka koi bhi pehlu, Hind ki khud-mukhtaari aur saalmiyat, Mulk ki hifaazat, dighar Mumaalik se dostaana ta’alluqaat, awaami nizaam, sharaafat ya qirdaar, ya tauhin e adaalat ke mutalliq, badnaami ya kisi jurm ko uksaae jaane ke mutalliq, in maqaasid ke mutalliq bataaegaye zere-nuqut se ata kiye gaye haq ke hasul par, qanuunan jis had tak munaasib sharaaet lagu ki jaati ho, aese kisi maujuda qaanun ke amal par asar nahi karta, naahi Sarkaar ko kisi qism ki qanuun-saazi se rokta sakta hae.
Nothing in sub-clause (a) of clause (1) shall affect the operation of any existing law, or prevent the State from making any law, in so far as such law imposes reasonable restrictions on the exercise of the right conferred by the said sub-clause in the interests of the sovereignty and integrity of India, the security of the State, friendly relations with foreign States, public order, decency or morality, or in relation to contempt of court, defamation or incitement to an offence.

19(3). Bataaegaye nukut ke zere nukut (b) ka koi bhi pehlu, Hind ki khud-mukhtaari aur saalmiyat ya awaami nizaam, in maqaasid ke mutalliq, qanuunan jis had tak munaasib sharaaet bataaegaye zere-nuqut se ata kiye gaye haq ke hasul par lagu ki jaati ho, aese kisi maujuda qaanun ke amal par asar nahi karta, naahi Sarkaar ko aese kisi qism ki qanuun-saazi se rokta sakta hae. 
Nothing in sub-clause (b) of the said clause shall affect the operation of any existing law in so far as it imposes, or prevent the State from making any law imposing, in the interests of the sovereignty and integrity of India or public order, reasonable restrictions on the exercise of the right conferred by the said sub-clause.

19(4). Bataaegaye nukut ke zere nukut (c) ka koi bhi pehlu, Hind ki khud-mukhtaari aur saalmiyat ya awaami nizaam ya qirdaar, in maqaasid ke mutalliq, qanuunan jis had tak munaasib sharaaet bataaegaye zere-nuqut se ata kiye gaye haq ke hasul par lagu ki jaati ho, aese kisi maujuda qaanun ke amal par asar nahi karta, naahi Sarkaar ko aesi kisi qism ki qanuun-saazi se rok sakta hae.
Nothing in sub-clause (c) of the said clause shall affect the operation of any existing law in so far as it imposes, or prevent the State from making any law imposing, in the interests of the sovereignty and integrity of India or public order or morality, reasonable restrictions on the exercise of the right conferred by the said sub-clause.

19(5). Bataaegaye nukut ke zere nukut (d) aur (e) ka koi bhi pehlu, aam awaam ke ya Zere-fehrist Qabile ke tahaffuz ke, in maqaasid ke mutalliq, qanuunan jis had tak munaasib sharaaet bataaegaye zere-nuqut se ata kiye gaye haq ke hasul par lagu ki jaati ho, aese kisi maujuda qaanun ke amal par asar nahi karta, naahi Sarkaar ko aese kisi qism ki qanuun-saazi se rokta sakta hae.
Nothing in sub-clauses (d) and (e) of the said clause shall affect the operation of any existing law in so far as it imposes, or prevent the State from making any law imposing, reasonable restrictions on the exercise of any of the rights conferred by the said sub-clauses either in the interests of the general public or for the protection of the interests of any Scheduled Tribe.

19(6). Bataaegaye nukut ke zere nukut (g) ka koi bhi pehlu, aam awaam ke, ke maqaasid ke mutalliq, qanuunan jis had tak munaasib sharaaet bataaegaye zere-nuqut se ata kiye gaye haq ke hasul par lagu ki jaati ho, aese kisi maujuda qaanun ke amal par asar nahi karta, naahi Sarkaar ko aesi kisi qism ki qanuun-saazi se rok sakta hae, aur, khaas taur par, Bataaegaye zere nukut ka koi bhi pehlu, jis had tak munaasib ho aese kisi maujuda qaanun ke amal par asar nahi karta, naahi Sarkaar ko darje zeel mutalliq aesi kisi qism ki qanuun-saazi se rok sakta hae, -
Nothing in sub-clause (g) of the said clause shall affect the operation of any existing law in so far as it imposes, or prevent the State from making any law imposing, in the interests of the general public, reasonable restrictions on the exercise of the right conferred by the said sub-clause, and, in particular, nothing in the said sub-clause shall affect the operation of any existing law in so far as it relates to, or prevent the State from making any law relating to,—

