Tuesday 24 October 2017

The States (Articles 166-167) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 166-167)



Hissa VI
Part VI



Riyaasaat
The States



Baab II.—Amaliya
Chapter II.—The Executive


Hukumat ke kaam ka tarze amal
Conduct of Government Business

166. Kisi Riyaasat ki Hukumat ke kaam ka tarze amal.—
Conduct of business of the Government of a State.—

166(1). Ye maana jayega ke kisi Riyaasat ki Hukumat ke taamaam amaliyaati kaarwaahi ki wazaahat Naazim e Riyaasat ke naam par ada ki jaa rahi hae.
All executive action of the Government of a State shall be expressed to be taken in the name of the Governor.

166(2). Naazim e Riyaasat ke naam par banaaye gaye aur amal me laaye gaye Ahkaam-naame aur digar dastaawez ki tauseeq Naazim e Riyaasat ke banaaye gaye qaaede me waazae kiye gaye tariqe ke mutaabiq hogi, aur aese tauseeq shuda hukm naame ya dastaawez ki tasdeeq par is bina par sawaal nahi uthaaya jaa sakta ke wo Naazim e Riyaasat ka banaaya gaya ya unka amal me laaya gaya hukm naama ya dastaawez nahi hae.
Orders and other instruments made and executed in the name of the Governor shall be authenticated in such manner as may be specified in rules to be made by the Governor, and the validity of an order or instrument which is so authenticated shall not be called in question on the ground that it is not an order or instrument made or executed by the Governor.

166(3). Naazim e Riyaasat Riyaasat ki Hukumat ke kaam ki ta’amiil ko mazid aasaan karne ke liye, aur aese kaam ko Wazara ke darmeyaan taqseem karne ke mutalliq qawaaid banaayenge, oos had tak ke kaam aese nahi honge jin kaam ka oonki aql se kiya jaana Naazim e Riyaasat ke liye Aain ke zariye ya is Aain ke tehat laazim ho.
The Governor shall make rules for the more convenient transaction of the business of the Government of the State, and for the allocation among Ministers of the said business in so far as it is not business with respect to which the Governor is by or under this Constitution required to act in his discretion.

167. Naazim e Riyaasat ko ma’alumaat faraaham karne ke mutalliq Wazir e Aala ke faraaez, waghaera.—
Duties of Chief Minister as respects the furnishing of information to Governor, etc.—

Ye har ek Riyaasat ke Wazir e Aala par farz hoga ke wo—
It shall be the duty of the Chief Minister of each State—

167(a). Riyaasat ke ma’amlaat ki nizaamat, aur qaanuun-saazi ki tajwizaat ke mutalliq Wazaarat ke tamaam faeslou ki ittela Naazim e Riyaasat ko de;
to communicate to the Governor of the State all decisions of the Council of Ministers relating to the administration of the affairs of the State and proposals for legislation;

167(b). Riyaasat ke ma’amlaat ki nizaamat, aur qaanuun-saazi ki tajwizaat ke mutalliq Wazaarat ke tamaam faeslou ki ittela, jinka Naazim e Riyaasat mutaalba kare, unki ittela Naazim e Riyaasat ko de; aur
to furnish such information relating to the administration of the affairs of the State and proposals for legislation as the Governor may call for; and

167(c). Agar kisi mas’ale par kisi ek Waziir ne koi faesla kiya ho lekin uspar Wazaarat ne gaur o fikr nahi ki ho, tou agar Naazim e Riyaasat is mutalliq mutaalba kare, tou oos mas’ale ko Wazaarat ke saamne gaur o fikr ke liye bheje.
if the Governor so requires, to submit for the consideration of the Council of Ministers any matter on which a decision has been taken by a Minister but which has not been considered by the Council.





Monday 23 October 2017

The States (Article 165) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazmoon 165)



Hissa VI
Part VI



Riyaasaat
The States



Baab II.—Amaliya
Chapter II.—The Executive


Riyaasat ke Riyaasati Wakeel
The Advocate-General for the State

165. Riyaasat ke Riyaasati Wakeel.—
Advocate-General for the State.—

165(1). Har ek Riyaasat ke Naazim e Riyaasat ek aese shakhs ko Riyaasat ke Riyaasati Wakeel mukarrar karenge jo Adaalat e Aalia me Qaazi mukarrar kiye jaane ke aehl ho.
The Governor of each State shall appoint a person who is qualified to be appointed a Judge of a High Court to be Advocate-General for the State.

165(2). Ye Riyaasati Wakeel par farz hoga ke wo Riyaasat ki Hukumat ko aese qaanuuni ma’amlaat me apni raae de, aur aese digar faraaez ki ta’amil kare jo qaanuuni nauiyyat ke hou, jinhe Naazim e Riyaasat ne waqt ba waqt oonke saamne madde nazar kiya ho ya oonhe saupa ho, aur aese a’amaal ki takmeel kare jo is Aain ya kisi digar maujudaah qaanuun ke zariye oonpar aaed kiye gaye hou.
It shall be the duty of the Advocate-General to give advice to the Government of the State upon such legal matters, and to perform such other duties of a legal character, as may from time to time be referred or assigned to him by the Governor, and to discharge the functions conferred on him by or under this Constitution or any other law for the time being in force.

165(3). Riyaasati Wakeel apne ohde par tab tak hi qaayam rahenge jab tak ke Naazim e Riyaasat ki raza ho, aur oonhe aesa muaawaza ada kiya jaayega jaesa ke Naazim e Riyaasat mutayyin kare.
The Advocate-General shall hold office during the pleasure of the Governor, and shall receive such remuneration as the Governor may determine.




The States (Articles 163-164) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 163-164)


Hissa VI

Part VI



Riyaasaat
The States



Baab II.—Amaliya
Chapter II.—The Executive


Wazaarat
Council of Ministers

163. Wazaarat ka Naazim e Riyaasat ko mashwara dena aur oonki madad karna.—
Council of Ministers to aid and advise Governor.—

163(1). Ek Wazaarat hogi jiske amiir Wazir e Aala honge, ye Wazaarat Naazim e Riyaasat ko oonke a’amaal ki takmiil me mashwara degi aur unki madad karegi, siwaaye tab jab jis had tak is Aain ke zariye ya is Aain ke tehat oonpar ye laazim ho ke wo aese kisi bhi a’amal ki takmiil oonki khud ki aql se karenge.
There shall be a Council of Ministers with the Chief Minister at the head to aid and advise the Governor in the exercise of his functions, except in so far as he is by or under this Constitution required to exercise his functions or any of them in his discretion.

163(2). Agar aesa koi sawaal uthhta hae ke koi ma’amla aesa hae ya nahi jisme is Aain ke zariye ya is Aain ke tehat Naazim e Riyaasat par ye laazim hae ke oos ma’amle ki takmiil wo oonki khud ki aql se kare tou, Naazim e Riyaasat is par oonki aql se jo faesla karenge wo hatami hoga, aur Naazim e Riyaasat ke kiye gaye kisi amal ki sehat par is bina par sawaal nahi uthhaaya ja sakta ke oonhe amal oonki khud ki aql se karna tha ya nahi karna tha.
If any question arises whether any matter is or is not a matter as respects which the Governor is by or under this Constitution required to act in his discretion, the decision of the Governor in his discretion shall be final, and the validity of anything done by the Governor shall not be called in question on the ground that he ought or ought not to have acted in his discretion.

163(3). Is sawaal par kisi bhi adaalat me tahqiiq nahi ki jaa sakti ke Wazara ne Naazim e Riyaasat ko mashwara diya ya nahi, aur agar diya to kya mashwara diya.
The question whether any, and if so what, advice was tendered by Ministers to the Governor shall not be inquired into in any court.

164. Wazara ke mutalliq digar usul.—
Other provisions as to Ministers.—

164(1). Naazim e Riyaasat Waziir e Aala ko mukarrar karenge aur Waziir e Aala ke mashware par Naazim e Riyaasat digar Wazara ko mukarrar karenge, aur Wazara apne ohdou par tab tak hi qaayam rahenge jab tak ke Naazim e Riyaasat ki raza ho:
The Chief Minister shall be appointed by the Governor and the other Ministers shall be appointed by the Governor on the advice of the Chief Minister, and the Ministers shall hold office during the pleasure of the Governor:

Shart ye hae ke Chhattisgadh, Jhaarkhand, Madhya Pradesh aur Odisha Riyaasaat me, ek Waziir qabaaeli falaah ke zimmedaar honge jo maziid Zere Fehrist Zaat aur pasmaanda tabqe ya kisi digar kaam ke zimmedaar bhi ho sakte hae.
Provided that in the States of Chhattisgarh, Jharkhand, Madhya Pradesh and Odisha, there shall be a Minister in charge of tribal welfare who may in addition be in charge of the welfare of the Scheduled Castes and backward classes or any other work.

164(1A). Wazaarat me Waziir e Aala ko shumaar karke tamaam Wazara ki ta’adaad Riyaasati Majlis ke tamaam araakeen ki kul ta’adaad ke pandhra fii-sad se zyaada nahi honi chaahiye:
The total number of Ministers, including the Chief Minister, in the Council of Ministers in a State shall not exceed fifteen per cent. of the total number of members of the Legislative Assembly of that State:

Shart ye hae ke Waziir e Aala ko shumaar karke tamaam Wazara ki ta’adaad kam az kam baara honi chaahiye:
Provided that the number of Ministers, including the Chief Minister in a State shall not be less than twelve:

Mazid shart ye hae ke 2003, Aaini Qaaede (Tarmeen adad Ekyaan-nawwe) ki nafaazat par jaha Waziir e Aala ko shumaar karke tamaam Wazara ki ta’adaad pandhra fii-sad se zaaid ho tou ya pehli shart me waazae kiye gaye adad se zaaid ho tou, jaesa bhi ma’amla ho, tab Wazara ki kul ta’adaad ko oos *taarikh se jise Sadar e Jamhuriya ne awaami ittela ke zariye mukarrar kiya ho tou oos taarikh se chhe maah ki muddat ke dauraan Wazara ki kul ta’adaad ko is nukut ke usul ke mutaabiq laana hoga.
Ittela e zer: Ittela S.O adad 21(E) ba-taarikh 7-1-2004 ke mutaabiq *taarikh hogi 7-1-2004.

