Thursday, 24 August 2017

Citizenship (Articles 5-11) in India (Urdu)

Sheheriyat (Mazaameen 5-11)



Hissa II
Part II



Sheheriyat
Citizenship



5. Aain ki nafaazat ke waqt sheheriyat.-
Citizenship at the commencement of the Constitution.—

Is Aain ki nafaazat ke waqt, har wo shakhs jo sarzamiin e Hind ka mustaqil rihaayishi hae aur-
At the commencement of this Constitution, every person who has his domicile in the territory of India and—

5(a). jo bhi sarzamiin e Hind me paeda huwa ho; ya
who was born in the territory of India; or

5(b). jiske bhi waalidaen me se koi ek bhi sarzamiin e Hind me paeda huwa ho; ya
either of whose parents was born in the territory of India; or

5(c). jo koi bhi is nafaazat se fauran qabl tak kam az kam paanch saalou tak aam tarz par sarzamiin e Hind ka rihaayishi raha ho, wo Hind ka shehri hoga.
who has been ordinarily resident in the territory of India for not less than five years immediately preceding such commencement, shall be a citizen of India.

6. Ba’az afraad jo Pakistan se hijrat karke Hind aaye hae unki shehriyat ke haquq.-
Rights of citizenship of certain persons who have migrated to India from Pakistan.—

Mazmoon 5 ke kisi bhi pehlu ke baawajuud, is Aain ki nafaazat ke waqt, jo bhi shakhs us ilaaqe se jo ab Pakistan me shaamil hae waha se hijrat karke sarzamiin e Hind me aaya ho tou oose Hind ka shehri maana jaayega agar-
Notwithstanding anything in article 5, a person who has migrated to the territory of India from the territory now included in Pakistan shall be deemed to be a citizen of India at the commencement of this Constitution if—

6(a). wo shakhs ya oske waalidaen me se koi ek bhi ya uske ajdaad me se koi bhi ek Hind me paeda huwa ho jaesa ke Hukumat e Hind Qaede, 1935 me (uski ibtedaayi nafaazat ki haalat me) waazae kiya gaya ho; aur
he or either of his parents or any of his grand-parents was born in India as defined in the Government of India Act, 1935 (as originally enacted); and

6(b-i). aese ma’amle me ke jab aese shakhs ne July, 1948 ke unniswe roz se qabl hijrat ki ho, apni is hijrat ki taarikh se hi sarzamiin e Hind me aam tarz par rihaayishi raha ho, ya
in the case where such person has so migrated before the nineteenth day of July, 1948, he has been ordinarily resident in the territory of India since the date of his migration, or

6(b-ii). aese ma’amle me ke jab aese shakhs ne July, 1948 ke unniswe roz ko ya uske baad hijrat ki ho, tou is Aain ke naafez hone se qabl oos shakhs ko aese afsar jise Mumlikat e Hind ki Sarkaar ne is mutalliq muqarrar kiya ho aur us afsar ne aese shakhs ko us shakhs ki is mutalliq afsar ko di gayi oos ki darkhwaast par Hind ke shehri ki haesiyat se indaraaj e fehrist kiya ho wo bhi oos Sarkaar ki mutayyin ki gayi fehrist aur tariqe ke mutaabiq:
in the case where such person has so migrated on or after the nineteenth day of July, 1948, he has been registered as a citizen of India by an officer appointed in that behalf by the Government of the Dominion of India on an application made by him therefore to such officer before the commencement of this Constitution in the form and manner prescribed by that Government:

Shart ye hae ke kisi bhi shakhs ko aese indaraaje fehrist na kiya jaaye jab tak ke wo apni darkhwaast ki taarikh se fauran qabl tak kam az kam che mahine se sarzamiin e Hind me naa reh raha hou.
Provided that no person shall be so registered unless he has been resident in the territory of India for at least six months immediately preceding the date of his application.

7. Pakistan chale gaye huwe ba’az muhajiraen ki shehriyat ke haquq.-
Rights of citizenship of certain migrants to Pakistan.—

Mazaameen 5 aur 6 ke kisi bhi pehlu ke baawajood, koi bhi shakhs March, 1947 ke pehle roz ke baad sarzamiin e Hind se hijrat karke oos ilaaqe me chala gaya ho jo ab Pakistan me shaamil hae oose Hind ka shehri nahi maana jaayega:
Notwithstanding anything in articles 5 and 6, a person who has after the first day of March, 1947, migrated from the territory of India to the territory now included in Pakistan shall not be deemed to be a citizen of India:

