Thursday 4 January 2018

The States (Articles 214-223) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 214-223)



Hissa VI

Part VI



Riyaasaat

The States



Baab V.— Riyaasaat me Adaalaat e Aalia

Chapter V.— The High Courts in the States


214. Riyaasaat ke liye Adaalaat e Aalia.—

High Courts for States.—

Har ek Riyaasat ki ek Adaalat e Aalia hogi.

There shall be a High Court for each State.

215. Adaalaat e Aalia ka indaraaji adaalaat hona.—

High Courts to be courts of record.—

Har ek Adaalat e Aalia indaraaji adaalat hogi aur iske paas aesi kisi adaalat ke tamaam ikhteyaaaraat honge aur jin ikhteyaaraat me ooski tauheen ke mutalliq saza dene ka ikhteyaar bhi hoga.

Every High Court shall be a court of record and shall have all the powers of such a court including the power to punish for contempt of itself.

216. Adaalaat e Aalia ki tashkeel.—

Constitution of High Courts.—

Har ek Adaalat e Aalia ke ek Qaazi e Aala honge aur aese digar qazaat honge jinko mukarrar kiya jaana Sadar e Jamhuriya ko waqt ba waqt zaruri lage.

Every High Court shall consist of a Chief Justice and such other Judges as the President may from time to time deem it necessary to appoint.

217. Adaalat e Aalia ke Qaazi ka mukarrar kiya jaana aur oos ohde ki sharaaet.—

Appointment and conditions of the office of a Judge of a High Court.—

217(1). Sadar e Jamhuriya oonke dastakhat aur mohr shuda dastaawez ke zariye Adaalat e Aalia ke har ek Qaazi ko mukarrar karenge, Sadar e Jamhuriya in Qazaat ko mukarrar kiye jaane se qabl, Hind ke Qaazi e Aazam, Riyaasat ke Naaziim e Riyaasat, inse mashware ke baad in Qazaat ko mukarrar karenge, aur, Qaazi e Aala ke alaawa kisi digar Qaazi ko mukarrar kiye jaane ke ma’amle me, Adaalat e Aalia ke Qaazi e Aala se bhi mashware ke baad in Qazaat ko mukarrar karenge, aur, mukarrar kiye gaye Qaazi, Zaaid Qaazi ya Aarzi Qaazi, in ma’amlou me, mazmoon 224 me mutayyin ki gayi miaad tak oonke ohde par faaiz rahenge, aur kisi bhi digar ma’amle me, oonke ohde par baasathh saal ki umr tak faaiz rahenge:

Every Judge of a High Court shall be appointed by the President by warrant under his hand and seal after consultation with the Chief Justice of India, the Governor of the State, and, in the case of appointment of a Judge other than the Chief Justice, the Chief Justice of the High Court, and shall hold office, in the case of an additional or acting Judge, as provided in article 224, and in any other case, until he attains the age of sixty-two years:

Shart ye hae ke—

Provided that—

217(1a). Koi Qaazi chaahe tou, apne dast e khat ke tehat Sadar e Jamhuriya ko di gayi apni tehrir ke zariye apne ohde se ist’efa de sakenge;

a Judge may, by writing under his hand addressed to the President, resign his office;

217(1b) Adaalat e Uzma ke kisi Qaazi ki barkhaastgi ke mutalliq mazmoon 124 ke nukut (4) me mutayyin kiye gaye tariqe ke mutaabiq, Sadar e Jamhuriya, kisi Qaazi ko oonke ohde se, barkhaast kar sakte hae.

a Judge may be removed from his office by the President in the manner provided in clause (4) of article 124 for the removal of a Judge of the Supreme Court;

217(1c). jab Sadar e Jamhuriya kisi Qaazi ko Adaalat e Uzma ke ek Qaazi mukarrar karde ya Sadar e Jamhuriya kisi Qaazi ko Sarzamiin e Hind ki kisi digar Adaalat e Aalia me muntaqil kar de tou, oos Qaazi ke maujudaa ohde ka maqaam khaali ho jaayega.

the office of a Judge shall be vacated by his being appointed by the President to be a Judge of the Supreme Court or by his being transferred by the President to any other High Court within the territory of India.

