Thursday, 24 August 2017

Directive Principles Of State Policy (Articles 36-51) in India (Urdu)

Hind me Sarkaari Mansube Ke Hidaayati Usul (Mazaameen 36-51)



Hissa IV
Part IV



Sarkaari Mansube Ke Hidaayati Usul
Directive Principles Of State Policy



36. Khulaasa.-
Definition. —

Is Hisse me, hatta ke mauzu ki digar zarurat na ho to, “Sarkaar” ke maene wohi honge jo Hisse III me hae.
In this Part, unless the context otherwise requires, “the State” has the same meaning as in Part III.

37. Is Hisse me shaamil usul ka laagu hona.-
Application of the principles contained in this Part. —

Is Hisse ke usul kisi bhi adaalat ke zariye laagu-karda nahi honge, lekin iske baawajuud mulk ki hukumat-daari me ye usul buniyaadi honge aur Sarkaar par farz hoga ke qaanuun-saazi me in usul ko shaamil kare.
The provisions contained in this Part shall not be enforceable by any court, but the principles therein laid down are nevertheless fundamental in the governance of the country and it shall be the duty of the State to apply these principles in making laws.

38. Awaami falaah ki farogh ke liye Sarkaar ek ma’ashri nizaam qaayam kare.-
State to secure a social order for the promotion of welfare of the people. —

38(1). Sarkaar ye jaddo-jehd karti rahe ke awaami falaah ko farogh dene ke liye jitne pur asraar tariqe se ho aesa ma’ashri nizaam haasil kare aur uska tahaffuz kare jisme, ma’ashri, ma’ashi aur siyaasi, adl qaumi zindagi ke tamaam idaarou ko muta’assir kare.
The State shall strive to promote the welfare of the people by securing and protecting as effectively as it may a social order in which justice, social, economic and political, shall inform all the institutions of the national life.

38(2). Sarkaar, khususan ye jaddo-jehd kare ke aamdani ke farq ko kam az kam kar sake, aur ye iski shadiid koshish kare ke, na sirf afraad ke darmeyaan balqe awaam ke un tabqaat ke darmeyaan bhi jo mukhtalif ilaaqou me rihaayish pazir hae ya mukhtaliq peshe se wabasta hae, inke darmeyaan bhi haesiyat, sahulat aur mawaaqe ke farq ko khatm kar sake.
The State shall, in particular, strive to minimise the inequalities in income, and endeavour to eliminate inequalities in status, facilities and opportunities, not only amongst individuals but also amongst groups of people residing in different areas or engaged in different vocations.

39. Sarkaar mansube ke ba’az usul ki paerawi kare.-
Certain principles of policy to be followed by the State. —

Sarkaar khususan apna mansuba is jaanib mutawajja kare taake-
The State shall, in particular, direct its policy towards securing—

39(a). tamaam sheherio ko, mardou aur aurtou ko baraabari se, mawaafiq asbaab e zindagi haasil karne ka haq haasil hou;
that the citizens, men and women equally, have the right to an adequate means of livelihood;

39(b). kisi jama’at ke maadani wasaail ki milkiyat aur ikhteyaar aese taqsim ho ke aam bhalaayi ki jaanib behtariin madadgaar bane;
that the ownership and control of the material resources of the community are so distributed as best to subserve the common good;

39(c). ma’ashrati nizaam ke a’amaal ke nataaij me daulat ka zakhira aur paedaawaar ke asbaab aam nuqsaan na ban ban jaaye;
that the operation of the economic system does not result in the concentration of wealth and means of production to the common detriment;

39(d). mardou aur aurtou dono ke liye ek jaese kaam ki ujrat baraabar ho;
that there is equal pay for equal work for both men and women;

39(e). mulaazimeen, mardou aur aurtou ki quwwat aur sehaat, aur bachchou ki naazuk umr ka istehsaal na ho sake aur shehriou ko ma’ashri zarurat ki bina par aese peshe apnaane par majbuur na kiya jaaye jo unki umr aur quwwat ke lehaaz se muwaafiq na ho;
that the health and strength of workers, men and women, and the tender age of children are not abused and that citizens are not forced by economic necessity to enter avocations unsuited to their age or strength;

39(f). bachchou ko aese mawaaqe aur sahuliyaat haasil ho jisse wo ek sehat-mand tariqe se aur azaadaane aur baa-waqaar haalaat me badh sake aur bachpane aur nau-jawaani ko istehsaal aur ikhlaaqi aur maaddi laa-parwaahi se mehfooz rakha jaaye.
that children are given opportunities and facilities to develop in a healthy manner and in conditions of freedom and dignity and that childhood and youth are protected against exploitation and against moral and material abandonment.

39A. Masaawaati adl aur muft qaanuuni madad.-
Equal justice and free legal aid. —

Sarkaar aesa qaanuuni nizaam qaayam kare jo adl ko, masaawaati mawaaqe ki bina par, farogh de, aur khususan, munaasib qaanun saazi ya mansubaat ya kisi digar tariqe ke zariye, muft qaanuuni madad faraaham kare, jisse iska ta’ayyun ho jaaye ke kisi shehri ko ma’ashri ya kisi digar ma’azuuri ki wajaa se adl haasil karne ke mawaaqe se mehruum na rehna pade.
The State shall secure that the operation of the legal system promotes justice, on a basis of equal opportunity, and shall, in particular, provide free legal aid, by suitable legislation or schemes or in any other way, to ensure that opportunities for securing justice are not denied to any citizen by reason of economic or other disabilities.

40. Gaauo me panchaayaat ka qayaam.-
Organisation of village panchayats.—

Sarkaar is jaanib iqdaamaat uthaaye taake gaauo me panchaayaat qaayam ho aur unhe aese ikhteyaaraat aur mansab faraaham kare jo unke liye khud-nizaamat ki ikkaaiyou ki tarz par kaarwaahi karne ke liye zaruri hou.
The State shall take steps to organise village panchayats and endow them with such powers and authority as may be necessary to enable them to function as units of self-government.

41. Kaam karne ka, ta’alim ka aur ba’az ma’amlaat me awaami sahaare ka haq.-
Right to work, to education and to public assistance in certain cases. —

Sarkaar, apni ma’ashyaati quwwat aur taraqqi ke hudud me rehte hue, aesa kaar-aamad usul banaaye taake berozgaari, budhhaape, bimaari aur ma’azuuri ke ma’amlaat aur ghaer zaruri takaaze ke digar ma’amlaat me kaam karne ka, ta’alim ka aur awaami sahaare ka haq haasil ho.
The State shall, within the limits of its economic capacity and development, make effective provision for securing the right to work, to education and to public assistance in cases of unemployment, old age, sickness and disablement, and in other cases of undeserved want.

42. Kaam ke dauraan aadilaana aur insaani haalaat aur zachgi ki sahulat ka usul.-
Provision for just and humane conditions of work and maternity relief. —

Sarkaar kaam ke dauraan aadilaana aur insaani haalaat aur zachgi ki sahulat haasil karaata usul banaaye.
The State shall make provision for securing just and humane conditions of work and for maternity relief.

43. Mulaazimeen ke liye muwaafiq ujrat, waghaera. –
Living wage, etc., for workers. —

Sarkaar munaasib qaanuun-saazi ya ma’ashi nizaamat ya kisi aur digar tariqe ke zariye, zara’ati, sana’ati ya digar tamaam mulaazimeen ko, kaam, ek muwaafiq ujrat, ek muhazzib mayaar e zindagi aur awqaat e faraaghat ki mukammal luft-andozi aur ma’ashri aur saqaafati mawaaqe haasil karaane ki jaddo-jehd kare aur, khususan, Sarkaar dehi ilaaqou me furaada ya ta’auni tarz par gharelu san’aat ko farogh dene ki jaddo-jehd kare.
The State shall endeavour to secure, by suitable legislation or economic organisation or in any other way, to all workers, agricultural, industrial or otherwise, work, a living wage, conditions of work ensuring a decent standard of life and full enjoyment of leisure and social and cultural opportunities and, in particular, the State shall endeavour to promote cottage industries on an individual or co-operative basis in rural areas.

43A. San’aat ki nizaamat me mulaazimeen ki shirkat.-
Participation of workers in management of industries. —

Sarkaar, munaasib qaanuun-saazi ya kisi digar tariqe ke zariye, zere-ikhteyaaraat, idaarou ya digar nizaamaat jo kisi bhi sana’at ka hissa hou unki nizaamat me mulaazimeen ki shirkat ko haasil kiye jaane ke liye , iqdaamaat uthaaye.
The State shall take steps, by suitable legislation or in any other way, to secure the participation of workers in the management of undertakings, establishments or other organisations engaged in any industry.

44. Shehrio ke liye yaksaa madani zaabita.-
Uniform civil code for the citizens. —

Sarkaar, mukammal sarzamiin e Hind me shehrio ke liye ek yaksaa madani zaabite ko haasil karne ke liye jadoo-jehd kare.
The State shall endeavour to secure for the citizens a uniform civil code throughout the territory of India.

45. Chhe saal se kam umr ke bachchou ki ibtedaayi dekh-bhaal aur ta’alim ka usul.-
Provision for early childhood care and education to children below the age of six years. —

Sarkaar tamaan bachhe jab tak wo chhe saal ki umr tak naa pohoch jaaye unhe ibtedaayi dekh-bhaal aur ta’alim faraaham karne ke liye jaddo-jehd kare.
The State shall endeavour to provide early childhood care and education for all children until they complete the age of six years.

