Thursday, 4 January 2018

The States (Articles 214-223) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 214-223)



Hissa VI

Part VI



Riyaasaat

The States



Baab V.— Riyaasaat me Adaalaat e Aalia

Chapter V.— The High Courts in the States


214. Riyaasaat ke liye Adaalaat e Aalia.—

High Courts for States.—

Har ek Riyaasat ki ek Adaalat e Aalia hogi.

There shall be a High Court for each State.

215. Adaalaat e Aalia ka indaraaji adaalaat hona.—

High Courts to be courts of record.—

Har ek Adaalat e Aalia indaraaji adaalat hogi aur iske paas aesi kisi adaalat ke tamaam ikhteyaaaraat honge aur jin ikhteyaaraat me ooski tauheen ke mutalliq saza dene ka ikhteyaar bhi hoga.

Every High Court shall be a court of record and shall have all the powers of such a court including the power to punish for contempt of itself.

216. Adaalaat e Aalia ki tashkeel.—

Constitution of High Courts.—

Har ek Adaalat e Aalia ke ek Qaazi e Aala honge aur aese digar qazaat honge jinko mukarrar kiya jaana Sadar e Jamhuriya ko waqt ba waqt zaruri lage.

Every High Court shall consist of a Chief Justice and such other Judges as the President may from time to time deem it necessary to appoint.

217. Adaalat e Aalia ke Qaazi ka mukarrar kiya jaana aur oos ohde ki sharaaet.—

Appointment and conditions of the office of a Judge of a High Court.—

217(1). Sadar e Jamhuriya oonke dastakhat aur mohr shuda dastaawez ke zariye Adaalat e Aalia ke har ek Qaazi ko mukarrar karenge, Sadar e Jamhuriya in Qazaat ko mukarrar kiye jaane se qabl, Hind ke Qaazi e Aazam, Riyaasat ke Naaziim e Riyaasat, inse mashware ke baad in Qazaat ko mukarrar karenge, aur, Qaazi e Aala ke alaawa kisi digar Qaazi ko mukarrar kiye jaane ke ma’amle me, Adaalat e Aalia ke Qaazi e Aala se bhi mashware ke baad in Qazaat ko mukarrar karenge, aur, mukarrar kiye gaye Qaazi, Zaaid Qaazi ya Aarzi Qaazi, in ma’amlou me, mazmoon 224 me mutayyin ki gayi miaad tak oonke ohde par faaiz rahenge, aur kisi bhi digar ma’amle me, oonke ohde par baasathh saal ki umr tak faaiz rahenge:

Every Judge of a High Court shall be appointed by the President by warrant under his hand and seal after consultation with the Chief Justice of India, the Governor of the State, and, in the case of appointment of a Judge other than the Chief Justice, the Chief Justice of the High Court, and shall hold office, in the case of an additional or acting Judge, as provided in article 224, and in any other case, until he attains the age of sixty-two years:

Shart ye hae ke—

Provided that—

217(1a). Koi Qaazi chaahe tou, apne dast e khat ke tehat Sadar e Jamhuriya ko di gayi apni tehrir ke zariye apne ohde se ist’efa de sakenge;

a Judge may, by writing under his hand addressed to the President, resign his office;

217(1b) Adaalat e Uzma ke kisi Qaazi ki barkhaastgi ke mutalliq mazmoon 124 ke nukut (4) me mutayyin kiye gaye tariqe ke mutaabiq, Sadar e Jamhuriya, kisi Qaazi ko oonke ohde se, barkhaast kar sakte hae.

a Judge may be removed from his office by the President in the manner provided in clause (4) of article 124 for the removal of a Judge of the Supreme Court;

217(1c). jab Sadar e Jamhuriya kisi Qaazi ko Adaalat e Uzma ke ek Qaazi mukarrar karde ya Sadar e Jamhuriya kisi Qaazi ko Sarzamiin e Hind ki kisi digar Adaalat e Aalia me muntaqil kar de tou, oos Qaazi ke maujudaa ohde ka maqaam khaali ho jaayega.

the office of a Judge shall be vacated by his being appointed by the President to be a Judge of the Supreme Court or by his being transferred by the President to any other High Court within the territory of India.

217(2). Koi bhi shaks Adaalat e Aalia ke Qaazi ke ohde par mukarrar kiye jaane ke liye aehl tab’hi maana jaay ga jab—

A person shall not be qualified for appointment as a Judge of a High Court unless he is a citizen of India and—

217(2a). wo kam az kam das saalou tak sarzamiin e Hind ke kisi adaalati ohde par faaiz rahe hou; ya

has for at least ten years held a judicial office in the territory of India; or

217(2b). wo kam az kam das saalou tak kisi Adaalat e Aalia me wakiil rahe hou ya musalsal do ya zaaid aesi Adaalaat me wakiil rahe hou.

has for at least ten years been an advocate of a High Court or of two or more such Courts in succession.

Wazaahat.—

Explanation.—

Is nukut ke maqaasid ke tehet—

For the purposes of this clause—

217(2b-a). oos muddat ke jisme koi shakhs sarzamiin e Hind ke kisi adaalati ohde par faaiz rahe hou, iska ta’ayyun karne me, oos shakhs ke kisi adaalati ohde par faaiz hone ke baad, aesi koi muddat jisme wo shakhs kisi Adaalat e Aalia me wakeel rahe hou, ya kisi daad-gaah ke kisi rukn ke ohde par faaiz rahe hou, ya aese kisi bhi ohde, jo Markaz ya kisi Riyaasat ke tehet ho, aur jis ohde ke liye ye qaanuun ka khaas ilm hona laaziim raha hou, oos ohde par faaiz rahe hou, tou, aesi muddat ko bhi shumaar kiya jaayega;

in computing the period during which a person has held judicial office in the territory of India, there shall be included any period, after he has held any judicial office, during which the person has been an advocate of a High Court or has held the office of a member of a tribunal or any post, under the Union or a State, requiring special knowledge of law;

217(2b-aa). oos muddat ke jisme koi shakhs kisi Adaalat e Aalia me wakeel rahe hou, iska ta’ayyun karne me, oos shakhs ke wakeel ban jaane ke baad, aesi koi muddat jisme wo shakhs kisi adaalati ohde par faaiz rahe hou, ya kisi daad-gaah ke kisi rukn ke ohde par faaiz rahe hou, ya aese kisi bhi ohde, jo Markaz ya kisi Riyaasat ke tehet ho, aur jis ohde ke liye ye qaanuun ka khaas ilm hona laaziim raha hou, oos ohde par faaiz rahe hou, tou, aesi muddat ko bhi shumaar kiya jaayega

in computing the period during which a person has been an advocate of a High Court, there shall be included any period during which the person has held judicial office or the office of a member of a tribunal or any post, under the Union or a State, requiring special knowledge of law after he became an advocate;