Provided further that where the total number of Ministers including the Chief Minister in the Council of Ministers in any State at the commencement of the Constitution (Ninety-first Amendment) Act, 2003 exceeds the said fifteen per cent. or the number specified in the first proviso, as the case may be, then the total number of Ministers in that State shall be brought in conformity with the provisions of this clause within six months from such date* as the President may by public notification appoint.
Footnote: * 7-1-2004, vide Notification S.O. No. 21(E), dated 7-1-2004.

164(1B). Daswi Fehrist ke hissa e tehriir 2 ke tehat kisi Riyaasat ki Riyaasati Majlis ya aesi Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis jaha Qaanuun-saaz Shura bhi ho ooske kisi bhi Aewaan ke kisi rukn ko barkhaast kiya jaaye tou oose nukut (1) ke tehat Waziir ke ohde par mukkarrar nahi kiya jaa sakta, wo bhi darje zeel muddat ke liye: jis taarikh ko oose barkhaast kiya gaya ho oos taarikh se lekar in do taarikh me se jo bhi pehle ho oos taarikh tak; ya tou jis taarikh ko ooski rukniyat khatm hogi oos taarikh tak, ya fir rukniyat ki muddat khatm hone ki taarikh se qabl agar wo kisi Riyaasat ki Riyaasati Majlis ya aesi Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis jaha Qaanuun-saaz Shura bhi ho ooske kisi Aewaan ki rukniyat ke liye intekhaab lade aur oos intekhaab me oose muntakhib aelaan kar diya gaya ho, tou muntakhib hone ki taarikh tak.
A member of the Legislative Assembly of a State or either House of the Legislature of a State having Legislative Council belonging to any political party who is disqualified for being a member of that House under paragraph 2 of the Tenth Schedule shall also be disqualified to be appointed as a Minister under clause (1) for duration of the period commencing from the date of his disqualification till the date on which the term of his office as such member would expire or where he contests any election to the Legislative Assembly of a State or either House of the Legislature of a State having Legislative Council, as the case may be, before the expiry of such period, till the date on which he is declared elected, whichever is earlier.

164(2). Wazaarat ijtemaayi taur par Riyaasati Majlis ke saamne jawaab-daah rahegi.
The Council of Ministers shall be collectively responsible to the Legislative Assembly of the State.

164(3). Kisi Waziir ko ohde par mukarrar karne se qabl Naazim e Riyaasat oose ohde aur raaz-daari ki halaf dilaayenge, halaf oos tehriir ke mutaabiq hogi jise is maqsad ke liye Tiisri Fehrist me darj kiya gaya hae.
Before a Minister enters upon his office, the Governor shall administer to him the oaths of office and of secrecy according to the forms set out for the purpose in the Third Schedule.

164(4). Koi Wazir musalsal chhe maah ki kisi bhi muddat tak Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ka rukn nahi raha ho tou oos muddat ke poore hote hi Waziir ke ohde par bhi faez nahi maana jaayega.
A Minister who for any period of six consecutive months is not a member of the Legislature of the State shall at the expiration of that period cease to be a Minister.

164(5). Wazara ki ujrat aur tankhwaah wo hogi jise Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke zariye waqt ba waqt mutayyin karegi, Jab tak Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ujrat aur tankhwaah ko mutayyin nahi kar deti tab tak, ujrat aur tankhwaah wohi hogi jo Dusri Fehrist me darj hae.
The salaries and allowances of Ministers shall be such as the Legislature of the State may from time to time by law determine and, until the Legislature of the State so determines, shall be as specified in the Second Schedule.


Saturday 21 October 2017

The States (Articles 153-162) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 153-162)

Hissa VI
Part VI



Riyaasaat
The States



Baab II.—Amaliya
Chapter II.—The Executive



Naazim e Riyaasat
The Governor



153. Naazimeen e Riyaasaat.—
Governors of States.—

Har Riyaasat ke ek Naazim e Riyaasat honge:
There shall be a Governor for each State:

Shart ye hae ke is mazmoon ka koi bhi pehlu ek hi shakhs ko do ya zaaid Riyaasaat ka Naazim e Riyaasat mukarrar kiye jaane nahi rokta.
Provided that nothing in this article shall prevent the appointment of the same person as Governor for two or more States.

154. Riyaasat ka amaliyaati ikhteyaar.—
Executive power of State.—

154(1). Riyaasat ka amaliyaati ikhteyaar Naazim e Riyaasat ke supurd hoga aur oon ihkteyaar par amal khud ba-zaat oonke kiya jaayega ya fir oonke naaeb afsaraan ke zariye kiya jaaye ga, aur wo amal is Aain ke mutaabiq hoga.
The executive power of the State shall be vested in the Governor and shall be exercised by him either directly or through officers subordinate to him in accordance with this Constitution.

154(2). Is mazmoon ke kisi bhi pehlu—
Nothing in this article shall—

154(2a). se ye nahi maana jaayega ke kisi bhi digar mohkam ko kisi bhi maujuda qaanuun ke zariye ata kiya gaya kisi a’amaal ko karne ka haq Naazim e Riyaasat ko muntaqil hoga; ya
be deemed to transfer to the Governor any functions conferred by any existing law on any other authority; or

154(2b). ke zariye Qaumi Majlis ya Riyaasat ki Majlis ko Naazim e Riyaasat ke maatehet kisi bhi digar mohkam par qaanuunan a’amal nafez karne se nahi roka ja sakta.
prevent Parliament or the Legislature of the State from conferring by law functions on any authority subordinate to the Governor.

155. Naazim e Riyaasat ka mukarrar kiya jaana.—
Appointment of Governor.—

Naazim e Riyaasat ko Sadar e Jamhuriya oonke dastakhat aur mohr shuda dastawez ke zariye mukarrar karenge.
The Governor of a State shall be appointed by the President by warrant under his hand and seal.

156. Naazim e Riyaasat ke ohde ki muddat.—
Term of office of Governor.—

156(1). Naazim e Riyaasat apne ohde par tab tak hi qaayam rahenge jab tak ke Sadar e Jamhuriya ki raza ho.
The Governor shall hold office during the pleasure of the President.

156(2). Naazim e Riyaasat chaahe tou, wo kisi bhi waqt, apne dastakhat ke tehat Sadar e Jamhuriya ko di gayi apni tehriir ke zariye, apne ohde se istefa de sakte hae.
The Governor may, by writing under his hand addressed to the President, resign his office.

156(3). Is mazmoon ke zere zikr usul ke tehet rehte hue, Naazim e Riyaasat jis taarikh se apne ohde par faaez honge us taarikh se lekar paanch saal ki muddat tak apne ohde par faaez rahenge:
Subject to the foregoing provisions of this article, a Governor shall hold office for a term of five years from the date on which he enters upon his office:

Shart ye hae keNaazim e Riyaasat, ape ohde ki muddat ke khatm ho jaane ke baawajood, apne ohde par faaez rahenge jab tak ke unke jaanasheen ohde par khud faaez nahi ho jaate.
Provided that a Governor shall, notwithstanding the expiration of his term, continue to hold office until his successor enters upon his office.

157. Naazim e Riyaasat mukarrar kiye jaane ki aehliyat.—
Qualifications for appointment as Governor.—

Kisi bhi shakhs Naazim e Riyaasat mukarrar kiye jaane ke liye aehl tab’hi maana jaaye ga jab wo Hind ka shehri hoga aur oosne paetiis saal ki umr mukammil kar li hogi.
No person shall be eligible for appointment as Governor unless he is a citizen of India and has completed the age of thirty-five years.

158. Naazim e Riyaasat ke ohde ki sharaaet.—
Conditions of Governor's office.—

158(1). Naazim e Riyaasat Qaumi Majlis ke done me se kisi bhi Aewaan ke rukn nahi ho sakte, aur kisi bhi aesi Riyaasat jo Pehli Fehrist me darj hae ooski Qaanuun-Saaz Majlis ke kisi bhi Aewaan ke rukn nahi ho sakte, aur agar Qaumi Majlis ke dono me se kisi bhi Aewaan ke kisi rukn ko ya kisi bhi Riyaasat ki Qaanuun-Saaz Majlis ke kisi bhi Aewaan ke kisi rukn ko Naazim e Riyaasat muntakhib kiya jaata hae tou, ye maana jaayega ke onhone oos Aewaan jiske wo rukn the waaha se apni rukniyat ko oos taarikh ko tarq kar diya jis din wo Naazim e Riyaasat ke ohde par faaez honge.
The Governor shall not be a member of either House of Parliament or of a House of the Legislature of any State specified in the First Schedule, and if a member of either House of Parliament or of a House of the Legislature of any such State be appointed Governor, he shall be deemed to have vacated his seat in that House on the date on which he enters upon his office as Governor.

158(2). Naazim e Riyaasat digar kisi bhi munaafe ke ohde par faaez nahi ho sakte.
The Governor shall not hold any other office of profit.

158(3). Naazim e Riyaasat ka ye haq hoga ke wo kiraaye ki adaayagi ke baghaer apni tamaam Sarkaari Rihaayish ka ist’emaal kar sakte hae aur saath hi aese munaafe, tankhwaah aur imtiyaazaat ko haasil kar sakte hae jise Qaumi Majlis ne qanuun ke zariye mutayyin kiya ho, jab tak ke is mutalliq usul tayyar nahi kar diya jaate, tab tak aese munaafou, tankhwaah aur imtiyaazaat wo honge jo Dusri Fehrist me darj hae.
The Governor shall be entitled without payment of rent to the use of his official residences and shall be also entitled to such emoluments, allowances and privileges as may be determined by Parliament by law and, until provision in that behalf is so made, such emoluments, allowances and privileges as are specified in the Second Schedule.

