Thursday 12 October 2017

Short Title, Commencement, Authoritative Text in Hindi & Repeals of Constitution (Articles 393-395) of India (Urdu)

Aain e Hind ka Mukhtasar Naam, Nafaazat, Hindi me Mustanad Asha’at aur Mansuukhaat (Mazaameen 393-395)



Hissa XXII
Part XXII



Mukhtasar Naam, Nafaazat, Hindi me Mustanad Asha’at aur Mansuukhaat
Short Title, Commencement, Authoritative Text in Hindi and Repeals



393. Mukhtasar naam.—
Short title.—

Is Aain ko Aain e Hind kaha ja sakta hae.
This Constitution may be called the Constitution of India.

394. Nafaazat.—
Commencement.—

Ye mazmoon aur mazaameen 5, 6, 7, 8, 9, 60, 324, 366, 367, 379, 380, 380, 388, 391, 392 aur 393 fauran hi naafez ho jaayenge, aur is Aain ke baqia usul Janwari, 1950 ke chhabbiswe roz ko naafez honge, jis roz ko is Aain me is Aain ki nafaazat kaha gaya hae.
This article and articles 5, 6, 7, 8, 9, 60, 324, 366, 367, 379, 380, 388, 391, 392 and 393 shall come into force at once, and the remaining provisions of this Constitution shall come into force on the twenty-sixth day of January, 1950, which day is referred to in this Constitution as the commencement of this Constitution.

394A. Hindi zabaan me mustanad asha’at.—
Authoritative text in the Hindi language.—

394A(1). Sadar e Jamhuriya apne ikhteyaar ke tehet ye shaae karwaaenge,—
The President shall cause to be published under his authority,—

394A(1a). Is Aain ka Hindi zabaan me tarjuma, jispar Aain-Saaz Majlis ke araakeen ke dastakhat honge, jo aesi tabdiliou ke saath hoga jinhe Markazi Qawaaed ke mustanad Hindi asha’at me apnaaya gaya hae taake zabaan, tarz aur istelaahaat ko hum mayaar kiya jaa sake, aur aese asha’at se qabl is Aain me ki gayi tamaam taraameen ko oosme shumaar karwaaya jaayega; aur
the translation of this Constitution in the Hindi language, signed by the members of the Constituent Assembly, with such modifications as may be necessary to bring it in conformity with the language, style and terminology adopted in the authoritative texts of Central Acts in the Hindi language, and incorporating therein all the amendments of this Constitution made before such publication; and

394A(1b). Angrezi zabaan me ki gayi is Aain ki har ek tarmeen ka Hindi zabaan me tarjuma.
the translation in the Hindi language of every amendment of this Constitution made in the English language.

394A(2). Nukut (1) ke tehet shaae kiye gaye is Aain ke har ek tarjume ke maaene wohi samjhe jaayenge jo maaene ooski asal ke samjhe jaate hae aur agar aese tarjume ke kisi hisse ke maaene ko oos tariqe se samajhne me koi dushwaari pesh aati hae tou, Sadar e Jamhuriya oosko dobaara mowaafiq durust karwaaenege.
The translation of this Constitution and of every amendment thereof published under clause (1) shall be construed to have the same meaning as the original thereof and if any difficulty arises in so construing any part of such translation, the President shall cause the same to be revised suitably.

394A(3). Is mazmoon ke tehet is Aain aur iski har ek tarmeen ke shaae kiye gaye tarjumou ko, har maqsad ke tehet, Hindi zabaan me mustanad asha’at maana jaayega.
The translation of this Constitution and of every amendment thereof published under this article shall be deemed to be, for all purposes, the authoritative text thereof in the Hindi language.

395. Mansuukhaat.—
Repeals.—

1947, Hind ki Khud-Mukhtaari Qaaede ko, aur 1935, Hukumat e Hind Qaaede ko ooski tamaam nafaazat ki gayi tarmeem ya izaafe ke saath, mansuukh kiya jaata hae, lekin 1949, Niji Shura ka Daaeraye-kaar Qaaede ki tardeed ko is ma’amle se alaahida rakha gaya hae.
The Indian Independence Act, 1947, and the Government of India Act, 1935, together with all enactments amending or supplementing the latter Act, but not including the Abolition of Privy Council Jurisdiction Act, 1949, are hereby repealed.











1 comment: