Thursday 21 September 2017

The Union (Articles 74-75) of India (Urdu)

Hind ka Markaz (Mazaameen 74-75)



Hissa V
Part V 



Markaz
The Union 



Baab I.—Amaliya
Chapter I.—The Executive 



Wazaarat
Council of Ministers



74. Wazaarat ka Sadar e Jamhuriya ko mashwara dena aur oonki madad karna.—
Council of Ministers to aid and advise President.—

74(1). Ek Wazaarat hogi jiske amiir Wazir e Aazam honge, ye Wazaarat Sadar e Jamhuriya ko mashwara degi aur unki madad karegi, Sadar e Jamhuriya apne a’amaal ki takmiil me oon maswaraat par amal karenge: 
There shall be a Council of Ministers with the Prime Minister at the head to aid and advise the President who shall, in the exercise of his functions, act in accordance with such advice: 

Shart ye hae ke agar Sadar e Jamhruiya chaahe tou Wazaarat ke upar ye laazim kar sakte hae ke wo apne mashware par, aam taur par ya kisi digar taur par, dobaara gaur o fikr kare, aur fir Sadar e Jamhuriya ko aese dobaara gaur fikr kar diye jaane ke baad diye gaye mashware ke mutaabiq amal karna hoga.
Provided that the President may require the Council of Ministers to reconsider such advice, either generally or otherwise, and the President shall act in accordance with the advice tendered after such reconsideration.

74(2). Is sawaal par kisi bhi adaalat me tahqiiq nahi ki jaa sakti ke Wazara ne Sadar e Jamhuriya ko mashwara diya ya nahi, aur agar diya to kya mashwara diya.
The question whether any, and if so what, advice was tendered by Ministers to the President shall not be inquired into in any court.

75. Wazara ke mutalliq digar usul.—
Other provisions as to Ministers.—

75(1). Sadar e Jamhuriya Wazir e Aazam ko mukarrar karenge aur Wazir e Aazam ke mashware par Sadar e Jamhuriya digar Wazara ko mukarrar karenge.
The Prime Minister shall be appointed by the President and the other Ministers shall be appointed by the President on the advice of the Prime Minister.

75(1A). Wazaarat me Wazir e Aazam ko shumaar karke tamaam Wazara ki ta’adaad Aewaan e Awaam ke tamaam araakeen ki kul ta’adaad ke pandhra fii-sad se zyaada nahi honi chaahiye.
The total number of Ministers, including the Prime Minister, in the Council of Ministers shall not exceed fifteen per cent. of the total number of members of the House of the People.

75(1B). Daswi Fehrist ke hissa e tehriir 2 ke tehat Qaumi Majlis ke kisi bhi Aewaan ke kisi rukn ko barkhaast kiya jaaye tou oose nukut (1) ke tehat Wazir ke ohde par mukkarrar nahi kiya jaa sakta, wo bhi darje zeel muddat ke liye: jis taarikh ko oose barkhaast kiya gaya ho oos taarikh se lekar in do taarikh me se jo bhi pehle ho oos taarikh tak; ya tou jis taarikh ko ooski rukniyat khatm hogi oos taarikh tak, ya fir rukniyat ki muddat khatm hone ki taarikh se qabl agar wo Quami Majlis ke kisi Aewaan ki rukniyat ke liye intekhaab lade aur oos intekhaab me oose muntakhib aelaan kar diya gaya ho, tou muntakhib hone ki taarikh tak.
A member of either House of Parliament belonging to any political party who is disqualified for being a member of that House under paragraph 2 of the Tenth Schedule shall also be disqualified to be appointed as a Minister under clause (1) for duration of the period commencing from the date of his disqualification till the date on which the term of his office as such member would expire or where he contests any election to either House of Parliament before the expiry of such period, till the date on which he is declared elected, whichever is earlier.

75(2). Wazara apne ohdou par tab tak hi qaayam rahenge jab tak ke Sadar e Jamhuriya ki raza ho.
The Ministers shall hold office during the pleasure of the President.

75(3). Wazaarat ijtemaayi taur par Aewaan e Awaam ke saamne jawaab-daah rahegi.
The Council of Ministers shall be collectively responsible to the House of the People.

75(4). Kisi Wazir ko ohde par mukarrar karne se qabl Sadar e Jamhuriya oose ohde aur raaz-daari ki halaf dilaayenge, halaf oos tehriir ke mutaabiq hogi jise is maqsad ke liye Tiisri Fehrist me darj kiya gaya hae.
Before a Minister enters upon his office, the President shall administer to him the oaths of office and of secrecy according to the forms set out for the purpose in the Third Schedule.

75(5). Koi Wazir musalsal chhe maah ki kisi bhi muddat tak Qaumi Majlis ke kisi bhi Aewaan ka rukn nahi raha ho tou oos muddat ke poore hote hi Wazir ke ohde par bhi faez nahi maana jaayega.
A Minister who for any period of six consecutive months is not a member of either House of Parliament shall at the expiration of that period cease to be a Minister.

75(6). Wazara ki ujrat aur tankhwaah wo hogi jise Qaumi Majlis qaanuun ke zariye waqt ba waqt mutayyin karegi, Jab tak Qaumi Majlis ujrat aur tankhwaah ko mutayyin nahi kar deti tab tak, ujrat aur tankhwaah wohi hogi jo Dusri Fehrist me darj hae.
The salaries and allowances of Ministers shall be such as Parliament may from time to time by law determine and, until Parliament so determines, shall be as specified in the Second Schedule.



Aain e Hind ki Dusri Fehrist 


Aain e Hind ki Tisri Fehrist


Aain e Hind ki Dawsi Fehrist









No comments:

Post a Comment