158(3A). Jab ek hi shakhs ko do ya zaaid Riyaasaat ka Naazim e Riyaasat mukarrar kiya jaye tou, Naazim e Riyaasat ko ada karda munaafe aur tankhwaah ko oon Riyaasaat ke darmeyaan aesi nisbat ke saath taqsiim kiya jaayega jaesi ke Sadar e Jamhuriya oonke hukm ke zariye mutayyin karenge.
Where the same person is appointed as Governor of two or more States, the emoluments and allowances payable to the Governor shall be allocated among the States in such proportion as the President may by order determine.

158(4). Naazim e Riyaasat ke ohde ki muddat ke dauraan oonke munaafe aur tankhwaah ko kam nahi kiya jaa sakta.
The emoluments and allowances of the Governor shall not be diminished during his term of office.

159. Naazim e Riyaasat ke Ohde ki Qubuliyat ki halaf.—
Oath or affirmation by the Governor.—

Har Naazim e Riyaasat ko aur har wo shakhs jo Naazim e Riyaasat ke ikhteyaaraat ki takmiil kar rahe ho tou oonhe, wo Riyaasat jis Adaalat e Aalia ke daaeraye ikhteyaar me ho ooske Qaazi e Aala ki maujudgi me, agar wo maujud na ho tou fir oos Adaalat e Aalia ke aehem-tariin Qaazi jo maujud hou to unki maujudgi me, apne ohde par faaez hone se qabl, Halaf lena ya Aehad karna hoga aur dastekhat karna hoga, is tariqe se—
Every Governor and every person discharging the functions of the Governor shall, before entering upon his office, make and subscribe in the presence of the Chief Justice of the High Court exercising jurisdiction in relation to the State, or, in his absence, the senior most Judge of that Court available, an oath or affirmation in the following form, that is to say—

“Mae, A.B., ‘Khuda ki Qasam leta hu/ pukhta aehed leta hu’ ke mae mukammil imaandaari ke saath ......... (Riyaasat ka naam) ke Naazim e Riyaasat ke ohde ko munazzim karunga [ya ......... (Riyaasat ka naam) ke Naazim e Riyaasat ke a’amaal ki takmiil karunga], aur apni mukammil salaahiyaat ke zariye Aain aur Qaanuun ki nigeh-baani, tahhaffuz aur inki difaa karunga aur mai apne aap ko ..…… (Riyaasat ka naam) ki awaam ki khidmat aur bhalaayi ke liye waqf kar dunga.”
“I, A. B., do swear in the name of God/ solemnly affirm that I will faithfully execute the office of Governor (or discharge the functions of the Governor) of .........(name of the State) and will to the best of my ability preserve, protect and defend the Constitution and the law and that I will devote myself to the service and well-being of the people of ..……(name of the State).”

160. Ba’az Naagahaani haalat ke dauraan Naazim e Riyaasat ke a’amaal ki takmiil.—
Discharge of the functions of the Governor in certain contingencies.—

Is baab me tazkira nahi kiye gaye kisi bhi naagahaani haalat ke dauraan kisi Riyaasat ke Naazim e Riyaasat ke a’amaal ki takmiil ke mutalliq Sadar e Jamhuriya aese usul qaayam kar sakte hae jaesa ke wo munaasib samjhe.
The President may make such provision as he thinks fit for the discharge of the functions of the Governor of a State in any contingency not provided for in this Chapter.

161. Naazim e Riyaasat ka me ma’afi, waghaera dene ka ikhteyaar, aur baaz muqaddamaat ke faeslou ko ma’atal karne ka, radd karne ka ya onki saza ko kam karne ka haq.—
Power of Governor to grant pardons, etc., and to suspend, remit or commute sentences in certain cases.—

Naazim e Riyaasat ko darj e zeel ma’amle me saza me ma’afi dene ka, osko ma’atal karne ka, osme mohlat dene ya oosko kam karne ka ikhteyaar hae ya darj e zeel ma’amle ke kisi bhi jurm me mujrim thhehraaye gaye kisi shakhs ke oopar sunaaye gaye faesle ko ma’atal karne ka, osko radd karne ka ya oski saza ko kam karne ka ikhteyaar hae, aesa ma’amla jispar oos Riyaasat ke amaliyaati ikhteyaar laagu hote hae—
The Governor of a State shall have the power to grant pardons, reprieves, respites or remissions of punishment or to suspend, remit or commute the sentence of any person convicted of any offence against any law relating to a matter to which the executive power of the State extends.

162. Riyaasat ke amaliyaati ikhteyaar ki had.—
Extent of executive power of State.—

Is Aain ke usul ke tehat, Riyaasat ke amaliyaati ikhteyaar ki had oon tamaam ma’amlaat me laagu hogi jinme Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ko qaanuun-saazi ke ikhteyaar hae:
Subject to the provisions of this Constitution, the executive power of a State shall extend to the matters with respect to which the Legislature of the State has power to make laws:

Shart ye hae ke aese kisi bhi ma’amle ke mutalliq jisme Riyaasat ki Majlis aur Qaumi Majlis dono hi ko qaanuun-saazi ke ikhteyaar hae, oosme Riyaasat ke amaliyaat ikhteyaar Markaz ya ooske kisi mohkam ko is Aain ya Qaumi Majlis ke banaaye gaye kisi qaanuun ke zariye waazae taur par ata kiye gaye amaliyaati ikhteyaar ke tehet honge aur oosi ke mutaabiq mehduud honge.
Provided that in any matter with respect to which the Legislature of a State and Parliament have power to make laws, the executive power of the State shall be subject to, and limited by, the executive power expressly conferred by this Constitution or by any law made by Parliament upon the Union or authorities thereof.


Wednesday 18 October 2017

The Union (Articles 148-151) of India (Urdu)

Hind ka Markaz (Mazaameen 148-151)



Hissa V.
Chapter V.



Baab V
.—Hind ke Qaumi Naazim o Muhaasib

Chapter V.Comptroller And Auditor-General Of India 


148. Hind ke Qaumi Naazim o Muhaasib.—
Comptroller and Auditor-General of India.—

148(1). Hind ke ek Qaumi Naazim o Muhaasib honge jinhe Sadar e Jamhuriya oonke dastakhat wa mohr shuda dastawez ke zariye mukarrar karenge aur jinhe oonke ohde se oosi tariqe se aur oonhi bina par hataaya ja sakta hae jis tariqe se aur jin pina par Adaalat e Uzma ke kisi Qaazi ko hataaya ja sakta hae.
There shall be a Comptroller and Auditor-General of India who shall be appointed by the President by warrant under his hand and seal and shall only be removed from office in like manner and on the like grounds as a Judge of the Supreme Court.

148(2). Har oon shakhs ko jinhe Hind ka Qaumi Naazim o Muhaasib mukarrar kiya jaayega oonhe apna maqaam haasil karne se qabl, Sadar e Jamhuriya ke, ya kisi aese shakhs ke saamne jise Sadar e Jamhuriya ne is muttaliq mukarrar kiya ho, ek halaf leni hogi ya aehad karna hoga, oos tehriir ke mutaabiq jo is maqsad ke liye Tisri Fehrist me darj hae.
Every person appointed to be the Comptroller and Auditor-General of India shall, before he enters upon his office, make and subscribe before the President, or some person appointed in that behalf by him, an oath or affirmation according to the form set out for the purpose in the Third Schedule.

148(3). Qaumi Naazim o Muhaasib ki khidmat ki ujrat aur digar sharaaet waese hongi jaesi ke Qaumi Majlis ne qaanuun ke zariye mutayyin ki hogi aur, jab tak ise aese mutayyin nahi kiya jaata, ye waesi hongi jaese Dusri Fehrist me waazae hae:
The salary and other conditions of service of the Comptroller and Auditor-General shall be such as may be determined by Parliament by law and, until they are so determined, shall be as specified in the Second Schedule:

Shart ye hae ke Qaumi Naazim o Muhaasib ko mukarrar kar diye jaane ke baad oonki ujrat me aur oonke chhutti ke, wazife ke ya maazuul hone ki umr ke haquq me oonke mutalliq ghaer munaafa-baksh tabdiili nahi ki jaa sakti hae.
Provided that neither the salary of a Comptroller and Auditor-General nor his rights in respect of leave of absence, pension or age of retirement shall be varied to his disadvantage after his appointment.

148(4). Qaumi Naazim o Muhaasib oonke ohde se hat jaane ke baad ye ahliyat nahi rakhenge ke oonhe Hukumat e Hind ya kisi bhi Riyaasat ki Hukumat ke tehet mazid ohde par mukarrar kiya jaa sake.
The Comptroller and Auditor-General shall not be eligible for further office either under the Government of India or under the Government of any State after he has ceased to hold his office.

148(5). Is Aain ke usul aur Qaumi Majlis ke banaaye gaye kisi bhi qaanuun ke tehet rehte hue, oon ashkhaas ki khidmat ki sharaaet jo Hind ke Muhaasibe aur Khaata Mehkame me khidmat faraaham karte hae aur Qaumi Naazim o Muhaasib ke nizaamat ke ikhteyaaraat aese honge jo aese qawaaid me darj honge jinhe Sadar e Jamhuriya ne Qaumi Naazim o Muhaasib ke saath mashwara kiye jaane ke baad qaayam kiya hoga.
Subject to the provisions of this Constitution and of any law made by Parliament, the conditions of service of persons serving in the Indian Audit and Accounts Department and the administrative powers of the Comptroller and Auditor-General shall be such as may be prescribed by rules made by the President after consultation with the Comptroller and Auditor-General.

