Monday, 24 June 2019

Elections (Articles 324-329A) in India (Urdu)

Hind ke Intekhaabaat (Mazaameen 324-329A)



Hissa XV
Part XV



Intekhaabaat
Elections


324. Intekhaab ke mutalliq sarparasti, hidaayat saazi aur ikhteyaar Wafaz e Intekhaab ke paas honge. —
Superintendence, direction and control of elections to be vested in an Election Commission.—

324(1). Is Aain ke tehet Qaumi Majlis aur har ek Riyaasat ki Qaanun-saaz Majlis ke mutalliq tamaam intekhaabaat karaane ke, iske saath hi Sadar e Jamhuriya aur Naib- Sadar e Jamhuriya ke ohdou ke intekhaabaat karaane ke aur in intekhaabaat se mutalliqa tamam fehrist ko tayyaar karne ke mutalliq sarparasti, hidaayat-saazi aur ikhteyaar ek Ikhteyaari Wafaz ki hogi (jise is Aain me Wafaz e Intekhaab kaha jaayega)
The superintendence, direction and control of the preparation of the electoral rolls for, and the conduct of, all elections to Parliament and to the Legislature of every State and of elections to the offices of President and Vice-President held under this Constitution shall be vested in a Commission (referred to in this Constitution as the Election Commission).


324(2). Wafaz e Intekhaab me Aala Naazim e Intekhaab aur darje zeel shart ke saath digar Naazimeen e Intekhaab shaamil honge, shart ye hae ke digar Naazimeen e Intekhaab aese honge jinhe waqt ba waqt agar Sadar e Jamhuriya mut’ayyin kar de, aur Qaumi Majlis me banaaye gaye mutalliqa qaanuun ke usul ke mutaabiq Sadar e Jahmuriya Aala Naazime e Intekhaab aur digar Naazimeen e Intekhaab ko muqarrar karenge.
The Election Commission shall consist of the Chief Election Commissioner and such number of other Election Commissioners, if any, as the President may from time to time fix and the appointment of the Chief Election Commissioner and other Election Commissioners shall, subject to the provisions of any law made in that behalf by Parliament, be made by the President.

324(3). Jab kisi digar Naazim e Intekhaab ko is tarha muqarrar kiya jayega tab Aala Naazim e Intekhaab Wafaz e Intekhaab ke Sadar ki haesiyat se amal karenge.
When any other Election Commissioner is so appointed the Chief Election Commissioner shall act as the Chairman of the Election Commission.

324(4). Darje Zeel Intekhaabaat se qabl agar Sadar e Jamhuriya ko ye lagta hae ke nukut (1) ke tehat Wafaz par aaid ki gayi zimmedaario ko anjaam dene me Wafaz ki madad ki garz se Ilaaqaai Naazimeen ko muqarrar karna zaruuri hae tou Wafaz se mashware ke baad Sadar e Jamhuriya aese Ilaaqaai Nazimeen ko muqarrar kar sakte hae, mazkura intekhaabaat ye hae: Aewaan e Awaam aur tamaam Riyaasaat ki Riyaasati Majaalis ke mutalliqa aam intekhaabaat, aur aesi Riyaasaat jaha Riyasati Shura bhi maujood ho waha ke pehle aam intekhaabaat aur ooske baad Riyaasati Shura ke mutalliqa har do saala intekhaabaat.
Before each general election to the House of the People and to the Legislative Assembly of each State, and before the first general election and thereafter before each biennial election to the Legislative Council of each State having such Council, the President may also appoint after consultation with the Election Commission such Regional Commissioners as he may consider necessary to assist the Election Commission in the performance of the functions conferred on the Commission by clause (1).

324(5). Qaumi Majlis ke zariye banaaye gaye qaanuun ke usul ke tehet rehte huwe , Naazim e Intekhaab aur Ilaaqaai Naazimeen e Intekhaab ki mulaazimat ki sharaaet aur oon ke ohdou ki miaad aesi hongi jaesi Sadar e Jamhuriya qaanuun ke zariye mut’ayyin kare:
Subject to the provisions of any law made by Parliament, the conditions of service and tenure of office of the Election Commissioners and the Regional Commissioners shall be such as the President may by rule determine:

Shart ye hae ke Aala Naazim e Intekhaab ko oonke ohde se oosi tariqe aur oonhi wajuhaat ki bina par hataaya jaa sakta hae jis tariqe se aur jin wajuhaat ki bina par Adaalat e Uzma ke kisi Qaazi ko hataaya jaata hae aur Aala Naazim e Intekhaab ko muqarrar kar diye jaane ke baad oon ki mulaazimat ki sharaaet ko oos tarz par tabdiil nahi kiya jaa sakta jo oon ke liye nuqsaan-daah ho:
Provided that the Chief Election Commissioner shall not be removed from his office except in like manner and on the like grounds as a Judge of the Supreme Court and the conditions of service of the Chief Election Commissioner shall not be varied to his disadvantage after his appointment:

Maziid shart ye bhi hae ke kisi bhi digar Naazim e Intekhaab ya kisi Ilaaqaai Naazim e Intekhaab ko oonke ohdou se tab tak nahi hataaya jaa sakta jab tak ke khud Aala Naazim e Intekhaab ne is mutalliq aesi tajwiiz na kar di ho.
Provided further that any other Election Commissioner or a Regional Commissioner shall not be removed from office except on the recommendation of the Chief Election Commissioner.

324(6). Agar Wafaz e Intekhaab aesi darkhwaast kare tou Sadar e Jamhuriya ya kisi Riyaasat ke Naazim e Riyaasat ko Wafaz e Intekhaab ko aese Ilaaqaai Naazim ya kisi maujuuda Ilaaqaai Naazim ko aesa amla faraaham karaana hoga jo nukut (1) ke tehet Wafaz e Intekhaab par aaid ki gayi zimmedari ko pura karaane ke liye zaruri ho.
The President, or the Governor of a State, shall, when so requested by the Election Commission, make available to the Election Commission or to a Regional Commissioner such staff as may be necessary for the discharge of the functions conferred on the Election Commission by clause (1).

325. No person to be ineligible for inclusion in, or to claim to be included in a special, electoral roll on grounds of religion, race, caste or sex.

326. Elections to the House of the People and to the Legislative Assemblies of States to be on the basis of adult suffrage.

327. Power of Parliament to make provision with respect to elections to Legislatures.

328. Power of Legislature of a State to make provision with respect to elections to such Legislature.

329. Bar to interference by courts in electoral matters.

329A. [Omitted .]


Index to the Articles of The Constitution of India (Urdu)

Aaine Hind ke Mazaameen ki Fehrist


English To Urdu Word Glossary For The Constitution Of India


Urdu To English Word Glossary For The Constitution of India

Friday, 21 June 2019

First Schedule Part B States (Article 238) of India (Urdu)

Hind ki Pehli Fehrist ke Hisse B ki Riyaasaat (Mazmoon 238)



Hissa VII. —
Part VII.—



[Pehli Fehrist ke Hisse B ki Riyaasaat]. Aaini Qaaide (Saatvi Tarmeem), 1956, ke hisse. 29 aur Fehrist ke zariye mansuukh. (1-11-1956 se laagu).
[The States in Part B of the First Schedule]. Omitted by the Constitution (Seventh Amendment) Act, 1956, s. 29 and Sch. (w.e.f. 1-11-1956).



238. [Hisse VI ke usul ka Pehli Fehrist ke Hisse B ki Riyaasaat par aaid hona.]– Aaini Qaaide (Saatvi Tarmeem), 1956, ke hisse. 29 aur Fehrist ke zariye mansuukh. (1-11-1956 se laagu).
[Application of provisions of Part VI to States in Part B of the First Schedule.]–Omitted by the Constitution (Seventh Amendment) Act, 1956, s. 29 and Sch. (w.e.f. 1-11-1956).


Index to the Articles of The Constitution of India (Urdu)

Aaine Hind ke Mazaameen ki Fehrist


English To Urdu Word Glossary For The Constitution Of India

Urdu To English Word Glossary For The Constitution of India



Sunday, 2 June 2019

The States (Articles 233-237) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 233-237)



Hissa VI
Part VI



Riyaasaat
The States



Baab VI.— Nichli Adaalaat
Chapter VI.—Subordinate Courts



233. Qazaat e Zilla ka mukarrar kiya jaana.—
Appointment of district judges.—

233(1). Kisi bhi Riyaasaat me bataur qazaat e zilla kin hi ashkhaas ki mukarrardagi, aur unke ohde ka ta’aiyyun aur unki taraqqi oos Riyaasat ke Naazim e Riyaasat karenge, aur wo aesa oos Riyaasat ki mutalliqa Adaalat e Aalia ke mashware ke saath karenge.
Appointments of persons to be, and the posting and promotion of, district judges in any State shall be made by the Governor of the State in consultation with the High Court exercising jurisdiction in relation to such State.

