Monday 24 June 2019

Elections (Articles 324-329A) in India (Urdu)

Hind ke Intekhaabaat (Mazaameen 324-329A)



Hissa XV
Part XV



Intekhaabaat
Elections


324. Intekhaab ke mutalliq sarparasti, hidaayat saazi aur ikhteyaar Wafaz e Intekhaab ke paas honge. —
Superintendence, direction and control of elections to be vested in an Election Commission.—

324(1). Is Aain ke tehet Qaumi Majlis aur har ek Riyaasat ki Qaanun-saaz Majlis ke mutalliq tamaam intekhaabaat karaane ke, iske saath hi Sadar e Jamhuriya aur Naib- Sadar e Jamhuriya ke ohdou ke intekhaabaat karaane ke aur in intekhaabaat se mutalliqa tamam fehrist ko tayyaar karne ke mutalliq sarparasti, hidaayat-saazi aur ikhteyaar ek Ikhteyaari Wafaz ki hogi (jise is Aain me Wafaz e Intekhaab kaha jaayega)
The superintendence, direction and control of the preparation of the electoral rolls for, and the conduct of, all elections to Parliament and to the Legislature of every State and of elections to the offices of President and Vice-President held under this Constitution shall be vested in a Commission (referred to in this Constitution as the Election Commission).


324(2). Wafaz e Intekhaab me Aala Naazim e Intekhaab aur darje zeel shart ke saath digar Naazimeen e Intekhaab shaamil honge, shart ye hae ke digar Naazimeen e Intekhaab aese honge jinhe waqt ba waqt agar Sadar e Jamhuriya mut’ayyin kar de, aur Qaumi Majlis me banaaye gaye mutalliqa qaanuun ke usul ke mutaabiq Sadar e Jahmuriya Aala Naazime e Intekhaab aur digar Naazimeen e Intekhaab ko muqarrar karenge.
The Election Commission shall consist of the Chief Election Commissioner and such number of other Election Commissioners, if any, as the President may from time to time fix and the appointment of the Chief Election Commissioner and other Election Commissioners shall, subject to the provisions of any law made in that behalf by Parliament, be made by the President.

324(3). Jab kisi digar Naazim e Intekhaab ko is tarha muqarrar kiya jayega tab Aala Naazim e Intekhaab Wafaz e Intekhaab ke Sadar ki haesiyat se amal karenge.
When any other Election Commissioner is so appointed the Chief Election Commissioner shall act as the Chairman of the Election Commission.

324(4). Darje Zeel Intekhaabaat se qabl agar Sadar e Jamhuriya ko ye lagta hae ke nukut (1) ke tehat Wafaz par aaid ki gayi zimmedaario ko anjaam dene me Wafaz ki madad ki garz se Ilaaqaai Naazimeen ko muqarrar karna zaruuri hae tou Wafaz se mashware ke baad Sadar e Jamhuriya aese Ilaaqaai Nazimeen ko muqarrar kar sakte hae, mazkura intekhaabaat ye hae: Aewaan e Awaam aur tamaam Riyaasaat ki Riyaasati Majaalis ke mutalliqa aam intekhaabaat, aur aesi Riyaasaat jaha Riyasati Shura bhi maujood ho waha ke pehle aam intekhaabaat aur ooske baad Riyaasati Shura ke mutalliqa har do saala intekhaabaat.
Before each general election to the House of the People and to the Legislative Assembly of each State, and before the first general election and thereafter before each biennial election to the Legislative Council of each State having such Council, the President may also appoint after consultation with the Election Commission such Regional Commissioners as he may consider necessary to assist the Election Commission in the performance of the functions conferred on the Commission by clause (1).

324(5). Qaumi Majlis ke zariye banaaye gaye qaanuun ke usul ke tehet rehte huwe , Naazim e Intekhaab aur Ilaaqaai Naazimeen e Intekhaab ki mulaazimat ki sharaaet aur oon ke ohdou ki miaad aesi hongi jaesi Sadar e Jamhuriya qaanuun ke zariye mut’ayyin kare:
Subject to the provisions of any law made by Parliament, the conditions of service and tenure of office of the Election Commissioners and the Regional Commissioners shall be such as the President may by rule determine:

Shart ye hae ke Aala Naazim e Intekhaab ko oonke ohde se oosi tariqe aur oonhi wajuhaat ki bina par hataaya jaa sakta hae jis tariqe se aur jin wajuhaat ki bina par Adaalat e Uzma ke kisi Qaazi ko hataaya jaata hae aur Aala Naazim e Intekhaab ko muqarrar kar diye jaane ke baad oon ki mulaazimat ki sharaaet ko oos tarz par tabdiil nahi kiya jaa sakta jo oon ke liye nuqsaan-daah ho:
Provided that the Chief Election Commissioner shall not be removed from his office except in like manner and on the like grounds as a Judge of the Supreme Court and the conditions of service of the Chief Election Commissioner shall not be varied to his disadvantage after his appointment:

Maziid shart ye bhi hae ke kisi bhi digar Naazim e Intekhaab ya kisi Ilaaqaai Naazim e Intekhaab ko oonke ohdou se tab tak nahi hataaya jaa sakta jab tak ke khud Aala Naazim e Intekhaab ne is mutalliq aesi tajwiiz na kar di ho.
Provided further that any other Election Commissioner or a Regional Commissioner shall not be removed from office except on the recommendation of the Chief Election Commissioner.