217(2b-b). oos muddat ke jisme koi shakhs sarzamiin e Hind ke kisi adaalati ohde par faaiz rahe hou, ya kisi Adaalat e Aalia me wakeel rahe hou, iska ta’ayyun karne me, aesi koi muddat, jo is Aain ki nafaazat se qabl rahi ho, jisme wo shakhs kisi adaalati ohde par faaiz rahe hou, aur wo adaalati ohda 1935 ke Hukumat e Hind Qaaide ke mutaabiq 1947, August ke pandhrawwe roz se qabl, Hind me raha ho, ya aesi koi muddat jisme aese kisi ilaaqe ki kisi Adaalat e Aalia me wakeel rahe hou, jaesa bhi ma’amla hou, tou aesi muddat ko bhi shumaar kiya jaayega;

in computing the period during which a person has held judicial office in the territory of India or been an advocate of a High Court, there shall be included any period before the commencement of this Constitution during which he has held judicial office in any area which was comprised before the fifteenth day of August, 1947, within India as defined by the Government of India Act, 1935, or has been an advocate of any High Court in any such area, as the case may be.

217(3). Agar Adaalat e Aalia ke kisi Qaazi ki umr ke mutalliq koi sawaal uthhta hae tou, is sawaal par Sadar e Jamhuriya Hind ke Qaazi e Aazam se mashware ke baad faesla karenge, aur Sadar e Jamhuriya ka faesla hatami hoga.

If any question arises as to the age of a Judge of a High Court, the question shall be decided by the President after consultation with the Chief Justice of India and the decision of the President shall be final.

218. Adaalat e Uzma ke mutalliq ba’az usul ka Adaalaat e Aalia par bhi laagu hona.—

Application of certain provisions relating to Supreme Court to High Courts.—

Mazmoon 124 ke nukut (4) aur (5) ke usul kisi Adaalat e Aalia ke mutalliq waesehi laagu honge jaese ke wo usul Adaalat e Uzma ke mutalliq laagu hote hae, mehez is tabdiili ke saath ke jaaha par bhi Adaalat e Uzma ka zikr kiya gaya ho oose Adaalat e Aalia ka zikr maana jaaye.

The provisions of clauses (4) and (5) of article 124 shall apply in relation to a High Court as they apply in relation to the Supreme Court with the substitution of references to the High Court for references to the Supreme Court.

219. Adaalaat e Aalia ke Qazaat ka halaf lena ya aehad karna.—

Oath or affirmation by Judges of High Courts.—

Har ek shakhs jise kisi Adaalat e Aalia ke Qaazi ki haesiyat se mukarrar kiya jaaye to oonhe oonke ohde par faaiz hone se qabl, oos Riyaasat ke Naaziim e Riyaasat ke, ya kisi aese shakhs ke saamne jise Naaziim e Riyaasat ne is muttaliq mukarrar kiya ho, ek halaf leni hogi ya aehad karna hoga, oos tehriir ke mutaabiq jo is maqsad ke liye Tisri Fehrist me darj hae;

Every person appointed to be a Judge of a High Court shall, before he enters upon his office, make and subscribe before the Governor of the State, or some person appointed in that behalf by him, an oath or affirmation according to the form set out for the purpose in the Third Schedule.

220. Mustaqil Qaazi hone ke baad amal karne par paabandi.—

Restriction on practice after being a permanent Judge.—

No person who, after the commencement of this Constitution, has held office as a permanent Judge of a High Court shall plead or act in any court or before any authority in India except the Supreme Court and the other High Courts.

Is Aain ki nafaazat ke baad, koi bhi shakhs jo kisi Adaalat e Aalia ke mustaqil Qaazi ke ohde par faaiz rahe hou, wo, siwaaye Adaalat e Uzma aur digar Adaalat e Aalia ke, Hind ki kisi adaalat me ya kisi mehkame ke saamne faryaad ya amal nahi kar sakte.

Wazaahat.—

Explanation.—

Is mazmoon me, “Adaalat e Aalia” ke maaene me kisi aesi Riyaasat ki Adaalat e Aalia nahi hogi jis Riyaasat ko, 1956 ke Aaini Qaaide (Saatwi Tarmeem) ki nafaazat se qabl, Pehli Fehrist ke Hisse B me darj kiya gaya tha.

In this article, the expression “High Court” does not include a High Court for a State specified in Part B of the First Schedule as it existed before the commencement of the Constitution (Seventh Amendment) Act, 1956.

221. Qazaat ki ujrat waghaera.—
Salaries, etc., of Judges.—

221(1). Har ek Adaalat e Aalia ke Qazaat ko aesi ujraat ada ki jaayengi jaese ke Qaumi Majlis ne qaanuun ke zariye mutayyin kare aur, jab tak is mutalliq usul qaayam nahi kar diye jaate tab tak, aesi ujraat ada ki jaayengi jaesi ke Dusri Fehrist me darj ho.
There shall be paid to the Judges of each High Court such salaries as may be determined by Parliament by law and, until provision in that behalf is so made, such salaries as are specified in the Second Schedule.

221(2). Har ek Qaazi aesi tankhwaah haasil kar sakte hae aur aesi chutti aur wazife ke haqdaar honge jaesa ke waqt ba waqt Qaumi Majlis qaanuun ke zariye mutayyin kare aur, jab tak iska ta’ayyun nahi kiya jaata tab tak, aesi tankhwaah aur haquq haasil kar sakte hae jaesa ke Dusri Fehrist me darj ho:
Every Judge shall be entitled to such allowances and to such rights in respect of leave of absence and pension as may from time to time be determined by or under law made by Parliament and, until so determined, to such allowances and rights as are specified in the Second Schedule:

Shart ye hae ke kisi Qaazi ko mukarrar kar diye jaane ke baad oonki tankhwaah me aur oonke chhutti ke ya wazife ke haquq me oonke mutalliq ghaer munaafa-baksh tabdiili nahi ki jaa sakti hae.
Provided that neither the allowances of a Judge nor his rights in respect of leave of absence or pension shall be varied to his disadvantage after his appointment.


222. Kisi Qaazi ka kisi ek Adaalat e Aalia se kisi digar me muntaqiil kiya jaana.—
Transfer of a Judge from one High Court to another.—

222(1). Sadar e Jamhuriya chaahe tou, Hind ke Qaazi e Aazam se mashware ke baad, kisi Qaazi ko kisi ek Adaalat e Aalia se kisi digar Adaalat e Aalia me muntaqiil kar sakte hae.
The President may, after consultation with the Chief Justice of India, transfer a Judge from one High Court to any other High Court.

222(2). 1963 ke Aaini Qaaide (Pandhrawwi Tarmeem) ki nafaazat ke baad, jab koi Qaazi kisi digar Adaalat e Aalie ke Qaazi rahe tou, ya kisi Qaazi ko is tarha se muntaqiil karke ke kisi digar Adaalat e Aalia me Qaazi mukarrar kiya jaaye tou, jitni muddat ke liye wo oonke faraaez ko anjaam denge, oonko oonki ujrat ke saath aesi zaaid muaawazaati tankhwaah haasil karne ka haq hoga, jaesa ke Qaumi Majlis qaanuun ke zariye mutayyin karegi aur, jab tak ke ise mutayyin nahi kar diya jaata, tab ke muaawazaati tankhwaah aesi hogi jise Sadar e Jamhuriya oonke hukm ke mutaabiq makhsuus karenge.
When a Judge has been or is so transferred, he shall, during the period he serves, after the commencement of the Constitution (Fifteenth Amendment) Act, 1963, as a Judge of the other High Court, be entitled to receive in addition to his salary such compensatory allowance as may be determined by Parliament by law and, until so determined, such compensatory allowance as the President may by order fix.

223. Aarzi Qaazi e Aala ka mukarrar kiye jaana.—
Appointment of acting Chief Justice.—

Jab kisi Adaalat e Aalia ke Qaazi e Aala ka ohda khaali ho jaye ya jab aese Qaazi e Aala ghaer-haaziri ya kisi digar bina par, onke ohde ke faraaez ki takmiil nahi kar sakte hou tou, oos Adaalat ke digar Qazaat me se ek aese Qaazi jinhe Sadar e Jamhuriya is maqsad ke liye mukarrar karenge, wo Qaazi oos ohde ke faraaez ki takmiil karenge.
When the office of Chief Justice of a High Court is vacant or when any such Chief Justice is, by reason of absence or otherwise, unable to perform the duties of his office, the duties of the office shall be performed by such one of the other Judges of the Court as the President may appoint for the purpose.


Index to the Articles of The Constitution of India (Urdu)


Aaine Hind ke Mazaameen ki Fehrist



English To Urdu Word Glossary For The Constitution Of India


Urdu To English Word Glossary For The Constitution of India



Wednesday, 3 January 2018

The Union (Articles 124-135) of India in Urdu

Hind ka Markaz (Mazaameen 124-135)



Hissa V

Part V



Markaz

The Union



Baab IV.—Markazi Adaliya

Chapter IV.—The Union Judiciary



124. Adaalat e Uzma ka qayaam aur tashkeel.—

Establishment and constitution of Supreme Court.—

124(1). Hind ki ek Adaalat e Uzma hogi, jisme shaamil honge Hind ke Qaazi e Aazam aur, jab take Qaumi Majlis qaanuun ke zariye isse zyaada adad mutayyin na karde, tab tak saat* digar qazaat.
*Ab “tiis”, 2009 ke Qaaide 11, hisse 2. ke mutaabiq

There shall be a Supreme Court of India consisting of a Chief Justice of India and, until Parliament by law prescribes a larger number, of not more than seven* other Judges.
* Now “thirty”, vide Act 11 of 2009, s. 2.

124(2). Sadar e Jamhuriya oonke dastakhat aur mohr shuda dastaawez ke zariye Adaalat e Uzma ke har ek Qaazi ko mukarrar karenge, Sadar e Jamhuriya in Qazaat ko mukarrar kiye jaane se qabl, Adaalat e Uzma aur Adaalaat e Aalia ke aese qazaat, jinhe Sadar e Jamhuriya is maqsad ke liye zaruuri samjhe, oon Qazaat se mashware ke baad in Qazaat ko mukarrar karenge aur mukarrar kiye gaye Qaazi oonke ohde par paesathh saal ki umr tak faaiz rahenge:

Every Judge of the Supreme Court shall be appointed by the President by warrant under his hand and seal after consultation with such of the Judges of the Supreme Court and of the High Courts in the States as the President may deem necessary for the purpose and shall hold office until he attains the age of sixty-five years:

Shart ye hae ke, Qaazi e Aazam ke alaawa kisi digar Qaazi ko mukarrar kiye jaane ke ma’amle me, Qaazi e Aazam se hamesha mashwara kiya jaana hoga:

Provided that in the case of appointment of a Judge other than the Chief Justice, the Chief Justice of India shall always be consulted:

Maziid shart ye hae ke—

Provided further that—

124(2a). Koi Qaazi chaahe tou, apne dast e khat ke tehat Sadar e Jamhuriya ko di gayi apni tehrir ke zariye apne ohde se ist’efa de sakenge;

a Judge may, by writing under his hand addressed to the President, resign his office;

124(2b). Kisi Qaazi ko oonke ohde se nukut (4) me mutayyin kiye gaye tariqe ke mutaabiq barkhaast kiya jaa sakta hae.

a Judge may be removed from his office in the manner provided in clause (4).

124(2-A) Kisi Qaazi ki umr aese mehkame aur aese tariqe ke zariye mutayyin ki jaayegi jaese ke Qaumi Majlis intezaam kare.

The age of a Judge of the Supreme Court shall be determined by such authority and in such manner as Parliament may by law provide.

124(3). Koi bhi shakhs Adaalat e Uzma ke Qaazi ke ohde par mukarrar kiye jaane ke liye aehl tab’hi maana jaay ga jab wo Hind ke shehri hou aur—

A person shall not be qualified for appointment as a Judge of the Supreme Court unless he is a citizen of India and—

124(3a). wo kam az kam paanch saalou tak kisi Adaalat e Aalia ke Qaazi rahe hou ya musalsal do ya zaaid aesi Adaalaat ke Qaazi rahe hou; ya

has been for at least five years a Judge of a High Court or of two or more such Courts in succession; or

124(3b). wo kam az kam das saalou tak kisi Adaalat e Aalia me wakiil rahe hou ya musalsal do ya zaaid aesi Adaalaat me wakiil rahe hou; ya

has been for at least ten years an advocate of a High Court or of two or more such Courts in succession; or

124(3c). wo Sadar e Jamhuriya ki raae me ek imtiyaazi qaanuun-daan ho.

is, in the opinion of the President, a distinguished jurist.

Wazaahat I.—Is nukut me “Adaalat e Aalia” ke maene aesi Adaalat e Aalia ke hae jiske ikhteyaari daaerae-kaar me sarzamiin e Hind ka koi hissa aata hae, ya aesi Adaalat e Aalia ke hae jiske ikhteyaari daaerae-kaar me, is Aain is nafaazat se qabl, sarzamiin e Hind ka koi hissa aata tha.

Explanation I.—In this clause "High Court'' means a High Court which exercises, or which at any time before the commencement of this Constitution exercised, jurisdiction in any part of the territory of India.

Wazaahat II. —Is nukut ke maqsad ke tehet, oos muddat ke jisme koi shakhs wakiil raha hou is ka ta’ayyun karne me, oos shakhs ke wakiil ban jaane ke baad, oos shakhs ki aesi muddat ke jisme wo kisi adaalati ohde, jo zile ke qaazi ke ohde se kamtar na raha ho, aese ohde par faaiz raha ho, tou aesi muddat ko bhi shumaar kiya jaayega.

Explanation II.—In computing for the purpose of this clause the period during which a person has been an advocate, any period during which a person has held judicial office not inferior to that of a district judge after he became an advocate shall be included.

124(4). Adaalat e Uzma ke kisi bhi Qaazi ko oonke ohde se Sadar e Jamhuriya ke hukm ke baghaer nahi barkhaast kiya jaa sakta, aur Sadar e Jamhuriya ka aesa hukm tabhi jaari kar sakte hae jab Qaumi Majlis ke har ek Aewaan ki kul taadaad ki aksariyat aur oos Aewaan ke maujudaah aur raae dene ko tayyaar araakeen ki kam az kam do-tihaayi aksariyat ne, oosi ijlaas me, saabit ho chuke na-jaaiz bartaao ya na-aehliyat ki bina par aesi barkhaastgi ka izhaar Sadar e Jamhuriya ke saamne pesh kar diya ho.

A Judge of the Supreme Court shall not be removed from his office except by an order of the President passed after an address by each House of Parliament supported by a majority of the total membership of that House and by a majority of not less than two-thirds of the members of that House present and voting has been presented to the President in the same session for such removal on the ground of proved misbehaviour or incapacity.

124(5). Qaumi Majlis chaahe tou nukut (4) ke tehet kisi Qaazi ki barkhaastgi ke liye izhaar ke pesh kiye jaane ke mutalliq tariqa, aur kisi Qaazi ke na-jaaiz bartaao ya na-aehliyat ki taftiish aur sabuut ke mutalliq tariqou ko qaanuun ke zariye munazzim kar sakti hae.

Parliament may by law regulate the procedure for the presentation of an address and for the investigation and proof of the misbehaviour or incapacity of a Judge under clause (4).

124(6). Har ek shakhs jise Adaalat e Uzma ke Qaazi ki haesiyat se mukarrar kiya jaaye to oonhe oonke ohde par faaiz hone se qabl, Sadar e Jamhuriya ke, ya kisi aese shakhs ke saamne jise Sadar e Jamhuriya ne is muttaliq mukarrar kiya ho, ek halaf leni hogi ya aehad karna hoga, oos tehriir ke mutaabiq jo is maqsad ke liye Tisri Fehrist me darj hae;

Every person appointed to be a Judge of the Supreme Court shall, before he enters upon his office, make and subscribe before the President, or some person appointed in that behalf by him, an oath or affirmation according to the form set out for the purpose in the Third Schedule.

124(7). Koi bhi shakhs jo Adaalat e Uzma ke Qaazi ke ohde par faaiz rahe hou, wo sarzamiin e Hind ki kisi adaalat me ya kisi mehkame ke saamne faryaad ya amal nahi kar sakte.

No person who has held office as a Judge of the Supreme Court shall plead or act in any court or before any authority within the territory of India.

125. Qazaat ki ujrat waghaera.—
Salaries, etc., of Judges.—

125(1). Adaalat e Uzma ke Qazaat ko aesi ujraat ada ki jaayengi jaese ke Qaumi Majlis ne qaanuun ke zariye mutayyin kare aur, jab tak is mutalliq usul qaayam nahi kar diye jaate tab tak, aesi ujraat ada ki jaayengi jaesi ke Dusri Fehrist me darj ho.
There shall be paid to the Judges of the Supreme Court such salaries as may be determined by Parliament by law and, until provision in that behalf is so made, such salaries as are specified in the Second Schedule.

125(2). Har ek Qaazi aese imtiyaazaat aur tankhwaah haasil kar sakte hae aur aesi chutti aur wazife ke haqdaar honge jaesa ke waqt ba waqt Qaumi Majlis qaanuun ke zariye mutayyin kare aur, jab tak iska ta’ayyun nahi kiya jaata tab tak, aese imtiyaazaat, tankhwaah aur haquq haasil kar sakte hae jaesa ke Dusri Fehrist me darj ho:
Every Judge shall be entitled to such privileges and allowances and to such rights in respect of leave of absence and pension as may from time to time be determined by or under law made by Parliament and, until so determined, to such privileges, allowances and rights as are specified in the Second Schedule:

Shart ye hae ke kisi Qaazi ko mukarrar kar diye jaane ke baad oonke imtiyaazaat ya tankhwaah me aur oonke chhutti ke ya wazife ke haquq me oonke mutalliq ghaer munaafa-baksh tabdiili nahi ki jaa sakti hae.
Provided that neither the privileges nor the allowances of a Judge nor his rights in respect of leave of absence or pension shall be varied to his disadvantage after his appointment.


126. Aarzi Qaazi e Aazam ka mukarrar kiya jaana.—
Appointment of acting Chief Justice.—

Jab kabhi Hind ke Qaazi e Aazam ka ohda khaali ho jaaye ya jab kabhi Qaazi e Aazam oonki ghaer-haaziri ya digar kisi bina par oonke ohde ke faraaez ki takmeel nahi kar sakte hou tou, oos ohde ke faraaez ki takmeel Adaalat ke digar Qazaat me se aese koi ek Qaazi karenge jinhe Sadar e Jamhuriya is maqsad ke liye mukarrar karenge.
When the office of Chief Justice of India is vacant or when the Chief Justice is, by reason of absence or otherwise, unable to perform the duties of his office, the duties of the office shall be performed by such one of the other Judges of the Court as the President may appoint for the purpose.