19(6-i) kisi peshe ya kisi qism ka kaam-kaaj, tijaarat ya kaarobaar ke amal karne ke liye zaruri peshe-war ya takniki ta’alimaat, ya

the professional or technical qualifications necessary for practising any profession or carrying on any occupation, trade or business, or

19(6-ii) Sarkar ke zariye, ya kisi sharaakat-daari jiski Sarkaar maalik ho ya oski haakim ho, aesi kisi tijaarat, kaarobaar, san’at ya khidmat, chaahe sheheriou ko, mukammal ya juzwi taur par tarq karke ya phir kuch digar ho.
the carrying on by the State, or by a corporation owned or controlled by the State, of any trade, business, industry or service, whether to the exclusion, complete or partial, of citizens or otherwise.

20. Jaraaim ki saza ke mutalliq tahaffuz-
Protection in respect of conviction for offences-

20(1). Kisi bhi shaks ko kisi jurm ka mujrim nahi thehraaya jaa sakta siwaaye tab jab kiye gaye amal par jurm naafez kiya gaya ho jo us waqt ke maujuda qaanun ki khilaaf-warzi ho, uspar us waqt jab jurm hua aur jitna tab jurmaana aaid kiya jaata ho us jurmaane se zyaada jurmaana aaid nahi kiya sakta hae.
No person shall be convicted of any offence except for violation of a law in force at the time of the commission of the act charged as an offence, nor be subjected to a penalty greater than that which might have been inflicted under the law in force at the time of the commission of the offence.

20(2). Kisi bhi shaks par ek jurm ke liye ek se zyaada baar muqaddama nahi chalaaya jaa sakta naahi saza di ja sakti hae.
No person shall be prosecuted and punished for the same offence more than once.

20(3). Kisi bhi shaks ko kisi jurm ke liye usi par lage ilzaam me usi ko usi ke khilaaf gawaah banne ke liye majboor nahi kiya jaa sakta.
No person accused of any offence shall be compelled to be a witness against himself.

21. Hifaazat e zindagi aur niji aazaadi-
Protection of life and personal liberty-

Qaanun ke mutaabiq tae shuda tariqe ke siwaaye kisi bhi shaks ko zindagi ya niji aazaadi se mehruum nahi kiya jaa sakta.
No person shall be deprived of his life or personal liberty except according to procedure established by law.

21A. Haqq e Ta'alim-
Right to education-

Sarkaar chhe se chaudaah saal ki umr ke tamaam bachchou ko muft aur laazmi ta’alim faraham karegi, us andaaz me jaesa ke Sarkaar, qanunan, taye karegi.
The State shall provide free and compulsory education to all children of the age of six to fourteen years in such manner as the State may, by law, determine.

22. Ba'az maamlaat me giraftaari aur qaed ke mukhaalif tahaffuz-
Protection against arrest and detention in certain cases-

22(1). Kisi bhi shaks ko, baghaer ye ittela diye ke oose kis bina par giratftaar kiya gaya hae hiraasat me nahi rakha jaa sakta, it'tela jald az jald deni hogi, naahi oose apni marzi ke wakil se mashwara karne se, ya ooska muwakkil banne se mahruum kiya jaa sake ga.
No person who is arrested shall be detained in custody without being informed, as soon as may be, of the grounds for such arrest nor shall he be denied the right to consult, and to be defended by, a legal practitioner of his choice.

22(2). Har wo shakhs jise giraftaar kiya gaya ho aur hiraasat me rakha gaya ho oose sabse nazdiki haakim ki adaalat me chaubis ghantou ke andar pesh kiya jaana hoga, giraftaari ke maqaam se lekar haakim ki adaalat tak pohochne me lagne waale waqt ko haata kar, aur kisi bhi shaks ko is waqfe se zyaada haakim ki ijaazat ke baghaer hiraasat me nahi rakha ja sakta.
Every person who is arrested and detained in custody shall be produced before the nearest magistrate within a period of twenty-four hours of such arrest excluding the time necessary for the journey from the place of arrest to the court of the magistrate and no such person shall be detained in custody beyond the said period without the authority of a magistrate.

22(3). Nukut (1) aur (2) ka koi bhi pehlu in par laagu nahi hoga-
Nothing in clauses (1) and (2) shall apply—

22(3a). aesa koi shaks jo us waqt ghaer mulki dushman ho; ya
to any person who for the time being is an enemy alien; or

22(3b). aesa koi shakhs jise ahtiyaatan hiraasat me liye jaane ke kisi qaanun ke tehat giraftaar kiya gaya ho ya hiraasat me liya gaya ho.
to any person who is arrested or detained under any law providing for preventive detention.

