Sunday, 19 November 2017

The States (Articles 188-189) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 188-189)



Hissa VI
Part VI



Riyaasaat
The States



Baab III.—Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis
Chapter III.—The State Legislature


Kaarwaahi ka tarze amal 
Conduct of Business


188. Araakeen ka halaf lena ya aehad karna.—
Oath or affirmation by members.—

Kisi bhi Riyaasat ki Riyaasati Majlis ya ooske Riyaasati Shura ke har rukn ko apna maqaam haasil karne se qabl, Naazim e Riyaasat ke, ya kisi aese shakhs ke saamne jise Naazim e Riyaasat ne is muttaliq mukarrar kiya ho, ek halaf leni hogi ya aehad karna hoga, oos tehriir ke mutaabiq jo is maqsad ke liye Tisri Fehrist me darj hae; 
Every member of the Legislative Assembly or the Legislative Council of a State shall, before taking his seat, make and subscribe before the Governor, or some person appointed in that behalf by him, an oath or affirmation according to the form set out for the purpose in the Third Schedule.

189. Aewaan me raae shumaari, khaali maqaamaat ke baawajuud Aewaan ki kaarwaahi aur Aewaan ki laazimi haaziri.—
Voting in Houses, power of Houses to act notwithstanding vacancies and quorum.—

189(1). Is Aain me maujuud kisi digar gunjaaish ke siwa, Kisi bhi Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke kisi bhi Aewaan ki kisi bhi nashist ke tamaam sawaalaat ke nataaij ka ta’ayyun haazir aur raae dene ko tayyaar araakeen ki raae ki aksariyat se hoga, lekin, raae shumaari me Mukallim ya Amiir, ya wo shakhs jo inki haesiyat se maujuud ho, apni raae nahi de sakte. Amiir ya Mukallim, ya wo shakhs jo inki haesiyat se maujuud ho, pehli martaba me apni raae nahi denge, lekin aesi haalat me jab raae shumaari ke nataaij baraabar ho jaaye tab, oonko ek faesla kun raae dene ka haq hoga aur oonhe ise istemaal karna hoga. 
Save as otherwise provided in this Constitution, all questions at any sitting of a House of the Legislature of a State shall be determined by a majority of votes of the members present and voting, other than the Speaker or Chairman, or person acting as such. The Speaker or Chairman, or person acting as such, shall not vote in the first instance, but shall have and exercise a casting vote in the case of an equality of votes.

189(2). Rukniyat me koi bhi khaali maqaam hone ke baawajuud Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke kisi bhi Aewaan ko kaarwaahi jaari rakhne ka ikhteyaar hoga, aur Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ki kisi bhi kaarwaahi ke baad agar ye pata chalta hae ke koi shakhs jise kaarwaahi me maujuud hone ka ya raae dene ka ya digar kisi amal ka koi haq nahi tha aur tab bhi oos shakhs ne kaarwaahi me hissa liya tha, tou iske baawajuud bhi Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ki wo kaarwaahi durust maani jaayegi.
A House of the Legislature of a State shall have power to act notwithstanding any vacancy in the membership thereof, and any proceedings in the Legislature of a State shall be valid notwithstanding that it is discovered subsequently that some person who was not entitled so to do sat or voted or otherwise took part in the proceedings.

189(3). Jab tak ke Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis qaanuun ke zariye koi aur usul nahi bana deti tab tak, Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke kisi bhi Aewaan me nashist munaqqid kiye jaane ki laazimi haaziri das araakeen ya oos Aewaan ke tamaam araakeen ke adad ki ek-dahaayi, in dono ma’amlaat me jo bhi zyada ho, wo hogi.
Until the Legislature of the State by law otherwise provides, the quorum to constitute a meeting of a House of the Legislature of a State shall be ten members or one-tenth of the total number of members of the House, whichever is greater.

189(4). Agar kisi Riyaasat ki Riyaasati Majlis ya ooske Riyaasati Shura ki kisi nashist ke dauraan kisi waqt laazimi haaziri nahi reh jaati tab, ye Mukallim ya Amiir, ya aese shakhs jo oonki haesiyat se maujuud ho, inpar farz hoga ke wo Aewaan ko multawi kar de ya nashist ko oos waqt tak mo’atal kar de jab tak ke laazimi haaziri nahi ban jaati.
If at any time during a meeting of the Legislative Assembly or the Legislative Council of a State there is no quorum, it shall be the duty of the Speaker or Chairman, or person acting as such, either to adjourn the House or to suspend the meeting until there is a quorum.



No comments:

Post a Comment