Thursday 5 October 2017

Aain e Hind Ke Mauzuhaat




------




Hissa: I


Ittehaad aur iski Sarzamiin
1. Ittehaad ka naam aur iski sarzamiin.- 
2. Nayi Riyaasaat ki shumuliyat ya qayaam. – 
2A. Mansuukh. 
3. Nayi Riyaasaat ki tashkeel aur maujudaah Riyaasaat ke raqbe, sarhad ya naamou me tabdili.- Qaumi Majlis qaanuun ke zariye-
4. Pehli aur Chauthi Fehrist ko tarmiim karne aur zaaid, fauri aur natijatan masaail ke mutalliq mazmoon 2 aur 3 ke tehet banaaye gaye qawaaniin.- 

Hissa: II


Shehriyat
5. Aain ki nafaazat ke waqt sheheriyat.-
6. Ba’az afraad jo Pakistan se hijrat karke Hind aaye hae unki shehriyat ke haquq.-
7. Pakistan chale gaye huwe ba’az muhajiraen ki shehriyat ke haquq.-
8. Hindi asaliyat ke ba’az afraad jo Hind ke baahar rehaayish-paziir hae unke haquq e shehriyat.-
9. Jo Askhaas apni marzi se kisi digar Mulk ki sheheriyat haasil kar le tou oonka Hind ka shehri nahi hona.-
10. Shehriyat ke haquq ka barqaraar rehna.-
11. Qaumi Majlis qaanuun ke zariye shehriyat ke haq ko mutayyin karegi.-

Hissa: III


Buniyaadi Haquuq

Aam mauzu
12. Khulaasa. –
13. Buniyaadi Haquq ke bar aks ya mukhaalif qawaaniin.-

Masaawaat ka Haq

Hind Ke Buniyaadi Haquq (Mazaameen 14-18)
14. Nazr e Qaanun me masaawat-
15. Deen, nasl, zaat, jins ya maqaame paedaaish ki bina par tafrik par paabandi-
16. Sarkaari mulaazemat ke ma'amlaat ke mawaaqe me masaawaat-
17. Chhut Achhut par paabandi-
18. Alqaab ka khaatma-

Haqq e Aazaadi

19. Aazaadi e bayaan waghaera ke mutalliq ba'az haquq ka tahaffuz
20. Jaraaim ki saza ke mutalliq tahaffuz-
21. Hifaazat e zindagi aur niji aazaadi-
21A. Haqq e Ta'alim-
22. Ba'az maamlaat me giraftaari aur qaed ke mukhaalif tahaffuz-

Haqq e Mukhaalifat e Istehsaal

23. Insaanou ki taskari aur ghulaami par paabandi 
24. Kaar-khaanou waghaera me bachchou ki mulaazimat par paabandi 

Deeni Aazaadi ka Haqq

25. Khayaalaat aur deen ke aazaadaana iqraar, amal aur tabligh ki aazaadi 
26. Deeni ma'amlaat ke intezaam ki aazaadi
27. Kisi khaas deen ki farogh ke liye zaraaeb ki aadaaygi se nijaat
28. Ba'az ta’alimi idaarou me deeni dars ya deeni ibaadat me sharik hone se nijaat 

Saqaafati aur Ta’alimi Haquq

29. Aqliyaati maamlaat ka tahaffuz
30. Aqliyaat ka ta’alimi idaare qaayam aur unka intezaam karne ka haq
31. Mansuukh

Ba’az Qawaanin ka tahaffuz

31A. Jaaedaad ke husul waghaera faraaham karaate huwe qawaanin ka tahhaffuz–
31B. Ba’az Qawaaniin aur Nizaam ki tauseeq.–
31C. Ba’az qawaaniin ka tahhaffuz jo Rahnumaayi Usul ko amal me laate hae.-
31D. Mansuukh

Haqq e Aaini Hal

32. Is Hisse ke zariye ata kiye gaye haquq ko laagu karaane ke liye hal.-
32A. Mansuukh
33. Is hisse ke zariye ata kiye gaye haquq ka Afwaaj waghaera par naafez hone me Qaumi Majlis ka unhe tarmiim kiye jaane ka ikhteyaar-
34. Jab kisi ilaaqe me fauji qaanuun naafez ho to is Hisse ke zariye ata kiye gaye haquq par paabandi.-
35. Is Hisse ke usul ko laagu karne ke liye qaanuun-saazi.-