324(6). Agar Wafaz e Intekhaab aesi darkhwaast kare tou Sadar e Jamhuriya ya kisi Riyaasat ke Naazim e Riyaasat ko Wafaz e Intekhaab ko aese Ilaaqaai Naazim ya kisi maujuuda Ilaaqaai Naazim ko aesa amla faraaham karaana hoga jo nukut (1) ke tehet Wafaz e Intekhaab par aaid ki gayi zimmedari ko pura karaane ke liye zaruri ho.
The President, or the Governor of a State, shall, when so requested by the Election Commission, make available to the Election Commission or to a Regional Commissioner such staff as may be necessary for the discharge of the functions conferred on the Election Commission by clause (1).

325. No person to be ineligible for inclusion in, or to claim to be included in a special, electoral roll on grounds of religion, race, caste or sex.

326. Elections to the House of the People and to the Legislative Assemblies of States to be on the basis of adult suffrage.

327. Power of Parliament to make provision with respect to elections to Legislatures.

328. Power of Legislature of a State to make provision with respect to elections to such Legislature.

329. Bar to interference by courts in electoral matters.

329A. [Omitted .]


Index to the Articles of The Constitution of India (Urdu)

Aaine Hind ke Mazaameen ki Fehrist


English To Urdu Word Glossary For The Constitution Of India


Urdu To English Word Glossary For The Constitution of India

Friday 21 June 2019

First Schedule Part B States (Article 238) of India (Urdu)

Hind ki Pehli Fehrist ke Hisse B ki Riyaasaat (Mazmoon 238)



Hissa VII. —
Part VII.—



[Pehli Fehrist ke Hisse B ki Riyaasaat]. Aaini Qaaide (Saatvi Tarmeem), 1956, ke hisse. 29 aur Fehrist ke zariye mansuukh. (1-11-1956 se laagu).
[The States in Part B of the First Schedule]. Omitted by the Constitution (Seventh Amendment) Act, 1956, s. 29 and Sch. (w.e.f. 1-11-1956).



238. [Hisse VI ke usul ka Pehli Fehrist ke Hisse B ki Riyaasaat par aaid hona.]– Aaini Qaaide (Saatvi Tarmeem), 1956, ke hisse. 29 aur Fehrist ke zariye mansuukh. (1-11-1956 se laagu).
[Application of provisions of Part VI to States in Part B of the First Schedule.]–Omitted by the Constitution (Seventh Amendment) Act, 1956, s. 29 and Sch. (w.e.f. 1-11-1956).


Index to the Articles of The Constitution of India (Urdu)

Aaine Hind ke Mazaameen ki Fehrist


English To Urdu Word Glossary For The Constitution Of India

Urdu To English Word Glossary For The Constitution of India



Sunday 2 June 2019

The States (Articles 233-237) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 233-237)



Hissa VI
Part VI



Riyaasaat
The States



Baab VI.— Nichli Adaalaat
Chapter VI.—Subordinate Courts



233. Qazaat e Zilla ka mukarrar kiya jaana.—
Appointment of district judges.—

233(1). Kisi bhi Riyaasaat me bataur qazaat e zilla kin hi ashkhaas ki mukarrardagi, aur unke ohde ka ta’aiyyun aur unki taraqqi oos Riyaasat ke Naazim e Riyaasat karenge, aur wo aesa oos Riyaasat ki mutalliqa Adaalat e Aalia ke mashware ke saath karenge.
Appointments of persons to be, and the posting and promotion of, district judges in any State shall be made by the Governor of the State in consultation with the High Court exercising jurisdiction in relation to such State.

233(2). Koi shakhs jo Markaz ya oos Riyaasat ka maujuda mulaazim na ho tab aesa shakhs Qaazi e Zille ke ohde par mukarrar kiye jaane ka ahl tab hi ho sakta hai jab kam az kam saat saalou tak wo wakiil ya phir wakiil baraae faryaad raha ho aur jisko mukarrar kiye jaane ke liye waha ki Adaalat e Aalia ne sifaarish ki ho.
A person not already in the service of the Union or of the State shall only be eligible to be appointed a district judge if he has been for not less than seven years an advocate or a pleader and is recommended by the High Court for appointment.


233A. Ba’az qazaat ki muqarrardagi, aur unke sunaaye gaye faeslou waghaera ki tauseeq.—
Validation of appointments of, and judgments, etc., delivered by, certain district judges.—

Kisi bhi adaalat ke kisi bhi hatami faesle, aarzi faesle ya hukm ke baawajood,—
Notwithstanding any judgment, decree or order of any court,—

233A(a)(i). aesa koi shakhs jo kisi Riyaasat ki Adaliya ka maujuda mulaazim ho ya aesa koi shakhs jo kam az kam saat saalou tak wakiil ya fariyaadi wakiil raha ho, oos shakhs ki oos Riyaasat ke qaazi e zile ke ohde par muqarradagi ko,
no appointment of any person already in the judicial service of a State or of any person who has been for not less than seven years an advocate or a pleader, to be a district judge in that State,

aur
and

233A(a)(ii). aese kisi shakhs ke qaazi e zilla ke mutalliq oos ke ta’ayyun, taraqqi ya tabaadle ko,
no posting, promotion or transfer of any such person as a district judge,

agar wo Aaini Qaaide (Biiswi Tarmeem), 1966 ki nafaazat se pehle kisi bhi waqt, mazmoon 233 ya mazmoon 235 ke usul se hat kar kiye gaye hou tou oon ma’amlaat ko najaaiz ya zaaya nahi maana jaaye ga ya sirf is wajaah ke tehat ke aesi muqarrardagi, ta’ayyun, tarraqi ya tabaale ko zikr kiye gaye usul se hat kar kiya gaya tha tou bhi oon ma’amlaat ko kisi bhi waqt najaaiz ya zaaya ho gaye hou aesa bhi nahi maana jaaye ga;
made at any time before the commencement of the Constitution (Twentieth Amendment) Act, 1966, otherwise than in accordance with the provisions of article 233 or article 235 shall be deemed to be illegal or void or ever to have become illegal or void by reason only of the fact that such appointment, posting, promotion or transfer was not made in accordance with the said provisions;

