Tuesday 3 April 2018

The Union (Articles 136-147) of India in Urdu

Hind ka Markaz (Mazaameen 136-147)



Hissa V
Part V



Markaz
The Union



Baab IV.—Markazi Adaliya
Chapter IV.—The Union Judiciary


136. Adaalat e Uzma ke zariye faryaad ki makhsuus ijaazat
Special leave to appeal by the Supreme Court

136(1). Is Baab ke kisi bhi pehlu ke baawajood, Adaalat e Uzma, ooski apni salaahiyat ke mutaabiq, chaahe tou, sarzamiin e Hind ki kisi bhi adaalat ya daad-gaah ke zariye kisi bhi mas’ale ya kisi bhi ma’amle me sunaaye gaye kisi bhi faesle, aarzi faesla, kiye gaye kisi bhi ta’ayyun, ya sunaayi gayi kisi bhi saza ya diye gaye kisi bhi hukm ke mutalliq faryaad karne ki makhsuus ijaazat faraaham kar sakti hae.
Notwithstanding anything in this Chapter, the Supreme Court may, in its discretion, grant special leave to appeal from any judgment, decree, determination, sentence or order in any cause or matter passed or made by any court or tribunal in the territory of India.

136(2). Nukut (1) ka koi bhi pehlu Askari Afwaaj ke mutalliq kisi qaanuun ke tehet qaayam ki gayi kisi bhi adaalat ya daad-gaah ke zariye sunaaye gaye kisi bhi faesle par, kiye gaye kisi bhi ta’ayyun par, sunaayi gayi kisi bhi saza par, ya diye gaye kisi bhi hukm par laagu nahi hoga.
Nothing in clause (1) shall apply to any judgment, determination, sentence or order passed or made by any court or tribunal constituted by or under any law relating to the Armed Forces.


137. Faeslou ya ahkaamaat par Adaalat e Uzma ki nazr e saani
Review of judgments or orders by the Supreme Court

Qaumi Majlis ke zariye banaaye gaye kisi bhi qaaide ya mazmoon 145 ke tehet banaaye gaye kisi bhi qaanuun, inke usul ke tehet rehte hue, Adaalat e Uzma ko, oosi ke hi zariye sunaaye gaye kisi bhi faesle ya oosi ke hi zariye diye gaye kisi bhi hukm, inpar nazar e saani karne ka ikhteyaar hoga.
Subject to the provisions of any law made by Parliament or any rules made under article 145, the Supreme Court shall have power to review any judgment pronounced or order made by it.

138. Adaalat e Uzma ke daaeraye kaar ki tawsii
Enlargement of the jurisdiction of the Supreme Court

138(1). Adaalat e Uzma ke paas, Markazi Fehrist me darj kisi bhi ma’amlaat ke mutalliq aesa maziid daaeraye kaar aur aese maziid ikhteyaaraat honge jaese ke Qaumi Majlis qaanuun ke zariye oose ata kare.
The Supreme Court shall have such further jurisdiction and powers with respect to any of the matters in the Union List as Parliament may by law confer.

138(2). Agar Qaumi Majlis Adaalat e Uzma ke amal ke liye darje zeel daaerae kaar aur darje zeel ikhteyaaraat ko qaanuun ke zariye mut’ayyin kare tou, Adaalat e Uzma ke paas aese kisi bhi ma’amlaat ke mutalliq maziid daaerae kaar aur maziid ikhteyaaraat honge jaese ke Hukumat e Hind aur kisi bhi Riyaasat ki Hukumat, inke darmeyaan kiye gaye makhsuus qaraardaad ke zariye oose ata kare.
The Supreme Court shall have such further jurisdiction and powers with respect to any matter as the Government of India and the Government of any State may by special agreement confer, if Parliament by law provides for the exercise of such jurisdiction and powers by the Supreme Court.