Hissa: IV

Sarkaari Mansube ke Hidaayati Usul
36. Khulaasa.-
37. Is Hisse me shaamil usul ka laagu hona.-
38. Awaami falaah ki farogh ke liye Sarkaar ek ma’ashri nizaam qaayam kare.-
39. Sarkaar mansube ke ba’az usul ki paerawi kare.-
39A. Masaawaati adl aur muft qaanuuni madad.-
40. Gaauo me panchaayaat ka qayaam.-
41. Kaam karne ka, ta’alim ka aur ba’az ma’amlaat me awaami sahaare ka haq.-
42. Kaam ke dauraan aadilaana aur insaani haalaat aur zachgi ki sahulat ka usul.-
43. Mulaazimeen ke liye muwaafiq ujrat, waghaera. –
43A. San’aat ki nizaamat me mulaazimeen ki shirkat.-
44. Shehrio ke liye yaksaa madani zaabita.-
45. Chhe saal se kam umr ke bachchou ki ibtedaayi dekh-bhaal aur ta’alim ka usul.-
46. Zere-Fehrist Zaat, Zere-Fehrist Qabaail aur dighar kamzor tabqaat ke ta’alimi aur ma’ashi mafaadaat ka usul. –
47. Ghizaaiyaat aur mayaare zindagi ke darje me izaafe aur awaami sehat ko behtar banaane ka Sarkaar ka farz. –
48. Zara’at aur maweshi paalan ki nizaamat.-
48A. Qudrati maahaul ki behtari aur tahaffuz aur jangalaat aur haewaaniya ka tahaffuz.-
49. Qaumi ehmiyat ki imaaraat aur maqaamaat aur ashiya ka tahaffuz.-
50. Adaliya se amaliya ki alaahidgi.-
51. Bainul-aqwaami aman o amaan ki farogh.-

Hissa: IVA


Buniyaadi Faraaez


Hissa: V

Markaz

Baab I.—Amaliya

Sadar e Jamhuriya aur Naaeb Sadar e Jamhuriya
52. Hind ke Sadar e Jamhuriya. —
53. Markaz ka amaliyaati ikhteyaar. —
54. Sadar e Jamhuriya ka intekhaab.—
55. Sadar e Jamhuriya ke intekhaab ka tariqa.—
56. Sadar e Jamhuriya ke ohde ki muddat. —
57. Maziid muntakhib hone ki qaabiliyat. —
58. Sadar e Jamhuriya ke intekhaab ki aehliyat. —
59. Sadar e Jamhuriya ke ohde ki sharaaet. —
60. Sadar e Jamhuriya ke Ohde ki Qubuliyat ki halaf.—
61. Sadar e Jamhuriya ko barkhaast karne ka tariqa.—
62. Sadar e Jamhuriya ke ohde ke khaali maqaam ko bharne ke liye intekhaab karaane ka waqt aur jis shaks ko oos khaali maqaam ko bharne ke liye muntakhib kiya jaaye tou onke ohde ki muddat. —

Hind Ka Markaz (Mazaameen 63-73)
63. Hind ke Naaeb Sadar e Jamhuriya. —
64. Naaeb Sadar e Jamhuriya apne ohde ki bina par Shura e Riyaasaat ke Amiir honge.—
65. Sadar e Jamjuriya ki ghaer maujudgi me ya onke ohde ka maqaam kisi aarzi bina par khaali hua ho tou Naaeb Sadar e Jamhuriya khud Sadar e Jamhuriya ki haesiyat se unke a’amaal ki taqmiil karenge.—
66. Naaeb Sadar e Jamhuriya ka intekhaab —
67. Naaeb Sadar e Jamhuriya ke ohde ki muddat.—
68. Naaeb Sadar e Jamhuriya ke ohde ke khaali maqaam ko bharne ke liye intekhaab karaane ka waqt aur jis shaks ko oos khaali maqaam ko bharne ke liye muntakhib kiya jaaye tou onke ohde ki muddat.—
69. Naaeb Sadar e Jamhuriya ke Ohde ki Qubuliyat ki halaf.—
70. Digar zaruriyaat ke dauraan Sadar e Jamhuriya ke a’amaal ki takmiil.—
71. Sadar e Jamhuriya ya Naaeb Sadar e Jamhuriya ke itekhaab ke mutalliq, ya osse wabasta ma’amlaat.—
72. Sadar e Jamhuriya ka me ma’afi, waghaera dene ka ikhteyaar, aur baaz muqaddamaat ke faeslou ko ma’atal karne ka, radd karne ka ya onki saza ko kam karne ka haq.—
73. Markaz ke amaliyaati ikhteyaar ki had.—