46. Zere-Fehrist Zaat, Zere-Fehrist Qabaail aur dighar kamzor tabqaat ke ta’alimi aur ma’ashi mafaadaat ka usul. –
Promotion of educational and economic interests of Scheduled Castes, Scheduled Tribes and other weaker sections. —

Sarkaar, awaam ke kamzor tabqaat, aur, khususan, Zere-Fehrist zaat aur Zere-Fehrist Qabaail ke ta’alimi aur ma’ashi mafaadaat ko khaas tawajjo ke saath farogh kare, aur ma’ashri mazaalim aur istehsaal ke tamaam iqsaam ke khilaaf inka tahaffuz kare.
The State shall promote with special care the educational and economic interests of the weaker sections of the people, and, in particular, of the Scheduled Castes and the Scheduled Tribes, and shall protect them from social injustice and all forms of exploitation.

47. Ghizaaiyaat aur mayaare zindagi ke darje me izaafe aur awaami sehat ko behtar banaane ka Sarkaar ka farz. -
Duty of the State to raise the level of nutrition and the standard of living and to improve public health.—

Sarkaar, apni awaam ke mayaar e ghizaaiyaat aur mayaar e zindagi me izaafe aur awaami sehat me behtari ko apne awwaliin faraaiz tasawwur kare aur, khususan, Sarkaar siwaaye tibbi maqsad ke munshiyaati mashrubaat aur sehat ke liye nuksaandaah munshiyaat ke istemaal par paabandi aaid karne ki jaddo-jehd kare.
The State shall regard the raising of the level of nutrition and the standard of living of its people and the improvement of public health as among its primary duties and, in particular, the State shall endeavour to bring about prohibition of the consumption except for medicinal purposes of intoxicating drinks and of drugs which are injurious to health.

48. Zara’at aur maweshi paalan ki nizaamat.-
Organisation of agriculture and animal husbandry. —

Sarkaar zara’at aur maweshi paalan ko jadiid aur scienci tarz par munazzim karne ke liye jaddo-jehd kare, aur khususan, gaaiyou aur bachdou, aur digar maweshi jo dudh dete hae aur wazan dhhote hae, unka tahaffuz aur unki naslou ki behtari, aur unke zibaah ko rokne ke liye iqdaamaat uthaaye.
The State shall endeavour to organise agriculture and animal husbandry on modern and scientific lines and shall, in particular, take steps for preserving and improving the breeds, and prohibiting the slaughter, of cows and calves and other milch and draught cattle.

48A. Qudrati maahaul ki behtari aur tahaffuz aur jangalaat aur haewaaniya ka tahaffuz.-
Protection and improvement of environment and safeguarding of forests and wild life. —

Sarkaar qudrati maahaul ke tahaffuz aur iski behtari aur mulk ke jangalaat aur haewaaniya ke tahaffuz ke liye jaddo-jehd kare.
The State shall endeavour to protect and improve the environment and to safeguard the forests and wild life of the country.

49. Qaumi ehmiyat ki imaaraat aur maqaamaat aur ashiya ka tahaffuz.-
Protection of monuments and places and objects of national importance. —

Ye Sarkaar par farz hoga ke Qaumi Majlis ke aelaan ya uske banaaye huwe qaanuun ke tehat, jiski bhi qaumi ehmiyat waazae ki gayi ho, aesi har fankaaraana ya taarikhi dil-chaspi ki imaarat ya maqaam ya ashiya, unka nuqsaan pohchaaye jaane se, todhhe jaane se, tabaah kiye jaane se, hataaye jaane se, za’aya kiye jaane se ya mulk ke baahar bheje jaane se, jaesa bhi ma’amla ho unka tahaffuz kare.
It shall be the obligation of the State to protect every monument or place or object of artistic or historic interest, declared by or under law made by Parliament to be of national importance, from spoliation, disfigurement, destruction, removal, disposal or export, as the case may be.

50. Adaliya se amaliya ki alaahidgi.-
Separation of judiciary from executive. —

Sarkaar aese iqdaamaat uthhaaye jisse Sarkaar ki awaami khidmaat me adliya se amaliya ko alaahida kiya jaaye.
The State shall take steps to separate the judiciary from the executive in the public services of the State.

51. Bainul-aqwaami aman o amaan ki farogh.-
Promotion of international peace and security.—

Sarkaar jaddo-jehd kare ke-
The State shall endeavour to—

51(a). bainul-aqwaami aman o amaan ko farogh diya jaaye;
promote international peace and security;

51(b). mumaalik ke maabaen aadilaana aur baawaqaar ta’alluqaat qaayam rahe;
maintain just and honourable relations between nations;

51(c). munazzim aqwaam ke ek dusre ke saath ma’amlaat me bainul-aqwaami qaanun aur mu’ahide ki sharaaet ke ehteraam ko farogh de; aur
foster respect for international law and treaty obligations in the dealings of organised peoples with one another; and

51(d). bainul-aqwaami tana’azaat ko salisi baat-chiit ke zariye suljhaaye jaane ko tarjii de.
encourage settlement of international disputes by arbitration.










No comments:

Post a Comment