Aain e Hind ki Dusri
Fehrist
Dusri Fehrist
Second Schedule
[Mazaameen 59(3), 65(3), 75(6), 97, 125, 148(3), 158(3), 164 (5), 186 aur 221]
[Articles 59(3), 65(3), 75(6), 97, 125, 148(3), 158(3), 164 (5), 186 and 221]
Hissa A
Part A
Sadar e Jamhuriya aur Naazimeen e Riyaasaat ke mutalliq usul
Provisions as to the President and the Governors of States
1. Sadar e Jamhuriya aur Naazimeen e Riyaasaat ko har maah darj e zeel munaafa (tankhwaah) adaa ki jaayegi: —
There shall be paid to the President and to the Governors of the States the following emoluments per mensem, that is to say:—
Dusri Fehrist
Second Schedule
[Mazaameen 59(3), 65(3), 75(6), 97, 125, 148(3), 158(3), 164 (5), 186 aur 221]
[Articles 59(3), 65(3), 75(6), 97, 125, 148(3), 158(3), 164 (5), 186 and 221]
Hissa A
Part A
Sadar e Jamhuriya aur Naazimeen e Riyaasaat ke mutalliq usul
Provisions as to the President and the Governors of States
1. Sadar e Jamhuriya aur Naazimeen e Riyaasaat ko har maah darj e zeel munaafa (tankhwaah) adaa ki jaayegi: —
There shall be paid to the President and to the Governors of the States the following emoluments per mensem, that is to say:—
Sadar e Jamhuriya ko …… 10,000 rupae [Maujuda 1,50,000 rupae, 2008 ke Qaaede 28, juz 2 ke mutaabiq (1-1-2006 se laagu)]
The President …… 10,000 rupees [Now 1,50,000 rupees, vide Act 28 of 2008, s. 2 (w.e.f. 1-1-2006)]
Naazim e Riyaasat ko …… 5,500 rupae [Maujuda 1,10,000 rupae, 2009 ke Qaaede 1, juz 3 ke mutaabiq (1-1-2006 se laagu)]
The Governor of a State …… 5,500 rupees [Now 1,10,000 rupees, vide Act 1 of 2009, s. 3 (w.e.f. 1-1-2006)]
2. Sadar e Jamhuriya aur Naazimeen e Riyaasat ko unke mutalliqa mutaabiq aesi tankhwaah bhi adaa ki jaayegi jo Mumlikat e Hind ke Naazim o Amir aur oos mutalliq Naazimeen e Subaat ko is Aain ki nafaazat se fauran qabl di jaaya karti thi.
There shall also be paid to the President and to the Governors of the States such allowances as were payable respectively to the Governor-General of the Dominion of India and to the Governors of the corresponding Provinces immediately before the commencement of this Constitution.
3.
Sadar e Jamhuriya aur Naazimeen e Riyaasaat oonke ohdou ki mukammal muddat ke
dauraan oonhi imtiyaazaat ke haqdaar honge jinke is Aain ki nafaazat se fauran
qabl tak, is mutalliqa, Naazim o Amiir aur Naazimeen e Subaat haqdaar hote the.
The
President and the Governors of the States throughout their respective terms of
office shall be entitled to the same privileges to which the Governor General
and the Governors of the corresponding Provinces were respectively entitled
immediately before the commencement of this Constitution.
4.
Jab Naaeb Sadar e Jamhuriya ya koi digar shakhs Sadar e Jamhuriya ke a’amaal ki
takmeel kar rahe hou, ya oonki haesiyat se maujuud hou, ya koi shakhs Naazim e
Riyaasat ke a’amaal ki takmeel kar rahe hou tou, wo oonhi munaafou, tankhwaah
aur imtiyaazaat ke haqdaar honge jinke Sadar e Jamhuriya ya Naazim e Riyaasat haqdaar
hote hae, is mutalliqa jinki bhi a’amaal ki wo shakhs takmeel kar rahe honge ya
jinki bhi haesiyat se wo shakhs maujuud honge, jaesa bhi ma’amla ho.
While
the Vice-President or any other person is discharging the functions of, or is
acting as, President, or any person is discharging the functions of the
Governor, he shall be entitled to the same emoluments, allowances and privileges
as the President or the Governor whose functions he discharges or for whom he
acts, as the case may be.
Hissa B (Mansuukh)
Part B (Repealed)
Hissa C
Part C
Aewaan e Awaam ke Mukallim aur Naaeb Mukallim aur Shura e Riyaasaat ke Amiir aur Naaeb Amiir aur Riyaasati Majlis ke Mukallim aur Naaeb Mukallim aur kisi Riyaasat ke Riyaasati Shura ke Amiir aur Naaeb Amiir ke mutalliq usul
Provisions as to the Speaker and Deputy Speaker of the House of the People and the Chairman and the Deputy Chairman of the Council of the States and the Speaker and the Deputy Speaker of the Legislative Assembly and the Chairman and the Deputy Chairman of the Legislative Council of a State
7. Aewaan e Awaam ke Mukallim aur Shura e Riyaasaat ke Amiir ko wohi ujrat aur tankhwaah ki adaaegi ki jaaye gi jo is Aain ki nafaazat se fauran qabl tak Mumlikat e Hind ki Aain Saaz Majlis ke Mukallim ko di jaaya karti thi, aur Aewaan e Awaam ke Naaeb Mukallim aur Shura e Riyaasaat ke Naaeb Amiir ko wohi ujrat aur tankhwaah ki adaaegi ki jaaye gi jo is Aain ki nafaazat se fauran qabl tak Mumlikat e Hind ki Aain Saaz Majlis ke Naaeb Mukallim ko di jaaya karti thi.
