Wednesday 13 December 2017

The States (Articles 190-193) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 190-193)



Hissa VI
Part VI



Riyaasaat
The States



Baab III.—Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis
Chapter III.—The State Legislature


Araakeen kin na-aehliyat
Disqualifications of Members


190. Maqaamaat ka khaali hona.—
Vacation of seats.—

190(1). Koi bhi shakhs kisi bhi Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke donohi Aewaan ka rukn nahi reh sakta aur Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ko qaanuun ke zariye ye usul banana hoga taake kisi shakhs ko jo donohi Aewaan ka rukn chuna gaya ho ooska ya tou is Aewaan se ya tou oos Aewaan se maqaam khaali karaaya jaaye.
No person shall be a member of both Houses of the Legislature of a State and provision shall be made by the Legislature of the State by law for the vacation by a person who is chosen a member of both Houses of his seat in one house or the other.

190(2). Koi bhi shakhs aesi Riyaasaat jo Pehli Fehrist me darj hae oonme se ek hi waqt do ya zaaid Riyaasaat ki Qaanuun-saaz Majaalis ka rukn nahi reh sakta, aur agar kisi shakhs ko aesi do ya zaaid Riyaasaat ki Qaanuun-saaz Majaalis ka rukn chuna gaya ho tou, fir, Sadar e Jamhuriya ke zariye banaaye gaye qawaaid me waazae ki gayi muddat poori ho jaane ke baad, oos shakhs ka aesi tamaam Riyaasaat ki Qaanuun-saaz Majaalis me maqaam khaali ho jaaye ga, agar oos shakhs ne iske pehle hi ek ko chhod ke tamaan Riyaasaat ki Qaanuun-saaz Majaalis ke apne maqaam se istefaa naa de diya ho.
No person shall be a member of the Legislatures of two or more States specified in the First Schedule and if a person is chosen a member of the Legislatures of two or more such States, then, at the expiration of such period as may be specified in rules made by the President, that person's seat in the Legislatures of all such States shall become vacant, unless he has previously resigned his seat in the Legislatures of all but one of the States.

190(3). Agar kisi Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke kisi bhi Aewaan ka koi rukn—
If a member of a House of the Legislature of a State—

190(3a). mazmoon 191 ke nukut (1) ya nukut (2) me zikr ki gayi kisi na-aehliyat ke tehet aajaaye to; ya
becomes subject to any of the disqualifications mentioned in clause (1) or clause (2) of article 191; or

190(3b). Amiir ya Mukallim, jaesa bhi ma’amla ho, oonko apni dastakhat shuda tehrir ke zariye apne maqaam se istefe ki ittela bhej de, aur ooska istefa Amiir ya Mukallim, jaesa bhi ma’amla ho, manzuur kar le, tou ooska maqaam fauran khaali ho jaaye ga:
resigns his seat by writing under his hand addressed to the speaker or the Chairman, as the case may be, and his resignation is accepted by the Speaker or the Chairman, as the case may be, his seat shall thereupon become vacant:

Shart ye hae ke zere-nukut (b) me zikr kiye gaye istefe ke ma’amle me, agar ittela mil jaane ke baad ya digar zariye se ma’lumat haasil ho jaane ke baad aur oonhe jaesa munaasib lage waesi taftiish karaane ke baad, Amiir ya Mukallim, jaesa bhi ma’amla ho, agar wo mutmaiin ho jaate hae ke wo istefa khud ki marzi se nahi diya gaya tha ya jaali tha, tou wo aese istefa ko wo manzuur nahi karenge.
Provided that in the case of any resignation referred to in sub-clause (b), if from information received or otherwise and after making such inquiry as he thinks fit, the Speaker or the Chairman, as the case may be, is satisfied that such resignation is not voluntary or genuine, he shall not accept such resignation.

190(4). Agar koi rukn baghaer ijaazat ke kisi Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke kisi bhi Aewaan ki tamaam nashistou se musalsal saath dinou ki muddat tak ghaer-haazir raha hou tou, Aewaan chaahe tou ooska maqaam khaali karaar de sakta hae:
If for a period of sixty days a member of a House of the Legislature of a State is without permission of the House absent from all meetings thereof, the House may declare his seat vacant:

Shart ye hae ke bataayegaye saath dinou ka hisaab lagaane me aesi kisi bhi muddat ko shumaar nahi kiya jaaye ga jab Aewaan ka chaar dino se zaaid ke liye ijlaas multawi ya nashist multawi ki gayi ho.
Provided that in computing the said period of sixty days no account shall be taken of any period during which the House is prorogued or is adjourned for more than four consecutive days.