233(2). Koi shakhs jo Markaz ya oos Riyaasat ka maujuda mulaazim na ho tab aesa shakhs Qaazi e Zille ke ohde par mukarrar kiye jaane ka ahl tab hi ho sakta hai jab kam az kam saat saalou tak wo wakiil ya phir wakiil baraae faryaad raha ho aur jisko mukarrar kiye jaane ke liye waha ki Adaalat e Aalia ne sifaarish ki ho.
A person not already in the service of the Union or of the State shall only be eligible to be appointed a district judge if he has been for not less than seven years an advocate or a pleader and is recommended by the High Court for appointment.


233A. Ba’az qazaat ki muqarrardagi, aur unke sunaaye gaye faeslou waghaera ki tauseeq.—
Validation of appointments of, and judgments, etc., delivered by, certain district judges.—

Kisi bhi adaalat ke kisi bhi hatami faesle, aarzi faesle ya hukm ke baawajood,—
Notwithstanding any judgment, decree or order of any court,—

233A(a)(i). aesa koi shakhs jo kisi Riyaasat ki Adaliya ka maujuda mulaazim ho ya aesa koi shakhs jo kam az kam saat saalou tak wakiil ya fariyaadi wakiil raha ho, oos shakhs ki oos Riyaasat ke qaazi e zile ke ohde par muqarradagi ko,
no appointment of any person already in the judicial service of a State or of any person who has been for not less than seven years an advocate or a pleader, to be a district judge in that State,

aur
and

233A(a)(ii). aese kisi shakhs ke qaazi e zilla ke mutalliq oos ke ta’ayyun, taraqqi ya tabaadle ko,
no posting, promotion or transfer of any such person as a district judge,

agar wo Aaini Qaaide (Biiswi Tarmeem), 1966 ki nafaazat se pehle kisi bhi waqt, mazmoon 233 ya mazmoon 235 ke usul se hat kar kiye gaye hou tou oon ma’amlaat ko najaaiz ya zaaya nahi maana jaaye ga ya sirf is wajaah ke tehat ke aesi muqarrardagi, ta’ayyun, tarraqi ya tabaale ko zikr kiye gaye usul se hat kar kiya gaya tha tou bhi oon ma’amlaat ko kisi bhi waqt najaaiz ya zaaya ho gaye hou aesa bhi nahi maana jaaye ga;
made at any time before the commencement of the Constitution (Twentieth Amendment) Act, 1966, otherwise than in accordance with the provisions of article 233 or article 235 shall be deemed to be illegal or void or ever to have become illegal or void by reason only of the fact that such appointment, posting, promotion or transfer was not made in accordance with the said provisions;

233A(b). Aaine Qaaide (Biiswi Tarmeem), 1966 se qabl, mazmoon 233 ya mazmoon 235 ke usul se hat kar, kisi bhi Riyaasat me qaazi e zille ke ohde par muqarradagi, ta’ayyun, taraqqi ya tabaadle ke zariye muqarrar kiye gaye kisi shakhs ke zariye ya ooske peshe nazar, daaerae kaar ko istemaal kiye jaane ko, sunaaye gaye kisi hatami ya aarzi faesle ko, di gayi kisi saza, ya diye gaye kisi hukm ko, ya kiye gaye kisi amal ko, ya ki gayi kisi kaarwaahi ko najaaiz ya zaaya nahi maana jaayega ya sirf is wajaah ke tehat ke aesi muqarrardagi, ta’ayyun, tarraqi ya tabaale ko zikr kiye gaye usul se hat kar kiya gaya tha tou bhi oon ma’amlaat ko kisi bhi waqt najaaiz ya zaaya ho gaye hou aesa bhi nahi maana jaaye ga.
no jurisdiction exercised, no judgment, decree, sentence or order passed or made, and no other act or proceeding done or taken, before the commencement of the Constitution (Twentieth Amendment) Act, 1966 by, or before, any person appointed, posted, promoted or transferred as a district judge in any State otherwise than in accordance with the provisions of article 233 or article 235 shall be deemed to be illegal or invalid or ever to have become illegal or invalid by reason only of the fact that such appointment, posting, promotion or transfer was not made in accordance with the said provisions.