148(6). Qaumi Naazim o Muhaasib ke daftar ki nizaamat ke ikhraajaat, oos daftar me khidmat faraaham karte tamaam ashkhaas ke mutalliq ya oonko ada karda tamaam ujraat, tankhwaah aur wazaaif ke ikhraajaat ki shumuliyat ke saath, Hind ke Majmui Khazaane se ada kiya jaayega.
The administrative expenses of the office of the Comptroller and Auditor-General, including all salaries, allowances and pensions payable to or in respect of persons serving in that office, shall be charged upon the Consolidated Fund of India.

149. Qaumi Naazim o Muhaasib ke faarez aur ikhteyaaraat.—
Duties and powers of the Comptroller and Auditor-General.—

Qaumi Naazim o Muhaasib Markaz ke aur Riyaasaat ke aur kisi digar mohkam ya mehkame se judhe khaatou ke mutalliq aese faraaez anjaam denge aur aese ikhteyaaraat ki takmiil karenge jaese Qaumi Majlis ke banaaye gaye kise qaanuun ke tehet ya ooske zariye waazae kiye gaye honge aur, jab tak is mutalliq usul nahi banaaye jaate, tab tak aese faraaez anjaam denge aur aese ikhteyaaraat ki takmiil karenge jinhe Hind ke Qaumi Muhaasib is Aain ki nafaazat se fauran qabl tak Mumlikat e Hind aur ooske Subaat ke khaatou ke mutalliq faraaez anjaam diya karte the aur ikhteyaaraat ki takmiil kiya karte the.
The Comptroller and Auditor-General shall perform such duties and exercise such powers in relation to the accounts of the Union and of the States and of any other authority or body as may be prescribed by or under any law made by Parliament and, until provision in that behalf is so made, shall perform such duties and exercise such powers in relation to the accounts of the Union and of the States as were conferred on or exercisable by the Auditor-General of India immediately before the commencement of this Constitution in relation to the accounts of the Dominion of India and of the Provinces respectively.

150. Markaz aur Riyaasaat ke khaatou ki tarteeb.—
Form of accounts of the Union and of the States.—

Markaz aur Riyaasaat ke khaatou ko oos tarteeb se darj kiya jaayega jaese ke jise agar Sadar e Jamhuriya chaahe tou Qaumi Naazim o Muhaasib ke mashware par waazae kar de.
The accounts of the Union and of the States shall be kept in such form as the President may, on the advice of the Comptroller and Auditor-General of India, prescribe.

151. Muhaasibe ke tehriiri nataaij.—
Audit reports.—

151(1). Markaz ke khaatou ke mutalliq Qaumi Naazim o Muhaasib ke tehriiri nataaij Sadar e Jamhuriya ke saamne pesh kiye jaayenge, jinhe wo Qaumi Majlis ke dono Aewaan ke saamne rakhenge.
The reports of the Comptroller and Auditor General of India relating to the accounts of the Union shall be submitted to the President, who shall cause them to be laid before each House of Parliament.

151(2). Kisi Riyaasat ke khaatou ke mutalliq Qaumi Naazim o Muhaasib ke tehriiri nataaij oos Riyaasat ke Naazim e Riyaasat ke saamne pesh kiye jaayenge, jinhe wo Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke saamne rakhenge.
The reports of the Comptroller and Auditor-General of India relating to the accounts of a State shall be submitted to the Governor of the State, who shall cause them to be laid before the Legislature of the State.

Tuesday 17 October 2017

The States (Article 152) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazmoon 152)



Hissa VI
Part VI



Riyaasaat
The States



Baab I. —Aam Mauzu
Chapter I.—General


152. Wazaahat.—
Definition.—

Is Hisse me, mauzu se hat kar koi digar muraad na ho tou, lafz “Riyaasat” me Riyaasat e Jammu aur Kashmiir ka shumaar nahi hoga.
In this Part, unless the context otherwise requires, the expression “State” does not include the State of Jammu and Kashmir.










Thursday 12 October 2017

Short Title, Commencement, Authoritative Text in Hindi & Repeals of Constitution (Articles 393-395) of India (Urdu)

Aain e Hind ka Mukhtasar Naam, Nafaazat, Hindi me Mustanad Asha’at aur Mansuukhaat (Mazaameen 393-395)



Hissa XXII
Part XXII



Mukhtasar Naam, Nafaazat, Hindi me Mustanad Asha’at aur Mansuukhaat
Short Title, Commencement, Authoritative Text in Hindi and Repeals



393. Mukhtasar naam.—
Short title.—

Is Aain ko Aain e Hind kaha ja sakta hae.
This Constitution may be called the Constitution of India.

394. Nafaazat.—
Commencement.—

Ye mazmoon aur mazaameen 5, 6, 7, 8, 9, 60, 324, 366, 367, 379, 380, 380, 388, 391, 392 aur 393 fauran hi naafez ho jaayenge, aur is Aain ke baqia usul Janwari, 1950 ke chhabbiswe roz ko naafez honge, jis roz ko is Aain me is Aain ki nafaazat kaha gaya hae.
This article and articles 5, 6, 7, 8, 9, 60, 324, 366, 367, 379, 380, 388, 391, 392 and 393 shall come into force at once, and the remaining provisions of this Constitution shall come into force on the twenty-sixth day of January, 1950, which day is referred to in this Constitution as the commencement of this Constitution.

394A. Hindi zabaan me mustanad asha’at.—
Authoritative text in the Hindi language.—

394A(1). Sadar e Jamhuriya apne ikhteyaar ke tehet ye shaae karwaaenge,—
The President shall cause to be published under his authority,—

394A(1a). Is Aain ka Hindi zabaan me tarjuma, jispar Aain-Saaz Majlis ke araakeen ke dastakhat honge, jo aesi tabdiliou ke saath hoga jinhe Markazi Qawaaed ke mustanad Hindi asha’at me apnaaya gaya hae taake zabaan, tarz aur istelaahaat ko hum mayaar kiya jaa sake, aur aese asha’at se qabl is Aain me ki gayi tamaam taraameen ko oosme shumaar karwaaya jaayega; aur
the translation of this Constitution in the Hindi language, signed by the members of the Constituent Assembly, with such modifications as may be necessary to bring it in conformity with the language, style and terminology adopted in the authoritative texts of Central Acts in the Hindi language, and incorporating therein all the amendments of this Constitution made before such publication; and

394A(1b). Angrezi zabaan me ki gayi is Aain ki har ek tarmeen ka Hindi zabaan me tarjuma.
the translation in the Hindi language of every amendment of this Constitution made in the English language.

394A(2). Nukut (1) ke tehet shaae kiye gaye is Aain ke har ek tarjume ke maaene wohi samjhe jaayenge jo maaene ooski asal ke samjhe jaate hae aur agar aese tarjume ke kisi hisse ke maaene ko oos tariqe se samajhne me koi dushwaari pesh aati hae tou, Sadar e Jamhuriya oosko dobaara mowaafiq durust karwaaenege.
The translation of this Constitution and of every amendment thereof published under clause (1) shall be construed to have the same meaning as the original thereof and if any difficulty arises in so construing any part of such translation, the President shall cause the same to be revised suitably.

394A(3). Is mazmoon ke tehet is Aain aur iski har ek tarmeen ke shaae kiye gaye tarjumou ko, har maqsad ke tehet, Hindi zabaan me mustanad asha’at maana jaayega.
The translation of this Constitution and of every amendment thereof published under this article shall be deemed to be, for all purposes, the authoritative text thereof in the Hindi language.

395. Mansuukhaat.—
Repeals.—

1947, Hind ki Khud-Mukhtaari Qaaede ko, aur 1935, Hukumat e Hind Qaaede ko ooski tamaam nafaazat ki gayi tarmeem ya izaafe ke saath, mansuukh kiya jaata hae, lekin 1949, Niji Shura ka Daaeraye-kaar Qaaede ki tardeed ko is ma’amle se alaahida rakha gaya hae.
The Indian Independence Act, 1947, and the Government of India Act, 1935, together with all enactments amending or supplementing the latter Act, but not including the Abolition of Privy Council Jurisdiction Act, 1949, are hereby repealed.











Tuesday 10 October 2017

Amendment of the Constitution (Article 368) of India (Urdu)

Aain e Hind ki Tarmeem (Mazmoon 368)



Hissa XX
Part XX



Aain ki Tarmeem
Ammendment of the Constitution


368. Qaumi Majlis ka Aain ki tarmeem karne ka ikhteyaar aur iska tariqa.—
Power of Parliament to amend the Constitution and procedure therefor.—

368(1). Is Aain ke kisi bhi pehle ke baawajood, Qaumi Majlis ooska aain-saaz ikhteyaar ist’emaal karke is Aain ke kisi bhi usul ko, is mazmoon me mutayyin kiye gaye tariqe ke mutaabiiq, tarmeem kar sakti hae, tarmeem in zaraae se ki jaa sakti hae, oos usul me kuch jod ke, kuch tabdiil kar ke ya oose mansuukh kar ke.
Notwithstanding anything in this Constitution, Parliament may in exercise of its constituent power amend by way of addition, variation or repeal any provision of this Constitution in accordance with the procedure laid down in this article.