Wazaarat

Hind Ka Markaz (Mazaameen 74-75)
74. Wazaarat ka Sadar e Jamhuriya ko mashwara dena aur oonki madad karna.—
75. Wazara ke mutalliq digar usul.—

Hind Ke Qaumi Wakeel
76. Hind ke Qaumi Wakeel.—

Sarkaar ke kaam ka tarze amal
77. Sarkaar e Hind ke kaam ka tarze amal.-
78. Sadar e Jamhuriya ko ma’alumaat faraaham karne ke mutalliq Wazir e Aazam ke faraaez, waghaera.—
Baab II.—Qaumi Majlis

Aam Mauzu

Hind Ka Markaz (Mazaameen 79-88)
79. Qaumi Majlis ka qayaam.—
80. Shura e Riyaasaat ki banaawat.—
81. Aewaan e Awaam ki banaawat.—
82. Har mardam shumaari ke baad tarteeb e nau.—
83. Qaumi Majlis ke dono Aewaan ki muddat.—
84. Qaumi Majlis ki rukniyat ki aehliyat.—
85. Qaumi Majlis ke ijlaas, oonka multawi kiya jaana aur oonka ikhtetaam kiya jaana.—
86. Sadar e Jamhuriya ka dono Aewaan ko khitaab karne ka aur oonke paighaamaat bhejne ka haq.—
87. Sadar e Jamhuriya ka makhsuus khitaab.—
88. Dono Aewaan ke mutalliq Wazara aur Qaumi Wakil ke haquq.—

Qaumi Majlis ke Afsaraan

Hind Ka Markaz (Mazaameen 89-98)
89. Shura e Riyaasaat ke Amiir aur Naaeb Amiir.—
90. Naaeb Amiir ka ohda khaali hona, oonka istefa dena, ya unki barkhaastgi.—
91. Naaeb Amiir ya digar shakhs ko Amiir ke ohde ke faraaez anjaam dene ka, ya Amiir ki haesiyat se maujud hone ka ikhteyaar.—
92. Amiir ya Naaeb Amiir oos waqt sadaarat nahi kar sakte jab oonko ohde se barkhaast karne ke liye qaraardaad madde nazar ho.—
93. Aewaan e Awaam ke Mukallim aur Naaeb Mukallim.—
94. Mukallim aur Naaeb Mukallim ki oonke ohdo se ghaer haaziri, istefa aur baskhaastgi.—
95. Naaeb Mukallim ya digar shakhs ko Mukallim ke ohde ke faraaez anjaam dene ka, ya Mukallim ki haesiyat se maujud hone ka ikhteyaar.—
96. Mukallim ya Naaeb Mukallim oos waqt sadaarat nahi kar sakte jab oonko ohde se barkhaast karne ke liye qaraardaad madde nazar ho.—
97. Amiir, Naaeb Amiir, Mukallim aur Naaeb Mukallim ki ujrat aur tankhwaah.—
98. Qaumi Majli ka Mehkama e Mo’tamadeen.—

Kaarwaahi ka tarze amal
99. Araakeen ka halaf lena ya aehad karna.—
100. Aewaan me raae shumaari, khaali maqaamaat ke baawajuud Aewaan ki kaarwaahi aur Aewaan ki laazimi haaziri.—

Araakeen kin na-aehliyat

101. Maqaamaat ka khaali hona.—
102. Rukniyat ki na-aehliyat.—
103. Araakeen ki na-aehliyaat ke sawaalaat par faesla.—
104. Mazmoon 99 ke tehat halaf lene ya Aehad karne se qabl ya jab aehliyat na ho tou ya na-aehl kiye jaane ke baad baethhne aur raae dene ka jurmana.—