233A(b). Aaine Qaaide (Biiswi Tarmeem), 1966 se qabl, mazmoon 233 ya mazmoon 235 ke usul se hat kar, kisi bhi Riyaasat me qaazi e zille ke ohde par muqarradagi, ta’ayyun, taraqqi ya tabaadle ke zariye muqarrar kiye gaye kisi shakhs ke zariye ya ooske peshe nazar, daaerae kaar ko istemaal kiye jaane ko, sunaaye gaye kisi hatami ya aarzi faesle ko, di gayi kisi saza, ya diye gaye kisi hukm ko, ya kiye gaye kisi amal ko, ya ki gayi kisi kaarwaahi ko najaaiz ya zaaya nahi maana jaayega ya sirf is wajaah ke tehat ke aesi muqarrardagi, ta’ayyun, tarraqi ya tabaale ko zikr kiye gaye usul se hat kar kiya gaya tha tou bhi oon ma’amlaat ko kisi bhi waqt najaaiz ya zaaya ho gaye hou aesa bhi nahi maana jaaye ga.
no jurisdiction exercised, no judgment, decree, sentence or order passed or made, and no other act or proceeding done or taken, before the commencement of the Constitution (Twentieth Amendment) Act, 1966 by, or before, any person appointed, posted, promoted or transferred as a district judge in any State otherwise than in accordance with the provisions of article 233 or article 235 shall be deemed to be illegal or invalid or ever to have become illegal or invalid by reason only of the fact that such appointment, posting, promotion or transfer was not made in accordance with the said provisions.


235. Nichli adaalaat ke oopar ikhteyaar.—
Control over subordinate courts.—

Kisi Riyaasat ke aese adaalati mulaazimat ke ohde jo ke Qaazi e Zilla ke ohde se nichle darje par ho oos par faaiz kisi bhi shakhs ke ta’ayyun aur taraqqi aur oos ko chutti dene ke ikhteyaar ki shamuliyat ke saath zille ki adaalaat aur oon se bhi nichli adaalaat ke oopar ikhteyaar Adaalat e Aalia ka hoga, is mazmoon ke kisi bhi pehlu se ye nahi samjha jaayega ke aese kisi shakhs se faryaad karne ke kisi haq ko chhina ja raha hae, faryaad karne ka wo haq jo ke oose ooski mulaazimat ki sharaaet ko munazzim karaate kisi qaanoon ke tehet haasil huwe hae ya phir iske alaawa kisi aese qaanoon ke tehet haasil huwe hae jo ke Adaalat e Aalia ko ye ikhteyaar deta hae ke Adaalat e Aalia oos qaanoon ke tehet mutayyin ki gayi ooski mulaazimat ki sharaaet ke mutaabiq ooske saath ma’amla kare.
The control over district courts and courts subordinate thereto including the posting and promotion of, and the grant of leave to, persons belonging to the judicial service of a State and holding any post inferior to the post of district judge shall be vested in the High Court, but nothing in this article shall be construed as taking away from any such person any right of appeal which he may have under the law regulating the conditions of his service or as authorising the High Court to deal with him otherwise than in accordance with the conditions of his service prescribed under such law.



236. Tashriih.—
Interpretation.—

Is Baab me—
In this Chapter—

236(a). “Qaazi e zille” ki tashriih me ye qazaat bhi shaamil honge: kisi sheher ki adaalat e diwaani ke qaazi, zaaid qaazi e zilla, majmui qaazi e zilla, naaib qaazi e zilla, mukhtasar ma’amlat ki adaalat ke sadar qaazi, aala sadariyaat ke haakim, aala sadariyaat ke zaaid hakim, qaazi e ijlaas, zaaid qaazi e ijlaas aur naaib qaazi e ijlaas
the expression “district judge” includes judge of a city civil court, additional district judge, joint district judge, assistant district judge, chief judge of a small cause court, chief presidency magistrate, additional chief presidency magistrate, sessions judge, additional sessions judge and assistant sessions Judge;

236(b). “Adaalati mulaazimat” ke ma’ane mehez aese shakhs ki mulaazimat ke hae jise qaazi e zilla aur dighar adaalat e diwaani ke ohde jo qaazi e zilla se nichle darje ke hae oon ohdo par bharti ke liye makhsuus kiya gaya ho.
the expression “judicial service” means a service consisting exclusively of persons intended to fill the post of district judge and other civil judicial posts inferior to the post of district judge.

237. Is baab ke usul ka baaz tabqe ya tabqaat ke hukkaam par aaid kiya jaana.—
Application of the provisions of this Chapter to certain class or classes of magistrates.—

Naazim e Riyaasat chaahe tou mazkura baab ke usul aur ooske zer banaaye gaye kisi qaaide ko oon ki is mutalliq mutayyin ki gayi taarikh se Riyaasat ke kisi tabqe ya tabqaat ke hukkaam par osi lehaaz se hidaayatan aaid kar sakte hae jaese ke ye usul aur mutalliqa qaaide Riyaasat ki adaalati mulaazimat ke mutalliq kisi shakhs par aaid hote hae, oon makhsusiyaat aur tabaadil ke mutaabiq jinhe oos wazaahat me waazae kiya gaya ho.
The Governor may by public notification direct that the foregoing provisions of this Chapter and any rules made thereunder shall with effect from such date as may be fixed by him in that behalf apply in relation to any class or classes of magistrates in the State as they apply in relation to persons appointed to the judicial service of the State subject to such exceptions and modifications as may be specified in the notification.

