Saturday 23 September 2017

Tenth Schedule to the Constitution of India (Urdu)

Aain e Hind ki Daswi Fehrist



Dawsi Fehrist
Tenth Schedule



[Mazaameen 102(2) aur 191(2)]
[Articles 102(2) and 191(2)]



Mukhaalifat ki bina par barkhaastgi ke usul
Provisions as to disqualification on ground of defection

1. Tashriih. —Is Fehrist me mauzu se hat kar kuch aur muraad na ho tou,—
Interpretation.—In this Schedule, unless the context otherwise requires,—

1(a). “Aewaan” se muraad Qaumi Majlis ka koi ek Aewaan hoga ya Riyaasati Majlis hogi, ya jaesa ke ma’amla ho Riyaasat ki Qaanuun-Saaz Majlis ka koi ek Aewaan hoga;
"House" means either House of Parliament or the Legislative Assembly or, as the case may be, either House of the Legislature of a State;

1(b). Aewaan ke kisi rukn ke kisi siyaasi jama’at se mutalliq “Aewaani jama’at” se muraad oos ijma ke honge jiske Aewaan ke tamaam araakeen oos waqt jis siyaasi jama’at ke rukn honge, hissa e tehrir 2 ya hissa e tehriir 4 ke usul ke mutaabiq.
"legislature party", in relation to a member of a House belonging to any political party in accordance with the provisions of paragraph 2 or paragraph 4, means the group consisting of all the members of that House for the time being belonging to that political party in accordance with the said provisions;

1(c). Aewaan ke kisi rukn se mutalliq “asal siyaasi jama’at” se muraad oos siyaasi jama’at ke honge jisse wo rukn ta’alluq rakhta ho, hissa e tehriir 2 ke zere mauzu (1) ke maqaasiid ke tehat;
"original political party", in relation to a member of a House, means the political party to which he belongs for the purposes of subparagraph (1) of paragraph 2;

1(d). “hissa e tehriir” se muraad is Fehrist ka koi hissa e tehriir hae.
"paragraph" means a paragraph of this Schedule.

2. Mukhaalifat ki binaa par barkhaastgi.—
Disqualification on ground of defection.—

2(1). Kisi bhi siyaasi jama’at se ta’alluq rakhne waale kisi Aewaan ke kisi rukn ko ooske ohde se, hissa e tehriir ke 4 aur 5 usul ke tehat, barkhaast kar diya jaaye ga—
Subject to the provisions of paragraphs 4 and 5, a member of a House belonging to any political party shall be disqualified for being a member of the House—

2(1a). agar wo khud apni marzi se oos siyaasi jama’at ki rukniyat se istefa dede; ya
if he has voluntarily given up his membership of such political party; or

2(1b). agar oosne kisi aesi hidaayat jise oos siyaasi jama’at ne jaari kiya ho jisse wo khud ta’alluq rakhta hae ya kisi aese shakhs ya mehkame ki hidaayat jo is mutalliq ikhteyaar rakhte ho, aesi hidaayat ke khilaaf Aewaan me raae di ho ya raae shumaari ke dauraan ghaer haazir raha ho, wo bhi dono hi haalaat me oos siyaasi jama’at, shakhs ya mehkame ki pehle se li gayi ijaazat ke baghaer, aur jis taarikh ko oosne raae di ho ya ghaer haazir raha ho, tou agar oos taarikh se pandhra dino ke darmeyaan oos siyaasi jama’at, shakhs ya mehkame ne oske oos raae dene ko ya ghaer haazir rehne ko nazar andaaz nahi kar diya ho.
if he votes or abstains from voting in such House contrary to any direction issued by the political party to which he belongs or by any person or authority authorised by it in this behalf, without obtaining, in either case, the prior permission of such political party, person or authority and such voting or abstention has not been condoned by such political party, person or authority within fifteen days from the date of such voting or abstention.