Qaumi Majlis aur iske Araakeen ke Ikhteyaaraat, Imtiyaazaat aur Istesnaat
105. Qaumi Majlis ke aur iske Araakeen aur iske Wafaazaat ke Ikteyaaraat, imtiyaazaat wagahera.—
106. Araakeen ki ujrat aur tankhwaah.—

Qaanuun-Saazi ka Tariqa

Hind Ka Markaz (Mazaameen 107-111)
107. Tajwizaat ko pesh karne ka aur oonko manzuur karne ke usul.—
108. Ba’az ma’amlaat me dono Aewaan ki majmua nashist.—
109. Maali Tajwizaat ke mutalliq makhsuus tariqa.—
110. “Maali Tajwizaat” ka khulaasa.—
111. Tajwiizaat par Raza.—

Maaliyaati Ma’amlaat ka tariqa
112. Saalaana Maaliyaati Tafsiil.—
113. Takhmiinou ke mutalliq Qaumi Majlis me tariqa.—
114. Makhsuus kiye jaane ke liye Tajwizaat.—
115. Zimni, maziid ya zaaid atiyaat.—
116. Peshgi atiyaat, Naagahaani atiyaat aur imtiyaazi atiyaat.—
117. Maaliyati Tajwiizaat ke mutalliq makhsuus usul.—

Aam Tariqa
118. Tariqe ke qawaaid.—
119. Maaliyaati kaarwaahi ke mutalliq Qaumi Majlis ke tariqa ka qaanuun ke zariye munazzam.—
120. Qaumi Majlis me istemaal ki jaane waali Zabaan.—
121. Qaumi Majlis me behes par paabandi.—
122. Qaumi Majlis ki kaarwaahi ki taftiish adaalaat nahi kar sakti.—

Baab III.—Sadar e Jamhuriya ke qaanuun-saazi ke ikhteyaaraat

Hind ka Markaz (Mazmoon 123)

123. Qaumi Majlis ke waqfe ke dauraan Sadar e Jamhuriya ka Ahkaamaat naafez karne ka ikhteyaar.—


Baab IV.—Markazi Adaliya

Hind ka Markaz (Mazaameen 124-135)
124. Adaalat e Uzma ka qayaam aur tashkeel.—
125. Qazaat ki ujrat waghaera.—
126. Aarzi Qaazi e Aazam ka mukarrar kiya jaana.—
127. Makhsuus Qazaat ka mukarrar kiya jaana.—
128. Maazuul Qazaat ka Adaalat e Uzma ki nashistou me haazir rehna.—
129. Adaalat e Uzma ka indaraaji adaalaat hona.—
130. Adaalat e Uzma ka maqaam.—
131. Adaalat e Uzma ki Awwaliin Sam’aat.—

131A. [Mansuukh]
132. Adaalaat e Aalia se faryaadou ke ba’az ma’amlaat me Adaalat e Uzma ki Sam’at e Ukhra.—
133. Adaalaat e Aalia se faryaadou ke madani ma’amlaat me Adaalat e Uzma ki Sam’at e Ukhra.—
134. Mujrimaana ma’amlaat me Adaalat e Uzma ki Sam’at e Ukhra.—
134A. Adaalat e Uzma me faryaad ki tauseeq.—
135. Maujuda qaanun ke tehet Wafaaqi Adaalat ka daaerae kaar aur ooske ikhteyaaraat Adaalat e Uzma.—




Baab V.Hind ke Qaumi Naazim o Muhaasib

148. Hind ke Qaumi Naazim o Muhaasib.—
149. Qaumi Naazim o Muhaasib ke faarez aur ikhteyaaraat.—
150. Markaz aur Riyaasaat ke khaatou ki tarteeb.—
151. Muhaasibe ke tehriiri nataaij.—

Hissa: VI

Riyaasaat

Baab I.— Aam Mauzu

Hind Ki Riyaasaat (Mazmoon 152)

152: Wazaahat


Baab II.— Amaliya


Naazim e Riyaasat

Hind Ki Riyaasaat (Mazaameen 153-162)

