Tuesday, 10 October 2017

The Union (Article 123) of India (Urdu)

Hind ka Markaz (Mazmoon 123)



Hissa V
Part V



Markaz
The Union



Baab III.—Sadar e Jamhuriya ke qaanuun-saazi ke ikhteyaaraat
Chapter III.—Legislative powers of the President


123. Qaumi Majlis ke waqfe ke dauraan Sadar e Jamhuriya ka Ahkaamaat naafez karne ka ikhteyaar.—
Power of President to promulgate Ordinances during recess of Parliament.—

123(1). Siwaaye tab jab ke Qaumi Majlis ke dono Aewaan ka Ijlaas chal raha hou, iske alaawa kisi bhi waqt, agar Sadar e Jamhuriya is par mutmaiin hae ke haalaat aese hae ke jinke tehat oonke liye fauri qadam oothhana zaruri ho gaya hae tou, Sadar e Jamhuriya chaahe tou, oonhe haalaat ki jis had tak zarurat lage oos had tak wo Sadari Ahkaamaat naafez kar sakte hae.
If at any time, except when both Houses of Parliament are in session, the President is satisfied that circumstances exist which render it necessary for him to take immediate action, he may promulgate such Ordinances as the circumstances appear to him to require.

123(2). Is mazmoon ke tehat jaari karda Sadari Hukm ki quwwat aur asar waesa hi hoga jaese ke Qaumi Majlis ke kisi Qaede ka hota hae, lekin aese har Sadari Hukm ko—
(2) An Ordinance promulgated under this article shall have the same force and effect as an Act of Parliament, but every such Ordinance—

123(2a). Qaumi Majlis ke donohi Aewaan ke saamne rakha jaayega aur Qaumi Majlis ki agli nashist se chhe maah ki muddat khatam ho jaane ke baad oos Sadari Hukm ki nafaazat bhi khatm ho jaayegi, ya, agar aesi muddat khatam hone se qabl hi donohi Aewaan ne ek ek qaraardaad ke zariye ise na manzur kar diya tou jaese hi oonme se dusri qaraardaad ke zariye ise na manzur kiya jaata hae tab hi Sadari Hukm ki nafaazat khatm ho jaaye gi; aur
shall be laid before both Houses of Parliament and shall cease to operate at the expiration of six weeks from the reassembly of Parliament, or, if before the expiration of that period resolutions disapproving it are passed by both Houses, upon the passing of the second of those resolutions; and

123(2b). Sadar e Jamhuriya chaahe tou kisi bhi waqt ooski nafaazat khatm kar sakte hae.
may be withdrawn at any time by the President.

Wazaahat.—is nukut ke maqsad ke tehat, jab Qaumi Majlis ke dono Aewaan ko mukhtalif taarikh par agli nashist karne ka hukm diya gaya ho tab, chhe maah ki muddat ka hisaab baad ki taarikh se lagaaya jaayega.
Explanation.—Where the Houses of Parliament are summoned to reassemble on different dates, the period of six weeks shall be reckoned from the later of those dates for the purposes of this clause.

123(3). Agar is mazmoon ke tehet jaari karda Sadari Hukm aese usul qaayam karta hou jo is Aain ke tehet Qaumi Majlis bhi qayam karne ka ikhteyaar nahi rakhti, tou jis had tak oos usul ka aesa pehlu ho, wo pehlu koi haesiyat nahi rakhega.
If and so far as an Ordinance under this article makes any provision which Parliament would not under this Constitution be competent to enact, it shall be void.










No comments:

Post a Comment