Sunday 2 June 2019

The States (Articles 233-237) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 233-237)



Hissa VI
Part VI



Riyaasaat
The States



Baab VI.— Nichli Adaalaat
Chapter VI.—Subordinate Courts



233. Qazaat e Zilla ka mukarrar kiya jaana.—
Appointment of district judges.—

233(1). Kisi bhi Riyaasaat me bataur qazaat e zilla kin hi ashkhaas ki mukarrardagi, aur unke ohde ka ta’aiyyun aur unki taraqqi oos Riyaasat ke Naazim e Riyaasat karenge, aur wo aesa oos Riyaasat ki mutalliqa Adaalat e Aalia ke mashware ke saath karenge.
Appointments of persons to be, and the posting and promotion of, district judges in any State shall be made by the Governor of the State in consultation with the High Court exercising jurisdiction in relation to such State.

233(2). Koi shakhs jo Markaz ya oos Riyaasat ka maujuda mulaazim na ho tab aesa shakhs Qaazi e Zille ke ohde par mukarrar kiye jaane ka ahl tab hi ho sakta hai jab kam az kam saat saalou tak wo wakiil ya phir wakiil baraae faryaad raha ho aur jisko mukarrar kiye jaane ke liye waha ki Adaalat e Aalia ne sifaarish ki ho.
A person not already in the service of the Union or of the State shall only be eligible to be appointed a district judge if he has been for not less than seven years an advocate or a pleader and is recommended by the High Court for appointment.


233A. Ba’az qazaat ki muqarrardagi, aur unke sunaaye gaye faeslou waghaera ki tauseeq.—
Validation of appointments of, and judgments, etc., delivered by, certain district judges.—

Kisi bhi adaalat ke kisi bhi hatami faesle, aarzi faesle ya hukm ke baawajood,—
Notwithstanding any judgment, decree or order of any court,—

233A(a)(i). aesa koi shakhs jo kisi Riyaasat ki Adaliya ka maujuda mulaazim ho ya aesa koi shakhs jo kam az kam saat saalou tak wakiil ya fariyaadi wakiil raha ho, oos shakhs ki oos Riyaasat ke qaazi e zile ke ohde par muqarradagi ko,
no appointment of any person already in the judicial service of a State or of any person who has been for not less than seven years an advocate or a pleader, to be a district judge in that State,

aur
and

233A(a)(ii). aese kisi shakhs ke qaazi e zilla ke mutalliq oos ke ta’ayyun, taraqqi ya tabaadle ko,
no posting, promotion or transfer of any such person as a district judge,

agar wo Aaini Qaaide (Biiswi Tarmeem), 1966 ki nafaazat se pehle kisi bhi waqt, mazmoon 233 ya mazmoon 235 ke usul se hat kar kiye gaye hou tou oon ma’amlaat ko najaaiz ya zaaya nahi maana jaaye ga ya sirf is wajaah ke tehat ke aesi muqarrardagi, ta’ayyun, tarraqi ya tabaale ko zikr kiye gaye usul se hat kar kiya gaya tha tou bhi oon ma’amlaat ko kisi bhi waqt najaaiz ya zaaya ho gaye hou aesa bhi nahi maana jaaye ga;
made at any time before the commencement of the Constitution (Twentieth Amendment) Act, 1966, otherwise than in accordance with the provisions of article 233 or article 235 shall be deemed to be illegal or void or ever to have become illegal or void by reason only of the fact that such appointment, posting, promotion or transfer was not made in accordance with the said provisions;

233A(b). Aaine Qaaide (Biiswi Tarmeem), 1966 se qabl, mazmoon 233 ya mazmoon 235 ke usul se hat kar, kisi bhi Riyaasat me qaazi e zille ke ohde par muqarradagi, ta’ayyun, taraqqi ya tabaadle ke zariye muqarrar kiye gaye kisi shakhs ke zariye ya ooske peshe nazar, daaerae kaar ko istemaal kiye jaane ko, sunaaye gaye kisi hatami ya aarzi faesle ko, di gayi kisi saza, ya diye gaye kisi hukm ko, ya kiye gaye kisi amal ko, ya ki gayi kisi kaarwaahi ko najaaiz ya zaaya nahi maana jaayega ya sirf is wajaah ke tehat ke aesi muqarrardagi, ta’ayyun, tarraqi ya tabaale ko zikr kiye gaye usul se hat kar kiya gaya tha tou bhi oon ma’amlaat ko kisi bhi waqt najaaiz ya zaaya ho gaye hou aesa bhi nahi maana jaaye ga.
no jurisdiction exercised, no judgment, decree, sentence or order passed or made, and no other act or proceeding done or taken, before the commencement of the Constitution (Twentieth Amendment) Act, 1966 by, or before, any person appointed, posted, promoted or transferred as a district judge in any State otherwise than in accordance with the provisions of article 233 or article 235 shall be deemed to be illegal or invalid or ever to have become illegal or invalid by reason only of the fact that such appointment, posting, promotion or transfer was not made in accordance with the said provisions.


