Friday, 29 September 2017

The Union (Articles 99-100) in Urdu

Hind ka Markaz (Mazaameen 99-100)



Hissa V
Part V



Markaz
The Union



Baab II.—Qaumi Majlis
Chapter II.—Parliament


Kaarwaahi ka tarze amal 
Conduct of Business


99. Araakeen ka halaf lena ya aehad karna.—
Oath or affirmation by members.—

Qaumi Majlis ke har rukn ko apna maqaam haasil karne se qabl, Sadar e Jamhuriya ke, ya kisi aese shakhs ke saamne jise Sadar e Jamhuriya ne is muttaliq mukarrar kiya ho, ek halaf leni hogi ya aehad karna hoga, oos tehriir ke mutaabiq jo is maqsad ke liye Tisri Fehrist me darj hae; 
Every member of either House of Parliament shall, before taking his seat, make and subscribe before the President, or some person appointed in that behalf by him, an oath or affirmation according to the form set out for the purpose in the Third Schedule.

100. Aewaan me raae shumaari, khaali maqaamaat ke baawajuud Aewaan ki kaarwaahi aur Aewaan ki laazimi haaziri.—
Voting in Houses, power of Houses to act notwithstanding vacancies and quorum.—

100(1). Is Aain me maujuud kisi digar gunjaaish ke siwa, kisi bhi Aewaan ki kisi bhi nashist ke ya Majmua Aewaan ki nashist me tamaam sawaalaat ke nataaij ka ta’ayyun haazir aur raae dene ko tayyaar araakeen ki raae ki aksariyat se hoga, lekin, raae shumaari me Mukallim ya, wo shakhs jo Amiir ya Mukallim ki haesiyat se maujuud ho, apni raae nahi de sakte. Amiir ya Mukallim, pehli martaba me apni raae nahi denge, lekin aesi haalat me jab raae shumaari ke nataaij baraabar ho jaaye tab, oonko ek faesla kun raae dene ka haq hoga aur oonhe ise istemaal karna hoga. 
Save as otherwise provided in this Constitution, all questions at any sitting of either House or joint sitting of the Houses shall be determined by a majority of votes of the members present and voting, other than the Speaker or person acting as Chairman or Speaker. The Chairman or Speaker, or person acting as such, shall not vote in the first instance, but shall have and exercise a casting vote in the case of an equality of votes.

100(2). Rukniyat me koi bhi khaali maqaam hone ke baawajuud Qaumi Majlis ke dono hi Aewaan ko kaarwaahi jaari rakhne ka ikhteyaar hoga, aur Qaumi Majlis ki kisi bhi kaarwaahi ke baad agar ye pata chalta hae ke koi shakhs jise kaarwaahi me maujuud hone ka ya raae dene ka ya digar kisi amal ka koi haq nahi tha aur tab bhi oos shakhs ne kaarwaahi me hissa liya tha, tou iske baawajuud bhi Qaumi Majlis ki wo kaarwaahi durust maani jaayegi.
Either House of Parliament shall have power to act notwithstanding any vacancy in the membership thereof, and any proceedings in Parliament shall be valid notwithstanding that it is discovered subsequently that some person who was not entitled so to do sat or voted or otherwise took part in the proceedings.

100(3). Jab tak ke Qaumi Majlis qaanuun ke zariye koi aur usul nahi bana deti tab tak, Qaumi Majlis ke kisi bhi Aewaan me nashist munaqqid kiye jaane ki laazimi haaziri oos Aewaan ke tamaam araakeen ke adad ki ek-dahaayi hogi.
Until Parliament by law otherwise provides, the quorum to constitute a meeting of either House of Parliament shall be one-tenth of the total number of members of the House.

100(4). Agar Aewaan ki kisi nashist ke dauraan kisi waqt laazimi haaziri nahi reh jaati tab, ye Amiir, Mukallim, ya aese shakhs jo oonki haesiyat se maujuud ho, inpar farz hoga ke wo Aewaan ko multawi kar de ya nashist ko oos waqt tak mo’atal kar de jab tak ke laazimi haaziri nahi ban jaati.
If at any time during a meeting of a House there is no quorum, it shall be the duty of the Chairman or Speaker, or person acting as such, either to adjourn the House or to suspend the meeting until there is a quorum.



Aain e Hind ki Tisri Fehrist










No comments:

Post a Comment