Wazaahat. —Is hissa e tehriir ke zere mauzu maqsad ke tehat,—
Explanation.—For the purposes of this sub-paragraph,—

(a). Aewaan ke muntakhib rukn ko oos siyaasi jama’at, agar koi ho tou, oos siyaasi jama’at ka rukn maana jaayega, jisne oose rukniyat ke liye kiye gaye intekhaab ke ummidwaar ke taur par naam-zad kiya ho;
an elected member of a House shall be deemed to belong to the political party, if any, by which he was set up as a candidate for election as such member;

(b). Aewaan ka muntakhib rukn ye hoga,—
a nominated member of a House shall,—

(b-i). Aewaan ki rukniyat ki ummidwaari ki taarikh ko wo jis kisi siyaasi jama’at ka rukn raha ho, oose oosi siyaasi jama’at ka rukn maana jaayega;
where he is a member of any political party on the date of his nomination as such member, be deemed to belong to such political party;

(b-ii). kisi bhi digar ma’amle me, oose oosi siyaasi jama’at ke ta’alluq se maana jayega jiska wo rukn banta hae, ya, ma’amla aesa ho ke pehle hi ban chuka ho, Aewaan ke apne rukniyat ke ohde par faaez hone ki taarikh se chhe maah ki muddat se qabl; aur rukiniyat ke ohde par faaez hone ki bina mazmoon 99 ya, jaese ke ma’amla ho, mazmoon 188 ke takaazaat poore karne ke baad faaez hona ho.
in any other case, be deemed to belong to the political party of which he becomes, or, as the case may be, first becomes, a member before the expiry of six months from the date on which he takes his seat after complying with the requirements of article 99 or, as the case may be, article 188.

2(2). Ek muntakhib rukn jise kisi siyaasi jama’at ne ummidwaari ke liye naam zad nahi kiya raha ho tou ooske aese intekhaab me muntakhib ho jaane ke baad agar wo kisi siyaasi jama’at ka rukn banta hae to oose Aewaan ke rukn ke ohde se barkhaast kar diya jaayega.
An elected member of a House who has been elected as such otherwise than as a candidate set up by any political party shall be disqualified for being a member of the House if he joins any political party after such election.

2(3). Aewaan ka ek muntakhib rukn agar Aewaan ki rukniyat ke ohde par faaez hone ki taarikh se chhe maah ki muddat ke baad kisi siyaasi jama’at ka rukn banta hae tou oose Aewaan ke rukn ke ohde se barkhaast kar diya jaayega; aur rukiniyat ke ohde par faaez hone ki bina mazmoon 99 ya, jaese ke ma’amla ho, mazmoon 188 ke takaazaat poore karne ke baad faaez hona ho.
A nominated member of a House shall be disqualified for being a member of the House if he joins any political party after the expiry of six months from the date on which he takes his seat after complying with the requirements of article 99 or, as the case may be, article 188.

2(4). Is hissa e tehriir ke kisi bhi maujuuda usul ke baawajuud, koi shakhs, 1985 ke Qaaida e Aain (Baawanwi Tarmeem) ki nafaazat ke waqt kisi Aewaan ka rukn ho ( chaahe muntakhib ho ya mukarrar karda ho) tou oose,—
Notwithstanding anything contained in the foregoing provisions of this paragraph, a person who, on the commencement of the Constitution (Fiftysecond Amendment) Act, 1985, is a member of a House (whether elected or nominated as such) shall,—

2(4-i). is nafaazat se fauran qabl wo jis siyaasi jama’at ka rukn raha ho, is hissa e tehriir ke zere mauzu (1) ke maqsad ke tehat, ye maana jaayega ke oos Aewaan ka rukn oose oosi siyaasi jama’at ki ummidwaari ke tehat muntakhib kiya gaya hae;
where he was a member of political party immediately before such commencement, be deemed, for the purposes of sub-paragraph (1) of this paragraph, to have been elected as a member of such House as a candidate set up by such political party;

2(4-ii) kisi digar ma’amle me, is bina pe Aewaan ka muntakhib rukn maana jaayega ke, is hissa e tehriir ke zere mauzu (2) ke maqaasiid ke tehat, oske muntakhib kiye jaane ke liye oose kisi siyaasi jama’at ne naam-zad nahi kiya tha, ya, jaesa ke ma’amla ko, oose is hissa e tehriir ke zere mauzu (3) ke maqaasiid ke tehat Aewaan ka mukarrar karda rukn maana jaayega.
in any other case, be deemed to be an elected member of the House who has been elected as such otherwise than as a candidate set up by any political party for the purposes of sub-paragraph (2) of this paragraph or, as the case may be, be deemed to be a nominated member of the House for the purposes of sub-paragraph (3) of this paragraph.









No comments:

Post a Comment