Index to the Articles of The Constitution of India (Urdu)

Aaine Hind ke Mazaameen ki Fehrist


English To Urdu Word Glossary For The Constitution Of India

Urdu To English Word Glossary For The Constitution of India




Thursday 16 May 2019

The States (Articles 224-232) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 224-232)



Hissa VI

Part VI



Riyaasaat

The States



Baab V.— Riyaasaat me Adaalaat e Aalia

Chapter V.— The High Courts in the States


224. Zaaid aur aarzi Qazaat ka mukarrar kiya jaana—

Appointment of additional and acting Judges—

224(1). Agar Sadar e Jamhuriya is natije par pohochte hae ke waqti aetebaar ke lehaaz se kisi Adaalat e Aalia ke kaam-kaaj me izaafa ho gaya hae ya pichhle kaam mukammil na hone ki bina par kaam ka baqaayajaat hae, aur in wajuhaat ki bina par oos Adaalat ke qazaat ke adad me fil waqt izaafa kiya jaana chaahiye tou, Sadar e Jamhuriya chaahe tou is mutalliq qaabil ashkhaas ko Adaalat ke zaaid Qazaat ki haesiyat se mukarrar kar sakte hae, aesi kisi muddat tak jise Sadar e Jamhuriya mutayyin kare aur jo do saal ki muddat se zyaada na ho.

If by reason of any temporary increase in the business of a High Court or by reason of arrears of work therein, it appears to the President that the number of the Judges of that Court should be for the time being increased, the President may appoint duly qualified persons to be additional Judges of the Court for such period not exceeding two years as he may specify.

224(2). Jab kisi Adaalat e Aalia ke Qaazi e Aala ke alaawa koi Qaazi oonki ghaer-haaziri ki bina par ya digar kisi bina par oonke ohde ke faraaez ki takmeel nahi kar sakte hou ya onhe waqti aetebaar ke lehaaz se Qaazi e Aala ki haesiyat se maujood rehne ke liye mukarrar kiya gaya hae tou, Sadar e Jamhuriya chaahe tou is mutalliq qaabil kisi shakhs ko oos Adaalat ke Qaazi ki haesiyat se maujood rehne ke liye mukarrar kar sakte hae jab tak ke mustaqil Qaazi dobaara ooke faraaez ki takmeel shuru na kar de.

When any Judge of a High Court other than the Chief Justice is by reason of absence or for any other reason unable to perform the duties of his office or is appointed to act temporarily as Chief Justice, the President may appoint a duly qualified person to act as a Judge of that Court until the permanent Judge has resumed his duties.


224(3). Jis kisi bhi shakhs ko kisi Adaalat e Aalia ke zaaid ya aarzi Qaazi ki haesiyat se mukarrar kiya gaya ho wo ba-sathth saal ki umr paar kar lene ke baad oos ohde par faaez nahi reh sakte. 
No person appointed as an additional or acting Judge of a High Court shall hold office after attaining the age of sixty-two years.

224A. Adaalaat e Aalia ki nashistou me maazul shuda Qazaat ka muqarrar kiya jaana
Appointment of retired Judges at sittings of High Courts

Is Baab ke kisi bhi pehlu ke baawajood, kisi Riyaasat ki Adaalate Aalia ke Qaazi e Aala agar kisi shakhs ko oos Riyaasat ki Adaalate Aalia ke Qaazi ki haesiyat se maujood rehne ki aur amal karne ki sifaarish Qaumi Ikhteyaari-Wafaz baraae Adaalati Muqarrardagi ko karte hae, tab jab wo shakhs oos Adaalat ya kisi digar Adaalate Aalia ke ek Qaazi ke ohde par faaiz reh chuke hou tou, Qaumi Ikhteyaari-Wafaz baraae Adaalati Muqarrardagi chaahe tou, is mutalliq pehle se li gayi Sadar e Jamhuriya ki raza ki bina par, aese shakhs ko oos Riyaasat ki Adaalate Aalia ke ek Qaazi ki haesiyat se maujood rehne aur amal karne ki darkhawaast kar sakta hae, aur jis kisi shakhs ko aesi darkhawaast ki gayi ho, tou oonhe aese maujood hone aur amal karne ke dauraan kisi Adaalate Aalia ke Qaazi ke taam daaerae kaar, ikhteyaaraat aur imtiyaazaat faraaham hone, saath hi Sadar e Jamhuriya ke zariye mutayyin ki gayi tankhwaah faraaham hogi, lekin inke alaawa oonhe oos Adaalate Aalia ka ek Qaazi nahi maana jaaye ga:
Notwithstanding anything in this Chapter, the National Judicial Appointments Commission on a reference made to it by the Chief Justice of a High Court for any State, may with the previous consent of the President request any person who has held the office of a Judge of that Court or of any other High Court to sit and act as a Judge of the High Court for that State, and every such person so requested shall, while so sitting and acting, be entitled to such allowances as the President may by order determine and have all the jurisdiction, powers and privileges of, but shall not otherwise be deemed to be, a Judge of that High Court:

Shart ye hae ke is mazmoon ka koi bhi pehlu zikr kiye gaye aese kisi bhi shakhs par ye laazim qaraar nahi karte ke wo oos Adaalate Aalia ke ek Qaazi ki haesiyat se maujood rahe aur amal kare tab tak ke jab tak ke wo shakhs khud is mutalliq apni raza na de de.
Provided that nothing in this article shall be deemed to require any such person as aforesaid to sit and act as a Judge of that High Court unless he consents so to do.