Shart ye hae ke is mazmoon ka koi bhi pehlu aese shakhs par laagu nahi hoga jo, hijrat karke oos ilaaqe me jo ab Pakistan me hae waha chale jaane ke baad, sarzamiin e Hind me laut aaya ho aese ijaazat-naame ke tehat jo dobaara-basne ke ya mustaqil-waapsi ke mutalliq ho jise kisi qaanuun ke ya uske tehat banaaye gaye kisi mohkam ne jaari kiya ho aur aese har shakhs ko mazmoon 6 ke nukut (b) ke maqsad ke mutaabiq July, 1948 ke unniiswe roz ke baad hijrat karke sarzamiin e Hind aaya huwa maana jaayega.
Provided that nothing in this article shall apply to a person who, after having so migrated to the territory now included in Pakistan, has returned to the territory of India under a permit for resettlement or permanent return issued by or under the authority of any law and every such person shall for the purposes of clause (b) of article 6 be deemed to have migrated to the territory of India after the nineteenth day of July, 1948.

8. Hindi asaliyat ke ba’az afraad jo Hind ke baahar rehaayish-paziir hae unke haquq e shehriyat.-
Rights of citizenship of certain persons of Indian origin residing outside India.—

Mazmoon 5 ke kisi bhi pehlu ke baawajood, har wo shakhs jo khud, ya uske waalidaen me se koi ek ya uske ajdaad me se koi bhi ek Hind me paeda huwa ho jaesa ke 1935, Hukumat e Hind Qaede me (uski ibtedaayi nafaazat ki haalat me) waazae kiya gaya ho, aur jo Hind ke baahar kisi bhi mulk me aam tarz par rehaayish-paziir ho jaesi wazaahat ki gayi hae, agar oosne oos mulk me fil waqt jaaha wo rehaayish-paziir ho waha ke sifaarati ya sarkaari numaainde se darkhwaast ki ho ke oose Hind ke shehri ki haesiyat se inderaaj e fehrist kiya jaaye fir oose aese sifaarati ya sarkaari numaainde ne, Hukumat e Mumlikat e Hind ya Hukumat e Hind ki mutayyin ki gayi fehrist aur tariqe ke mutaabiq, chaahe is Aain ki nafaazat ke pehle ya iske baad, inderaaj e fehrist kar liya ho to oose Hind ka shehri maana jaayega. 
Notwithstanding anything in article 5, any person who or either of whose parents or any of whose grand-parents was born in India as defined in the Government of India Act, 1935 (as originally enacted), and who is ordinarily residing in any country outside India as so defined shall be deemed to be a citizen of India if he has been registered as a citizen of India by the diplomatic or consular representative of India in the country where he is for the time being residing on an application made by him therefor to such diplomatic or consular representative, whether before or after the commencement of this Constitution, in the form and manner prescribed by the Government of the Dominion of India or the Government of India.

9. Jo Ashkhaas apni marzi se kisi digar Mulk ki sheheriyat haasil kar le tou oonka Hind ka shehri nahi hona.-
Persons voluntarily acquiring citizenship of a foreign State not to be citizens.—

Koi bhi shakhs mazmoon 5 ki bina par, ya mazmoon 6 ya mazmoon 8 ki bina, agar oosne apni marzi se kisi bhi digar Mulk ki shehriyat haasil kar li ho, tou oose Hind ka shehri nahi maana jayega.
No person shall be a citizen of India by virtue of article 5, or be deemed to be a citizen of India by virtue of article 6 or article 8, if he has voluntarily acquired the citizenship of any foreign State.

10. Shehriyat ke haquq ka barqaraar rehna.-
Continuance of the rights of citizenship.—

Har shakhs jo is Hisse ke kisi bhi maujudaa usul ke tehat Hind ka shehri hae ya maana jaata hae to, koi bhi qaanuun jisi Qaumi Majlis kabhi banaaye oske ke usul ke tehat rehte huwe, Hind ka shehri bana rahega.
Every person who is or is deemed to be a citizen of India under any of the foregoing provisions of this Part shall, subject to the provisions of any law that may be made by Parliament, continue to be such citizen.

11. Qaumi Majlis qaanuun ke zariye shehriyat ke haq ko mutayyin karegi.-
Parliament to regulate the right of citizenship by law.—

Is Hisse ke jo pehle bataaye gaye usul hae unka koi bhi pehlu Qaumi Majlis ke is ikhteyaar ko ke wo shehriyat ke hasul aur uski tardid ke mutalliq aur digar tamaam shehriyat ke mutalliq masaail par koi usul banaaye is ikhteyaar ko kam nahi kar sakta.
 Nothing in the foregoing provisions of this Part shall derogate from the power of Parliament to make any provision with respect to the acquisition and termination of citizenship and all other matters relating to citizenship.










1 comment:

  1. Proud to be an Indian , I I've my constitution of India , I am proud of my constitution

    ReplyDelete