Thursday, 24 August 2017

Fundamental Rights (Articles 32-35) in India (Urdu)

Buniyaadi Haquq e Hind (Mazaameen 32-35) 



Hissa III 
part III



Buniyaadi Haquq 
Fundamental Rights



Haqq e Aaini Hal 
Right to Constitutional Remedies


32. Is Hisse ke zariye ata kiye gaye haquq ko laagu karaane ke liye hal.-
Remedies for enforcement of rights conferred by this Part.—

32(1). Is Hisse ke zariye ata kiya gaye haquq ko laagu karaane ke liye Adaalat e Uzma me munaasib kaarwaai ke zariye jaane ke haq ki zamaanat di jaati hae.
The right to move the Supreme Court by appropriate proceedings for the enforcement of the rights conferred by this Part is guaranteed.

32(2). Is Hisse ke zariye ata kiye gaye kisi bhi haq ko laagu karaane ke liye, Adaalat e Uzma ke paas hidaayaat ya hukm ya likhit hukm jo bhi munaasib ho wo jaari karne ka iska ikhteyaar hoga, in iqsaam ke likhit hukm ke qaedi ko haazir kiya jaaye, 'hamaara hukm hae ke', 'mamnuhaat hae ke, 'kis ikhteyaar se' aur 'hume ittela di jaaye ke' bhi shaamil honge.
The Supreme Court shall have power to issue directions or orders or writs, including writs in the nature of habeas corpus, mandamus, prohibition, quo warranto and certiorari, whichever may be appropriate, for the enforcement of any of the rights conferred by this Part.

32(3). Nukut (1) aur (2) ke zariye Adaalat e Uzma ko ata kiye gaye ikhteyaaraat ke saath kisi ta’assub ke baghaer, Qaumi Majlis qaanuun ke zariye kisi aur dighar adaalat ko ye haq ata kar sakti hae ke wo apne maqaami hudud me oon ikhteyaaraat me se kuch ya tamaam ikhteyaaraat istemaal kar sakti hae jinhe nukut (2) ke zariye Adaalat e Uzma istemaal kar sakti hae.
Without prejudice to the powers conferred on the Supreme Court by clauses (1) and (2), Parliament may by law empower any other court to exercise within the local limits of its jurisdiction all or any of the powers exercisable by the Supreme Court under clause (2).

32(4). Is mazmoon ke zariye jis haq ki zamaanat di gayi hae oose ma’attal nahi kiya jaa sakta siwaaye iske ke iske baawajuud ise is Aain ke zariye mutayyin kiya gaya ho.
The right guaranteed by this article shall not be suspended except as otherwise provided for by this Constitution.

32A. Mansuukh
Repealed

33. Is hisse ke zariye ata kiye gaye haquq ka Afwaaj waghaera par naafez hone me Qaumi Majlis ka unhe tarmiim kiye jaane ka ikhteyaar- 
Power of Parliament to modify the rights conferred by this Part in their application to Forces, etc.—

Qaumi Majlis chaahe to, qaanuunan, ye tay kar sakti hae ke is Hisse ke zariye ata kiye gaye haquq in,-
Parliament may, by law, determine to what extent any of the rights conferred by this Part shall, in their application to,—

33(a). Musallah Afwaaj ke araakiin; ya
the members of the Armed Forces; or

33(b). awaami nizaam ki bahaali ke liye taenaat ki gayi Afwaaj ke araakiin; ya
the members of the Forces charged with the maintenance of public order; or

33(c). afraad jo Sarkaar ke zariye khufiya ma’alumaat ya jaasusi ke maqsad ke tehat qaayam shuda aese kisi maktab ya digar mehkame me mulaazim ho; ya
persons employed in any bureau or other organisation established by the State for purposes of intelligence or counter intelligence; or 

33(d). Nukut (a) se (c) tak me waazae kiye gaye kisi maktab, mehkame ya kisi Fauj ke liye qaayam kiye gaye kisi tele-muwaselaati nizaam ke zer koi shaks mulaazim ho ya osse koi nisabat rakhta ho,
(d) person employed in, or in connection with, the telecommunication systems set up for the purposes of any Force, bureau or organisation referred to in clauses (a) to (c),

par kis had tak laagu hone ko mehduud ya mansukh kar sakti hae, is gharz se taake wo apne farz ko sahi tariqe se anjaam de sake aur unke darmiyaan nizaam barqaraar rahe.
be restricted or abrogated so as to ensure the proper discharge of their duties and the maintenance of discipline among them.