127. Makhsuus Qazaat ka mukarrar kiya jaana.—
Appointment of ad hoc Judges.—

127(1). Agar kisi waqt Adaalat e Uzma ke Qazaat ki laazimi haaziri, jo Adaalat ke kisi bhi ijlaas ko qaayam karne ke liye ya chalaane ke liye, zaruuri hoti hae, wo naa ho tou, Hind ke Qaazi e Aazam, Sadar e Jamhuriya ki pehle se li gayi raza aur mutalliqa Adaalat e Aalia ke Qaazi e Aala se mashware ke baad, onki likhit darkhwaast ke zariye, kisi Adaalat e Aalia ke Qaazi ko Adaalat ki nashistou me, jitni muddat zaruri ho utni muddat ke liye, makhsuus Qaazi ki haesiyat se maujuud rahne ka mutaalba kar sakte hae, wo Qaazi aese hou ke jinhe Hind ke Qaazi e Aazam ne is tarha naam-zad kiya ho ke wo Qaazi Adaalat e Uzma ke Qaazi mukarrar kiye jaane ke liye mukammal aehliyat rakhte hou.
If at any time there should not be a quorum of the Judges of the Supreme Court available to hold or continue any session of the Court, the Chief Justice of India may, with the previous consent of the President and after consultation with the Chief Justice of the High Court concerned, request in writing the attendance at the sittings of the Court, as an ad hoc Judge, for such period as may be necessary, of a Judge of a High Court duly qualified for appointment as a Judge of the Supreme Court to be designated by the Chief Justice of India.

127(2). Wo Qaazi jo is tarha naam-zad kiye gaye hae, oonpar ye farz hoga ke, wo oonke ohde ke digar faraaez par tarji dete huwe, haaziri ki laaziimi muddat ke liye aur laazimi waqt par, Adaalat e Uzma ki nashistou me shirkat kare, aur oonki is tarha ki shirkat ke dauraan onka daaeraye kaar, onke ikhteyaaraat aur imtiyaazaat Adaalat e Uzma ke kisi Qaazi ke honge, aur wo Adaalat e Uzma ke kisi Qaazi ke hi faraaez ki takmeel kar rahe honge.
It shall be the duty of the Judge who has been so designated, in priority to other duties of his office, to attend the sittings of the Supreme Court at the time and for the period for which his attendance is required, and while so attending he shall have all the jurisdiction, powers and privileges, and shall discharge the duties, of a Judge of the Supreme Court.


128. Maazuul Qazaat ka Adaalat e Uzma ki nashistou me haazir rehna.—
Attendance of retired Judges at sittings of the Supreme Court.—

Is Baab ke kisi bhi pehle ke baawajood, Hind ke Qaazi e Aazam chaahe tou, kisi bhi waqt, Sadar e Jamhuriya ki pehle se li gayi raza ke baad, kisi aese shakhs se, Adaalate Uzma ke ek Qaazi ki haesiyat se maujuud rehne aur oos haesiyat se amal karne ka mutaalba kar sakte hae, jo shakhs Adaalat e Uzma ya Wafaaqi Adaalat ke Qaazi ke ohde par faaiz reh chuke hou, ya kisi Adaalat e Aalia ke Qaazi ke ohde par faaiz reh chuke hou aur wo Adaalat e Uzma ke ek Qaazi mukarrar kiye jaane ki mukammal aehliyat rakhte hou, aur aese har shakhs jinse ye aesa mutaalba kiya gaya ho, jab tak ke wo is haesiyat se maujuud hou aur is haesiyat se amal kar rahe hou, wo aesi tankhwaah haasil kar sakte hae jaesi ke Sadar e Jamhuriya ne oonke hukm ke mutaabiq mutayyin ki ho, aur wo aese mukammal daaeraye kaar ke haqdaar honge aur aese tamaam ikhteyaaraat aur imtiyaazaat ke haqdaar honge jinke oos Adaalat ke koi Qaazi hote hae, iske baawajood, oos shakhs ko oos Adaalat ka Qaazi nahi maana jaayega:
Notwithstanding anything in this Chapter, the Chief Justice of India may at any time, with the previous consent of the President, request any person who has held the office of a Judge of the Supreme Court or of the Federal Court or who has held the office of a Judge of a High Court and is duly qualified for appointment as a Judge of the Supreme Court to sit and act as a Judge of the Supreme Court, and every such person so requested shall, while so sitting and acting, be entitled to such allowances as the President may by order determine and have all the jurisdiction, powers and privileges of, but shall not otherwise be deemed to be, a Judge of that Court:

Shart ye hae ke is mazmoon ke kisi bhi pehlu ke ye maaene nahi hae ke zikr kiye gaye aese shakhs ke liye ye laaziim hi hoge ke wo oos Adaalat ke Qaazi ki haesiyat se maujuud hi rahe aur oos haesiyat se amal hi kare, jab take ke wo khud ispar raazi na ho jaye.
Provided that nothing in this article shall be deemed to require any such person as aforesaid to sit and act as a Judge of that Court unless he consents so to do.

129. Adaalat e Uzma ka indaraaji adaalaat hona.—
Supreme Court to be a court of record.—

Adaalat e Uzma indaraaji adaalat hogi aur iske paas aesi kisi adaalat ke tamaam ikhteyaaaraat honge aur jin ikhteyaaraat me ooski tauheen ke mutalliq saza dene ka ikhteyaar bhi hoga.
The Supreme Court shall be a court of record and shall have all the powers of such a court including the power to punish for contempt of itself.

130. Adaalat e Uzma ka maqaam.—
Seat of Supreme Court.—

Adaalat e Uzma Dehli me muqiim hogi ya aese digar maqaam ya maqaamaat par muqiim rahe gi, jise Hind ke Qaazi e Aazam chaahe tou, Sadar e Jamhuriya ki raza se, waqt ba waqt mukarrar karenge.
The Supreme Court shall sit in Delhi or in such other place or places, as the Chief Justice of India may, with the approval of the President, from time to time, appoint.
 