225. Adaalaat e Aalia ka maujudaah daaerae kaar
Jurisdiction of existing High Courts

Is Aain ke usul ke tehet rehte huwe aur is Aain ke zariye kisi Maqnia ko jo ikhteyaaraat ata kiye gaye hou tou oon ikhteyaaraat ki bina par oos munaasib Maqnia ke banaaye gaye kisi bhi qaanuun ke usul ke tehet bhi rehte huwe, kisi bhi qaayam Adaalat e Aalia ka daaerae kaar or usme raaij qaanuun, aur oos Adaalat me nizaamate adl ki munaasibat se oos Adaalat ke qazaat ke mutalliqa ikhteyaaraat, jinme in mutalliq nizaam qaayam karne ke ikhteyaaraat bhi shaamil honge: Adaalat ka nizaam aur Adaalat ki nashishtou ka nizaam aur oske araakeen chaahe furaada nashist me hou ya Adaalat e Taqsiim me hou inka nizaam, ye tamaam ke tamaam ma’amlaat osi tarha se qaayam rahenge jaese ke is Aaain ki nafaazat se fauran qabl qaayam the:
Subject to the provisions of this Constitution and to the provisions of any law of the appropriate Legislature made by virtue of powers conferred on that Legislature by this Constitution, the jurisdiction of, and the law administered in, any existing High Court, and the respective powers of the Judges thereof in relation to the administration of justice in the Court, including any power to make rules of Court and to regulate the sittings of the Court and of members thereof sitting alone or in Division Courts, shall be the same as immediately before the commencement of this Constitution:

Shart ye hae ke: is Aain ki nafaazat se fauran qabl tak aamdani ke mutalliq ya oske hasul ki garaz se koi bhi jaari karda ya amal me laaya gaya hukm iske bhi mutalliq kisi bhi Adaalaat e Aalia ke awaaliin sama’at ke ikhteyaar ko amal karne par aaid koi bhi paabandi mauzu rahi hou tou ab aese ikhteyaar par amal karne par wo paabandi laagu nahi hogi.
Provided that any restriction to which the exercise of original jurisdiction by any of the High Courts with respect to any matter concerning the revenue or concerning any act ordered or done in the collection thereof was subject immediately before the commencement of this Constitution shall no longer apply to the exercise of such jurisdiction.


226. Adaalaat e Aalia ka ba’az ahkaamaat jaari karne ka ikhteyaar.—
Power of High Courts to issue certain writs.—

226(1). Mazmoon 32 ke kisi bhi pehlu ke baawajood, har ek Adaalat e Aalia ko oos mukammal ilaaqe me jo oos ke zere daaeraye kaar ho, oos ilaaqe ke hudud me kisi bhi shakhs ko ya kisi bhi mehkame ko, inki shamuliyat ke saath ke munaanib ma’amlaat me kisi bhi hukumat ko bhi, ahkmaamaat ya likhit ahkaamaat jinme is qism ke, ke Qaedi ko haazir kiya jaaye, Hamaara hukm hae ke, Mamnuhaat hae ke, Kis ikhteyaar se aur Hume ittela di jaaye ke ya inme se koi ek hukm ye tamaam bhi shaamil karda hae, in likhit ahkaamaat ko jaari karne ka ikhteyaar hoga, taake Hisse III me ata kiye gaye kisi bhi haq ko naafez karaaya jaa sake ya kisi aur digar ke maqsad ke tehat koi ma’amla kiya jaa sake.
Notwithstanding anything in article 32, every High Court shall have power, throughout the territories in relation to which it exercises jurisdiction, to issue to any person or authority, including in appropriate cases, any Government, within those territories directions, orders or writs, including writs in the nature of habeas corpus, mandamus, prohibition, quo warranto and certiorari, or any of them, for the enforcement of any of the rights conferred by Part III and for any other purpose.

226(2). Kisi Adaalat e Aalia ke paas jo ye ikhteyaar hae ke wo kisi bhi Hukumat, mehkame ya shakhs ko ahkaamat ya likhit ahkaamaat jaari kar sakti hae, oos hi ikhteyaar ki takmiil ki garaz se hi koi Adaalat e Aalia oos ilaaqe ke hudud me jaha kisi ma’amle ki wajuhaat banti hou, chaahe mukammal ya juzwi aetebaar se hi sahi, tou is wajaah ke baawajood ke aesi kisi Hukumat ka markaz ya mehmake ka maqaam daaeraye kaar ilaaqe me maujood nahi hae ya aese kisi shakhs ki rihaayish daerae kaar ilaaqe me nahi hae iske baawajood oon tamaam ko zikr karda ahkaamat ya likhit ahkaamaat jaari kar sakti hae.
The power conferred by clause (1) to issue directions, orders or writs to any Government, authority or person may also be exercised by any High Court exercising jurisdiction in relation to the territories within which the cause of action, wholly or in part, arises for the exercise of such power, notwithstanding that the seat of such Government or authority or the residence of such person is not within those territories.