139. Adaalat e Uzma ko ba’az likhit ahkaamaat jaari karne ke ikhteyaaraat ka ata kiya jaana
Conferment on the Supreme Court of powers to issue certain writs

Qaumi Majlis chaahe tou qaanuun ke zariye Adaalat e Uzma ko hidaayaat, ahkaamaat ya likhit ahkaamaat, ya inme se kuch bhi jaari karne ke ikhteyaaraat ata kar sakti hae, lekin wo ikhteyaaraat mazmoon 32 ke nukut (2) me zikr kiye gaye maqaasid ke alaawa hou, likhit ahkaamaat me qaedi ko haazir kiya jaaye, hamaara hukm hae ke, mamnuhaat hae ke, kis ikhteyaar se aur hume ittela di jaaye ke, in iqsaam ke likhit ahkaamaat bhi shaamil hae.
Parliament may by law confer on the Supreme Court power to issue directions, orders or writs, including writs in the nature of habeas corpus, mandamus, prohibition, quo warranto and certiorari, or any of them, for any purposes other than those mentioned in clause (2) of article 32.

139A. Ba’az ma’amlaat ki muntaqli
Transfer of certain cases

139A(1). Aese ma’amlaat jinme hu-ba-hu ya boht hadd tak qaanuuni sawaalaat paeda hote hou, aur aese ma’amlaat Adaalat e Uzma aur kisi ek ya zaaid ya do ya zaaid Adaalaat e Aalia ke zere sama’at hou, aur agar Adaalat e Uzma khud hi ke ikhteyaar ke tehet ya Hind ke Qaumi Wakeel ya aese kisi ma’amle ke kisi fareeq ki kisi darkhwaast ke tehet, is baat par mutma’iin hoti hae ke, aese paeda huwe sawaalaat aam ahmiyat ke pehlu se kaafi aehem sawaalaat hae tou, Adaalat e Uzma chaahe tou aesa ma’amla ya aese ma’amlaat ko, jis Adaalat e Aalia ya jin Adaalaat e Aalia me zere sam’aat hou, waha se aese ma’amlaat ko wapiis lekar tamaam ma’amlaat ko khud hi ki zere sama’at kar sakti hae:
Where cases involving the same or substantially the same questions of law are pending before the Supreme Court and one or more High Courts or before two or more High Courts and the Supreme Court is satisfied on its own motion or on an application made by the Attorney-General of India or by a party to any such case that such questions are substantial questions of general importance, the Supreme Court may withdraw the case or cases pending before the High Court or the High Courts and dispose of all the cases itself:

Shart ye hae ke, Adaalat e Uzma chaahe tou aese kisi bhi waapis liye gaye ma’amle ko, oos ma’amle me paeda huwe qaanuuni sawaalat ka ta’ayyun kar lene ke baad, oon qaanuuni sawaalaat par khud ke kiye gaye faesle ki ek nakal ke saath oos ma’amle ko dobaara oos hi Adaalat e Aalia ko lauta sakti hae, jaha se oos ma’amle ko waapis li thi, aur phir wo Adaalat e Aalia oos ma’amle ko dobaara haasil karte hi zere sama’at lekar uska hal Adaalat e Uzma ke diye gaye faesle ke mutaabiq karne me ooski kaarwaahi shuru kar de.
Provided that the Supreme Court may after determining the said questions of law return any case so withdrawn together with a copy of its judgment on such questions to the High Court from which the case has been withdrawn, and the High Court shall on receipt thereof, proceed to dispose of the case in conformity with such judgment.

139A(2). Agar Adaalat e Uzma is baat ko adl ke husul ke lehaz se mauzu samajhti hae tou, Adaalat e Uzma chaahe tou, kisi bhi ma’amle, faryaad ya digar kisi kaarwaahi ko, jo kisi Adaalat e Aalia ke zere sama’at ho oose kisi digar Adaalat e Aalia me muntaqil kar sakti hae.
The Supreme Court may, if it deems it expedient so to do for the ends of justice, transfer any case, appeal or other proceedings pending before any High Court to any other High Court.


Index to the Articles of The Constitution of India (Urdu)

Aaine Hind ke Mazaameen ki Fehrist


English To Urdu Word Glossary For The Constitution Of India

Urdu To English Word Glossary For The Constitution of India