Monday, 23 October 2017

The States (Articles 163-164) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 163-164)


Hissa VI

Part VI



Riyaasaat
The States



Baab II.—Amaliya
Chapter II.—The Executive


Wazaarat
Council of Ministers

163. Wazaarat ka Naazim e Riyaasat ko mashwara dena aur oonki madad karna.—
Council of Ministers to aid and advise Governor.—

163(1). Ek Wazaarat hogi jiske amiir Wazir e Aala honge, ye Wazaarat Naazim e Riyaasat ko oonke a’amaal ki takmiil me mashwara degi aur unki madad karegi, siwaaye tab jab jis had tak is Aain ke zariye ya is Aain ke tehat oonpar ye laazim ho ke wo aese kisi bhi a’amal ki takmiil oonki khud ki aql se karenge.
There shall be a Council of Ministers with the Chief Minister at the head to aid and advise the Governor in the exercise of his functions, except in so far as he is by or under this Constitution required to exercise his functions or any of them in his discretion.

163(2). Agar aesa koi sawaal uthhta hae ke koi ma’amla aesa hae ya nahi jisme is Aain ke zariye ya is Aain ke tehat Naazim e Riyaasat par ye laazim hae ke oos ma’amle ki takmiil wo oonki khud ki aql se kare tou, Naazim e Riyaasat is par oonki aql se jo faesla karenge wo hatami hoga, aur Naazim e Riyaasat ke kiye gaye kisi amal ki sehat par is bina par sawaal nahi uthhaaya ja sakta ke oonhe amal oonki khud ki aql se karna tha ya nahi karna tha.
If any question arises whether any matter is or is not a matter as respects which the Governor is by or under this Constitution required to act in his discretion, the decision of the Governor in his discretion shall be final, and the validity of anything done by the Governor shall not be called in question on the ground that he ought or ought not to have acted in his discretion.

163(3). Is sawaal par kisi bhi adaalat me tahqiiq nahi ki jaa sakti ke Wazara ne Naazim e Riyaasat ko mashwara diya ya nahi, aur agar diya to kya mashwara diya.
The question whether any, and if so what, advice was tendered by Ministers to the Governor shall not be inquired into in any court.

164. Wazara ke mutalliq digar usul.—
Other provisions as to Ministers.—

164(1). Naazim e Riyaasat Waziir e Aala ko mukarrar karenge aur Waziir e Aala ke mashware par Naazim e Riyaasat digar Wazara ko mukarrar karenge, aur Wazara apne ohdou par tab tak hi qaayam rahenge jab tak ke Naazim e Riyaasat ki raza ho:
The Chief Minister shall be appointed by the Governor and the other Ministers shall be appointed by the Governor on the advice of the Chief Minister, and the Ministers shall hold office during the pleasure of the Governor:

Shart ye hae ke Chhattisgadh, Jhaarkhand, Madhya Pradesh aur Odisha Riyaasaat me, ek Waziir qabaaeli falaah ke zimmedaar honge jo maziid Zere Fehrist Zaat aur pasmaanda tabqe ya kisi digar kaam ke zimmedaar bhi ho sakte hae.
Provided that in the States of Chhattisgarh, Jharkhand, Madhya Pradesh and Odisha, there shall be a Minister in charge of tribal welfare who may in addition be in charge of the welfare of the Scheduled Castes and backward classes or any other work.

164(1A). Wazaarat me Waziir e Aala ko shumaar karke tamaam Wazara ki ta’adaad Riyaasati Majlis ke tamaam araakeen ki kul ta’adaad ke pandhra fii-sad se zyaada nahi honi chaahiye:
The total number of Ministers, including the Chief Minister, in the Council of Ministers in a State shall not exceed fifteen per cent. of the total number of members of the Legislative Assembly of that State:

Shart ye hae ke Waziir e Aala ko shumaar karke tamaam Wazara ki ta’adaad kam az kam baara honi chaahiye:
Provided that the number of Ministers, including the Chief Minister in a State shall not be less than twelve:

