Tuesday 24 October 2017

The States (Articles 166-167) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 166-167)



Hissa VI
Part VI



Riyaasaat
The States



Baab II.—Amaliya
Chapter II.—The Executive


Hukumat ke kaam ka tarze amal
Conduct of Government Business

166. Kisi Riyaasat ki Hukumat ke kaam ka tarze amal.—
Conduct of business of the Government of a State.—

166(1). Ye maana jayega ke kisi Riyaasat ki Hukumat ke taamaam amaliyaati kaarwaahi ki wazaahat Naazim e Riyaasat ke naam par ada ki jaa rahi hae.
All executive action of the Government of a State shall be expressed to be taken in the name of the Governor.

166(2). Naazim e Riyaasat ke naam par banaaye gaye aur amal me laaye gaye Ahkaam-naame aur digar dastaawez ki tauseeq Naazim e Riyaasat ke banaaye gaye qaaede me waazae kiye gaye tariqe ke mutaabiq hogi, aur aese tauseeq shuda hukm naame ya dastaawez ki tasdeeq par is bina par sawaal nahi uthaaya jaa sakta ke wo Naazim e Riyaasat ka banaaya gaya ya unka amal me laaya gaya hukm naama ya dastaawez nahi hae.
Orders and other instruments made and executed in the name of the Governor shall be authenticated in such manner as may be specified in rules to be made by the Governor, and the validity of an order or instrument which is so authenticated shall not be called in question on the ground that it is not an order or instrument made or executed by the Governor.

166(3). Naazim e Riyaasat Riyaasat ki Hukumat ke kaam ki ta’amiil ko mazid aasaan karne ke liye, aur aese kaam ko Wazara ke darmeyaan taqseem karne ke mutalliq qawaaid banaayenge, oos had tak ke kaam aese nahi honge jin kaam ka oonki aql se kiya jaana Naazim e Riyaasat ke liye Aain ke zariye ya is Aain ke tehat laazim ho.
The Governor shall make rules for the more convenient transaction of the business of the Government of the State, and for the allocation among Ministers of the said business in so far as it is not business with respect to which the Governor is by or under this Constitution required to act in his discretion.

167. Naazim e Riyaasat ko ma’alumaat faraaham karne ke mutalliq Wazir e Aala ke faraaez, waghaera.—
Duties of Chief Minister as respects the furnishing of information to Governor, etc.—

Ye har ek Riyaasat ke Wazir e Aala par farz hoga ke wo—
It shall be the duty of the Chief Minister of each State—

167(a). Riyaasat ke ma’amlaat ki nizaamat, aur qaanuun-saazi ki tajwizaat ke mutalliq Wazaarat ke tamaam faeslou ki ittela Naazim e Riyaasat ko de;
to communicate to the Governor of the State all decisions of the Council of Ministers relating to the administration of the affairs of the State and proposals for legislation;

167(b). Riyaasat ke ma’amlaat ki nizaamat, aur qaanuun-saazi ki tajwizaat ke mutalliq Wazaarat ke tamaam faeslou ki ittela, jinka Naazim e Riyaasat mutaalba kare, unki ittela Naazim e Riyaasat ko de; aur
to furnish such information relating to the administration of the affairs of the State and proposals for legislation as the Governor may call for; and

167(c). Agar kisi mas’ale par kisi ek Waziir ne koi faesla kiya ho lekin uspar Wazaarat ne gaur o fikr nahi ki ho, tou agar Naazim e Riyaasat is mutalliq mutaalba kare, tou oos mas’ale ko Wazaarat ke saamne gaur o fikr ke liye bheje.
if the Governor so requires, to submit for the consideration of the Council of Ministers any matter on which a decision has been taken by a Minister but which has not been considered by the Council.





No comments:

Post a Comment