Friday 6 October 2017

The Union (Articles 105-106) of India (Urdu)

Hind ka Markaz (Mazaameen 105-106)



Hissa V
Part V


Markaz
The Union



Baab II.—Qaumi Majlis
Chapter II.—Parliament


Qaumi Majlis aur iske Araakeen ke Ikhteyaaraat, Imtiyaazaat aur Istesnaat
Powers, Privileges and Immunities of Parliament and its Members

105. Qaumi Majlis ke aur iske Araakeen ke aur iske Wafaazaat ke Ikteyaaraat, imtiyaazaat wagahera.—
Powers, privileges, etc., of the Houses of Parliament and of the members and committees thereof.—

105(1). Is Aain ke usul aur Qaumi Majlis ke tariqe ko munazzim karaate laagu ahkaam aur qawaaid ke tehat, Qaumi Majlis me bolne ki aazaadi hogi.
Subject to the provisions of this Constitution and to the rules and standing orders regulating the procedure of Parliament, there shall be freedom of speech in Parliament.

105(2). Qaumi Majlis ke kisi bhi rukn ko Qaumi Majlis me ya ooske kisi Wafaz me koi bhi baat bolne ya koi bhi raae dene ke mutalliq kisi bhi adaalat ki kisi bhi kaarwaahi me zimmedaar nahi banaaya jaa sakta, aur Qaumi Majlis ke kisi bhi Aewaan ya oonke tehat kisi mehkame ke shaae-karda kisi natije, dastaawez, raae ya kaarwaahi ke mutalliq kisi bhi shakhs ko zimmedaar nahi banaaya jaa sakta.
No member of Parliament shall be liable to any proceedings in any court in respect of anything said or any vote given by him in Parliament or any committee thereof, and no person shall be so liable in respect of the publication by or under the authority of either House of Parliament of any report, paper, votes or proceedings.

105(3). Digar ma’amlaat me, Qaumi Majlis ke dono hi Aewaan ke, aur dono hi Aewaan ke araakeen ke aur wafaazaat ke ikhteyaaraat, imtiyaazaat aur istesnaat aese honge jaese ke oonki waqt ba waqt Qaumi Majlis qaanuun ke zariye wazaahat karegi, aur, jab tak aesi wazaahat nahi ki jaati, tab tak oos oos Aewaan ke aur ooske araakeen ke aur ooske wafaazaat ke ikhteyaaraat, imtiyaazaat aur istesnaat waesehi rahenge jaese ke 1978, Aaini Qaide (Chauwwaaliswi Tarmeem) ke juz 15 ke laagu hone se fauran qabl rahe the.
In other respects, the powers, privileges and immunities of each House of Parliament, and of the members and the committees of each House, shall be such as may from time to time be defined by Parliament by law, and, until so defined, shall be those of that House and of its members and committees immediately before the coming into force of section 15 of the Constitution (Forty-fourth Amendment) Act, 1978.

105(4). Nukut (1), (2) aur (3) ke usul oos shakhs par, is Aain ki badaulat oos shakhs ko aata kiye gaye, Qaumi Majlis ke kisi Aewaan ya ooske kisi Wafaz me oos shakhs ke bolne ke haq ya iske alaawa oos shakhs ke kaarwaahi me hissa lene ke haq par, zikr kiye gaye usul aesehi laagu honge jaese Qaumi Majlis ke araakeen par laagu hote hae.
The provisions of clauses (1), (2) and (3) shall apply in relation to persons who by virtue of this Constitution have the right to speak in, and otherwise to take part in the proceedings of, a House of Parliament or any committee thereof as they apply in relation to members of Parliament.

106. Araakeen ki ujrat aur tankhwaah.—
Salaries and allowances of members.—

Qaumi Majlis ke donohi Aewaan ke araaken ka aesi ujrat aur tankhwaah haasil karne ka haq hoga jaesi ke Qaumi Majlis qaanuun ke zariye waqt ba waqt mutayyin kare aur, jab tak is mutalliq koi usul nahi banaaya jaata, tab tak tankhwaah oos sharaah aur oon haalaat ke mutaabiq hogi jaesi ke is Aain ki nafaazat se fauran qabl Mumlikat e Hind ki Aain-Saaz Majlis ke araakeen ke ma’amle me laagu hoti thi.
Members of either House of Parliament shall be entitled to receive such salaries and allowances as may from time to time be determined by Parliament by law and, until provision in that respect is so made, allowances at such rates and upon such conditions as were immediately before the commencement of this Constitution applicable in the case of members of the Constituent Assembly of the Dominion of India.










No comments:

Post a Comment