217(2). Koi bhi shaks Adaalat e Aalia ke Qaazi ke ohde par mukarrar kiye jaane ke liye aehl tab’hi maana jaay ga jab—

A person shall not be qualified for appointment as a Judge of a High Court unless he is a citizen of India and—

217(2a). wo kam az kam das saalou tak sarzamiin e Hind ke kisi adaalati ohde par faaiz rahe hou; ya

has for at least ten years held a judicial office in the territory of India; or

217(2b). wo kam az kam das saalou tak kisi Adaalat e Aalia me wakiil rahe hou ya musalsal do ya zaaid aesi Adaalaat me wakiil rahe hou.

has for at least ten years been an advocate of a High Court or of two or more such Courts in succession.

Wazaahat.—

Explanation.—

Is nukut ke maqaasid ke tehet—

For the purposes of this clause—

217(2b-a). oos muddat ke jisme koi shakhs sarzamiin e Hind ke kisi adaalati ohde par faaiz rahe hou, iska ta’ayyun karne me, oos shakhs ke kisi adaalati ohde par faaiz hone ke baad, aesi koi muddat jisme wo shakhs kisi Adaalat e Aalia me wakeel rahe hou, ya kisi daad-gaah ke kisi rukn ke ohde par faaiz rahe hou, ya aese kisi bhi ohde, jo Markaz ya kisi Riyaasat ke tehet ho, aur jis ohde ke liye ye qaanuun ka khaas ilm hona laaziim raha hou, oos ohde par faaiz rahe hou, tou, aesi muddat ko bhi shumaar kiya jaayega;

in computing the period during which a person has held judicial office in the territory of India, there shall be included any period, after he has held any judicial office, during which the person has been an advocate of a High Court or has held the office of a member of a tribunal or any post, under the Union or a State, requiring special knowledge of law;

217(2b-aa). oos muddat ke jisme koi shakhs kisi Adaalat e Aalia me wakeel rahe hou, iska ta’ayyun karne me, oos shakhs ke wakeel ban jaane ke baad, aesi koi muddat jisme wo shakhs kisi adaalati ohde par faaiz rahe hou, ya kisi daad-gaah ke kisi rukn ke ohde par faaiz rahe hou, ya aese kisi bhi ohde, jo Markaz ya kisi Riyaasat ke tehet ho, aur jis ohde ke liye ye qaanuun ka khaas ilm hona laaziim raha hou, oos ohde par faaiz rahe hou, tou, aesi muddat ko bhi shumaar kiya jaayega

in computing the period during which a person has been an advocate of a High Court, there shall be included any period during which the person has held judicial office or the office of a member of a tribunal or any post, under the Union or a State, requiring special knowledge of law after he became an advocate;

217(2b-b). oos muddat ke jisme koi shakhs sarzamiin e Hind ke kisi adaalati ohde par faaiz rahe hou, ya kisi Adaalat e Aalia me wakeel rahe hou, iska ta’ayyun karne me, aesi koi muddat, jo is Aain ki nafaazat se qabl rahi ho, jisme wo shakhs kisi adaalati ohde par faaiz rahe hou, aur wo adaalati ohda 1935 ke Hukumat e Hind Qaaide ke mutaabiq 1947, August ke pandhrawwe roz se qabl, Hind me raha ho, ya aesi koi muddat jisme aese kisi ilaaqe ki kisi Adaalat e Aalia me wakeel rahe hou, jaesa bhi ma’amla hou, tou aesi muddat ko bhi shumaar kiya jaayega;

in computing the period during which a person has held judicial office in the territory of India or been an advocate of a High Court, there shall be included any period before the commencement of this Constitution during which he has held judicial office in any area which was comprised before the fifteenth day of August, 1947, within India as defined by the Government of India Act, 1935, or has been an advocate of any High Court in any such area, as the case may be.