226(3). Jab kisi fariiq ke khilaaf koi aburi hukm, chaahe ta’aqiidi ho ya imtena’a ka ho ya kisi digar tariqe ka koi hukm ho, agar jaari hota hae, ya nukut (1) ke tehat kisi fariyaad ke mutalliq kaarwayi ke dauraan, —
Where any party against whom an interim order, whether by way of injunction or stay or in any other manner, is made on, or in any proceedings relating to, a petition under clause (1), without—

226(3a). aese fariiq ko aesi faryaad aur aese aburi hukm ke mutalliq aesi faryaad ki taaid ke mutalliqa tamaam dastawez ki naqal faraahamnahi ki gayi ho; aur
furnishing to such party copies of such petition and all documents in support of the plea for such interim order; and

226(3b). aese fariiq ko sama’at ka mauqa faraaham nahi kiya gaya ho,
giving such party an opportunity of being heard,

Tab Adaalat e Aalia ko aese kisi hukm ko mansuukh karne ke liye zikr karda fariiq ek darkhwaast kare aur oos darkhwaast ki ek naqal ko oos fariiq jiske haq me wo hukm jaari hua ho ya oos fariiq ke wakiil ko faraaham kar de tou, Adaalat e Aalia oos darkhwaast ko oos taarikh ko jis roz oose wo mowsul hui thi ya oos tarikh jis din oos darkhwaast ki naqal faraaham ki gayi thi, jo bhi baad ki taarikh ho oos taarikh ke agle do haftou ke andar oos darkhwaast par apna faesla karegi, ya jab oos muddat ki aakhri taarikh ko Adaalat e Aaalia band ho tab agli taarikh jab Adaalat e Aalia khuli ho to oos roz ke ikhtetaam se qabl oos darkhwaast par apna faesla karegi; agar oos darkhwaast par muddat ke khatm hone tak, ya, jaesa ke ma’amla ho, agle roz ke ikhtetaam tak koi faesla nahi hota hae tou, wo aburi hukm mansukh maana jayega.
makes an application to the High Court for the vacation of such order and furnishes a copy of such application to the party in whose favour such order has been made or the counsel of such party, the High Court shall dispose of the application within a period of two weeks from the date on which it is received or from the date on which the copy of such application is so furnished, whichever is later, or where the High Court is closed on the last day of that period, before the expiry of the next day afterwards on which the High Court is open; and if the application is not so disposed of, the interim order shall, on the expiry of that period, or, as the case may be, the expiry of the said next day, stand vacated.

226(4). Is mazmoon ke tehat kisi bhi Adaalat e Aalia ko jo ikhteyaar ata kiya gaya hae wo mazmoon 32 ke nukut (2) ke tehet Adaalat e Uzma ko ata kiye gaye ikhteyaar ko kam nahi karta hae.
The power conferred on a High Court by this article shall not be in derogation of the power conferred on the Supreme Court by clause (2) of article 32.

226A. Mansuukh
Repealed


227. Tamaam adaalaat par Adaalat e Aalia ka nighraani rakhne ka ikhteyaar—
Power of superintendence over all courts by the High Court—

227(1). Har ek Adaalat e Aalia ko oos tamaam ilaaqe ki, jo ooske daaeraye kaar ke tehet aate hae, oos ilaaqe ki tamaam adaalaat aur tamaam daad-gaah par nighraani rakhne ka ikhteyaar hae.
Every High Court shall have superintendence over all courts and tribunals throughout the territories in relation to which it exercises jurisdiction.

227(2). Mazkura Usul ke tarze aam ke saath koi ta’assub barte baghaer, Adaalat e Aalia chaahe tou—
Without prejudice to the generality of the foregoing provision, the High Court may— 

227(2a). aesi adaalaat se tafseelaat talab kar sakti hae;
call for returns from such courts;

227(2b). aesi adaalaat ke aam tarz ke qawaaid aur a’mal aur ma’amlaat ko munazzim karaate taqriqe bana sakti hae aur oonhe qaayam kar sakti; 
make and issue general rules and prescribe forms for regulating the practice and proceedings of such courts; and

227(2c). aesi kisi bhi adaalaat ke afsaraan ko kis tariqe se kutub, indaraajaat aur khaatou ka rakh rakhaao karna hae oose tajwiiz kar sakti hae.
prescribe forms in which books, entries and accounts shall be kept by the officers of any such courts.

227(3). Adaalat e Aalia chaahe tou aesi kisi adaalat ke naazim e adaalat aur waha ke tamaam munshio aur afsaraan aur waha jo wukla, wukla e fareeqeen, wukla e faryaad amal karte hou oonko ko jo ada karda ujrat hae oska khaqa mutayyin kar sakti hai:
The High Court may also settle tables of fees to be allowed to the sheriff and all clerks and officers of such courts and to attorneys, advocates and pleaders practising therein:

Shart ye hae ke nukut (2) aur nukut (3) ke tehet banaaye gaye kisi bhi qawaaid, tajwiiz karda tariqe ya mutayyin karda khaaqe kisi bhi laagu qawaaniin ke usul ke bar aks nahi hone chaahiye, aur aese qaaide, tariqe aur khaqou ko laagu karne se qabl Naazim e Riyaasat ki raza lena zaruri hoga.
Provided that any rules made, forms prescribed or tables settled under clause (2) or clause (3) shall not be inconsistent with the provision of any law for the time being in force, and shall require the previous approval of the Governor.

227(4). Is Mazmoon ke kisi bhi pehlu se ye nahi maana jaayega ke kisi Adaalat e Aalia ko kisi aesi adaalat ya daad-gaah jise Afwaaj ke mutalliqa kisi bhi qaanuun ke zariye ya ooske tehat qaayam kiya gaya hou oos par nigraani ke ikhteyaar haasil ho gaye hae.
Nothing in this article shall be deemed to confer on a High Court powers of superintendence over any court or tribunal constituted by or under any law relating to the Armed Forces.