131. Adaalat e Uzma ki Awwaliin Sam’aat.—
Original jurisdiction of the Supreme Court.—

Is Aain ke usul ke tehet rehte huwe, darje zeel halaat ke kisi bhi ikhtelaaf me, kisi bhi digar adaalat ko dar kinaar rakhte huwe, Adaalat e Uzma ko Awwaliin Sam’aat ka ikhteyaar hoga—
Subject to the provisions of this Constitution, the Supreme Court shall, to the exclusion of any other court, have original jurisdiction in any dispute—

131(a). Hukumat e Hind aur ek ya zaaid Riyaasaat ke darmeyaan ke ikhtelaaf me; ya
between the Government of India and one or more States; or

131(b). ek jaanib Hukumat e Hind aur koi Riyaasat ya Riyaasaat aur dusri jaanib ek ya zaaid Riyasaat ke darmeyaan ke ikhtelaaf me; ya
between the Government of India and any State or States on one side and one or more other States on the other; or

131(c). do ya zaaid Riyaasaat ke darmeyaan ke ikhtelaaf me,
between two or more States,

Adaalat e Uzma ko Awwaliin Sam’aat ka ikhteyaar hoga, agar oos ikhtelaaf me aesa koi (qaanuuni ya haqiiqi) sawaal shaamil ho jispar koi jaaiz haqq mubani ho ya oos jaaiz haqq ki hadd ka ta’ayyun mubani ho:
if and in so far as the dispute involves any question (whether of law or fact) on which the existence or extent of a legal right depends:

Shart ye hae ke zikr kiya gaya ikhteyaar aese ikhtelaaf par laagu nahi hoga, jo ikhtelaaf kisi aese mu’aahide, qaraardaad, aehad, baahami amal, sanad ya aesehi kisi digar dastaawez ki bina par uthth raha hou, jo is Aain ki nafaazat se qabl qabuul kiya gaya tha, ya is Aain ki nafaazat ke qabl se hi laagu raha hou aur is Aain ki nafaazat ke baad bhi laagu ho, ya jo ikhtelaaf zikr kiye gaye kisi bhi dastaawez ki bina par uthth raha hou lekin jiske usul me hi ye waazae ho ke ikhtelaaf ki haalat me oon ikhtelaaf par aese ikhteyaar laagu nahi honge.
Provided that the said jurisdiction shall not extend to a dispute arising out of any treaty, agreement, covenant, engagement, sanad or other similar instrument which, having been entered into or executed before the commencement of this Constitution, continues in operation after such commencement, or which provides that the said jurisdiction shall not extend to such a dispute.


131A. [Mansuukh]
[Repealed]

132. Adaalaat e Aalia se faryaadou ke ba’az ma’amlaat me Adaalat e Uzma ki Sam’at e Ukhra
Appellate jurisdiction of Supreme Court in appeals from High Courts in certain cases.—

132(1). Agar sarzamiin e Hind ki koi Adaalat e Aalia mazoon 134A ke tehet is baat ki tauseeq karti hae ke kisi ma’amle me kaafi had tak koi aesa sawaal uththta hae jispar is Aain ki tashriih ki zarurat hae, tou, chaahe wo ma’amla madani hou, mujrimaana ho ya digar mas’ala ho, oos Adaalat e Aalia ke kisi bhi faesle, kisi bhi aarzi faesle ya kisi bhi hatami hukm par Adaalat e Uzma me ek faryaad pesh ki jaayegi.
An appeal shall lie to the Supreme Court from any judgment, decree or final order of a High Court in the territory of India, whether in a civil, criminal or other proceeding, if the High Court certifies under article 134A that the case involves a substantial question of law as to the interpretation of this Constitution.

* * * * * *

132(3). Is nukut se qabl zikr kiya gaya aesa koi bhi sawaal raha hou, aur jab oos ma’amle me aesi tauseeq ki gayi ho, tou oos ma’amle ka koi bhi fareeq is bina pe Adaalat e Uzma ke saamne faryaad pesh kar sakta hae, ke oos sawaal par ghalat tariqe se faesla liya gaya hai.
Where such a certificate is given, any party in the case may appeal to the Supreme Court on the ground that any such question as aforesaid has been wrongly decided.

Wazaahat.— Is mazmoon ke maqsad ke tehet, in alfaaz “hatami hukm” me is tarha tay karta hua koi hukm shaamil hae, jo agar faryaadi ke haq me tay kiya jaata, tou ma’amle ke hatami ikhtetaam ke liye kaafi hota.
Explanation.— For the purposes of this article, the expression “final order” includes an order deciding an issue which, if decided in favour of the appellant, would be sufficient for the final disposal of the case.


133. Adaalaat e Aalia se faryaadou ke madani ma’amlaat me Adaalat e Uzma ki Sam’at e Ukhra.—
Appellate jurisdiction of Supreme Court in appeals from High Courts in regard to civil matters.—

133(1). Agar sarzamiin e Hind ki koi Adaalat e Aalia kisi madani ma’amle me mazoon 134A ke tehet darje zeel haalaat ki tauseeq karti hae tou oos Adaalat e Aalia ke kisi bhi faesle, kisi bhi aarzi faesle ya kisi bhi hatami hukm par Adaalat e Uzma me ek faryaad pesh ki jaayegi.
An appeal shall lie to the Supreme Court from any judgment, decree or final order in a civil proceeding of a High Court in the territory of India if the High Court certifies under article 134A—

133(1a). haalat ye ke oos ma’amle me kaafi had tak koi aesa qaanuuni sawaal uththta hae jo aam ahmiyat ka hae; aur
that the case involves a substantial question of law of general importance; and

133(1b). Adaalat e Aalia ki raae me oos sawaal par Adaalat e Uzma ko faesla karna chaahiye.
that in the opinion of the High Court the said question needs to be decided by the Supreme Court.

133(2). Mazmoon 132 ke kisi bhi pehlu ke baawajood, koi bhi fareeq jo Adaalat e Uzma se nukut (1) ke tehet faryaad kar raha hou, tou, wo chaahe tou, aesi faryaad ki bina me se is ek bina par guzaarish kar sakta hae ke, kaafi had tak uththta koi aesa qaanuuni sawaal hae jispar is Aain ki tashriih ki zarurat hoti hae, oos par ghalat tariqe se faesla liya gaya hae.
Notwithstanding anything in article 132, any party appealing to the Supreme Court under clause (1) may urge as one of the grounds in such appeal that a substantial question of law as to the interpretation of this Constitution has been wrongly decided.

133(3). Is mazmoon ke kisi bhi pehlu ke baawajood, kisi Adaalat e Aalia ke ek Qaazi ke faesle, aarzi faesle ya hatami hukm par Adaalat e Uzma me koi bhi faryaad pesh nahi ki jaa sakti, jab tak ke Qaumi Majlis qaanuun ke zariye iska ta’ayyun nahi kar deti.
Notwithstanding anything in this article, no appeal shall, unless Parliament by law otherwise provides, lie to the Supreme Court from the judgment, decree or final order of one Judge of a High Court.