153. Naazimeen e Riyaasaat.—
154. Riyaasat ka amaliyaati ikhteyaar.—
155. Naazim e Riyaasat ka mukarrar kiya jaana.—
156. Naazim e Riyaasat ke ohde ki muddat.—
157. Naazim e Riyaasat mukarrar kiye jaane ki aehliyat.—
158. Naazim e Riyaasat ke ohde ki sharaaet.—
159. Naazim e Riyaasat ke Ohde ki Qubuliyat ki halaf.—
160. Ba’az Naagahaani haalat ke dauraan Naazim e Riyaasat ke a’amaal ki takmiil.—
161. Naazim e Riyaasat ka me ma’afi, waghaera dene ka ikhteyaar, aur baaz muqaddamaat ke faeslou ko ma’atal karne ka, radd karne ka ya onki saza ko kam karne ka haq.—
162. Riyaasat ke amaliyaati ikhteyaar ki had.—



Wazaarat

Hind Ki Riyaasaat (Mazaameen 163-164)

163. Wazaarat ka Naazim e Riyaasat ko mashwara dena aur oonki madad karna.—
164. Wazara ke mutalliq digar usul.—


Riyaasat ke Riyaasati Wakeel

Hind Ki Riyaasaat (Mazmoon 165)

165. Riyaasat ke Riyaasati Wakeel.—

Hukumat ke kaam ka tarze amal



166. Kisi Riyaasat ki Hukumat ke kaam ka tarze amal.—
167. Naazim e Riyaasat ko ma’alumaat faraaham karne ke mutalliq Wazir e Aala ke faraaez, waghaera.—


Baab III.— Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis


Aam Mauzu

168. Riyaasaat me Riyaasaati Qaanuun-saaz Majaalis ke qayaam.—
169. Riyaasaat me Riyaasaati Shura ka qayaam kiya jaana ya oonhe khatm kiya jaana.—
170. Riyaasaati Majaalis ki banaawat.—
171. Riyaasaati Shura ki banaawat.—
172. Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ki muddat.—
173. Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ki rukniyat ki aehliyat.—
174. Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke ijlaas, oonka multawi kiya jaana aur oonka ikhtetaam kiya jaana.—
175. Naazim e Riyaasat ek ya ka dono Aewaan ko khitaab karne ka aur oonke paighaamaat bhejne ka haq.—
176. Naazim e Riyaasat ka makhsuus khitaab.—
177. Dono Aewaan ke mutalliq Wazara aur Riyaasati Wakil ke haquq.—


Riyasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke Afsaraan


178. Riyaasati Majlis ke Mukallim aur Naaeb Mukallim.—
179. Mukallim aur Naaeb Mukallim ki oonke ohdo se ghaer haaziri, istefa aur baskhaastgi.—
180. Naaeb Mukallim ya digar shakhs ko Mukallim ke ohde ke faraaez anjaam dene ka, ya Mukallim ki haesiyat se maujud hone ka ikhteyaar.—
181. Mukallim ya Naaeb Mukallim oos waqt sadaarat nahi kar sakte jab oonko ohde se barkhaast karne ke liye qaraardaad madde nazar ho.—
182. Riyaasati Shura ke Amiir aur Naaeb Amiir.—
183. Amiir ya Naaeb Amiir ka ohda khaali hona, oonka istefa dena, ya unki barkhaastgi.—
184. Naaeb Amiir ya digar shakhs ko Amiir ke ohde ke faraaez anjaam dene ka, ya Amiir ki haesiyat se maujud hone ka ikhteyaar.—
185. Amiir ya Naaeb Amiir oos waqt sadaarat nahi kar sakte jab oonko ohde se barkhaast karne ke liye qaraardaad madde nazar ho.—
186. Mukallim, Naaeb Mukallim, Amiir aur Naaeb Amiir, ki ujrat aur tankhwaah.—
187. Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ka Mehkama e Mo’tamadeen.—


Kaarwaahi ka tarze amal 

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 188-189)
188. Araakeen ka halaf lena ya aehad karna.—
189. Aewaan me raae shumaari, khaali maqaamaat ke baawajuud Aewaan ki kaarwaahi aur Aewaan ki laazimi haaziri.—



Araakeen ki na-aehliyat

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 190-193)

190. Maqaamaat ka khaali hona.—
191. Rukniyat ki na-aehliyat.—
192. Araakeen ki na-aehliyaat ke sawaalaat par faesla.—
193. Mazmoon 188 ke tehat halaf lene ya Aehad karne se qabl ya jab aehliyat na ho tou ya na-aehl kiye jaane ke baad baethhne aur raae dene ka jurmana.—


