Saturday, 7 October 2017

The Union (Articles 107-111) of India (Urdu)

Hind ka Markaz (Mazaameen 107-111)



Hissa V
Part V


Markaz
The Union



Baab II.—Qaumi Majlis
Chapter II.—Parliament


Qaanuun-Saazi ka Tariqa
Legislative Procedure


107. Tajwizaat ko pesh karne ka aur oonko manzuur karne ke usul.—
Provisions as to introduction and passing of Bills.—

107(1). Maali Tajwiiz aur digar maaliyaati Tajwizaat ke mutalliq mazaameen 109 aur 117 ke usul ke tehat rehte hue, kisi bhi Tajwiiz ki ibteda Qaumi Majlis ke kisi bhi Aewaan me ho sakti hae.

Subject to the provisions of articles 109 and 117 with respect to Money Bills and other financial Bills, a Bill may originate in either House of Parliament.

107(2). Mazaameen 108 aur 109 ke usul ke tehat rehte hue, kisi bhi Tajwiiz ko oos waqt tak Qaumi Majlis ke donohi Aewaan se manzuur shuda nahi maana jaayega, jab tak ke oos Tajwiiz ko donohi Aewaan ki manzuuri naa mil jaaye, aur manzuuri ya tou baghaer kisi tarmiin ke hou ya utni hi taraamiin ki had tak hou jitni taraamiin par donohi Aewaan muttafiq ho.
Subject to the provisions of articles 108 and 109, a Bill shall not be deemed to have been passed by the Houses of Parliament unless it has been agreed to by both Houses, either without amendment or with such amendments only as are agreed to by both Houses.

107(3). Qaumi Majlis me koi bhi Tajwiiz jo zere ghaur ho tou oose Aewaan ke multawi kiye jaane ki bina par radd nahi maana jaayega.
A Bill pending in Parliament shall not lapse by reason of the prorogation of the Houses.

107(4). Shura e Riyaasaat me koi bhi Tajwiiz jo zere ghaur ho aur jise Aewaan e Awaam ne manzuur nahi kiya huwa ho tou oose Aewaan e Awaam ka ikhtetaam ho jaane ki bina par radd nahi maana jaayega.

A Bill pending in the Council of States which has not been passed by the House of the People shall not lapse on a dissolution of the House of the People.

107(5). Aewaan e Awaam me koi bhi Tajwiiz jo zere ghaur ho, ya jise Aewaan e Awaam ne manzuur kar liya ho par wo Shura e Riyaasaat me zere ghaur ho, tou mazmoon 108 ke usul ke tehet rehte huwe, Aewaan e Awaam ka ikhtetaam ho jaane par oose radd maana jaayega.
A Bill which is pending in the House of the People, or which having been passed by the House of the People is pending in the Council of States, shall, subject to the provisions of article 108, lapse on a dissolution of the House of the People.

108. Ba’az ma’amlaat me dono Aewaan ki majmua nashist.—
Joint sitting of both Houses in certain cases.—

108(1). Agar kisi Tajwiiz ko kisi ek Aewaan ne manzuur karke dusre Aewaan me muntaqil kar diya ho—
If after a Bill has been passed by one House and transmitted to the other House—

108(1a). dusre Aewaan ke zariye oos Tajwiiz ko radd kar diya gaya hou; ya
the Bill is rejected by the other House; or

108(1b). Tajwiiz me taraamiin kiye jaane par donohi Aewaan bil aakhir razaamand naa ho tou; ya

the Houses have finally disagreed as to the amendments to be made in the Bill; or