235. Nichli adaalaat ke oopar ikhteyaar.—
Control over subordinate courts.—

Kisi Riyaasat ke aese adaalati mulaazimat ke ohde jo ke Qaazi e Zilla ke ohde se nichle darje par ho oos par faaiz kisi bhi shakhs ke ta’ayyun aur taraqqi aur oos ko chutti dene ke ikhteyaar ki shamuliyat ke saath zille ki adaalaat aur oon se bhi nichli adaalaat ke oopar ikhteyaar Adaalat e Aalia ka hoga, is mazmoon ke kisi bhi pehlu se ye nahi samjha jaayega ke aese kisi shakhs se faryaad karne ke kisi haq ko chhina ja raha hae, faryaad karne ka wo haq jo ke oose ooski mulaazimat ki sharaaet ko munazzim karaate kisi qaanoon ke tehet haasil huwe hae ya phir iske alaawa kisi aese qaanoon ke tehet haasil huwe hae jo ke Adaalat e Aalia ko ye ikhteyaar deta hae ke Adaalat e Aalia oos qaanoon ke tehet mutayyin ki gayi ooski mulaazimat ki sharaaet ke mutaabiq ooske saath ma’amla kare.
The control over district courts and courts subordinate thereto including the posting and promotion of, and the grant of leave to, persons belonging to the judicial service of a State and holding any post inferior to the post of district judge shall be vested in the High Court, but nothing in this article shall be construed as taking away from any such person any right of appeal which he may have under the law regulating the conditions of his service or as authorising the High Court to deal with him otherwise than in accordance with the conditions of his service prescribed under such law.



236. Tashriih.—
Interpretation.—

Is Baab me—
In this Chapter—

236(a). “Qaazi e zille” ki tashriih me ye qazaat bhi shaamil honge: kisi sheher ki adaalat e diwaani ke qaazi, zaaid qaazi e zilla, majmui qaazi e zilla, naaib qaazi e zilla, mukhtasar ma’amlat ki adaalat ke sadar qaazi, aala sadariyaat ke haakim, aala sadariyaat ke zaaid hakim, qaazi e ijlaas, zaaid qaazi e ijlaas aur naaib qaazi e ijlaas
the expression “district judge” includes judge of a city civil court, additional district judge, joint district judge, assistant district judge, chief judge of a small cause court, chief presidency magistrate, additional chief presidency magistrate, sessions judge, additional sessions judge and assistant sessions Judge;

236(b). “Adaalati mulaazimat” ke ma’ane mehez aese shakhs ki mulaazimat ke hae jise qaazi e zilla aur dighar adaalat e diwaani ke ohde jo qaazi e zilla se nichle darje ke hae oon ohdo par bharti ke liye makhsuus kiya gaya ho.
the expression “judicial service” means a service consisting exclusively of persons intended to fill the post of district judge and other civil judicial posts inferior to the post of district judge.

237. Is baab ke usul ka baaz tabqe ya tabqaat ke hukkaam par aaid kiya jaana.—
Application of the provisions of this Chapter to certain class or classes of magistrates.—

Naazim e Riyaasat chaahe tou mazkura baab ke usul aur ooske zer banaaye gaye kisi qaaide ko oon ki is mutalliq mutayyin ki gayi taarikh se Riyaasat ke kisi tabqe ya tabqaat ke hukkaam par osi lehaaz se hidaayatan aaid kar sakte hae jaese ke ye usul aur mutalliqa qaaide Riyaasat ki adaalati mulaazimat ke mutalliq kisi shakhs par aaid hote hae, oon makhsusiyaat aur tabaadil ke mutaabiq jinhe oos wazaahat me waazae kiya gaya ho.
The Governor may by public notification direct that the foregoing provisions of this Chapter and any rules made thereunder shall with effect from such date as may be fixed by him in that behalf apply in relation to any class or classes of magistrates in the State as they apply in relation to persons appointed to the judicial service of the State subject to such exceptions and modifications as may be specified in the notification.

Index to the Articles of The Constitution of India (Urdu)

Aaine Hind ke Mazaameen ki Fehrist


English To Urdu Word Glossary For The Constitution Of India

Urdu To English Word Glossary For The Constitution of India




No comments:

Post a Comment