217(3). Agar Adaalat e Aalia ke kisi Qaazi ki umr ke mutalliq koi sawaal uthhta hae tou, is sawaal par Sadar e Jamhuriya Hind ke Qaazi e Aazam se mashware ke baad faesla karenge, aur Sadar e Jamhuriya ka faesla hatami hoga.

If any question arises as to the age of a Judge of a High Court, the question shall be decided by the President after consultation with the Chief Justice of India and the decision of the President shall be final.

218. Adaalat e Uzma ke mutalliq ba’az usul ka Adaalaat e Aalia par bhi laagu hona.—

Application of certain provisions relating to Supreme Court to High Courts.—

Mazmoon 124 ke nukut (4) aur (5) ke usul kisi Adaalat e Aalia ke mutalliq waesehi laagu honge jaese ke wo usul Adaalat e Uzma ke mutalliq laagu hote hae, mehez is tabdiili ke saath ke jaaha par bhi Adaalat e Uzma ka zikr kiya gaya ho oose Adaalat e Aalia ka zikr maana jaaye.

The provisions of clauses (4) and (5) of article 124 shall apply in relation to a High Court as they apply in relation to the Supreme Court with the substitution of references to the High Court for references to the Supreme Court.

219. Adaalaat e Aalia ke Qazaat ka halaf lena ya aehad karna.—

Oath or affirmation by Judges of High Courts.—

Har ek shakhs jise kisi Adaalat e Aalia ke Qaazi ki haesiyat se mukarrar kiya jaaye to oonhe oonke ohde par faaiz hone se qabl, oos Riyaasat ke Naaziim e Riyaasat ke, ya kisi aese shakhs ke saamne jise Naaziim e Riyaasat ne is muttaliq mukarrar kiya ho, ek halaf leni hogi ya aehad karna hoga, oos tehriir ke mutaabiq jo is maqsad ke liye Tisri Fehrist me darj hae;

Every person appointed to be a Judge of a High Court shall, before he enters upon his office, make and subscribe before the Governor of the State, or some person appointed in that behalf by him, an oath or affirmation according to the form set out for the purpose in the Third Schedule.

220. Mustaqil Qaazi hone ke baad amal karne par paabandi.—

Restriction on practice after being a permanent Judge.—

No person who, after the commencement of this Constitution, has held office as a permanent Judge of a High Court shall plead or act in any court or before any authority in India except the Supreme Court and the other High Courts.

Is Aain ki nafaazat ke baad, koi bhi shakhs jo kisi Adaalat e Aalia ke mustaqil Qaazi ke ohde par faaiz rahe hou, wo, siwaaye Adaalat e Uzma aur digar Adaalat e Aalia ke, Hind ki kisi adaalat me ya kisi mehkame ke saamne faryaad ya amal nahi kar sakte.

Wazaahat.—

Explanation.—

Is mazmoon me, “Adaalat e Aalia” ke maaene me kisi aesi Riyaasat ki Adaalat e Aalia nahi hogi jis Riyaasat ko, 1956 ke Aaini Qaaide (Saatwi Tarmeem) ki nafaazat se qabl, Pehli Fehrist ke Hisse B me darj kiya gaya tha.

In this article, the expression “High Court” does not include a High Court for a State specified in Part B of the First Schedule as it existed before the commencement of the Constitution (Seventh Amendment) Act, 1956.

221. Qazaat ki ujrat waghaera.—
Salaries, etc., of Judges.—

221(1). Har ek Adaalat e Aalia ke Qazaat ko aesi ujraat ada ki jaayengi jaese ke Qaumi Majlis ne qaanuun ke zariye mutayyin kare aur, jab tak is mutalliq usul qaayam nahi kar diye jaate tab tak, aesi ujraat ada ki jaayengi jaesi ke Dusri Fehrist me darj ho.
There shall be paid to the Judges of each High Court such salaries as may be determined by Parliament by law and, until provision in that behalf is so made, such salaries as are specified in the Second Schedule.