368(2). Is Aain me koi tarmeem ki ibteda Qaumi Majlis ke dono me se kisi bhi ek Aewaan me is maqsad ke tehet ek Tajwiiz pesh karke ki jaa sakti hae, aur jab oos Tajwiiz ko, donohi Aewaan me unki haazir aur raae dene ko tayyar rukniyat ki kul ta’adaad ki aksariyat ne oose manzur kar liya ho, aur jab oos Tajwiiz ko, donohi Aewaan me unki haazir aur raae dene ko tayyar rukniyat ki kul ta’adaad ki kam az kam do-tihaayi aksariyat ne oose manzur kar liya ho tou, oose Sadar e Jamhuriya ke saamne pesh kiya jaayega jise wo apni raza de denge, aur fir Aain ki tarmeem oos Tajwiiz ki tehriir ke mutaabiq ho jaayegi:
An amendment of this Constitution may be initiated only by the introduction of a Bill for the purpose in either House of Parliament, and when the Bill is passed in each House by a majority of the total membership of that House and by a majority of not less than two-thirds of the members of that House present and voting, it shall be presented to the President who shall give his assent to the Bill and thereupon the Constitution shall stand amended in accordance with the terms of the Bill:

Shart ye hae ke agar aesi tarmeem darje zeel ma’amle me koi tabdili ki garaz se hae tou—
Provided that if such amendment seeks to make any change in—

368(2a). mazmoon 54, mazmoon 55, mazmoon 73, mazmoon 162 ya mazmoom 241 me, ya
article 54, article 55, article 73, article 162 or article 241, or

368(2b). Hisse V ke Baab IV, Hisse VI ke Baab V, ya Hisse XI ke Baab I me, ya
Chapter IV of Part V, Chapter V of Part VI, or Chapter I of Part XI, or

368(2c). Saatvi Fehrist me darj mauzuhaat ki kisi bhi fehrist me, ya
any of the Lists in the Seventh Schedule, or

368(2d). Qaumi Majlis me Riyaasaat ki numaaindagi me, ya
the representation of States in Parliament, or

368(2e). is mazmoon ke kisi bhi usul me,
the provisions of this article,

aesi tarameen ke liye banaayi gayi Tajwiiz ko Sadar e Jamhuriya ki raza haasil karne ke liye oonke saamne pesh kiye jaane se qabl oos tarmeem par kam az kam aadhi Riyaasaat ki Majaaliis me is mutalliq qaraardaad manzuur kiye jaane ke zariye oon Riyaasaat ki Majaalis ki manzuuri bhi haasil kar li jaani hogi.
the amendment shall also require to be ratified by the Legislatures of not less than one-half of the States by resolutions to that effect passed by those Legislatures before the Bill making provision for such amendment is presented to the President for assent.

368(3). Mazmoon 13 ka koi bhi pehlu is mazmoon ke tehet ki gayi kisi bhi tarmeen par laagu nahi ho sakta.
Nothing in article 13 shall apply to any amendment made under this article.

368(4). Is mazmoon ke tehet is Aain (Hisse III ke usul ke saath) ki kisi bhi tarmeem, jo ki gayi hae ya jiska kiye jaane ka daawa kiya gaya hae, chaahe wo 1976, Aaini Qaaede (Bayaaliswi Tarmeem) ke jus 55 ki nafaazat se qabl ki gayi ho ya ooske baad ki gayi ho tou, oos tarmeem par kisi bhi adaalat me kisi bhi bina par sawaal nahi kiya jaa sakta.
Ittela e zer: Nukut (4) aur Nukut (5) ko 1976, Aaini Qaaede (Bayaaliswi Tarmeem) ke juz 55 ke tehet Mazmoom 368 me shumaar kiya gaya tha. Minerva Kaarkhaane Mehduud aur digar ba-muqaabil Hind ka Markaz aur digar (1980) ke ma’amle me is juz ko Adaalat e Uzma ne najaaiz karaar de diya hae 2 S.C.C. 591

No amendment of this Constitution (including the provisions of Part III) made or purporting to have been made under this article whether before or after the commencement of section 55 of the Constitution (Forty-second Amendment) Act, 1976 shall be called in question in any court on any ground.
Footnote: Clauses (4) and (5) were inserted in article 368 by section 55 of the Constitution (Forty-second Amendment) Act, 1976. This section has been declared invalid by the Supreme Court in Minerva Mills Ltd. and Others Vs. Union of India and Others (1980 ) 2 S.C.C. 591

368(5). Shube ki gunjaaish ko khatm karne ke liye, ye ab se aelaan kiya jaata hae ke, Qaumi Majlis ko, in zariye, jod ke, tabdiil kar ke ya mansuukh kar ke, is Aain ke usul ki tarmeem karne ka, Qaumi Majlis ko la mehduud Aaini ikhteyaar hae.
Ittela e zer: Nukut (4) aur Nukut (5) ko 1976, Aaini Qaaede (Bayaaliswi Tarmeem) ke juz 55 ke tehet Mazmoom 368 me shumaar kiya gaya tha. Minerva Kaarkhaane Mehduud aur digar muqaabil Hind ka Markaz aur digar (1980) ke ma’amle me is juz ko Adaalat e Uzma ne naajaaiz karaar de diya hae 2 S.C.C. 591

For the removal of doubts, it is hereby declared that there shall be no limitation whatever on the constituent power of Parliament to amend by way of addition, variation or repeal the provisions of this Constitution under this article.
Footnote: Clauses (4) and (5) were inserted in article 368 by section 55 of the Constitution (Forty-second Amendment) Act, 1976. This section has been declared invalid by the Supreme Court in Minerva Mills Ltd. and Others Vs. Union of India and Others (1980 ) 2 S.C.C. 591










The Union (Article 123) of India (Urdu)

Hind ka Markaz (Mazmoon 123)



Hissa V
Part V



Markaz
The Union



Baab III.—Sadar e Jamhuriya ke qaanuun-saazi ke ikhteyaaraat
Chapter III.—Legislative powers of the President


123. Qaumi Majlis ke waqfe ke dauraan Sadar e Jamhuriya ka Ahkaamaat naafez karne ka ikhteyaar.—
Power of President to promulgate Ordinances during recess of Parliament.—

123(1). Siwaaye tab jab ke Qaumi Majlis ke dono Aewaan ka Ijlaas chal raha hou, iske alaawa kisi bhi waqt, agar Sadar e Jamhuriya is par mutmaiin hae ke haalaat aese hae ke jinke tehat oonke liye fauri qadam oothhana zaruri ho gaya hae tou, Sadar e Jamhuriya chaahe tou, oonhe haalaat ki jis had tak zarurat lage oos had tak wo Sadari Ahkaamaat naafez kar sakte hae.
If at any time, except when both Houses of Parliament are in session, the President is satisfied that circumstances exist which render it necessary for him to take immediate action, he may promulgate such Ordinances as the circumstances appear to him to require.

123(2). Is mazmoon ke tehat jaari karda Sadari Hukm ki quwwat aur asar waesa hi hoga jaese ke Qaumi Majlis ke kisi Qaede ka hota hae, lekin aese har Sadari Hukm ko—
(2) An Ordinance promulgated under this article shall have the same force and effect as an Act of Parliament, but every such Ordinance—

123(2a). Qaumi Majlis ke donohi Aewaan ke saamne rakha jaayega aur Qaumi Majlis ki agli nashist se chhe maah ki muddat khatam ho jaane ke baad oos Sadari Hukm ki nafaazat bhi khatm ho jaayegi, ya, agar aesi muddat khatam hone se qabl hi donohi Aewaan ne ek ek qaraardaad ke zariye ise na manzur kar diya tou jaese hi oonme se dusri qaraardaad ke zariye ise na manzur kiya jaata hae tab hi Sadari Hukm ki nafaazat khatm ho jaaye gi; aur
shall be laid before both Houses of Parliament and shall cease to operate at the expiration of six weeks from the reassembly of Parliament, or, if before the expiration of that period resolutions disapproving it are passed by both Houses, upon the passing of the second of those resolutions; and

123(2b). Sadar e Jamhuriya chaahe tou kisi bhi waqt ooski nafaazat khatm kar sakte hae.
may be withdrawn at any time by the President.

Wazaahat.—is nukut ke maqsad ke tehat, jab Qaumi Majlis ke dono Aewaan ko mukhtalif taarikh par agli nashist karne ka hukm diya gaya ho tab, chhe maah ki muddat ka hisaab baad ki taarikh se lagaaya jaayega.
Explanation.—Where the Houses of Parliament are summoned to reassemble on different dates, the period of six weeks shall be reckoned from the later of those dates for the purposes of this clause.

123(3). Agar is mazmoon ke tehet jaari karda Sadari Hukm aese usul qaayam karta hou jo is Aain ke tehet Qaumi Majlis bhi qayam karne ka ikhteyaar nahi rakhti, tou jis had tak oos usul ka aesa pehlu ho, wo pehlu koi haesiyat nahi rakhega.
If and so far as an Ordinance under this article makes any provision which Parliament would not under this Constitution be competent to enact, it shall be void.










Monday 9 October 2017

The Union (Articles 118-122) of India (Urdu)

Hind ka Markaz (Mazaameen 118-122)



Hissa V
Part V



Markaz
The Union



Baab II.—Qaumi Majlis
Chapter II.—Parliament


Aam Tariqa
Procedure Generally


118. Tariqe ke qawaaid.—
Rules of procedure.—

118(1). Is Aain ke Usul ke tehet rehte hue, Qaumi Majlis ke donohi Aewaan chaahe tou apni apni karwaahi ke tariqe ko munazim karne ke liye qawaaid bana sakte hae. 
Each House of Parliament may make rules for regulating, subject to the provisions of this Constitution, its procedure and the conduct of its business.

118(2). Jab tak nukut (1) ke tehet qawaaid nahi bana diye jaate, tab tak Shura e Riyaasaat ke Amiir ya Aewaan e Awaam ke Mukallim, jaesa bhi ma’amla ho, inki qaayam ki gayi tabdilaat aur muwaafiqaat ke tehet rehte hue, is Aain ki nafaazat se fauran qabl Mumlikat e Hind ki Qaanuun-saaz Majlis ke mutalliq tariqe ke jo qawaaid aur oos waqt ke maujuda ahkaamaat jo laagu the wo Qaumi Majlis ke mutalliq bhi laagu rahenge.
Until rules are made under clause (1), the rules of procedure and standing orders in force immediately before the commencement of this Constitution with respect to the Legislature of the Dominion of India shall have effect in relation to Parliament subject to such modifications and adaptations as may be made therein by the Chairman of the Council of States or the Speaker of the House of the People, as the case may be.

118(3). Sadar e Jamhuriya chaahe tou, Shura e Riyaasaat ke Amiir aur Aewaan e Awaam ke Mukallim in dono ke saath mashwara karke, dono Aewaan ki majmui nashist, aur oonke darmeyaan mawaaselaat ke mutalliq qawaaid qaayam kar sakte hae.
The President, after consultation with the Chairman of the Council of States and the Speaker of the House of the People, may make rules as to the procedure with respect to joint sittings of, and communications between, the two Houses.

118(4). Majmui nashist ki sadaarat Aewaan e Awaam ke Mukallim karenge, ya oonki ghaer haaziri me aese shakhs sadaarat karenge jinka ta’ayyun nukut (3) ke tehat waazae kiye gaye tariqe ke qawaaid ke mutaabiq kiya gaya ho.
At a joint sitting of the two Houses the Speaker of the House of the People, or in his absence such person as may be determined by rules of procedure made under clause (3), shall preside.

119. Qaumi Majlis me maaliyaati kaarwaahi ke mutalliq tariqe ka qaanuun ke zariye munazzam.—
Regulation by law of procedure in Parliament in relation to financial business.—

Qaumi Majlis chaahe tou, maaliyaati kaarwaahi ke mutayyin waqt par mukammal kiye jaane ke liye, Qaumi Majlis ke kisi bhi maaliyaati ma’amle ke ya Hind ke Majmui Khazaane se raqam makhsus kiye jaane ki kisi bhi Tajwiiz ke tariqe ko ya inki kaarwaahi ke tarze amal ko qaanuun ke zariye munazzim kar sakti hae, aur, agar aese banaaye gaye kisi qaanuun ke kisi usul ka kisi had tak Qaumi Majlis ke kisi Aewaan ke mazmoon 118 ke nukut (1) ke tehet banaaye gaye kisi qaanuun ke muwaafiq nahi ho tou ya oosi mazmoon ke nukut (2) ke tehet Qaumi Majlis par asar karte kisi qaanuun ya maujuda hukm ke muwaafiq nahi ho tou, zikr kiye gaye usul hi laagu rahenge.
Parliament may, for the purpose of the timely completion of financial business, regulate by law the procedure of, and the conduct of business in, each House of Parliament in relation to any financial matter or to any Bill for the appropriation of moneys out of the Consolidated Fund of India, and, if and so far as any provision of any law so made is inconsistent with any rule made by a House of Parliament under clause (1) of article 118 or with any rule or standing order having effect in relation to Parliament under clause (2) of that article, such provision shall prevail.

120. Qaumi Majlis me istemaal ki jaane waali Zabaan.—
Language to be used in Parliament.—

120(1). Hissa XVII ke kisi bhi pehlu ke baawajood, lekin mazmoon 348 ke tehet rehte hue, Qaumi Majlis ki kaarwaahi Hindi ya Angrezi me ki jaayegi:
Notwithstanding anything in Part XVII, but subject to the provisions of article 348, business in Parliament shall be transacted in Hindi or in English:

Shart ye hae ke Shura e Riyaasaat ke Amiir ya Aewaan e Awaam ke Mukallim, ya koi shakhs jo inki haesiyat se maujud ho, jaesa bhi ma’amla ho, chaahe tou, kisi bhi rukn ko jo munaasib had tak Hindi ya Angrezi me qalaam nahi karta sakta ho tou oose Aewaan ko ooski maadari-zabaan me khitaab karne ki ijaazat de sakte hae.
Provided that the Chairman of the Council of States or Speaker of the House of the People, or person acting as such, as the case may be, may permit any member who cannot adequately express himself in Hindi or in English to address the House in his mother-tongue.

120(2). Jab tak Qaumi Majlis iske bar-aks qaanuun ke zariye koi usul nahi qaayam kare tou, is Aain ki nafaazat ke baad se pandhra saal ki muddat khatm ho jaane ke baad, is mazmoon ka asar aesa hoga jaese ke ye alfaaz “ya Angrezi me” oosme se hata diye gaye hou.
Unless Parliament by law otherwise provides, this article shall, after the expiration of a period of fifteen years from the commencement of this Constitution, have effect as if the words “or in English” were omitted therefrom.

121. Qaumi Majlis me behes par paabandi.—
Restriction on discussion in Parliament.—

Adaalat e Uzma ya kisi Adaalat e Aaliya ke kisi Qaazi ke onke faraaez ki takmiil ke tarze amal par Qaumi Majlis me behes nahi karaayi jaa sakti siwaye tab, jab oos Qaazi ki barkhaastgi ki ilteja ke khitaab ko Sadar e Jamhuriya ke saamne pesh kiye jaane ke liye koi tehriik chal rahi ho, tehriik jo is baab ke baad waazae ki gayi hae.
No discussion shall take place in Parliament with respect to the conduct of any Judge of the Supreme Court or of a High Court in the discharge of his duties except upon a motion for presenting an address to the President praying for the removal of the Judge as hereinafter provided.

122. Qaumi Majlis ki kaarwaahi ki taftiish adaalaat nahi kar sakti.—
Courts not to inquire into proceedings of Parliament.—

122(1). Qaumi Majlis ki kisi kaarwaahi ki sehat par kaarwaahi me kisi ilzaami be-qaaidgi ki bina par sawaal nahi oothhaaya ja sakta.
The validity of any proceedings in Parliament shall not be called in question on the ground of any alleged irregularity of procedure.

122(2). Qaumi Majlis ka aesa koi bhi afsar ya aesa koi bhi rukn jis par is Aain ke zariye ya iske tehet Qaumi Majlis me karwaahi ko munazzim karne ke liye ya ooski kaarwaahi ke tarze amal ke liye, ya waha nizaam barkaraar rakhne ke liye ikhteyaar ho, tou ooska oos ikhteyaar ko istemaal ka amal kisi bhi adaalat ke daaeraye kaar me nahi ho sakta.
No officer or member of Parliament in whom powers are vested by or under this Constitution for regulating procedure or the conduct of business, or for maintaining order, in Parliament shall be subject to the jurisdiction of any court in respect of the exercise by him of those powers.









Foreword (Pesh-lafz):



Foreword:

This is my sincere translation of the Constitution of India in Urdu, I’ve taken enough care to be as accurate as possible.

There may be several Urdu versions of translation of Constitution of India at book shops, the problem with those are that they mostly use Hindi or even English words and just use the Urdu script to write them down, I don’t call such work as proper translation ie: Hindi word for socialism is samaaj-waad, and you’d find exactly this word in Urdu translations, though there is proper word for socialism in Urdu. Secondly, I couldn’t find any Urdu translation of Constitution of India available on net. This is exactly when I started to translate parts of Constitution on my own, as I’m a passionate admirer of the Constitution of India. I have used proper literal and constitutional Urdu words.

Urdu is an international language and also one of the major languages of India. A lot of people relate Urdu just up to poetries and lyrics, which is an insult for Urdu, though a lot of people understand the real span of Urdu and are interested in exploring Urdu. Urdu and Hindi are mutually intelligible languages but because Urdu uses the Perso-Arabic script, people who are able to read Hindi which uses Devanagari script find it impossible to read Urdu. And many a time people who are Urdu speakers yet can’t read the script also find it difficult to read Urdu.

In our modern era of mass-communication, Roman script has penetrated scope of all languages, as people simply use Roman script to write various languages. Thus, as an effort from my side, to increment the scope of Urdu, where both Hindi and Urdu speakers can read and understand the Constitution of India in Urdu, I took the mode of Roman script to write Urdu.

I have kept English version beneath every clause for counter references. I’ve also made word glossaries one from English to Urdu and another from Urdu to English

I welcome all feedbacks.



Shaikh Mazher

mazherlibran@gmail.com 

-----------------------------------

Pesh-lafz:

Ye mera Aain e Hind ka Urdu me ek mukhlisaana tarjuma hae, maene kaafi ehtiyaat barta hae taake tarjuma mumkina had tak sahih rahe.

Kutub-khaanou me Urdu me Aain e Hind ke kayi tarjume dasteyaab hae, lekin oonke saath mas’ala ye hae ke wo Angrezi ya Hindi ke alfaaz ko mehez Urdu huruf ke saath likh dete hae, mae ise tarjuma nahi kehta, misaal ke taur par: Angrezi ke socialism lafz ko ya tou Angrezi ke hi lafz ko likh kar kar dena ya fir Hindi ke ooske tarjume samaaj-waad ko hi likh kar kar dena, wo bhi tab jab ke Urdu me iske liye makhsus lafz maujud hae. Dusra ye ke mujhe net par Aain e Hind ka koi Urdu tarjuma nahi mila. Tabhi se maene Aain e Hind ke hisso ka khud hi tarjuma karna shuru kar diya, iski waja ye bhi hae ke mae khud Aain e Hind me kaafi dil chaspi leta hu. Maene sahi adabi aur aaini alfaaz ka istemaal kiya hae.

Urdu ek bainul aqwaami zabaan hae, aur Hind ki ek aeham zabaan bhi hae. Aksar log Urdu ki had mehez shero shaayeri tak hi mehdud samajhte hae, aesi soch Urdu is beizzati karna hae, iske baawajood kayi saare log Urdu ki had se waaqif hae, aur Urdu ko mazid jazb karna chahte hae. Urdu aur Hindi ek dusri zabaan ke bolne waalou ko aapas me samajh me aati hae, lekin kyuke Urdu ki likhaayi Farsi-Arabi huruf me ki jaati hae, wo log jo Hindi padh sakte hae jisme Devanagari huruf istemaal kiye jaate hae, wo log Urdu nahi padh paate. Kayi martaba kayi Urdu bolne wale log bhi jo Urdu likhaayi nahi padh paate.