191. Rukniyat ki na-aehliyat.—
Disqualifications for membership.—

191(1). Oos shakhs ko kisi Riyaasat ki Riyaasati Majlis ya Riyaasati Shura ke rukn chune jaane se, aur rukn hone se na-aehl kar diya jaaye ga—
A person shall be disqualified for being chosen as, and for being, a member of the Legislative Assembly or Legislative Council of a State—

191(1a). agar wo Hukumat e Hind ya kisi Riyaasat ki Hukumat ke tehat ki munaafe ke ohde par faaiz ho, siwaaye oon ohdou ke jinhe Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ne qaanuun ke zariye aesa aelaan kiya ho ke ye wo ohde hae jinpar jo faaiz ho ye oonhe na-aehl nahi karte;
if he holds any office of profit under the Government of India or the Government of any State specified in the First Schedule, other than an office declared by the Legislature of the State by law not to disqualify its holder;

191(1b). agar wo zehni taur se bimaar hou aur aesa oonhe is qabil kisi adaalat ne thehraaya ho;
if he is of unsound mind and stands so declared by a competent court;

191(1c). agar wo ek ghaer e bari diwaalia ho;
if he is an undischarged insolvent;

191(1d). agar wo Hind ka shehri nahi hae, ya oosne khud ki marzi se kisi digar Mulk ki shehriyat haasil kar li ho, ya kisi digar Mulk ka taslim shuda wafaadaar ya tarafdaar hae;
if he is not a citizen of India, or has voluntarily acquired the citizenship of a foreign State, or is under any acknowledgment of allegiance or adherence to a foreign State;

191(1e). agar oose Qaumi Majlis ke zariye banaaye gaye kisi bhi qaanuun ke zariye ya ooske tehat na-aehl kar diya gaya ho.
if he is so disqualified by or under any law made by Parliament.

Wazaahat.—Is mazmoon ke maqsad ke tehat kisi bhi shakhs ko sirf is bina par munaafe ke ohde par faaiz nahi maana jaayega ke wo Hukumat e Hind ya kisi aesi Riyaasat jo Pehli Fehrist me darj hae ooski Hukumat ke tehat Markaz me ya oos Riyaasat me Wazir hae.
Explanation.—For the purposes of this clause, a person shall not be deemed to hold an office of profit under the Government of India or the Government of any State specified in the First Schedule by reason only that he is a Minister either for the Union or for such State.

191(2). Agar kisi shakhs ko Daswi Fehrist ke tehat is mutalliq na-aehl maana gaya ho tou oose kisi Riyaasat ki Riyaasati Majlis ya Riyaasati Shura ka rukn hone se bhi na-aehl maana jaayega.
A person shall be disqualified for being a member of the Legislative Assembly or Legislative Council of a State if he is so disqualified under the Tenth Schedule.

192. Araakeen ki na-aehliyaat ke sawaalaat par faesla.—
Decision on questions as to disqualifications of members.—

192(1). Agar koi sawaal uthta hae ke kisi Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke kisi Aewaan ka koi rukn mazmoon 191 ke nukut (1) ke me zikr ki gayi kisi bhi na-aehliyaat ke tehat aata ho tou, faesle ke liye oos sawaal ko Naazim e Riyaasat ki madde nazar kiya jaaye ga aur oonka faesla hatami hoga.
If any question arises as to whether a member of a House of the Legislature of a State has become subject to any of the disqualifications mentioned in clause (1) of article 191, the question shall be referred for the decision of the Governor and his decision shall be final.

192(2). Aese kisi sawaal par koi faesla dene se qabl, Naazim e Riyaasat ko Intekhaabi Wafaz ki raae haasil karni hogi aur oonhe oos raae ke mutaabiq amal karna hoga. Before giving any decision on any such question, the Governor shall obtain the opinion of the Election Commission and shall act according to such opinion.

193. Mazmoon 188 ke tehat halaf lene ya Aehad karne se qabl ya jab aehliyat na ho tou ya na-aehl kiye jaane ke baad baethhne aur raae dene ka jurmana.—
Penalty for sitting and voting before making oath or affirmation under article 188 or when not qualified or when disqualified.—

Koi shakhs mazmoon 188 ki sharaaet poori karne se qabl, ya jab oose ma’aluum ho ke wo is mutalliq na-aehl hae ya oosko rukn hone se na-aehl karaar diya gaya hae, ya ooske aesa karne par Qaumi Majlis ya Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke banaaye gaye kisi qaanuun ke usul ke tehat mamnuhaat hae, agar wo Riyaasati Majlis ya Riyaasati Shura ke rukn ki haesiyat se baeththa ho ya raae di ho tou, har wo din jab wo baeththa ho aur raae di ho har din ke liye paanch sau rupaye jurmaana ada karne ka zimmedaar hae jise Riyaasat ki jaanib se diye gaye karz ke taur par oosse wasula jaayega.
If a person sits or votes as a member of the Legislative Assembly or the Legislative Council of a State before he has complied with the requirements of article 188, or when he knows that he is not qualified or that he is disqualified for membership thereof, or that he is prohibited from so doing by the provisions of any law made by Parliament or the Legislature of the State, he shall be liable in respect of each day on which he so sits or votes to a penalty of five hundred rupees to be recovered as a debt due to the State.



Index to the Articles of The Constitution of India (Urdu)

Aaine Hind ke Mazaameen ki Fehrist



English To Urdu Word Glossary For The Constitution Of India

Urdu To English Word Glossary For The Constitution of India



No comments:

Post a Comment