221(2). Har ek Qaazi aesi tankhwaah haasil kar sakte hae aur aesi chutti aur wazife ke haqdaar honge jaesa ke waqt ba waqt Qaumi Majlis qaanuun ke zariye mutayyin kare aur, jab tak iska ta’ayyun nahi kiya jaata tab tak, aesi tankhwaah aur haquq haasil kar sakte hae jaesa ke Dusri Fehrist me darj ho:
Every Judge shall be entitled to such allowances and to such rights in respect of leave of absence and pension as may from time to time be determined by or under law made by Parliament and, until so determined, to such allowances and rights as are specified in the Second Schedule:

Shart ye hae ke kisi Qaazi ko mukarrar kar diye jaane ke baad oonki tankhwaah me aur oonke chhutti ke ya wazife ke haquq me oonke mutalliq ghaer munaafa-baksh tabdiili nahi ki jaa sakti hae.
Provided that neither the allowances of a Judge nor his rights in respect of leave of absence or pension shall be varied to his disadvantage after his appointment.


222. Kisi Qaazi ka kisi ek Adaalat e Aalia se kisi digar me muntaqiil kiya jaana.—
Transfer of a Judge from one High Court to another.—

222(1). Sadar e Jamhuriya chaahe tou, Hind ke Qaazi e Aazam se mashware ke baad, kisi Qaazi ko kisi ek Adaalat e Aalia se kisi digar Adaalat e Aalia me muntaqiil kar sakte hae.
The President may, after consultation with the Chief Justice of India, transfer a Judge from one High Court to any other High Court.

222(2). 1963 ke Aaini Qaaide (Pandhrawwi Tarmeem) ki nafaazat ke baad, jab koi Qaazi kisi digar Adaalat e Aalie ke Qaazi rahe tou, ya kisi Qaazi ko is tarha se muntaqiil karke ke kisi digar Adaalat e Aalia me Qaazi mukarrar kiya jaaye tou, jitni muddat ke liye wo oonke faraaez ko anjaam denge, oonko oonki ujrat ke saath aesi zaaid muaawazaati tankhwaah haasil karne ka haq hoga, jaesa ke Qaumi Majlis qaanuun ke zariye mutayyin karegi aur, jab tak ke ise mutayyin nahi kar diya jaata, tab ke muaawazaati tankhwaah aesi hogi jise Sadar e Jamhuriya oonke hukm ke mutaabiq makhsuus karenge.
When a Judge has been or is so transferred, he shall, during the period he serves, after the commencement of the Constitution (Fifteenth Amendment) Act, 1963, as a Judge of the other High Court, be entitled to receive in addition to his salary such compensatory allowance as may be determined by Parliament by law and, until so determined, such compensatory allowance as the President may by order fix.

223. Aarzi Qaazi e Aala ka mukarrar kiye jaana.—
Appointment of acting Chief Justice.—

Jab kisi Adaalat e Aalia ke Qaazi e Aala ka ohda khaali ho jaye ya jab aese Qaazi e Aala ghaer-haaziri ya kisi digar bina par, onke ohde ke faraaez ki takmiil nahi kar sakte hou tou, oos Adaalat ke digar Qazaat me se ek aese Qaazi jinhe Sadar e Jamhuriya is maqsad ke liye mukarrar karenge, wo Qaazi oos ohde ke faraaez ki takmiil karenge.
When the office of Chief Justice of a High Court is vacant or when any such Chief Justice is, by reason of absence or otherwise, unable to perform the duties of his office, the duties of the office shall be performed by such one of the other Judges of the Court as the President may appoint for the purpose.


Index to the Articles of The Constitution of India (Urdu)


Aaine Hind ke Mazaameen ki Fehrist



English To Urdu Word Glossary For The Constitution Of India


Urdu To English Word Glossary For The Constitution of India



No comments:

Post a Comment