Riyaasaat ki Qaanuun-saaz Majaalis aur inke Araakeen ke Ikhteyaaraat, Imtiyaazaat aur Istesnaat

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 194-195)
194. Qaanuun-saaz Majaalis ke Aewaan ke aur iske Araakeen ke aur iske Wafaazaat ke Ikteyaaraat, imtiyaazaat wagahera.—
195. Araakeen ki ujrat aur tankhwaah.—



Qaanuun-Saazi ka Tariqa

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 196-201)
196. Tajwizaat ko pesh karne ka aur oonko manzuur karne ke usul.—
197. Maali Tajwiizaat ke alaawa digar Tajwiizaat ke mutalliq Riyaasati Shura ke ikhteyaaraat ke hudud.—
198. Maali Tajwizaat ke mutalliq makhsuus tariqa.—
199. “Maali Tajwizaat” ka khulaasa.—
200. Tajwiizaat par Raza.—
201. Maade nazar ki garaz se makhsuus ki gayi Tajwiizaat.—



Maaliyaati Ma’amlaat ka tariqa

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 202-207)
202. Saalaana Maaliyaati Tafsiil.—
203. Takhmiinou ke mutalliq Qaanuun-saaz Majlis me tariqa.—
204. Makhsuus kiye jaane ke liye Tajwizaat.—
205. Zimni, maziid ya zaaid atiyaat.—
206. Peshgi atiyaat, Naagahaani atiyaat aur imtiyaazi atiyaat.—
207. Maaliyati Tajwiizaat ke mutalliq makhsuus usul.—


Aam Tariqa

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 208-212)
208. Tariqe ke qawaaid.—
209. Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis me maaliyaati kaarwaahi ke mutalliq tariqe ka qaanuun ke zariye munazzam.—
210. Qaanuun-saaz Majlis me istemaal ki jaane waali Zabaan.—
211. Qaanuun-saaz Majlis me behes par paabandi.—
212. Qaanuun-saaz Majlis ki kaarwaahi ki taftiish adaalaat nahi kar sakti.—


Baab IV.— Naaziim e Riyaasat ke qaanuun-saazi ke ikhteyaaraat

Hind ki Riyaasaat (Mazmoon 213)
213. Qaanuun-saaz Majlis ke waqfe ke dauraan Naaziim e Riyaasat ka Ahkaamaat naafez karne ka ikhteyaar.—


Baab V.— Riyaasaat me Adaalaat e Aalia

Hind ki Riyaasat (Mazaameen 214-223)
214. Riyaasaat ke liye Adaalaat e Aalia.—
215. Adaalaat e Aalia ka indaraaji adaalaat hona.—
216. Adaalaat e Aalia ki tashkeel.—
217. Adaalat e Aalia ke Qaazi ka mukarrar kiya jaana aur oos ohde ki sharaaet.—
218. Adaalat e Uzma ke mutalliq ba’az usul ka Adaalaat e Aalia par bhi laagu hona.—
219. Adaalaat e Aalia ke Qazaat ka halaf lena ya aehad karna.—
220. Mustaqil Qaazi hone ke baad amal karne par paabandi.—
221. Qazaat ki ujrat waghaera.—
222. Kisi Qaazi ka kisi ek Adaalat e Aalia se kisi digar me muntaqiil kiya jaana.—
223. Aarzi Qaazi e Aala ka mukarrar kiye jaana.—

Hind Ki Riyaasat (Mazaameen 224-232)
224. Zaaid aur aarzi Qazaat ka mukarrar kiya jaana—
224A. Adaalaat e Aalia ki nashistou me maazul shuda Qazaat ka muqarrar kiya jaana
225. Adaalaat e Aalia ka maujudaah daaerae kaar
226. Adaalaat e Aalia ka ba’az ahkaamaat jaari karne ka ikhteyaar.—
226A. Mansuukh
227. Tamaam adaalaat par Adaalat e Aalia ka nighraani rakhne ka ikhteyaar—
228. Ba’az Ma’amlaat ka Adaalat e Aalia ko muntaqil kiya jaana.—
228A. Mansuukh
229. Adaalaat e Aalia ke afsaraan aur mulazimaan aur ikhraajaat.—
230. Markaz ke ilaaqou tak Adaalaat e Aalia ke daaerae kaar ki tawasi.—
231. Do ya zaaid Riyaasaat ke liye ek mushtarka Adaalat e Aalia ka qayaam.—
232. Tashriih.- 