34. Jab kisi ilaaqe me fauji qaanuun naafez ho to is Hisse ke zariye ata kiye gaye haquq par paabandi.-
Restriction on rights conferred by this Part while martial law is in force in any area.—

Is Hisse ke kisi bhi maujudaah usul ke baawajuud, Qaumi Majlis qaanuun ke zariye kisi aese shakhs ko jo Markazi ya Riyaasati khidmat me ho ya kisi digar shakhs ko is mutalliq ke oosne sarzamin e Hind ke kisi aese ilaaqe me jaha fauzi qaanuun laagu raha ho waha nizaam ko durust ya baahaal karne ki munaasibat se koi amal kiya ho osse bari kar sakti hae ya oske sunaaye kisi hukm ko, uski di gayi kisi saza ko, oske hukm par ki gayi kisi zabti ko ya fauji qaanuun ke tehat kisi aese ilaaqe me kiye gaye kisi amal ko sahi thehra sakti hae.
Notwithstanding anything in the foregoing provisions of this Part, Parliament may by law indemnify any person in the service of the Union or of a State or any other person in respect of any act done by him in connection with the maintenance or restoration of order in any area within the territory of India where martial law was in force or validate any sentence passed, punishment inflicted, forfeiture ordered or other act done under martial law in such area.

35. Is Hisse ke usul ko laagu karne ke liye qaanuun-saazi.-
Legislation to give effect to the provisions of this Part.—

Is Aain me kisi bhi chiz ke baawajuud,-
Notwithstanding anything in this Constitution,—

35(a). Qawaaniin banaane ke ikhteyaaraat, Qaumi Majlis ke paas honge, aur kisi Riyaasati Majlis ke paas nahi honge-
Parliament shall have, and the Legislature of a State shall not have, power to make laws—

35(a-i). Mazmoon 16 ke nuukut (3), Mazmoon 32 ke Nukut (3) Mazmoon 33 aur Mazmoon 34 ke tehat kisi ma’amlaat ke mutalliq Qaumi Majlis ke zariye banaaye gaye qaanuun se ata ho sakte hae; aur
with respect to any of the matters which under clause (3) of article 16, clause (3) of article 32, article 33 and article 34 may be provided for by law made by Parliament; and

35(a-ii). ke is Hisse ke tehat jin a’amaal ko jurm karaar diya gaya hae unki sazaa tay kare; aur Qaumi Majlis, is Aain ke naafez hote hi jald az jald, zere-nukut (ii) me waazae kiye gaye a’amal ki sazaa ke ta’ayyun ke liye qawaaniin banaaye;
for prescribing punishment for those acts which are declared to be offences under this Part; and Parliament shall, as soon as may be after the commencement of this Constitution, make laws for prescribing punishment for the acts referred to in sub-clause (ii);

35(b). Sarzamin e Hind me is Aain ki nafaazat se fauran qabl nukut (a) ke zere-nukut (i) ya oos nukut ke zere-nukut (ii) me waazae kiye gaye kisi a’amal ki sazaa tay ho to in mutalliq kisi bhi ma’amle me, uski sharaaet ke mutaabiq aur kisi mawaafiqat aur tarmiim jo usme mazmoon 372 ke tehat ki gayi ho, jo maujudaah qaanuun ho wo laagu rahega hatta ke Qaumi Majlis oose tabdiil ya mansuukh ya uski tarmiin nahi karti.
any law in force immediately before the commencement of this Constitution in the territory of India with respect to any of the matters referred to in sub-clause (i) of clause (a) or providing for punishment for any act referred to in sub-clause (ii) of that clause shall, subject to the terms thereof and to any adaptations and modifications that may be made therein under article 372, continue in force until altered or repealed or amended by Parliament.

Wazaahat.- Is mazmoon me, “maujudaah qaanuun” se wohi muraad hae jo mazmoon 372 me hae.
Explanation.—In this article, the expression "law in force'' has the same meaning as in article 372.











No comments:

Post a Comment