Hamaare is mass-media ke jadiid zamaane me, Roman huruf tamaam zabaanou ke hudud me dakhil ho chukka hae, log zyadatar martaba oonki zabanou ko Roman huruf istemal karke hi likh dete hae. Urdu zaban ki farogh me meri taraf se bhi ye ek koshish hae, taake Urdu aur Hindi dono ke hi bolne waale Aain e Hind ke is Urdu tarjume ko padh aur samajh sake, isi wajaah se maene Urdu likhne ke liye Roman huruf ka istemaal kiya hae.

Maene Angrezi asal ko har nukut ne niche muwaazne ki garaz se jode rakha hae. Maene do mukhtasar lughaat bhi tayyaar ki hae, ek Angrezi se Urdu ke liye aur dusri Urdu se Angrezi ke liye.

Mae aapki tamaam raae aur mashwaraat ka khair maqdam karta hu.



Shaikh Mazher


mazherlibran@gmail.com




The Union (Articles 112-117) of India (Urdu)

Hind ka Markaz (Mazaameen 112-117)



Hissa V
Part V



Markaz
The Union



Baab II.—Qaumi Majlis
Chapter II.—Parliament


Maaliyaati Ma’amlaat ka tariqa
Procedure in Financial Matters


112. Saalaana Maaliyaati Tafsiil.—
Annual financial statement.—

112(1). Sadar e Jamhuriya har maaliyaati saal ke mutalliq Qaumi Majlis ke dono Aewaan ke saamne ek tafsiil rakhwaaenge jisme Hukumat e Hind ke oos saal ke mutawaqqa hasuul aur ikhraajaat honge, is Hisse me oose “Saalaana Maaliyaati Tafsiil” kaha jaayega.
The President shall in respect of every financial year cause to be laid before both the Houses of Parliament a statement of the estimated receipts and expenditure of the Government of India for that year, in this Part referred to as the "annual financial statement''.

112(2). Saalaana Maaliyaati Tafsiil me shaamil ikhraajaat me darje zeel ma’amlaat ke ikhraajaat ke takhmiine alaahida tarz par waazae kiye jaayenge—
The estimates of expenditure embodied in the annual financial statement shall show separately—

112(2a). jin ikhraajaat ki wazaahat is Aain ke zariye you ki gayi hae ke unki adaayegi Hind ke Majmui Khazaane se ki jaayegi oon ikhraajaat ki adaayegi ke liye jo raqam hogi oosko; aur
the sums required to meet expenditure described by this Constitution as expenditure charged upon the Consolidated Fund of India; and

112(2b). jin digar ikhraajaat ki adaayegi ko Hind ke Majmui Khazaane se kiye jaane ka iraada kiya gaya hae oon ikhraajaat ki adaayegi ke liye jo raqam hogi oosko, aur aamdani ke khaate me in ikhraajaat ko digar ikhraajaat se alaahida rakha jaayega.
the sums required to meet other expenditure proposed to be made from the Consolidated Fund of India, and shall distinguish expenditure on revenue account from other expenditure.

112(3). Darje zeel ikhraajaat wo honge jinki adaayegi Hind ke Majmui Khazaane se ki jaayegi—
The following expenditure shall be expenditure charged on the Consolidated Fund of India—

112(3a). Sadar e Jamhuriya ke munaafe aur tankhwaah aur onke daftar ke digar ikhraajaat;
the emoluments and allowances of the President and other expenditure relating to his office;

112(3b). Shura e Riyaasaat ke Amiir aur Naeeb Amiir aur Aewaan e Awaam ke Mukallim aur Naaeb Mukallim inki ujrat aur tankhwaah;
the salaries and allowances of the Chairman and the Deputy Chairman of the Council of States and the Speaker and the Deputy Speaker of the House of the People;

112(3c). wo karz jiski zimmedaar Hukumat e Hind hae oon karz ki suud samet adaayegi ki raqam, sikudte khazaane ki adaayegi ki raqam aur karz se nijaat ki raqam, aur karz lene aur karz se mutalliq khidmat aur nijaat ki raqam;
debt charges for which the Government of India is liable including interest, sinking fund charges and redemption charges, and other expenditure relating to the raising of loans and the service and redemption of debt;

112(3d-i). Adaalat e Uzma ke qazaat ke mutalliq ya oonko ada karda ujrat, tankhwaah aur wazaaif;
the salaries, allowances and pensions payable to or in respect of Judges of the Supreme Court;

112(3d-ii). Wafaaqi Adaalat ke qazaat ke mutalliq ya oonko ada karda wazaaif;
the pensions payable to or in respect of Judges of the Federal Court;

112(3d-iii). aesi kisi bhi Adaalate Aalia ke qazaat ke mutalliq ya oonko ada karda wazaaif, jis Adaalat e Aalia ke daaerae kaar me aesa koi ilaaqa hae jo Sarzamiin e Hind me shaamil hae ya jis ke daaerae kaar me is Aain ke naafez hone ke qabl Mumlikat e Hind ke kisi Naazim ke Sube ka koi ilaaqa tha;
the pensions payable to or in respect of Judges of any High Court which exercises jurisdiction in relation to any area included in the territory of India or which at any time before the commencement of this Constitution exercised jurisdiction in relation to any area included in a Governor's Province of the Dominion of India;

112(3e). Hind ke Qaumi Naazim o Muhaasib ke mutalliq ya oonko karda ujrat, tankhwaah aur waziifa;
the salary, allowances and pension payable to or in respect of the Comptroller and Auditor-General of India;

112(3f). kisi adaalat ya kisi saalisi daad-gaah ke kisi mumakkal faesle, aarzi faesle ya daad-gaah ke faesle ki takmiil kiye jaane ke liye laazimi raqam;
any sums required to satisfy any judgment, decree or award of any court or arbitral tribunal;

112(3g). is Aain ke zariye ya Qaumi Majlis qaanuun ke zariye kisi digar ikhraajaat ki adaayegi ki wazaahat kar de tou ooski raqam.
any other expenditure declared by this Constitution or by Parliament by law to be so charged.

113. Takhmiinou ke mutalliq Qaumi Majlis me tariqa.—
Procedure in Parliament with respect to estimates.—

113(1). Jitne ikhraajaat ki adaayegi ki raqam Hind ke Majmui Khazaane se ada ki jaani hae oonke takhminou par Qaumi Majlis me raae shumaari nahi ki jaayegi, lekin is nukut ke kisi bhi pehlu ke ye maaene nahi hae oon takhminou par Qaumi Majlis ke kisi bhi Aewaan me behes nahi karaayi jaa sakti.
So much of the estimates as relates to expenditure charged upon the Consolidated Fund of India shall not be submitted to the vote of Parliament, but nothing in this clause shall be construed as preventing the discussion in either House of Parliament of any of those estimates. 

113(2). Jitne digar ikhraajaat se mutalliq takhmine honge oonhe atiyaat ke mutaalbaat ki shakal me Aewaan e Awaam ke saamne rakha jaayega, aur Aewaan e Awaam ka kisi bhi mutaalbe ko raza dene ka ya raza nahi dene ka ikhteyaar hoga, ya Aewaan e Awaam ka kisi mutaalbe ko is surat me ke oos mutaalbe me jo raqam wazae ki gayi hae oose ghataya jaaye tou, oose raza dene ka ikhteyaar hoga. 
So much of the said estimates as relates to other expenditure shall be submitted in the form of demands for grants to the House of the People, and the House of the People shall have power to assent, or to refuse to assent, to any demand, or to assent to any demand subject to a reduction of the amount specified therein.

113(3). Sadar e Jamhuriya ki sifaarish ke baghaer kisi bhi atiye ka mutaalba nahi kiya jaa sakta.
No demand for a grant shall be made except on the recommendation of the President.

114. Makhsuus kiye jaane ke liye Tajwizaat.—
Appropriation Bills.—

114(1). Jab mazmoon 113 ke tehet Aewaan e Awaam atiyaat par raza mand ho jaaye tou, jald az jald darje zeel ma’amlaat me ada kiye jaane ke liye zaruri raqam ko Hind ke Majmui Khazaane me makhsuus kiye jaane ke liye ek Tajwiiz pesh ki jaayegi—
As soon as may be after the grants under article 113 have been made by the House of the People, there shall be introduced a Bill to provide for the appropriation out of the Consolidated Fund of India of all moneys required to meet—

114(1a). jin atiyaat par Aewaan e Awaam raza mand hou; aur
the grants so made by the House of the People; and

114(1b). Hind ke Majmui Khazaane se ada karda ikhraajaat lekin kisi bhi ma’amle me isse qabl Qaumi Majlis ke saamne jo tafsiil rakhi gayi ho osme waazae ki gayi raqam ko badhaaya nahi jaa sakta.
the expenditure charged on the Consolidated Fund of India but not exceeding in any case the amount shown in the statement previously laid before Parliament.

114(2). Aesi Tajwiiz me aesi tarmeem ka iraada Qaumi Majlis ke kisi bhi Aewaan me nahi kiya jaa sakta jiske natije me aese kisi bhi atiye ki raqam ya ooski manzil me koi tabdiili ki jaaye ya Hind ke Majmui Khazaane se ada karda ikhraajaat ki raqam me koi tabdiili ki jaaye, aur wo shakhs jo is mutalliq ke koi tarmeem is nukut ke tehet ki ja sakti hae ya nahi is par sadaarat kar rahe hou tou oonka faesla hatami hoga.
No amendment shall be proposed to any such Bill in either House of Parliament which will have the effect of varying the amount or altering the destination of any grant so made or of varying the amount of any expenditure charged on the Consolidated Fund of India, and the decision of the person presiding as to whether an amendment is inadmissible under this clause shall be final.