108(1c). dusre Aewaan ki Tajwiiz ko haasil kiye jaane ki taarikh se chhe maah se zaaid muddat guzar jaane ke baad bhi Tajwiiz ko oos Aewaan ki manzuuri na mili ho tou,
more than six months elapse from the date of the reception of the Bill by the other House without the Bill being passed by it,

agar Tajwiiz Aewaan e Awaam ka ikhtetaam ho jaane ki bina radd naa hui ho tou, fir agar Sadar e Jamhuriya chaahe tou wo donohi Aewaan ko, agar ijlaas chal raha hou tou paighaam bhej ke ittella dekar ya agar ijlaas nahi chal raha hou tou awaami aelaan ke zariye ittella dekar, oonka dono Aewaan ko majmua nashist ke liye haazir hone ka iraada waazae kar sakte hae jiska maqsad Tajwiiz par ghaur o fikr aur raae shumaari hogi:
the President may, unless the Bill has elapsed by reason of a dissolution of the House of the People, notify to the Houses by message if they are sitting or by public notification if they are not sitting, his intention to summon them to meet in a joint sitting for the purpose of deliberating and voting on the Bill:

Shart ye hae ke is nukut ka koi bhi pehlu Maali Tajwiiz par laagu nahi hoga.
Provided that nothing in this clause shall apply to a Money Bill.

108(2). Nukut (1) me zikr ki gayi aesi chhe maah ki muddat ka hisaab karne me, aesi kisi bhi muddat ko shumaar nahi kiya jaayega jis darmeyaan oos nukut ke zere nukut (c) me zikr kiye gaye Aewaan ka musalsal chaar dino se zaaid ijlaas multawi ya nashist multawi ki gayi ho.
In reckoning any such period of six months as is referred to in clause (1), no account shall be taken of any period during which the House referred to in sub-clause (c) of that clause is prorogued or adjourned for more than four consecutive days.

108(3). Jab Sadar e Jamhuriya ne nukut (1) ke tehat dono Aewaan ko majmua nashist ke tehat haazir hone ke oonke iraade ki ittela de di ho tou, fir Tajwiiz ke mutalliq koi bhi Aewaan maziid koi kaarwaahi nahi kar sakta, lekin Sadar e Jamhuriya oonke aelaan ki taarikh ke baad fir kisi waqt bhi donohi Aewaan ko majmua nashist ke liye haazir hone ka hukm de sakte hae, jiska maqsad aelaan me waazae kar diya gaya hoga aur, agar wo aesa karte hae tou, donohi Aewaan ko oos mutaabiq milna hoga. 
Where the President has under clause (1) notified his intention of summoning the Houses to meet in a joint sitting, neither House shall proceed further with the Bill, but the President may at any time after the date of his notification summon the Houses to meet in a joint sitting for the purpose specified in the notification and, if he does so, the Houses shall meet accordingly.

108(4). Agar dono Aewaan ki majmua nashist me, Tajwiiz ko aesi taraameen ke saath, agar oon taraameen par ittefaaq ho tou, oon taraameen ke saath oos Tajwiiz ko donohi Aewaan ke haazir aur raae dene ko tayyaar araakeen ke kul adad ki aksariyat ne manzuur kar liya tou is Aain ke maqaasiid ke tehat oos Tajwiiz ko donohi Aewaan ke zariye manzuur shuda maan liya jaayega:
If at the joint sitting of the two Houses the Bill, with such amendments, if any, as are agreed to in joint sitting, is passed by a majority of the total number of members of both Houses present and voting, it shall be deemed for the purposes of this Constitution to have been passed by both Houses:

Shart ye hae ke majmua nashist me—
Provided that at a joint sitting—

108(4a). agar Tajwiiz ek Aewaan me manzuur ho jaane ke baad dusre Aewaan me manzuur nahi ki jaati hae aur oosi Aewaan ko lauta di jaati hae jisme ooski ibteda hui thi tou, Tajwiiz me koi taraameem nahi maani jaayegi siwaaye oon taraameem ke (agar hou tou) jo Tajwiiz ke manzuur hone me taakhir ki wajaah se zaruuri ho gayi hou;
if the Bill, having been passed by one House, has not been passed by the other House with amendments and returned to the House in which it originated, no amendment shall be proposed to the Bill other than such amendments (if any) as are made necessary by the delay in the passage of the Bill;