228. Ba’az Ma’amlaat ka Adaalat e Aalia ko muntaqil kiya jaana.—
Transfer of certain cases to High Court.—

Agar Adaalat e Aalia is mauzu par mutmayiin ho jaati hae ke koi ma’amla kisi aese adaalat me zere sam’aat hai jo adaalat oos Adaalat e Aalia ke zere sarparasti me hae aur oos ma’amle me kaafi hadd tak koi qaanuuni sawaal uthhta hae jisme oos ma’amle ko niptaaye jaane ke liye is Aain ki tashriih zaruri ho jaati hae tou, Adaalat e Aalia oos adaalat se oos ma’amle ko waapis legi aur chaahe tou—
If the High Court is satisfied that a case pending in a court subordinate to it involves a substantial question of law as to the interpretation of this Constitution the determination of which is necessary for the disposal of the case, it shall withdraw the case and may—

228(a). oos ma’amle ko khud hi nipta degi, ya
either dispose of the case itself, or

228(b). jo qaanuuni sawaal uththa ho oose mutayyin kar ke jis adaalat se wo ma’amla waapis liya gaya tha oos adaalat wo ma’amla dobara lauta degi jiske saath Adaalat e Aalia khud apne faesle ki ek naqal bhi oos adaalat ko degi, aur wo adaalat in dastawez ko haasil kar lene ke baad Adaalat e Aalia ke aese faesle ke mutaabiq oos ma’amle ko niptaane ki kaarwaahi shuru kar degi.
determine the said question of law and return the case to the court from which the case has been so withdrawn together with a copy of its judgment on such question, and the said court shall on receipt thereof proceed to dispose of the case in conformity with such judgment.


228A. Mansuukh
Omitted

229. Adaalaat e Aalia ke afsaraan aur mulazimaan aur ikhraajaat.—
Officers and servants and the expenses of High Courts.—

229(1). Kisi Adaalat e Aalia ke afsaraan aur mulazimou ko oos Adaalat e Aalia ke Qaazi e Aala muqarrar karenge ya fir koi digar aese Qaazi ya afsar muqarrar karenge jinhe Qaazi e Aala ne aesi hidayat di hogi:
Appointments of officers and servants of a High Court shall be made by the Chief Justice of the Court or such other Judge or officer of the Court as he may direct:

Shart ye hae ke Naazim e Riyaasat aese ma’amlaat me qanuunun ye mauzu laazim kar sakte hae jin ma’amlaat me ye nukta qaide me wazae ho ke jo shakhs oos Adaalat se maujudaah taur par wabista nahi ho aese kisi shakhs ko oos Adaalat se judhe kisi bhi ohde par Riyaasat ke Awaami Mulazimat ke Wafaz se mashwara kiye baghaer muqarrar nahi kiya ja sakta.
Provided that the Governor of the State may by rule require that in such cases as may be specified in the rule no person not already attached to the Court shall be appointed to any office connected with the Court save after consultation with the State Public Service Commission.

229(2). Riyaasat ki Qanuun saaz Majlis ke banaaye gaye kisi qanuun ke usul ke tehet rehte huwe, Adaalat e Aalia ke afsaraan aur mulazimeen ki mulaazimat ki sharaaet wo hongi jo oos Adaalat e Aalia ke Qaazi e Aala qaide ke zariye mutayyin karenge, ya oos Adaalat ke koi digar Qaazi ya afsar jin ko Qaazi e Aala ne is maqsad ke tehet muntakhib kiya ho wo mutayyin karenge:
Subject to the provisions of any law made by the Legislature of the State, the conditions of service of officers and servants of a High Court shall be such as may be prescribed by rules made by the Chief Justice of the Court or by some other Judge or officer of the Court authorised by the Chief Justice to make rules for the purpose:

Shart ye hae ke is nukut ke tehet banaaye gaye qawaaid, jis had tak ujrat, tankhwaah, chhutti ya wazaaif ke mutalliq ho unpar Naazim e Riyaasat ke raza laazimi hogi.
Provided that the rules made under this clause shall, so far as they relate to salaries, allowances, leave or pensions, require the approval of the Governor of the State.

229(3). Tamaam ujrat, tankhwaah aur wazaaif jo oos Adaalat ke afsaraan aur mulaazimeen ko ada karda honge ya oonke mutalliq honge in tamaam ki shamuliyat ke saath jo oos Adaalat e Aalia ke intezaami ikhraajaat honge wo oos Riyaasat ke Majmuyi Khazaane se ada karda honge, aur oos Adaalat ke zariye wasul ki gayi koi bhi qimat ya digar koi raqam oosi Majmui Khazaane me jama karda hoga.
The administrative expenses of a High Court, including all salaries, allowances and pensions payable to or in respect of the officers and servants of the Court, shall be charged upon the Consolidated Fund of the State, and any fees or other moneys taken by the Court shall form part of that Fund.


230. Markaz ke ilaaqou tak Adaalaat e Aalia ke daaerae kaar ki tawasi.—
Extension of jurisdiction of High Courts to Union territories.—

230(1). Qaumi Majlis chaahe tou qaanuun ke zariye kisi Adaalat e Aalia ke daaerae kaar ki tawasi kar ke kisi Markaz ke ilaaqe ko oos me shaamil kar sakti hae, ya kisi Adaalat e Aalia ke daaerae kaar ko kam kar ke kisi Markaz ke ilaaqe ko oos se baahar nikaal sakti hae.
Parliament may by law extend the jurisdiction of a High Court to, or exclude the jurisdiction of a High Court from, any Union territory.