114(3). Mazaameen 115 aur 116 ke usul ke tehet, Hind ke Majmui Khazaane se koi bhi raqam nikaali nahi jaa sakti siwaaye oos makhsuusiyat ke tehet jo is mazmoon ke usul ke mutaabiq qaanuun ke zariye manzuur ki gayi hou.
Subject to the provisions of articles 115 and 116, no money shall be withdrawn from the Consolidated Fund of India except under appropriation made by law passed in accordance with the provisions of this article.

115. Zimni, maziid ya zaaid atiyaat.—
Supplementary, additional or excess grants.—

115(1). Sadar e Jamhuriya chaahe tou—
The President shall—

115(1a). agar mazmoon 114 ke usul ke mutaabiiq qaanuun ke zariye kisi makhsuus khidmat ke kharch ke liye jo raqam maujuda maaliyaati saal ke liye mukarrar ki gayi hou wo oos saal le maqaasid ke liye na kaafi paayi jaaye ya maujuda maaliyaati saal ke dauraan zimni ya maziid ikhraajaat ki zarurat ho jaaye jo kisi aesi nayi khidmat par mubani ho jispar oos saal ke saalaana maaliyaati tafsiil me tawajjo me nahi liya gaya ho tou, ya
if the amount authorised by any law made in accordance with the provisions of article 114 to be expended for a particular service for the current financial year is found to be insufficient for the purposes of that year or when a need has arisen during the current financial year for supplementary or additional expenditure upon some new service not contemplated in the annual financial statement for that year, or

115(1b). agar kisi maaliyaati saal ki kisi khidmat ke liye oos saal jo raqam makhsuus ki gayi ho aur oosi saal oos khidmat par makhsuus raqam se zaaid raqam kharch ki jaa chuki ho tou,
if any money has been spent on any service during a financial year in excess of the amount granted for that service and for that year, 

Sadar e Jamhuriya digar ek tafsiil dono Aewaan ke saamne rakhwaaenge jisme aese ikhraajaat ki mutawaqqo raqam waazae kigayi hogi ya Aewaan e Awaam ke saamne aesi zaaid raqam ke liye mutaalba karwaaenge, jaesa bhi ma’amla ho.
cause to be laid before both the Houses of Parliament another statement showing the estimated amount of that expenditure or cause to be presented to the House of the People a demand for such excess, as the case may be.

115(2). Mazaameen 112,113 aur 114 ke usul aesi kisi bhi tafsiil aur ikhraajaat ya mutaalbe par laagu honge aur aese kisi bhi banaaye gaye qaanuun par laagu honge jo Hind ke Majmui Khazaane se aese ikhraajaat ki adaayegi ya aese kisi atiye ke mutalliq mutaalbe ke tehet raqam makhsus kiye jaane ka ikhteyaar deta ho aur ye usul inpar waese se hi laagu honge, jaese ke saalaana maaliyaati tafsiil ya oosme wazae kiye gaye ikhraajaat ya atiye ke mutaalbe aur aese ikhraajaat ya atiye ki adaayegi ke liye Hind ke Majmui Khazaane se raqam makhsus karne ka ikhteyaar dene ke liye banaaye gaye qaanuun, in tamaam par laagu hote hou.
The provisions of articles 112, 113 and 114 shall have effect in relation to any such statement and expenditure or demand and also to any law to be made authorising the appropriation of moneys out of the Consolidated Fund of India to meet such expenditure or the grant in respect of such demand as they have effect in relation to the annual financial statement and the expenditure mentioned therein or to a demand for a grant and the law to be made for the authorisation of appropriation of moneys out of the Consolidated Fund of India to meet such expenditure or grant.

116. Peshgi atiyaat, Naagahaani atiyaat aur imtiyaazi atiyaat.—
Votes on account, votes of credit and exceptional grants.—

116(1). Is baab ke kisi bhi maujuda usul ke baawajood, Aewaan e Awaam ka ikhteyaar hoga ke—
Notwithstanding anything in the foregoing provisions of this Chapter, the House of the People shall have power—

116(1a). kisi maaliyaati saal ki juzwi muddat ke mutawaqqou ikhraajaat ke liye aese peshgi atiye ki adaayegi kar sakta hou jinpar aese atiyaat ki adaayegi ke mutalliq mazmoon 113 ke mutaabiq raae shumaari ke tariqae kaar ki takmiil ruki hui ho aur mazmoon 114 ke usul ke mutaabiq oon ikhraajaat ke mutalliq qaanuun ki manzuuri ruki hui ho.
to make any grant in advance in respect of the estimated expenditure for a part of any financial year pending the completion of the procedure prescribed in article 113 for the voting of such grant and the passing of the law in accordance with the provisions of article 114 in relation to that expenditure;

116(1b). wo aese atiye ki adaayegi kar sakta hae jo kisi naagahaani zaururat se nipatne ke liye hou tab jab wo naagahaani zarurat Hind ke wasaail par asar kar rahi hou aur jab khidmat ki shiddat aur mubham sifat ki wajaah se ooske liye mutaalbe ki tafsiilaat aam tarz par saalaana maaliyaati tafsiil me waazae nahi ki jaa sakti hou;
to make a grant for meeting an unexpected demand upon the resources of India when on account of the magnitude or the indefinite character of the service the demand cannot be stated with the details ordinarily given in an annual financial statement;

116(1c). wo kisi imtiyaazi atiye ki adaayegi kar sakta hae jo kisi bhi maaliyaati saal ki maujuda khidmat ka hissa nahi ho;
to make an exceptional grant which forms no part of the current service of any financial year;

aur Qaumi Majlis ko ye ikhteyaar hoga ke wo oon maqaasid ke liye jinke liye atiyaat ko mukarrar kiya gaya ho oonke mutalliq raqam ki adaayegi ke liye Hind ke Majmui Khazaane se raqam ke hasul ko durust karaar de.
and Parliament shall have power to authorise by law the withdrawal of moneys from the Consolidated Fund of India for the purposes for which the said grants are made.

116(2). Mazaameen 113 aur 114 ke usul in par laagu honge, nukut (1) ke tehet mukarrar kiye gaye kisi atiye ke mutalliq, aur oos nukut ke tehet banaaye gaye kisi qaanuun par, ye usul in par waese hi laagu honge jaese ke ye darje zeel par laagu hote hae, saalaana maaliyaati tafsiil me waazae kiye gaye kisi ikhraajaat ke liye mukarrar kiye gaye atiye par, aur aese ikhraajaat ki adaayegi ke liye Hind ke Majumui Khazaane se makhsus ki gayi kisi raqam ke ikhteyaar par.
The provisions of articles 113 and 114 shall have effect in relation to the making of any grant under clause (1) and to any law to be made under that clause as they have effect in relation to the making of a grant with regard to any expenditure mentioned in the annual financial statement and the law to be made for the authorisation of appropriation of moneys out of the Consolidated Fund of India to meet such expenditure.

117. Maaliyati Tajwiizaat ke mutalliq makhsuus usul.—
Special provisions as to financial Bills.—

117(1). Mazmoon 110 ke nukut (1) ke zere nukut (a) se (f) tak me waazae kiye gaye kisi bhi ma’amle ke mutalliq usul qaayam karne ke liye Sadar e Jamhuriya ki sifaarish ke baghaer koi Tajwiiz ki ibteda ya tarmiin ki muntaqli nahi ki jaa sakti aur aese usul ke mutalliq kisi bhi Tajwiiz ki ibteda Shura e Riyaasat me nahi ki jaa sakti: 
A Bill or amendment making provision for any of the matters specified in sub-clauses (a) to (f) of clause (1) of article 110 shall not be introduced or moved except on the recommendation of the President and a Bill making such provision shall not be introduced in the Council of States:

Shart ye hae ke is nukut ke tehet aesi kisi tarmiin ki muntaqli ke liye kisi sifaarish ki zarurat nahi hogi jo kisi zarb ko kam karne ya khatm karne ke liye usul banaane ke mutalliq ho.
Provided that no recommendation shall be required under this clause for the moving of an amendment making provision for the reduction or abolition of any tax.

117(2). Kisi bhi Tajwiiz ya tarmeen ko mehez is bina par ke wo jurmanou ya digar jurmaanou ki saza ke mutalliq usul rakhti hou ya wo ijaazat naamou ke liye ya faraaham ki hui kisi khidmat ke aewaz raqam ka mutaalba ya raqam ki adaaegi ke mutalliq usul rakhti hou, ya wo ilaaqaayi maqaasid ke liye kisi ilaaqaayi mehkame ya idaare ke zariye kisi zarb ke aaid kiye jaane ke liye, oose khatm kiye jaane ke liye, oosme kami kiye jaane ke liye ya oosko munazzim kiye jaane ke liye koi usul rakhti hae tou, oos Tajwiiz ya tarmeen ko ye nahi maana jayega ke wo zikr kiye gaye kisi ma’amlaat par usul qaayam karti hae.
A Bill or amendment shall not be deemed to make provision for any of the matters aforesaid by reason only that it provides for the imposition of fines or other pecuniary penalties, or for the demand or payment of fees for licences or fees for services rendered, or by reason that it provides for the imposition, abolition, remission, alteration or regulation of any tax by any local authority or body for local purposes.

117(3). Agar koi Tajwiiz naafez kiye jaane ke baad aur laagu kiye jaane ke baad aesi ho ke ooska asar Hind ke Maujmui Khazaane ke ikhraajaat par hoga tou aesi Tajwiiz ko Qaumi Majlis ka koi bhi Aewaan tab tak manzuur nahi kar sakta jab tak ke Sadar e Jamhuriya ne oos Aewaan ko oos Tajwiiz par ghaur o fikr karne ki sifaarish na ki ho.
A Bill which, if enacted and brought into operation, would involve expenditure from the Consolidated Fund of India shall not be passed by either House of Parliament unless the President has recommended to that House the consideration of the Bill.