235. Nichli adaalaat ke oopar ikhteyaar.—
Control over subordinate courts.—

Kisi Riyaasat ke aese adaalati mulaazimat ke ohde jo ke Qaazi e Zilla ke ohde se nichle darje par ho oos par faaiz kisi bhi shakhs ke ta’ayyun aur taraqqi aur oos ko chutti dene ke ikhteyaar ki shamuliyat ke saath zille ki adaalaat aur oon se bhi nichli adaalaat ke oopar ikhteyaar Adaalat e Aalia ka hoga, is mazmoon ke kisi bhi pehlu se ye nahi samjha jaayega ke aese kisi shakhs se faryaad karne ke kisi haq ko chhina ja raha hae, faryaad karne ka wo haq jo ke oose ooski mulaazimat ki sharaaet ko munazzim karaate kisi qaanoon ke tehet haasil huwe hae ya phir iske alaawa kisi aese qaanoon ke tehet haasil huwe hae jo ke Adaalat e Aalia ko ye ikhteyaar deta hae ke Adaalat e Aalia oos qaanoon ke tehet mutayyin ki gayi ooski mulaazimat ki sharaaet ke mutaabiq ooske saath ma’amla kare.
The control over district courts and courts subordinate thereto including the posting and promotion of, and the grant of leave to, persons belonging to the judicial service of a State and holding any post inferior to the post of district judge shall be vested in the High Court, but nothing in this article shall be construed as taking away from any such person any right of appeal which he may have under the law regulating the conditions of his service or as authorising the High Court to deal with him otherwise than in accordance with the conditions of his service prescribed under such law.



236. Tashriih.—
Interpretation.—

Is Baab me—
In this Chapter—

236(a). “Qaazi e zille” ki tashriih me ye qazaat bhi shaamil honge: kisi sheher ki adaalat e diwaani ke qaazi, zaaid qaazi e zilla, majmui qaazi e zilla, naaib qaazi e zilla, mukhtasar ma’amlat ki adaalat ke sadar qaazi, aala sadariyaat ke haakim, aala sadariyaat ke zaaid hakim, qaazi e ijlaas, zaaid qaazi e ijlaas aur naaib qaazi e ijlaas
the expression “district judge” includes judge of a city civil court, additional district judge, joint district judge, assistant district judge, chief judge of a small cause court, chief presidency magistrate, additional chief presidency magistrate, sessions judge, additional sessions judge and assistant sessions Judge;

236(b). “Adaalati mulaazimat” ke ma’ane mehez aese shakhs ki mulaazimat ke hae jise qaazi e zilla aur dighar adaalat e diwaani ke ohde jo qaazi e zilla se nichle darje ke hae oon ohdo par bharti ke liye makhsuus kiya gaya ho.
the expression “judicial service” means a service consisting exclusively of persons intended to fill the post of district judge and other civil judicial posts inferior to the post of district judge.

237. Is baab ke usul ka baaz tabqe ya tabqaat ke hukkaam par aaid kiya jaana.—
Application of the provisions of this Chapter to certain class or classes of magistrates.—

Naazim e Riyaasat chaahe tou mazkura baab ke usul aur ooske zer banaaye gaye kisi qaaide ko oon ki is mutalliq mutayyin ki gayi taarikh se Riyaasat ke kisi tabqe ya tabqaat ke hukkaam par osi lehaaz se hidaayatan aaid kar sakte hae jaese ke ye usul aur mutalliqa qaaide Riyaasat ki adaalati mulaazimat ke mutalliq kisi shakhs par aaid hote hae, oon makhsusiyaat aur tabaadil ke mutaabiq jinhe oos wazaahat me waazae kiya gaya ho.
The Governor may by public notification direct that the foregoing provisions of this Chapter and any rules made thereunder shall with effect from such date as may be fixed by him in that behalf apply in relation to any class or classes of magistrates in the State as they apply in relation to persons appointed to the judicial service of the State subject to such exceptions and modifications as may be specified in the notification.

Index to the Articles of The Constitution of India (Urdu)

Aaine Hind ke Mazaameen ki Fehrist


English To Urdu Word Glossary For The Constitution Of India

Urdu To English Word Glossary For The Constitution of India