134. Mujrimaana ma’amlaat me Adaalat e Uzma ki Sam’at e Ukhra.—
Appellate jurisdiction of Supreme Court in regard to criminal matters.—

134(1). 
Sarzamiin e Hind ki kisi Adaalat e Aalia ke kisi mujrimaana ma’amle ke kisi bhi faesle, kisi bhi aarzi faesle ya kisi bhi sunaayi gayi saza par Adaalat e Uzma me ek faryaad pesh ki jaayegi agar —
An appeal shall lie to the Supreme Court from any judgment, final order or sentence in a criminal proceeding of a High Court in the territory of India if the High Court—

134(1a). oos Adaalat e Aalia ne kisi mulzim shakhs ko bari kiye jaane ke hukm ko, ki gayi faryaad ki bina par, oos hukm ko dobaara palat kar oos shakhs ko saza e maut suna di ho; ya
has on appeal reversed an order of acquittal of an accused person and sentenced him to death; or

134(1b). oos Adaalat e Aalia ne ooske daaeray e kaar ke tehet maujood kisi bhi nichli adaalat ke kisi bhi ma’amle ko khud ki sama’at ke liye mukarrar kar diya ho, aur oos sama’at ke natije me mulzim shakhs ko mujrim karaar de diya ho aur oos shakhs ko saza e maut suna di ho; ya
has withdrawn for trial before itself any case from any court subordinate to its authority and has in such trial convicted the accused person and sentenced him to death; or

134(1c). oos Adaalat e Aalia ne mazmoon 134A ke tehet ye tauseeq kar di ho ke oos ma’amle me Adaalat e Uzma me faryaad ka kiya jana mawaafiq hae:
certifies under article 134A that the case is a fit one for appeal to the Supreme Court:

Shart ye hae ke, jo usul mazmoon 145 ke nukut (1) me is maqsad ke liye banaaye jaaye, oon usul ke mutaabiq rehte huwe zere-nukut (c) ke tehet ek faryaad ki jaaye aur aesi sharaaet ko poora kiya jaaye jinhe wo Adaalat e Aalia chaahe tou qaayam kare ya jinka mutaalba kare.
Provided that an appeal under sub-clause (c) shall lie subject to such provisions as may be made in that behalf under clause (1) of article 145 and to such conditions as the High Court may establish or require.

134(2). Qaumi Majlis qaanuun ke zariye Adaalat e Uzma ko maziid ikhteyaaraat ata kar sakti hae, taake Adaalat e Uzma Sarzamiin e Hind ki kisi bhi Adaalat e Aalia ke kisi Mujrimaana ma’amle ke kisi bhi faesle, hatami hukm ya sunaayi gayi saza ko khud ke zere ghaur le sake aur oon mutalliq faryaadou ki sama’at kar sake, lekin Adaalat e Uzma ko aesa karne me oon sharaaet aur huduud ke tehet rehna hoga jo aese qaanuun me waazae ki gayi hou.
Parliament may by law confer on the Supreme Court any further powers to entertain and hear appeals from any judgment, final order or sentence in a criminal proceeding of a High Court in the territory of India subject to such conditions and limitations as may be specified in such law.


134A. Adaalat e Uzma me faryaad ki tauseeq.—
Certificate for appeal to the Supreme Court.—

Har ek Adaalat e Aalia, mazmoon 132 ke nukut (1) ya mazmoon 133 ke nukut (1), ya mazmoon 134 ke nukut (1), inme zikr kiye gaye kisi faesle ko karte huwe, kisi aarzi faesle ko karte huwe, kisi hatami hukm ko sunaate huwe, ya koi saza sunaate huwe,—
Every High Court, passing or making a judgment, decree, final order, or sentence, referred to in clause (1) of article 132 or clause (1) of article 133, or clause (1) of article 134,—

134A(a). chaahe tou, agar oose munaasib lage tou, azze khud hi; aur
may, if it deems fit so to do, on its own motion; and

134A(b). agar aese faesle, aarzi faesle, hatami hukm ya saza inke liye jaane ya inke sunaaye jaane ke fauran baad, khud ghaer e mutamaiin fareeq ya ooski bina par koi zabaani darkhwaast ki jaati hate tou, laazimi tarz par,
shall, if an oral application is made, by or on behalf of the party aggrieved, immediately after the passing or making of such judgment, decree, final order or sentence,

is baat ko mutayyin kare ke mazmoon 132 ke nukut (1), ya mazmoon 133 ke nukut (1) ya, jaesa bhi ma’amla ho, mazmoon 134 ke nukut (1) ke zere-nukut (c) me zikr ki gayi oos qism ki tauseeq ke diye jaane par jo sawaal uththta hae, is ma’amle ke mutalliq aesi tauseeq ki jaa sakti hai ya nahi, aur is ta’ayyun ko aese faesle, ya aarzi faesle ke liye jaane ya hatami hukm ya saza ke sunaaye jaane ke baad jald az jald kiya jaaye.
determine, as soon as may be after such passing or making, the question whether a certificate of the nature referred to in clause (1) of article 132, or clause (1) of article 133 or, as the case may be, sub-clause (c) of clause (1) of article 134, may be given in respect of that case.

135. Maujuda qaanun ke tehet Wafaaqi Adaalat ka daaerae kaar aur ooske ikhteyaaraat Adaalat e Uzma ke maatehet honge.—
Jurisdiction and powers of the Federal Court under existing law to be exercisable by the Supreme Court.—

Jab tak ke Qaumi Majlis is baat ke bar aks digar kuch aur mutayyin nahi kar deti tab tak, koi ma’amla, jiske mutalliq mazmoon 133 ya mazmoon 134 ke usul laagu nahi hote hou, agar wo ma’amla is Aain ki nafaazat se fauran qabl tak, kisi bhi maujuuda qaanuun ke tehet Wafaaqi Adaalat ke daaerae kaar me aata ho aur oos ma’amle ke mutalliq ikhteyaaraat oos Wafaaqi Adaalat ke maatehet rahe hou tou, aese ma’amlaat bhi Adaalat e Uzma ke daaerae kaar me honge aur oon ma’amlaat par ikhteyaaraat bhi Adaalat e Uzma ke honge.
Until Parliament by law otherwise provides, the Supreme Court shall also have jurisdiction and powers with respect to any matter to which the provisions of article 133 or article 134 do not apply if jurisdiction and powers in relation to that matter were exercisable by the Federal Court immediately before the commencement of this Constitution under any existing law.