There shall be paid to the Speaker of the House of the People and the Chairman of the Council of States such salaries and allowances as were payable to the Speaker of the Constituent Assembly of the Dominion of India immediately before the commencement of this Constitution, and there shall be paid to the Deputy Speaker of the House of the People and to the Deputy Chairman of the Council of States such salaries and allowances as were payable to the Deputy Speaker of the Constituent Assembly of the Dominion of India immediately before such commencement.
8. Riyaasati Majlis ke Mukallim aur Naaeb Mukallim ko aur kisi Riyaasati Shura ke Amiir aur Naaeb Amiir ko aesi ujrat aur tankhwaah ada ki jaayegi jo is Aain ki nafaazat se fauran qabl tak oonke mutalliqa Subaayi Majlis ke Mukallim aur Naaeb Mukallim ko aur mutalliqa Subaayi Shura ke Sadar aur Naaeb Sadar ko di jaaya karti thi aur, jis mutalliqa Sube me is aesi nafaazat se fauran qabl tak Subaayi Shura nahi hua karta tha tou, oos Riyaasat ke Riyaasati Shura ke Amiir aur Naaeb Amiir ko aesi ujrat aur tankhwaah ada ki jaayegi jaesi ke ooske Naazim e Riyaasat mutayyin karege.
There shall be paid to the Speaker and the Deputy Speaker of the Legislative Assembly and to the Chairman and the Deputy Chairman of the Legislative Council of a State such salaries and allowances as were payable respectively to the Speaker and the Deputy Speaker of the Legislative Assembly and the President and the Deputy President of the Legislative Council of the corresponding Province immediately before the commencement of this Constitution and, where the corresponding Province had no Legislative Council immediately before such commencement, there shall be paid to the Chairman and the Deputy Chairman of the Legislative Council of the State such salaries and allowances as the Governor of the State may determine.
Hissa E
Part
E
Hind
ke Qaumi Naazim o Muhaasib ke mutalliq usul
Provisions
as to the Comptroller and Auditor-General of India
12(1).
Hind ke Qaumi Naazim o Muhaasib ko *chaar hazaar rupae har maah ki sharaah se
ujrat ada ki jaayegi.
There
shall be paid to the Comptroller and Auditor-General of India a salary at the
rate of *four thousand rupees per mensem.
*
Hind ke Qaumi Naazim o Muhaasib ko 1971 ke Qaaede 56 ke juz 3 ke mutaabiq
Adaalat e Uzma ke Qazaat ki ujrat ke baraabar ujrat ada ki jaayegi. Adaalat e
Uzma ke Qazaat ki ujrat ko 2009 ke Qaaede 23 ke zariye badhhaa kar 90,000 Rupae
har maah kar diya gaya hae, juz 8 ke mutaabiq (1-1-2006 se laagu).
The Comptroller and Auditor-General of India shall be paid a salary
equal to the salary of the Judges of the Supreme Court vide s. 3 of Act 56 of
1971. The salary of Judges of the Supreme Court has been raised to Rs.90,000
per mensem by Act 23 of 2009, s. 8 (w.e.f. 1-1-2006).
12(2).
Wo shakhs jo is Aain ki nafaazat se fauran qabl Hind ke Qaumi Muhaasib the wo
is nafaazat se mazmoon 377 ke tehat Hind ke Qaumi Naazim o Muhaasib ban gaye
hae aur wo is hissa e tehriir ke zere-hissa e tehriir (1) me waazae ki gayi
ujrat ke saath mazid ek makhsuus ujrat ke haqdaar honge, jiski raqam waazae ki
gayi ujrat aur is nafaazat se qabl Hind ke Qaumi Muhaasib ki haesiyat se wo jo
ujrat haasil kiya karte the in dono ke farq ke baraabar hogi.
The
person who was holding office immediately before the commencement of this
Constitution as Auditor-General of India and has become on such commencement
the Comptroller and Auditor-General of India under article 377 shall in
addition to the salary specified in sub-paragraph (1) of this paragraph be
entitled to receive as special pay an amount equivalent to the difference
between the salary so specified and the salary which he was drawing as Auditor-General
of India immediately before such commencement.
12(3).
Hind ke Qaumi Naazim o Muhaasib ki chhutti aur wazife ke haquq ki nizaamat aur
oonki khidmat ki digar sharaaet ki nizaamat darj usul par ki jaayegi ya
nizaamat darj usul par jaari rahegi, jaesa bhi ma’amla ho, darj usul wo honge jo
is Aain ki nafaazat se fauran qabl Hind ke Qaumi Muhaasib par laagu hote the
aur oon usul me Naazim o Amiir ke tamaam zikr ko Sadar e Jamhuriya ka zikr
maana jaayega.
The
rights in respect of leave of absence and pension and the other conditions of
service of the Comptroller and Auditor-General of India shall be governed or
shall continue to be governed, as the case may be, by the provisions which were
applicable to the Auditor-General of India immediately before the commencement
of this Constitution and all references in those provisions to the
Governor-General shall be construed as references to the President.
Hind
ka Markaz (Mazaameen 52-62)
Hind Ka Markaz
(Mazaameen 63-73)
The Union (Articles 148-151) of India (Urdu)
Hind Ka Markaz (Mazaameen 148-151)
The States (Articles 153-162) of India (Urdu)
Hind Ki Riyaasaat (Mazaameen 153-162)
The States (Articles 163-164) of India (Urdu)
Hind Ki Riyaasaat (Mazaameen 163-164)
The Union (Articles 148-151) of India (Urdu)
Hind Ka Markaz (Mazaameen 148-151)
The States (Articles 153-162) of India (Urdu)
Hind Ki Riyaasaat (Mazaameen 153-162)
The States (Articles 163-164) of India (Urdu)
Hind Ki Riyaasaat (Mazaameen 163-164)
No comments:
Post a Comment