108(4b). agar Tajwiiz is tarha manzuur ki gayi hou aur lauta di gayi hou tou, sirf isse qabl zikr ki gayi taraameen maani jaayegi aur aesi digar taraameen jo oon ma’amlaat ke muttaliq hae jinpar dono Aewaan muttafiq nahi hae wo maani jaayegi; aur wo taraameem jo is nukut ke tehat qabile qabuul hongi, oon taraameem me jo shakhs sadaarat karenge unka faesla hatami hoga.
if the Bill has been so passed and returned, only such amendments as aforesaid shall be proposed to the Bill and such other amendments as are relevant to the matters with respect to which the Houses have not agreed; and the decision of the person presiding as to the amendments which are admissible under this clause shall be final.

108(5). Sadar e Jamhuriya ke oonke dono Aewaan ke milne ke liye haazir hone ke hukm ke iraade ki ittela ke baad is biich Aewaan e Awaam ka ikhtetaam ho jaaye tou iske baawajood bhi, is mazmoon ke tehat ek majmua nashist munaqqid ho sakti hae aur oosme Tajwiiz manzuur ki jaa sakti hae.
A joint sitting may be held under this article and a Bill passed thereat, notwithstanding that a dissolution of the House of the People has intervened since the President notified his intention to summon the Houses to meet therein.

109. Maali Tajwizaat ke mutalliq makhsuus tariqa.—
Special procedure in respect of Money Bills.—

109(1). Shura e Riyaasaat me Maali Tajwiiz ki ibteda nahi ki jaa sakti.
A Money Bill shall not be introduced in the Council of States.

109(2). Maali Tajwiiz ke Aewaan e Awaam me manzuur kiye jaane ke baad oose Shura e Riyaasaat me muntaqil kiya jaana hoga aur Shura e Riyaasaat oos Maali Tajwiiz ko haasil karne ki taarikh se chaudaah din ki muddat me oos Maali Tajwiiz ko apni sifaarishaat ke saath dobaara Aewaan e Awaam ko lauta dega aur Aewaan e Awaam chaahe tou Shura e Riyaasaat ki oon sifaarishaat me se tamaam ya kuch ko qubul ya radd kar sakta hae.
After a Money Bill has been passed by the House of the People it shall be transmitted to the Council of States for its recommendations and the Council of States shall within a period of fourteen days from the date of its receipt of the Bill return the Bill to the House of the People with its recommendations and the House of the People may thereupon either accept or reject all or any of the recommendations of the Council of States.

109(3). Agar Aewaan e Awaam Shura e Riyaasaat ki kisi bhi sifaarish ko qubul kar le tou, oon taraameen ke saath jinki sifaarish Shura e Riyasaat ne ki hou wo Maali Tajwiiz donohi Aewaan se manzuur shuda maani jaayegi.
If the House of the People accepts any of the recommendations of the Council of States, the Money Bill shall be deemed to have been passed by both Houses with the amendments recommended by the Council of States and accepted by the House of the People.

109(4). Agar Aewaan e Awaam Shura e Riyaasaat ki kisi bhi sifaarish ko qubul nahi kare tou, baghaer kisi aesi taraameen ke jiski sifaarish Shura e Riyaasaat ne ki ho aur oosi haalat me jaese oose Aewaan e Awaam me manzuur kiya gaya tha wo Maali Tajwiiz donohi Aewaan se manzur shuda maani jaayegi.
If the House of the People does not accept any of the recommendations of the Council of States, the Money Bill shall be deemed to have been passed by both Houses in the form in which it was passed by the House of the People without any of the amendments recommended by the Council of States.