Monday, 1 January 2018

The States (Article 213) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazmoon 213)



Hissa VI
Part VI



Riyaasaat
The States



Baab IV.— Naaziim e Riyaasat ke qaanuun-saazi ke ikhteyaaraat
Chapter IV.—Legislative powers of the Governor


213. Qaanuun-saaz Majlis ke waqfe ke dauraan Naaziim e Riyaasat ka Ahkaamaat naafez karne ka ikhteyaar.—
Power of Governor to promulgate Ordinances during recess of Legislature.—

213(1). Siwaaye tab jab ke Riyaasati Majlis ka Ijlaas chal raha hou, aur jis Riyaasat me Riyaasati Shura ho, siwaaye tab jab ke Qaanuun-saaz Majlis ke dono Aewaan ka Ijlaas chal raha hou, iske alaawa kisi bhi waqt, agar Naaziim e Riyaasat is par mutmaiin hae ke haalaat aese hae ke jinke tehat oonke liye fauri qadam oothhana zaruri ho gaya hae tou, Naaziim e Riyaasat chaahe tou, oonhe haalaat ki jis had tak zarurat lage oos had tak wo Naaziimaani Ahkaamaat naafez kar sakte hae.
If at any time, except when the Legislative Assembly of a State is in session, or where there is a Legislative Council in a State, except when both Houses of the Legislature are in session, the Governor is satisfied that circumstances exist which render it necessary for him to take immediate action, he may promulgate such Ordinances as the circumstances appear to him to require:

Shart ye hae ke Naaziim e Riyaasat Sadar e Jamhuriya ki hidaayaat ke baghaer aese Naaziimaani Ahkaamaat naafez nahi kar sakte hae agar—
Provided that the Governor shall not, without instructions from the President, promulgate any such Ordinance if—

213(1a). kisi Tajwiiz, jisme yehi usul hou, oos Tajwiiz ko Qaaunuun-saaz Majlis me pesh kiye jaane se qabl Sadar e Jamhuriya ki raza haasil karna is Aaine ke tehet laazim ho; ya
a Bill containing the same provisions would under this Constitution have required the previous sanction of the President for the introduction thereof into the Legislature; or

213(1b). oonhe ye zaruri lage ke aesi Tajwiiz, jisme yehi usul hou, oos Tajwiiz ko Sadar e Jamhuriya ki madde nazar ke liye makhsuus rakha jaaye;
he would have deemed it necessary to reserve a Bill containing the same provisions for the consideration of the President; or

213(1c). Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke kisi Qaaide, jisme yehi usul hou, aur jo Qaaida is Aain ke tehet tab tak radd maana jaata jab take ke, oose Sadar e Jamhuriya ki raza haasil karne ke liye makhsuus kar diye jaane ke baad, Sadar e Jamhuriya ne oos Qaaide ko oonki raza naa de di hou.
an Act of the Legislature of the State containing the same provisions would under this Constitution have been invalid unless, having been reserved for the consideration of the President, it had received the assent of the President.

213(2). Is mazmoon ke tehat jaari karda Naaziimaani Hukm ki quwwat aur asar waesa hi hoga jaese ke Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke kisi Naaziim e Riyaasat ki raza shuda Qaede ka hota hae, lekin aese har Naaziimaani Hukm ko—
An Ordinance promulgated under this article shall have the same force and effect as an Act of the Legislature of the State assented to by the Governor, but every such Ordinance—

213(2a). Riyaasati Majlis ke saamne, aur jis Riyaasat me Riyaasati Shura ho, Qaanuun-saaz Majlis ke donohi Aewaan ke saamne rakha jaayega aur Qaanuun-saaz Majlis ki agli nashist se chhe maah ki muddat khatam ho jaane ke baad oos Naaziimaani Hukm ki nafaazat bhi khatm ho jaayegi, ya, agar aesi muddat khatam hone se qabl hi Riyaasati Majlis ne ek qaraardaad ke zariye ise naa-manzur kar diya hou, aur, agar Riyaasati Shura ho tou, Riyaasati Shura bhi oos naa-manzuuri par raazi ho jaaye tou jaese hi qaraardaad ke zariye ise naa-manzur kiya jaata hae ya, jaesa ke ma’amla ho, jaese hi qaraardaad par Riyaasati Shura raazi ho jaata hae, waese hi Naaziimaani Hukm ki nafaazat khatm ho jaaye gi; aur shall be laid before the Legislative Assembly of the State, or where there is a Legislative Council in the State, before both the Houses, and shall cease to operate at the expiration of six weeks from the reassembly of the Legislature, or if before the expiration of that period a resolution disapproving it is passed by the Legislative Assembly and agreed to by the Legislative Council, if any, upon the passing of the resolution or, as the case may be, on the resolution being agreed to by the Council; and

213(2b). Naaziim e Riyaasat chaahe tou kisi bhi waqt ooski nafaazat khatm kar sakte hae.
may be withdrawn at any time by the Governor.

Wazaahat.—is nukut ke maqsad ke tehat, jab Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke dono Aewaan ko mukhtalif taarikh par agli nashist karne ka hukm diya gaya ho tab, chhe maah ki muddat ka hisaab baad ki taarikh se lagaaya jaayega.
Explanation.—Where the Houses of the Legislature of a State having a Legislative Council are summoned to reassemble on different dates, the period of six weeks shall be reckoned from the later of those dates for the purposes of this clause.

213(3). Agar is mazmoon ke tehet jaari karda Naaziimaani Hukm aese usul qaayam karta hou jo is Aain ke tehet Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke kisi Qaaide ko Naaziim e Riyaasat ki raza haasil kiye jaane ke baad laagu kiye jaane par radd maana jaayega, tou jis had tak oos usul ka aesa pehlu ho, wo pehlu koi haesiyat nahi rakhega.
If and so far as an Ordinance under this article makes any provision which would not be valid if enacted in an Act of the Legislature of the State assented to by the Governor, it shall be void:

Shart ye hae ke,is Aain ke usul ke maqaasiid ke liye, Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ka koi Qaaida jo Qaumi Majlis ke kisi Qaaide ke bar-aks ho ya, jo Mushtarka Fehrist me darj kisi mauzu ke mutalliq koi maujuda qaanuun ho, in ke asar ke mutalliq, Sadar e Jamhuriya ki hidaayaat ki takmeel ke tehet koi jaari karda Naaziimaani Ahkaam ho tou, oose Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke kisi Qaaide jise Sadar e Jamhuriya ki madde nazar ke liye makhsuus kiya gaya ho aur Sadar e Jamhuriya ne oos Naaziimaani Ahkaam ko oonki raza de di ho, aesa maana jaayega.
Provided that, for the purposes of the provisions of this Constitution relating to the effect of an Act of the Legislature of a State which is repugnant to an Act of Parliament or an existing law with respect to a matter enumerated in the Concurrent List, an Ordinance promulgated under this article in pursuance of instructions from the President shall be deemed to be an Act of the Legislature of the State which has been reserved for the consideration of the President and assented to by him.



Index to the Articles of The Constitution of India (Urdu)

Aaine Hind ke Mazaameen ki Fehrist


English To Urdu Word Glossary For The Constitution Of India

Urdu To English Word Glossary For The Constitution of India