230(2). Jaaha kisi Riyaasat ki Adaalat e Aalia kisi Markaz ke Ilaaqe tak apna daaerae kaar rakhti hou tou waaha,—
Where the High Court of a State exercises jurisdiction in relation to a Union territory,—

230(2a). is Aain ke kisi bhi pehle se oos Riyaasat ki Riyaasati Majlis ko ye ikhteyaar nahi milenge ke wo oos daaerae kaar ko badha, ghata ya khatam kar sake; aur
nothing in this Constitution shall be construed as empowering the Legislature of the State to increase, restrict or abolish that jurisdiction; and

230(2b). mazmoon 227 me jaaha Naazim e Riyaasat ka zikr aata hae waha, oos ilaaqe ki nichli adaalaat ke kisi qaaede, kisi tehriir ya kisi fehrist ke mutalliq, oos zikr se muraad Sadar e Jamhuriya ki hogi.
the reference in article 227 to the Governor shall, in relation to any rules, forms or tables for subordinate courts in that territory, be construed as a reference to the President.



231. Do ya zaaid Riyaasaat ke liye ek mushtarka Adaalat e Aalia ka qayaam.—
Establishment of a common High Court for two or more States.—

231(1). Is baab ke is mazmoon se pehle ke tamaam usul ke kisi bhi pehlu ke baawajood, Qaumi Majlis chaahe tou qaanuun ke zariye do ya zaaid Riyaasaat ya do ya zaaid Riyaasaat aur kisi Markaz ke ilaaqe ke liye ek mushtarka Adaalat e Aalia ka qayaam kar sakti hae.
Notwithstanding anything contained in the preceding provisions of this Chapter, Parliament may by law establish a common High Court for two or more States or for two or more States and a Union territory.

231(2). Aesi kisi Adaalat e Aalia ke mutalliq,—
In relation to any such High Court,—

231(2a). Zere Nukut (a) ko Aaini Qaede (Niyyaan nawwi tarmeem) 2014, hisse 10 ke zariye masuukh kar diya gaya hae (13-4-2015 se laagu).
Sub-clause (a) omitted by the Constitution (Ninety-ninth Amendment) Act, 2014, s. 10 (w.e.f. 13-4-2015).

Is tarmeem ko Adaalat e Uzma ne Adaalat e Uzma ke indaraaji wukala ki anjuman aur digar bamuqaabla Hind ka Markaz ma’amle ke apne 16 October 2015 ke hukm ke zariye palat diya hae, jise AIR 2016 SC 117 me qalam band kiya gaya hae.
This amendment has been struck down by the Supreme Court vide its order dated the 16th October, 2015 in the Supreme Court Advocates’ on Record Association and Another Vs. Union of India reported in AIR 2016 SC 117.

Tarmeem se qabl zere nukut (a) you tha:- “(a) mazmoon 217 me jaaha Naazim e Riyaasat ka zikr aata hae waha, oos zikr se muraad oos Adaalat e Aalia ke daaerae kaar ki mutalliqa tamaam Riyaasaat ke tamaam Naazimeen e Riyaasaat ki hogi.”
Before Amendment Sub-clause (a) was as under:- “(a) the reference in article 217 to the Governor of the State shall be construed as to the reference to the Governors of all the State’s in relation to which the High Court exercises jurisdiction.”

231(2b). mazmoon 227 me jaaha Naazim e Riyaasat ka zikr aata hae waha, nichli adaalaat ke kisi qaaede, kisi tehriir ya kisi fehrist ke mutalliq, oos zikr se muraad oos Riyaasat ke Naazim e Riyaasat ki hogi jis Riyaasat me aesi nichli adaalaat waqae hongi; aur
the reference in article 227 to the Governor shall, in relation to any rules, forms or tables for subordinate courts, be construed as a reference to the Governor of the State in which the subordinate courts are situate; and

231(2c). mazaaeen 219 aur 229 me jaaha Riyaasat ka zikr aata hae waha, oos zikr se muraad oos Riyaasat ki hogi jis Riyaasat me oos Adaalat e Aalia ka buniyaad maqaam ho:
the references in articles 219 and 229 to the State shall be construed as a reference to the State in which the High Court has its principal seat:

Shart ye hae ke agar buniyaadi maqaam kisi Markaz ke ilaaqe me ho tou, mazaaeen 219 aur 229 me jaaha Naazim e Riyaasat, Awaami Mulaazimat ke Wafaz, Riyaasati Majlis aur Riyaasat ke Majmuyi Khazaane ka zikr aata hae waha, oos zikr se muraad mutalliqa tarz par Sadar e Jamhuriya, Markazi Awaami Mulaazimat ka Wafaz, Qaumi Majlis aur Hind ke Majmuyi Khazaane ki hogi.
Provided that if such principal seat is in a Union territory, the references in articles 219 and 229 to the Governor, Public Service Commission, Legislature and Consolidated Fund of the State shall be construed respectively as references to the President, Union Public Service Commission, Parliament and Consolidated Fund of India.


232. Tashriih.- 
Interpretation.-

Mazaameen 230, 231, aur 232 ko Aaini Qaaede (Saatwi Tarmeem), 1956 ke hisse 16 (1-11-1956 se laagu) ke zariye mazaameen 230 aur 231 se tabdeel kar diya gaya hae.
Articles 230, 231 and 232 substituted with articles 230 and 231 by the Constitution (Seventh Amendment) Act, 1956, s. 16 (w.e.f. 1-11-1956).




Index to the Articles of The Constitution of India (Urdu)


Aaine Hind ke Mazaameen ki Fehrist



English To Urdu Word Glossary For The Constitution Of India


Urdu To English Word Glossary For The Constitution of India