109(5). Agar koi Maali Tajwiiz Aewaan e Awaam me manzuur ki jaane ke baad Shura e Riyaasaat me ooski sifaarishaat haasil karne ke liye muntaqil ki jaati hae aur bataayi gayi chaudaah din ki muddat ke darmeyaan dobaara Aewaan e Awaam ko lautaayi nahi jaati tou, oos muddat ke khatm ho jaane par oos Maali Tajwiiz ko oosi haalat me jaesa ke oose Aewaan e Awaam me manzuur kiya gaya tha oose donohi Aewaan se manzuur shuda maana jaaye ga.
If a Money Bill passed by the House of the People and transmitted to the Council of States for its recommendations is not returned to the House of the People within the said period of fourteen days, it shall be deemed to have been passed by both Houses at the expiration of the said period in the form in which it was passed by the House of the People.

110. “Maali Tajwizaat” ka khulaasa.—
Definition of “Money Bills”.—

110(1). Is baab ke maqaasid ke tehat, kisi bhi Tajwiiz ko Maali Tajwiiz maana jaayega agar oosme mehez darje zeel ma’amlaat me se tamaam ya kuch ke mutalliq usul hou, jaese ke:—
For the purposes of this Chapter, a Bill shall be deemed to be a Money Bill if it contains only provisions dealing with all or any of the following matters, namely:—

110(1a). kisi bhi zarb ko aaid karne, oosko khatm karne, oosme kami karne, oosme tabdiili karne ya oosko munazzim karne ke mutalliq hou;
the imposition, abolition, remission, alteration or regulation of any tax;

110(1b). Hukumat e Hind ke maali karz lene ya koi zamaanat lene ki nizaamat ke mutalliq hou ya Hukumat e Hind ki kisi bhi maaliyaati taqaazaat ki li gayi ya li jaane waali zimmedaari ke mutalliq hou; 
the regulation of the borrowing of money or the giving of any guarantee by the Government of India, or the amendment of the law with respect to any financial obligations undertaken or to be undertaken by the Government of India;

110(1c). Hind ke Maujmui Khazaane ya Hangaami Khazaane ki tehwiil ke mutaaliq hou, aesi kisi Khazaane me maal jama karne ya oosme se maal nikaalne ke mutalliq hou;
the custody of the Consolidated Fund or the Contingency Fund of India, the payment of moneys into or the withdrawal of moneys from any such Fund;

110(1d). Hind ke Majmui Khazaane me se maal ke tasarruf ke mutalliq hou;
the appropriation of moneys out of the Consolidated Fund of India;

110(1e). kisi kharch ko Hind ke Majmui Khazaane par aaid kharch you aelaan karne ke mutalliq hou ya aese kisi kharch ki raqam ko badhhaane ke mutalliq hou;
the declaring of any expenditure to be expenditure charged on the Consolidated Fund of India or the increasing of the amount of any such expenditure;

110(1f). Hind ke Majmui Khazaane ke khaate me ya Hind ke awaami khaate me maal jama karne ke mutalliq hou ya aese maal ki tehwiil ya oose ada karne ke mutalliq hou ya Markaz ya kisi Riyaasat ke khaatou ke muhaasibe ke mutalliq hou; ya
the receipt of money on account of the Consolidated Fund of India or the public account of India or the custody or issue of such money or the audit of the accounts of the Union or of a State; or

110(1g). zere nukut (a) se lekar (f) tak me darj ma’amlaat se zimni kisi ma’amle ke mutalliq hou.
any matter incidental to any of the matters specified in subclauses (a) to (f).

110(2). Kisi bhi Tajwiiz ko mehez is bina par ke wo jurmanou ya digar jurmaanou ki saza ke mutalliq usul rakhti hou ya wo ijaazat naamou ke liye ya faraaham ki hui kisi khidmat ke aewaz raqam ka mutaalba ya raqam ki adaaegi ke mutalliq usul rakhti hou, ya wo ilaaqaayi maqaasid ke liye kisi ilaaqaayi mehkame ya idaare ke zariye kisi zarb ke aaid kiye jaane ke liye, oose khatm kiye jaane ke liye, oosme kami kiye jaane ke liye ya oosko munazzim kiye jaane ke liye koi usul rakhti hae tou, oos Tajwiiz ko Maali Tajwiiz nahi maana jayega.
A Bill shall not be deemed to be a Money Bill by reason only that it provides for the imposition of fines or other pecuniary penalties, or for the demand or payment of fees for licences or fees for services rendered, or by reason that it provides for the imposition, abolition, remission, alteration or regulation of any tax by any local authority or body for local purposes.