Mazid shart ye hae ke 2003, Aaini Qaaede (Tarmeen adad Ekyaan-nawwe) ki nafaazat par jaha Waziir e Aala ko shumaar karke tamaam Wazara ki ta’adaad pandhra fii-sad se zaaid ho tou ya pehli shart me waazae kiye gaye adad se zaaid ho tou, jaesa bhi ma’amla ho, tab Wazara ki kul ta’adaad ko oos *taarikh se jise Sadar e Jamhuriya ne awaami ittela ke zariye mukarrar kiya ho tou oos taarikh se chhe maah ki muddat ke dauraan Wazara ki kul ta’adaad ko is nukut ke usul ke mutaabiq laana hoga.
Ittela e zer: Ittela S.O adad 21(E) ba-taarikh 7-1-2004 ke mutaabiq *taarikh hogi 7-1-2004.

Provided further that where the total number of Ministers including the Chief Minister in the Council of Ministers in any State at the commencement of the Constitution (Ninety-first Amendment) Act, 2003 exceeds the said fifteen per cent. or the number specified in the first proviso, as the case may be, then the total number of Ministers in that State shall be brought in conformity with the provisions of this clause within six months from such date* as the President may by public notification appoint.
Footnote: * 7-1-2004, vide Notification S.O. No. 21(E), dated 7-1-2004.

164(1B). Daswi Fehrist ke hissa e tehriir 2 ke tehat kisi Riyaasat ki Riyaasati Majlis ya aesi Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis jaha Qaanuun-saaz Shura bhi ho ooske kisi bhi Aewaan ke kisi rukn ko barkhaast kiya jaaye tou oose nukut (1) ke tehat Waziir ke ohde par mukkarrar nahi kiya jaa sakta, wo bhi darje zeel muddat ke liye: jis taarikh ko oose barkhaast kiya gaya ho oos taarikh se lekar in do taarikh me se jo bhi pehle ho oos taarikh tak; ya tou jis taarikh ko ooski rukniyat khatm hogi oos taarikh tak, ya fir rukniyat ki muddat khatm hone ki taarikh se qabl agar wo kisi Riyaasat ki Riyaasati Majlis ya aesi Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis jaha Qaanuun-saaz Shura bhi ho ooske kisi Aewaan ki rukniyat ke liye intekhaab lade aur oos intekhaab me oose muntakhib aelaan kar diya gaya ho, tou muntakhib hone ki taarikh tak.
A member of the Legislative Assembly of a State or either House of the Legislature of a State having Legislative Council belonging to any political party who is disqualified for being a member of that House under paragraph 2 of the Tenth Schedule shall also be disqualified to be appointed as a Minister under clause (1) for duration of the period commencing from the date of his disqualification till the date on which the term of his office as such member would expire or where he contests any election to the Legislative Assembly of a State or either House of the Legislature of a State having Legislative Council, as the case may be, before the expiry of such period, till the date on which he is declared elected, whichever is earlier.

164(2). Wazaarat ijtemaayi taur par Riyaasati Majlis ke saamne jawaab-daah rahegi.
The Council of Ministers shall be collectively responsible to the Legislative Assembly of the State.

164(3). Kisi Waziir ko ohde par mukarrar karne se qabl Naazim e Riyaasat oose ohde aur raaz-daari ki halaf dilaayenge, halaf oos tehriir ke mutaabiq hogi jise is maqsad ke liye Tiisri Fehrist me darj kiya gaya hae.
Before a Minister enters upon his office, the Governor shall administer to him the oaths of office and of secrecy according to the forms set out for the purpose in the Third Schedule.

164(4). Koi Wazir musalsal chhe maah ki kisi bhi muddat tak Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ka rukn nahi raha ho tou oos muddat ke poore hote hi Waziir ke ohde par bhi faez nahi maana jaayega.
A Minister who for any period of six consecutive months is not a member of the Legislature of the State shall at the expiration of that period cease to be a Minister.

164(5). Wazara ki ujrat aur tankhwaah wo hogi jise Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke zariye waqt ba waqt mutayyin karegi, Jab tak Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ujrat aur tankhwaah ko mutayyin nahi kar deti tab tak, ujrat aur tankhwaah wohi hogi jo Dusri Fehrist me darj hae.
The salaries and allowances of Ministers shall be such as the Legislature of the State may from time to time by law determine and, until the Legislature of the State so determines, shall be as specified in the Second Schedule.


No comments:

Post a Comment