22(4). Ahtiyaatan hiraasat ka koi bhi qaanun hiraasat me liye gaye kisi bhi shaks ko tiin mahinou se zyaada hiraasat me rakhne ki ijaazat nahi deta, jab tak ke-
No law providing for preventive detention shall authorise the detention of a person for a longer period than three months unless—

22(4a). koi Mashwaraati Shura jisme aese ashkhaas shaamil ho jo kisi Adaalat e Aaliya ke maujuda, ya saabik Qazaat ho, ya is qaabil ho ke unhe kisi Adaalat e Aaliye ke Qaazi ke ohde par muqarrar kiya ja sakta ho, unke bataaegaye waqfe ke khatm hone se qabl ye ta'e kiya ho ke unki raay me is hiraasat ki kaafi wajuhaat hae: 
an Advisory Board consisting of persons who are, or have been, or are qualified to be appointed as, Judges of a High Court has reported before the expiration of the said period of three months that there is in its opinion sufficient cause for such detention:

Par shart ye ho ke is zere-nukut ka koi bhi pehlu, Qaumi Majlis ka koi bhi qanuun jise nukut (7) ke zere-nukut (b) ke tehat banaaya gaya ho aur uske mutaabiq ta'e kiye huwe zyaada se zyaada waqfe se aage kisi bhi shaks ko hiraasat me rakhne ki ijaazat nahi de sakta; ya
Provided that nothing in this sub-clause shall authorise the detention of any person beyond the maximum period prescribed by any law made by Parliament under sub-clause (b) of clause (7); or

22(4b). aese shaks ko Qaumi Majlis ke, nukut (7) ke zere-nukut (a) aur (b) ke tehat, banaaye gaye kisi qaanuun ke hudud ki bina par hiraasat me rakha gaya ho.
such person is detained in accordance with the provisions of any law made by Parliament under subclauses (a) and (b) of clause (7).

22(5). Jab kisi shakhs ko ahtiyaatan giraftaari ke mutalliq kisi qaanuun ke zer diye gaye hukm ke tehat hiraasat me liya jaaye tou, jo mehkama us hukm ki ta'amil kar raha ho, jald az jald, aese shaks ko ittella faraaham kare ke oose jis hukm ke tehat hiraasat me liya gaya hae kin bina par mushtamil hae aur jald az jald oose hukm ke khilaaf paerawi qaayam karne ka mauqa faraaham kare.
When any person is detained in pursuance of an order made under any law providing for preventive detention, the authority making the order shall, as soon as may be, communicate to such person the grounds on which the order has been made and shall afford him the earliest opportunity of making a representation against the order.

22(6) Nukut (5) ka koi bhi pehlu oos mehkame par jo aese kisi hukm jiska zikr oos nukut me kiya gaya hae oske haqaaiq ko zaahir karna laazim nahi karta tab jab ke wo mehkama aesa karna awaami behtari ke bas aks samajhta hou.
Nothing in clause (5) shall require the authority making any such order as is referred to in that clause to disclose facts which such authority considers to be against the public interest to disclose.

22(7). Qaumi Majlis qaanunan ta'e kar sakti hae-
Parliament may by law prescribe—

22(7a). oon haalaat ko jinke tehat, aur oon qism ya iqsaam ke ma'amlaat jinke tehat, nukut (4) ke zere-nukut (a) ke hudud ke mutaabiq kisi Mashwaraati Shura ki raay haasil kiye baghaer kisi shaks ko tiin mahinou se zyaada hiraasat me rakha jaaye ahtiyaatan giraftari ke mutalliq kisi qaanuun ke tehat;
the circumstances under which, and the class or classes of cases in which, a person may be detained for a period longer than three months under any law providing for preventive detention without obtaining the opinion of an Advisory Board in accordance with the provisions of sub-clause (a) of clause (4);

22(7b). ke chaahe kisi bhi qism ya iqsaam ke mutalliq ma'amla ho, ahtiyaatan giraftaari ke kisi qaanuun ke tehat zyaada se zyaada kitne tawil arse tak kisi shaks ko hiraasat me rakha ja sakta hae; aur
the maximum period for which any person may in any class or classes of cases be detained under any law providing for preventive detention; and

22(7c). nukut (4) ke zere-nukut (a) ke tehat kisi tehqiiq me koi Mashwaraati Shura kis tariqe par amal kare.
the procedure to be followed by an Advisory Board in an inquiry under sub-clause (a) of clause (4).








No comments:

Post a Comment