Baab VI.— Nichli Adaalaat

Hind Ki Riyaasat (Mazaameen 233-237)
233. Qazaat e Zilla ka mukarrar kiya jaana.—
233A. Ba’az qazaat ki muqarrardagi, aur unke sunaaye gaye faeslou waghaera ki tauseeq.—
234. Qazaat e zilla ke alaawa adaalati mulaazimat ke dighar ohdou par ashkhaas ki bharti.—
235. Nichli adaalat ke oopar ikhteyaar.—
236. Tashriih.—
237. Is baab ke usul ka baaz tabqe ya tabqaat ke hukkaam par aaid kiya jaana.—

Hissa:VII [Mansuukh]

Hind Ki Pehli Fehrist Ke Hisse B Ki Riyaasaat (Mazmoon 238)
238. Hisse VI ke usul ka Pehli Fehrist ke Hisse B ki Riyaasaat par aaid hona. [Mansuukh]

Hissa: XVII

Sarkaari Zabaan

Baab I. –Markaz Ki Zabaan

Hind Me Sarkaari Zabaan (Mazaameen 342-344)
343. Markaz ki Sarkaari Zabaan. –
344. Sarkaari zabaan ke liye Qaumi Majlis ke Ikhteyaari-Wafaz aur Mashwaraati-Wafaz.-

Baab II. — Ilaaqaayi Zabaane

345. Sarkaari Zabaan ya kisi Riyaasat ki zabaane.—
346. Ek aur dusri Riyaasat ke bich ya ek Riyaasat aur Markaz ke bich mawaaselaat ki sarkaari zabaan.—
347. Kisi Riyaasat ki awaam ke ek tabqe ke zariye boli jaane waali zabaan ke mut’alliq makhsus usul.—

Baab III.—Adaalat e Uzma, Adaalaat e Aalia, waghaera ki zabaan.

348. Adaalat e Uzma aur Adaalaat e Aalia aur Qawaaid, Tajwizaat, Waghaera me ist’emaal hone waali Zabaan.—
349. Zabaan ke mutalliq ba’az qawaaniin ke nafaazat ke liye makhsus tariqa.—

Baab IV. —Makhsus Hidaayaat

350. Shikaayaat ke hal ke liye numaaindagi me ist’emaal ki jaane waali zabaan.—
350A. Ibtedaayi darje me maadari-zabaan me dars dene ki sahuulat.—
350B. Zabaani aetebaar se aqliyaat ke liye Makhsus Afsar. —
351. Hindi zabaan ki taraqqi ke liye hidaayat.— 

Hissa: XX

Aain ki Tarmeem

Aain e Hind ki Tarmeem (Mazmoon 368)
368. Qaumi Majlis ka Aain ki tarmeem karne ka ikhteyaar aur iska tariqa.—
Hissa:XXII

Hissa: XXII

Mukhtasar Naam, Nafaazat, Hindi me Mustanad Asha’at aur Mansuukhaat
393. Mukhtasar naam.—
394. Nafaazat.—
394A. Hindi zabaan me mustanad asha’at.—
395. Mansuukhaat.—
------

Schedules

I. Riyaasaat (Naam)
II. Markaz ke Ilaaqe (Naam)
Hissa A
Sadar e Jamhuriya aur Naazimeen e Riyaasaat ke mutalliq usul
Hissa B 
(Mansuukh)
Hissa C
Aewaan e Awaam ke Mukallim aur Naaeb Mukallim aur Shura e Riyaasaat ke Amiir aur Naaeb Amiir ke mutalliq usul
Halaf ya Aehaadaat ki tehriraat
Shura e Riyaasaat me maqaamaat ka ta’ayyun

Zabaane
Mukhaalifat ki bina par barkhaastgi ke usul
------






1 comment:

  1. Can you please post a list of eight comittees and sub comittees under Dr BRAmbedkar's chairmanship? I think it is also important to know as to how tge constitution made. Names of comitees in URDU plzźzzzzzz.

    ReplyDelete