110(3). Agar ye sawaal uthhtaa hae ke koi Tajwiiz Maali Tajwiiz hae ya nahi tou, ispar Aewaan e Awaam ke Mukallim ka faesla hatami hoga.
If any question arises whether a Bill is a Money Bill or not, the decision of the Speaker of the House of the People thereon shall be final.

110(4). Har Maali Tajwiiz par, jab oose mazmoon 109 ke tehet Shura e Riyaasaat ko muntaqil kiya jaaye, aur jab mazmoon 111 ke tehet oos Maali Tajwiiz par Sadar e Jamhuriya ki raza haasil karne ke liye oonke saamne pesh kiya jaaye tou, oos Maali Tajwiiz par sadaaqat naame ki tauseeq honi chaahiye, jis sadaaqat naame par Aewaan e Awaam ke Mukallim ne khud dastakhat karke ye tasdeeq ki ho ke wo ek Maali Tajwiiz hae.
There shall be endorsed on every Money Bill when it is transmitted to the Council of States under article 109, and when it is presented to the President for assent under article 111, the certificate of the Speaker of the House of the People signed by him that it is a Money Bill.

111. Tajwiizaat par Raza.—
Assent to Bills.—

Jab koi Tajwiiz Qaumi Majlis ke donohi Aewaan se manzuur shuda ho chuki ho tou, oos Tajwiiz ko Sadar e Jamhuriya ke samne pesh kiya jaayega, aur Sadar e Jamhuriya ye aelaan karenge ke oonhone oos Tajwiiz ko oonki raza de di hae, ya oonhone oos Tajwiiz par oonki raza ko rok li hae:
When a Bill has been passed by the Houses of Parliament, it shall be presented to the President, and the President shall declare either that he assents to the Bill, or that he withholds assent therefrom:

Shart ye hae ke, jab Sadar e Jamhuriya ke saamne koi Tajwiiz ko oonki raza haasil karne ke liye pesh kiya gaya ho aur agar wo Maali Tajwiiz nahi hae tou wo jald az jald oos Tajwiiz ko ek paighaam ke saath dono Aewaan ko lauta denge, aur paighaam me ye mashwara hoga ke oos Tajwiiz par ya ooske kisi waazae kiye gaye usul par dobaara ghaur o fikr ki jaaye, aur khususan aesi taraameen ki ibteda jinke wo khwaahismand ho aur paighaam me oonhone wazaahat ki hou onpar ghaur o fikr ki jaaye, aur jab is tarha se Tajwiiz ko lautaaya gaya hou tou, dono Aewaan oos mutaabiiq Tajwiiz par dobaara ghaur o fikr karenge, aur agar dono Aewaan oos Tajwiiz ko dobaara tarmeem ke saath ya tarmeen ke baghaer manzuur kar ke Sadar e Jamhuriya ki raza haasil karne ke liye oonke saamne pesh kare tou, oos Tajwiiz par Sadar e Jamhuriya oonki raza nahi rok sakte. 
Provided that the President may, as soon as possible after the presentation to him of a Bill for assent, return the Bill if it is not a Money Bill to the Houses with a message requesting that they will reconsider the Bill or any specified provisions thereof and, in particular, will consider the desirability of introducing any such amendments as he may recommend in his message, and when a Bill is so returned, the Houses shall reconsider the Bill accordingly, and if the Bill is passed again by the Houses with or without amendment and presented to the President for assent, the President shall not withhold assent therefrom.









No comments:

Post a Comment